Eid aur Naye saal ki tehreereiN

tamaam ahem taqreebaat.
Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]Yaran-e-meHfil aadaab!

nae saal ke liYe apnee dusree tazah koshish pesh-e-khidmat hai. mulaheZ^ah farma kar shukriYah ada karne ka maoqa' faraham kijiYe!

beHer=khafeef/musaddas/makhbon/meHz^of.
=2122.....1212.....22.

1,

seenah-o-dil figaar karte haiN
ehtamam-e-bahaar karte haiN.

2,

ham haiN maqroZ^-e-zeest kuch~ aese
zindagee musta'aar karte haiN.


3,

e'shq meN tishnah kaam rehte haiN
jo Gham-e-ruzgaar karte haiN.

4,

YoN tira naam lab peh hai gaoYa
zikr-e-parwardigaar karte haiN.

5,

ham saNwareeN ge gesu-e-urdu
e'hd Yeh ustawaar karte haiN.

6,

ToTee kashtee meN beTh~ne wale
kab samundar ko paar karte haiN?

7,

apnee sadah dilee hai duchman ko
dostooN meN shumaar karte haiN.

8,

rang lae gee apnee mae naoshee
jaam par inHeSaar karte haiN.
( mae naoshee=sharab naoshee)

9,

dasht-e-Ghurbat meN luT gae lekin
shukr-e-parwardigaar karte haiN.

10,

jin ko milta naheeN sukooN aakhir
mae kashee ikhteyaar karte haiN.

11,

ham gurezaaN naheeN haiN maqtal se
ham SaleebooN se peYaar karte haiN.

(Q)

12,

jaan dene kee aakhree khuahish
qaed meN jaaN nisaar karte haiN.

13,

woh muz^affar najane kab aae?
aao akhtar shumaar karte haiN.

Wassalam
Muz^affar
[/align]

[align=center]Image[/align]
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Yaaran-e-meHfil, aadaab !

Eid ke Havaale se aek Ghazal paish-e-Khidmat hai, ummeed hai k apnii qeemati aaraa se navaazeN ge ! shukriya

:: Urdu V ::
Image
:: Roman V ::

1.

Khushii ke geet sunaa'o k e'id kaa din hai !
GhamoN ko bhool hi jaa'o k e'id kaa din hai !

2.

ab is qadar na sataa'o k e'id kaa din hai !
Khuda ra saamne aa'o k e'id kaa din hai !

3.

junoon-e-tashna-labii Had se baRh chalaa hai aaj
nigaah bhar ke pilaa'o k e'id kaa din hai !

4.

nigaah-o-dil meiN utarnaa to koi baat naheeN
qareeb aur bhi aa'o k e'id kaa din hai !

5.

kisii ko bazm-e-maHabbat sajaane aanaa thaa
kisii ko yaad dilaa'o k e'id kaa din hai !

6.

libaas-e-nau meiN mehak sii hai mausim-e-gul kii
ise diloN meiN basaa'o k e'id kaa din hai !

7.

sukoon-e-qalb muyassar naheeN to kuchh bhi naheeN
kisii ka din na dukhaa'o k e'id kaa din hai !

8.

Khamosh kyooN ho Zia is Khushii ke moqa' par ?
koii Ghazal to sunaa'o k e'id kaa din hai !

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]mohtaram Z^iYa baloch SaHib aadaab! :-)

kaese mizaaj haiN!

aap kee tazah Ghazal dekh~ne ka maoqa' mila. bohot u'mdah aor pur lut^f asha'aar kahe haiN aap ne.

mujh~e aap kee Ghazal is qadar pasad aaee keh aek ek she'er paRh~ta jata aor suroor-e-she'er meN mast ho kar Ghazal par Ghazal ho gaee.

idh~ar aap kee Ghazal tamaam hoee aor udh~ar saath~ hee maiN ne bh~ee Ghazal mukammal keh dee.

sao Yeh Ghazal aap ke naam kar raha hooN.

Ghazal
(moHtaramZ^iYa Baloch kee nazr)

1,

gul-e-muraad kh~ilao keh e'eed ka din hai
reYaZ^-e-deher sajao keh e'eed ka din hai.

2,

saNwaro gesu-e-hastee ko aaj jaaN de kar
koee to e'hd nibh~ao keh e'eed ka din hai.

3,

maiN jee raha hoN muHabbat meN khak-e-pa ho kar
mujh~e nah aese uRao keh e'eed ka din hai.

