Eid Al Adha Mubarak

tamaam ahem taqreebaat.
Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center] moHtarmah Sara jabeeN Garamee-e-qadr Abdullah Nazir SaHib aor Yaran-e-meHfil aadaab!

meree janib se tamaam sath~iYooN ko neYa saal aor e'eed kee ranga rang khushiYaaN mubarak hooN.

khuda kare keh hamaree zindagee aesee khushiYooN aor musarratooN se aabaad rahe. koee Gham aor dukh~ hamaree khuwahishooN aor muradooN ke aage deewar ban kar nah kh~aRa ho jae. khushee hamara muqaddar ban jae. aor namuradiYaaN aor nakamiYaaN chahe woh kisee rang-o-roop meN bh~ee hooN. khuda unheeN apnee raHmat-e-be baha se Gharat kar de.

aor ham sab aek dusre ke waste raHat-e-jaaN ban jaeeN maaN beTe ke waste beTa maaN ke waste, khawand beewee ke liYe aor beewee khawand ke waste. khuda kare keh neYa saal apne saath~ amn aor salamtee ka parwanah bh~ee le kar aae.

khuda kare keh woh aseeran-e-HamiYat jo rah-e-Haq meN pas-e-zindaaN dh~akel diYe gae haiN. un ka koee pursaan-e-Haal peda ho. woh be gunah jo qaed-o-band kee Sa'ubateeN jh~eel rahe haiN. aazadee ka sans leeN.

khuda kare keh duniYa ka har fard khud ko meHfooz^ kheYaal kare khuSuSa" un mumalik ke maz^loom afraad jo mazhabee kashmakash kee chakkee ke do paTooN meN pis rahe haiN. najaat paeeN.

firqah wariYat ka woh t^ufaan jo at^raaf-e-a'alam ko apnee lapeet meN lene par tula huwa hai. ab th~am bh~ee jae. aor arbaab-e-akhteYaar-o-SaHibaan-e-t^aqat ko apne mazmoon iradooN par sharam aa jae. ta be bas aor lachaar makhlooq-e-khuda ko takhtah-e-mashq-e-sitam nah banaeeN.

ma'Soom bachchooN aor be gunah maaooN par apna jadeed asleHah-o-barood nah aazmaeeN.z^alim ke bajae maz^loom ke darpa-e-aazaar nah ho jaeeN.

woh mardaan-e-Hur jo aek muddat se mukhalif se barsar-e-peekaar haiN un ka bh~ee khuda Hamee-o-naSir ho aor woh khawateen jo galee muHallooN meN mard aasaa muqabilah kar raheeN haiN. khuda un ka bh~ee madadgaar ho.

hazarooN, bachooN, maaooN, beTooN, beTiYooN, ne apne hee wat^an meN reh kar GhaerooN ke hath~ooN jaam-e-shahdat naosh kiYa. aor hanooz yeh rawish jaree hai. kal kiYa hota hai aa'tabaar-e-kal kisee ko naheeN.

kaash is saal aesa nah ho kaash aane wala saal pur amn ho. kaash istabdadee aamrooN ko koee yeh baat samjaee keh insaan muHabbat karne ke liYe peda kiYa geYa hai. sulee par chaRh~ane ke liYe naheeN.

Wassalam
Muz^affar
[/align]
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

[align=center]aihl-e-bazm: Asslam-o-alaikum,


mehfil-e-Urdubandhan k tamaam saatiyoN ko maiN apnii jaanib se Eid-ul-adhaa AUR Saal-e-nau aamad par mubaarak-baad pesh kartaa hooN.


Dua'a hai k Allah subHan-va-ta'alaa hameN yeh id bhi hamesha kii tarah pur-masarrat se manaane kii taufiiq de, ham sab kii tamaam neik-jaaiiz tamannayeN purii hoN aur aane vaala saal ham sab k liYe us kii rahmatoN aur barkatoN ko le kar aaYe, Aameen!



Image

Khush raheN!


Hassan[/align]
Last edited by hassan_bashir on Fri Dec 29, 2006 2:40 pm, edited 1 time in total.
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Eid ul aZHaa mubarak

Post by Abdullah Nazir »



[align=center]
Urubandhan ke saathiyaoN, musalmaanaoN, aur saare ghair muslim bhaayiyaoN ko Eid ul aZHaa kee munaasibat per mubaarakbaad pesh kartaa hooN. Allah u rabbul izzat se duAaa hei ke saari insaaniyat ko amn o amaan aur bhaayi-chaaragi ke maaHoul meiN itmenaan se rehne kee taufeeq ATaa farmaaye.

Mujh jaise Awaam kee tamann hei ke her shakhS sukoon aur SeHHat se apni zindagi ken din guzaare. Ummeed hei ke aek din hamaare mufakkireen aur insaaniyat ke rehnumaa khud aek SaHeeH raah per gaamzan houkar Aam aadamiyaoN ko amn o sukoon se navaazehnge.

Aapka MukhliS,

Nazir.

[/align]
Image
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Aziz sathio
Mere taraf se Eid Al-Adha par dili mubarakbaad arz hai.
Talib dua
Salem Bashwar
Attachments
eid_mubarak.jpg
eid_mubarak.jpg (21.63 KiB) Viewed 591 times
سالم احمد باشوار
Post Reply