TaraHi miSraA GUZ.25 Ke liye - -- - Abdullah Nazir.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

TaraHi miSraA GUZ.25 Ke liye - -- - Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


Muhtaramaat o Muhtarameen
Arbaab-e-meHfil o Ahbaab-e-Sukhan,


Purkhuloos Tasleemaat, :rose


GUZARISH #25. Taareekh January 1, 2007

TaraHi misraA Kulliyaat-e-aatish se:

"mere allah ne mujh per kiye iHsaaN kyaa kyaa"

Radeef = (kyaa kyaa.)
Qaafiye: (armaaN, ToofaaN, giryaaN, insaaN, paimaaN, girebaaN, saamaaN, unwaaN, pareshaaN, gardish-e-dauraaN) waghairah.

Yeh beHr-e-ramal mucamman makhboon meHzoof/maqTooA hei. Iska vazn hei:

"faa"ilaa'lun…fa'ilaa'lun…fa'ilaa'lun…fe'lun"
=/0//0/0…..///0/0…..///0/0…../0/0.
=2122…….1122…….1122…….22.
Ijaazut: Pahle rukn ko makhboon yaAni "faa'ilaa'tun" kee bajaaye "fa'ilaa'tun" isteAmaal karsakte heiN.
Ghair qaafiya-band miSraAoN ke aakhiri rukn ko "fe'lun" kee bajaaye "fa'ilun" yaAni Harf "ain" ko saakin kee bajaaye mutaHarrik isteAmaal karsakte heiN yaa fe'laat" yaa "fa'ilaat" isteAmaal karsakte heiN.

Ummeed ke aap sab TabA' aazmayi karenge aur khaaksaar ko mamnon farmaayenge.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Abdullah Nazir SaHib aadaab! :-)

Guzarish 25 ke teHet t^arHee mushae,irah ke aaGhaz aor aek HaseeN aor pur taSawwuf miSra' ke intekhaab par meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

khuda aap ka Hamee-o-naSir ho!

dua' gao!
Muz^affar AHmad Muz^affar
[/align]
Post Reply