4,

nah ab rahee hai kaheeN z^ulmat-e-shab-e-hijraaN
charaaGh-e-rah bujh~ao keh e'eed ka din hai.

5,

rafu-e-chaak-e-gareebaaN kee fikr lazim hai
mujh~e gale se lagao keh e'eed ka din hai.

6,

t^uwaaf-e-kochah-e-janaaN kee a'zmateeN taobah!
naSeeb apna jagao keh e'eed ka din hai.

7,

nah beTh~o aaj ke din mekade meN tishnah lab!
jigar kee peYaas bujh~ao keh e'eed ka din hai.

8,

safeenah maoj-e-t^alat^um meN Dubne ko hai
ise bh~aNwar se bachao keh e'eed ka din hai.

9,

e'laaj-e-tangee-e-damaaN ko mere kafee hai
SeHn meN ph~ool kh~ilao keh e'eed ka din hai.

10,

mujh~e a'zeez haiN lamHaat-e-talkhee-e-daoraaN
nah mujh~ peh ashk bahao keh e'eed ka din hai.

11,

Ghazal suna keh Z^iYa tum ne jeet lee bazee!
yeh gur hameeN bh~ee sikh~ao keh e'eed ka din hai.

12,

maiN kh~o geYa hooN Muz^affar hajoom-e-dunYa meN
khuda ra Dh~oND ke lao keh e'eed ka din hai.

Talib-e-dua'a
Muz^affar



[/align]
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Fri Dec 29, 2006 1:58 pm, edited 1 time in total.
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Yaaraan.e MeHfil,
Aadaab

Eid-Al-Adha aur naye saal ki dili mubaarakbaad qubool kijiye.

MiaN moHtarmah Sara SaHibah ka behud mamnoon hooN keh unhoN ne meri is qadar sada nazm ka itna KhoobSurat "image" banaya. Jazak Allah. Aap se iltemaas hai keh teesra bund paRhte waqt pahle misrey ka aaKhree lafz "humko" ki jagah "tumko" paRhiyega. Yeh Sara ki Galtee nahiN mujh se ikhte waqt yeh Galtee huuwee thee.

Apki doaoN ka mutamannee,
Jawaid Badauni





Image
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Mnaao Eid Magar .................................

Post by jawaid badauni »



Manaao Eid magar !!!!!!!!!



fasurda haal musalmaa(n) shikasta haal hai qaum
Khooshi bhi aaj hame(n) gham dikhaaee deti hai


har ik ghareeb Musalmaa(n) ke ghar me(n) raat ke baad
hame(n) to raat hi paiham dikhaaee deti hai


hamari qaum ki qismat me(N) hai musalsal gham
umid-e subha bahoot kum dikhaaee deti hai


jo dekha qaum ki aaNkho(n) ko kholker aaNkhe(n)
harek aaNkh hi purnam dikhaaee deti hai


yeh kaisee bazm-e masarrat hai ai jahaa(n) walo !
jo ek mahfil-e maatam dikhaaee deti hai

kabhie qareeb se dekha hai qaum-e muslim ko ?
woh ek karb-e mujassam dikhaaee deti hai

manaao Eid magar unka bhi khiyaal karo
keh jinki Eid moharram dikhaaee deti hai



Jawaid Badauni
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

saal-e-nau
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

saal-e-nau - -- - Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Aapki khidmat meiN apni nayi nazm pesh karrahaa hooN. Ummeed ke pasand aayegi.

Saal-e-nau aur jaada-e-amn o amaaN

Kis ne dee apne dar-e-umr-e-ravaaN per dastak
Naamah-bar hei koii paighaam nayaa laayaa hei
Usrat-e-Haal meiN guzree huee raataoN kaa Silah
Mehr-e-ummeed-e-musarrat kee Ziaa laayaa hei
-------
farsh-e-naumeediy-e-khaaTir se houe heiN bedaar
zulmat-e-jehl meiN ham jout jagaane ke liey
Sidq o inSaaf o ravaadaari ke Haami bankar
Chal paRe Doobti dunyaa ko bachane ke liye
--------
behr-e-tiryaaq-e-mudaawaay-e-alam kuch nah sahi
fann-e-khuddaariy-e-qirTaas o qalm pesh kareN
zindah rakhnaa hei jo insaan ko insaaN kee TaraH
chaliye ik naArah-e-tauHeed-e-baham pesh kareN
========

Aapka MukhliS,
Nazir

Attachments
a_na_saal_e_nau.jpg
a_na_saal_e_nau.jpg (141.32 KiB) Viewed 553 times
Image
Post Reply