Eid aor nae saal ke liye tazah Ghazal!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Eid aor nae saal ke liye tazah Ghazal!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]Yaran-e-meHfil aadaab!

abh~ee abh~ee moHtarmah Sara SaHibah ka Hukm mila keh nae saal ke liYe koee cheez pesh karooN. so Yeh Ghazal ho gaee hai. so pesh-e-khidmat hai. mulaHeZ^ah farma kar mashkoor hooN!

beHer ka naam=beHer-e-ramal musaddas mehz^oof
=2122.....2122.....212.

Ghazal

1,

gardish-e-daoraN ka shikwah kiYa karooN
ho geYa mele meN tanha kiYa karooN.


2,

chal diYa Th~ukra ke hanGam-e-jahaaN
is bh~aree dunYa meN tanha kiYa karooN.


3,

lut^f tera apnee qismat meN nah th~a
tujh~ se barbadee ka shikwah kiYa karooN.


4,

taj diYa jis ne sar-e-rah-e-junooN
aese hamrahee peh takiyah kiYa karooN.


5,

jaaN balab karne lagee hai shaam-e-Gham
dard-e-furqat ka madawa kiYa karooN.


6,

na khuda ne beech t^ufaaN ke kaha
Dubne walooN kee parwa kiYa karooN.


7,

weHshat-e-dil ne kh~ilaYa hai yeh gul
chaak hai apna kaleja kiya kareeN.


8,

kuch~ naheeN qeemat muz^affar jan kee
sard hai bazar saoda kiYa karooN.
[/align]
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Wed Dec 27, 2006 4:02 am, edited 1 time in total.
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki Taazah ghazal bahut pasand aayhi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiyhe.

MULAAHIZAAT:

gardish-e-daoraN ka shikwah kiYa karooN
ho geYa mele meN tanha kiYa karooN.

Achchaa maTlaA hei, waah waah. Hougayaa mele meiN tanhaa se muraad yeh hei ke mele meiN yuN tou bahut se loag thay lekin aap ne tanhaayi meHsoos kee. Agar yuN kehte "rehgayaa mele meiN tanhaa kyaa karooN" tou housaktaa hei ke uske yeh maAni liye jaayeN ke jo bhee loag mele meiN thay sab ke chale gaye aur aap tnhaa reh gaye. Is likHaaz "hougayaa mele meiN tanhaa kyaa karooN" ko hee tarjeeH dee jaani chaahiye.

chal diYa Th~ukra ke hanGam-e-jahaaN
is bh~aree dunYa meN tanha kiYa karooN.


Is sheAr meiN "hangam-jahaN" se aapki kyaa muraad hei samajhnaa mushkil hei. Hangam-e-jahaaN ke maAni heiN "jahaaN ke waqt". Chal diyaa Thukraake se agar yeh mafhoom le rahe heiN ke meHboob Thukraake chalaa gayaa tou housaktaa hei ke aap "waqt-e-imtiHaaN" kaheN.
Hangaam = ke waqt jaise (hangam-e-saHar yaa hangaam-e-nousha noush)
Hangaamah = shour o shaghab, gaRbaR jaise (hangaamah hei kiyuN barpaa)

lut^f tera apnee qismat meN nah th~a
tujh~ se barbadee ka shikwah kiYa karooN.


Bahut khoob, waah waah.

taj diYa jis ne sar-e-rah-e-wafa
aese hamrahee peh takiyah kiYa karooN.


Achcha sheaAr hei, waah waah. Ghaliban hamsafari ko tajne ke maAni meiN (hamsafari se dastbardaar houne) kaa mafhoom adaa houjrahaa hei.

jaaN balab karne lagee hai shaam-e-Gham
dard-e-furqat ka madawa kiYa karooN.


Kyaa kehne, bahut khoob.

na khuda ne beech t^ufaaN ke kaha
Dubne walooN kee parwa kiYa karooN.


Achcha sheAr hei, waah waah.

weHshat-e-dil ne kh~ilaYay hai yeh gul
chaak hai apna kalejah kiya kareeN.


Achcha sheAr hei.l waah.l

kuch~ naheeN qeemat muz^affar jan kee
sard hai bazar saoda kiYa karooN.


Achcha maqTaA hei, waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Abdullah Nazir SaHib aadaab!

aap ne meree ma'mulee see Ghazal ko dekh~te huwe nah Sirf pasand farmaYa balkeh nihaYat aham SalaH-o-mashwarah se kalam ko nikh~arne kee har mumkin koshish bh~ee kee.

is inaYat aor shafqat ke liYe aap ka minnat pazeer hooN. khuda aap ko salamat rakh~e! (aameen)

(hangaam-e-jahaaN) se muraad :ranaq-e-jahaaN: lene kee koshish kee th~ee. Ya'nee maiN duniYa kee ranaq, chehel pehel, gehma gehmee, ko Th~ukra kar chal diYa hooN.

Ghazal ke is she'er meN maZ^moon mubham hone ke bae,ic ab kuch~ tabdeelee ke sath~ pesh-e-khidmat hai.


chal diYa hooN chooR kar khuld-e-bareeN
baaGh meN beTh~a akela kiYa karooN. :-)

ab she'er pehle se zeyadah waZ^eH ho geYa hai.
4,

aor ab neeche wale she'er ke miSra'-e-ula meN thoRee see tabdeelee mulaHeZ^ah farmaeYe!! :wafa: ko badal kar :junooN: kar diYa hai.

taj diYa jis ne sar-e-rah-e-:junooN:
aese hamrahee peh takiYah kiYa karooN.

jee! meree muraad Yahee hai keh maiN aese hamsafar par aor kiYa takiYah karooN... jo mujh~e sar-e-rah-e-junooN chooR kar chala geYa.

aek bar ph~ir aap ka mamnoon hooN!

Wassalam
Muz^affar
[/align]
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

inkmishaaf houaa

Post by Abdullah Nazir »



MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :lol:

Aapke javaab ke liye be-Had shukrguzaar hooN aur lafz "hangaam" kee teHqeeq karne per zaahir houaa ke uske maAni "hangaamah" ke bhee hein jiskaa zikr do lughaat "farhang-e-Aamirah" aur "lughaat-e-kishouri" meiN hei.
Is bunyaad per aapkaa "hangam-e-jahaN" isteAmaal karnaa durust hei aur aisaa isteAmaal meri nazar se pahli baar guzraa hei. In lujghaat per agar iAtimaad nah kiyaa jaaye tou phir kin lughaat per kiyaa jaasaktaa hei.

MuHtarami Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib.
Re: Laf Hangam ke maAni:
Standard Teentieth Century dictionary, Urdu into English,

Hangam, noun masculine.l = time
Hangami = accidental, extraordinary, abnormal.
-----------
Ferozullughat, ujrdu jaamiA.
Hangam, Farsi Muzakkar = waqt, zamaanahl, mauqaA.
-----------
Farhang-e-aaSafyhah:
Hangaam, farsi muzakkar. = din, ayyam, zamaanah, mauqaA.
Jaise hanaam-e-houshaa-noush.
------------
Farhang-e-Aamirah:
Hangaam = waqt, faSl, hangaamah
-------------
Lughaat-e-kishouri:

Hangaam = waqt, hangaamah.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Post Reply