moHtaram Z^iYa Baloch ke naam aek Ghazal!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

moHtaram Z^iYa Baloch ke naam aek Ghazal!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]


mohtaram Z^iYa baloch SaHibaor yaran-e-meHfil aadaab! :-)

kaese mizaaj haiN!

aap kee tazah Ghazal "e'eed ka din hai" dekh~ne ka maoqa' mila. bohot u'mdah aor pur lut^f asha'aar kahe haiN aap ne. mujh~e aap kee Ghazal is qadar pasad aaee keh aek ek she'er paRh~ta jata aor suroor-e-she'er meN mast ho kar Ghazal par Ghazal ho gaee.

idh~ar aap kee Ghazal tamaam hoee aor udh~ar saath~ hee maiN ne bh~ee Ghazal mukammal keh dee. sao Yeh Ghazal aap ke naam kar raha hooN.

dostooN se iltamaas hai keh mulaHeZ^ah farma kar shukriyah ada karne ka meHel faraHam kareeN.

Ghazal
(moHtaramZ^iYa Baloch kee nazr)

1,

gul-e-muraad kh~ilao keh e'eed ka din hai
reYaZ^-e-deher sajao keh e'eed ka din hai.

2,

saNwaro gesu-e-hastee ko aaj jaaN de kar
koee to e'hd nibh~ao keh e'eed ka din hai.

3,

maiN jee raha hoN muHabbat meN khak-e-pa ho kar
mujh~e nah aese uRao keh e'eed ka din hai.

4,

nah ab rahee hai kaheeN z^ulmat-e-shab-e-hijraaN
charaaGh-e-rah bujh~ao keh e'eed ka din hai.

5,

rafu-e-chaak-e-gareebaaN kee fikr lazim hai
mujh~e gale se lagao keh e'eed ka din hai.

6,

t^uwaaf-e-kochah-e-janaaN kee a'zmateeN taobah!
naSeeb apna jagao keh e'eed ka din hai.

7,

nah beTh~o aaj ke din mekade meN tishnah lab!
jigar kee peYaas bujh~ao keh e'eed ka din hai.

8,

safeenah maoj-e-t^alat^um meN Dubne ko hai
ise bh~aNwar se bachao keh e'eed ka din hai.

9,

e'laaj-e-tangee-e-damaaN ko mere kafee hai
SeHn meN ph~ool kh~ilao keh e'eed ka din hai.

10,

mujh~e a'zeez haiN lamHaat-e-talkhee-e-daoraaN
nah mujh~ peh ashk bahao keh e'eed ka din hai.

11,

Ghazal suna keh Z^iYa tum ne jeet lee bazee!
yeh gur hameeN bh~ee sikh~ao keh e'eed ka din hai. :grin:

12,

maiN kh~o geYa hooN Muz^affar hajoom-e-dunYa meN
khuda ra Dh~oND ke lao keh e'eed ka din hai.

Talib-e-dua'a
Muz^affar





[/align]
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MJuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SSaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne apni mandarja-e-zeil ghazal jou Zia Baloch kee nazr kee hei, bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

gul-e-muraad kh~ilao keh e'eed ka din hai
reYaZ^-e-deher sajao keh e'eed ka din hai.

2,

saNwaro gesu-e-hastee ko aaj jaaN de kar
koee to e'hd nibh~ao keh e'eed ka din hai.

3,

maiN jee raha hoN muHabbat meN khak-e-pa ho kar
mujh~e nah aese uRao keh e'eed ka din hai.

4,

nah ab rahee hai kaheeN z^ulmat-e-shab-e-hijraaN
charaaGh-e-rah bujh~ao keh e'eed ka din hai.

5,

rafu-e-chaak-e-gareebaaN kee fikr lazim hai
mujh~e gale se lagao keh e'eed ka din hai.

6,

t^uwaaf-e-kochah-e-janaaN kee a'zmateeN taobah!
naSeeb apna jagao keh e'eed ka din hai.

7,

nah beTh~o aaj ke din mekade meN tishnah lab!
jigar kee peYaas bujh~ao keh e'eed ka din hai.

8,

safeenah maoj-e-t^alat^um meN Dubne ko hai
ise bh~aNwar se bachao keh e'eed ka din hai.

9,

e'laaj-e-tangee-e-damaaN ko mere kafee hai
SeHn meN ph~ool kh~ilao keh e'eed ka din hai.

10,

mujh~e a'zeez haiN lamHaat-e-talkhee-e-daoraaN
nah mujh~ peh ashk bahao keh e'eed ka din hai.

11,

Ghazal suna keh Z^iYa tum ne jeet lee bazee!
yeh gur hameeN bh~ee sikh~ao keh e'eed ka din hai.

12,

maiN kh~o geYa hooN Muz^affar hajoom-e-dunYa meN
khuda ra Dh~oND ke lao keh e'eed ka din hai.



Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]mohtaram Abdullah Nazir aadaab! :-)

meree ma'mulee see Ghazal ko pasand farmane par aap ka teh-e-dil se mamnoon hooN.
khuda aap ko salamat rakh~e!

ijazut dijiYe!
Wassalam
dua' gao!
Muz^affar
[/align]
Post Reply