Ek Aham E'laan!!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Ek Aham E'laan!!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: aadaab-o-tasleemaat!

aap sab ko naYe saal kee dilee mubaarakbaad!

ek Khush-Khabaree yeh hai keh <www.urduduniya.net> ke seh-maahee risaaleh DASTAK kaa pehlaa shumaarah shaa,ye' ho gayaa hai aur aap kee naz^aroN kaa muntaz^ir hai. az raah-e-karam darj-e-Zel :link: par tashreef le jaa kar risaaleh se lut^f-andoz ho,iYe aur ham ko apne Khayaalaat se mustafeed farmaa,iYe. shukriyah!

<www.dastak-urduduniya.com>

aap kee raaYe hamaare liYe nihaayat besh-qeemat hai. ummeed hai keh aap hameN isee bahaane yaad kar leN ge!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Rehana Ahmed :JaanaaN:
Zarqa Mufti
Ahmad Jilani
Attachments
dastak1-elaan.gif
dastak1-elaan.gif (31.15 KiB) Viewed 104 times
Last edited by Sarwar A. Raz on Sat Jan 27, 2007 5:40 am, edited 1 time in total.
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

link kaam nahiN karrahi hei

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Dastak kee takmeel-e-ishaaAat per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapki dee houee link per maiN ne koushish kee keh "dastak" kee tafseeli shak dekh sakuN lekin yeh link qubool nahiN houee. Agar SaHeeH link faraham karne kee zeHmat uThaayeN, tou peshgi shkriyah.
[/color]

Aapka MukhliS,

Nazir.

[/b][/size]
Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: link kaam nahiN karrahi hei

Post by Sarwar A. Raz »

WEBMASTER wrote:MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Dastak kee takmeel-e-ishaaAat per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapki dee houee link per maiN ne koushish kee keh "dastak" kee tafseeli shak dekh sakuN lekin yeh link qubool nahiN houee. Agar SaHeeH link faraham karne kee zeHmat uThaayeN, tou peshgi shkriyah.
[/color]

Aapka MukhliS,

Nazir.

[/b][/size]
mukarramee Nazir SaaHeb: aadaab!

Khat^ kaa shukriyah. :link: to yehee hai aur SaHeeH hai. Saudia meN dostoN ko koyee mushkil naheeN huyee. ho saltaa hai keh Jeddah meN maqaamee dushwaaree kisee takneekee wajh se ho. ek baar phri koshish kar leN. aur risaaleh par apnee raaYe aise Khat se mujh ko email kareN jo agle shumaareh meN de sakooN. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply