aek maAmooli see taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

aek maAmooli see taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Apni aek saadah see ghazal pesh karrahaa hooN. Aapki giraaNqadr aaraa kaa intizaar rahe gaa.

GHAZAL roman meiN:

Junoon-e-ishq meiN dil ko koii malaal nahiN
Shikan jabeeN peh nahiN lab peh ArZ-e-Haal nahiN

Yeh kehke us ne miri zindagi badal Daali
Keh rasm o raah-e-muHabbat meiN iAtidaal nahiN

usi ke haath meiN hei Dour apni qismat kee
kamaal uskaa hei, meHkoom baakamaal nahiN

tire karam ke taSadduq tiri Ataa peh nicaar
miri zabaan peh yaarab koii sawaal nahiN

hamaare daur meiN inSaaf hougayaa unqaa
andheri raat meiN sooraj kaa iHtimaal nahiN

taZaad-e-fikr o nazar meiN bhee kam nahiN ulfat
wo kyaa nigaah jo shaidaayi-e-jamaal nahiN

wo aaftaab hei yaa maahtaab yaa tum hou
btaou kaun hei jisko kabhee zavaal nahiN

ishaare karte hou baalaay-e-baam aa aa kar
khud apni pardah-daree kaa tumheN khayaal nahiN

guzar bhee jaayiye is imtiHaan se :Nazir:
bajaa ke SaAb hei jeenaa magar muHaal nahiN

========================
Aapka MukhliS,
Nazir

Attachments
a_na_with_25ub.JPG
a_na_with_25ub.JPG (122.83 KiB) Viewed 431 times
Image
User avatar
najeeb
-
-
Posts: 70
Joined: Thu Nov 30, 2006 4:08 am
Location: Jeddah K.S.A.
Contact:

Post by najeeb »

Masha Allah Mohtaram Saaf suthhri aur aapki murass'aa ghazal padhkarr khushi huvi. Allah aapko sada khush rakhe. Hyderabad aaya huN. Chand din aur qiyaam hai. Jeddah pahunch kar mulaaqaat karoonga. Dua e khair ka taalib.
Najeeb
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Najeeb SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, nayaa saal aur E Mubaarak,

Aapkaa tabSirah paRhkar bahut khushi houee. Ghazal kee pazeerayi ke liye beHad shukrguzaar hooN.

Aapke Hyderabad jaane se pahle ummeed thee ke keh kisi nah kisi TaraH se aek baar mulaaqaat hougi lekin aapka achaanak jaanaa houaa. Aap waapus houne se pahle agar mandarja-e-zeil shoAaraa ke alaga alag majmooAa-e-kalaam aur aek aiisi kitaab jis meiN mukhtalif shoAraa kaa kalaam hou tou laane kee koushish keejiy Salem se mashwarah karne ke baAd jo ab tak MeHboob Nagar pahounch gaye hounge aur aap se telephone per baat cheet bhee houee hougi.

Shaayer kaa naam:....................majmooAa-e-kalaam

SaaHibzadah Maikash Hyderabadi.........Deewaan
Akbar Hyderabadi................................Deewan
Auj YaAqoobi.......................................Deewan (girift e nazar)
Mukhtalif shoAaraa kaa kalaam.............aek kitaab meiN.
============================================

Inke alaawah agar yeh kitaabeN bhee mil sakeN tou inko bhee shaamil kerleejiye:
Najm amrouhavi kaa deewaan
FaSaaHat Jang Jaleel Manikpoori..........Deewaan
Taalib Razzaqi...................................deewaan
Sayeed Shaheedi...............................deewaan
Amjad Hyderabaad.............................deewaan
=======

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Abdullah Nazir SaHib aadaab! :-)

Yeh dekh~ kar jee baRa khush ho raha hai keh aek maah meN Ghaleba" yeh aap ke teesaree Ya choth~ee she'eree koshish hai. aor bafaZ^-e-khuda t^abiYat khoob Z^orooN peh hai.

aor idh~ar apna Haal bh~ee aap se kuch~ mukhtalif naheeN. khaaksaar ne bh~ee lag bh~ag itnee hee GhazleeN keh deeN haiN. lekin rujHaan-e-t^aba' hai. keh kuch~ soojh~ta naheeN. bas dil kehta hai kehte jao....khaer pich~la maheenah to is aa'tabaar se kafee garam raha aor ab lagta hai keh mah-e-rawaaN bh~ee mashq-e-sukhan kee hee nar ho jae ga. shukr hai hamara mua'amlah Mirza Ghalib wala naheeN.

"fikr-e-dunya meN sar kh~apata hooN
maiN kahaaN aor yeh wabaal kahaaN"

main samajh~ta hooN keh fikr-e-sukhan fikr-e-dunYa wa ma fee ha se behtar hai. :-)
aap kee tazah Ghazal kisee ta'areef-o-taoSeef kee moHtaaj naheeN. lekin agar itna keh kar aage chal paReeN to yaqeena" yeh shae'ir aor kalam-e-shae'ir se na inSaafee ho gee.

aap ke kalam par kuch~ kehna meree dastaras meN hargiz naheeN hai. aor nah hee meree i'lmee ista'adaad is bat kee ijazat detee hai. maiN samajh~ta hooN. keh kisee bh~ee maher-e-fan ke fannee shahkarooN Ya adabee fanpaarooN par qalamm uTh~ane se pehle naqqaad apnee i'lmee aor qalamee t^aqatooN ko qabl az teHreer khud hee aazma le.

meree U'mr aor tajribah hameshah hee is rah meN deewar ban kar kh~aRa ho jata hai. ba eeN hamah maiN har mumkin koshish ke baa'd akhir-e-khaar woh rah nikaal hee leta hooN jis par chal kar maiN iz^haar-e-rae'Y kee Surat peda kar looN. aor dil kee kaefiyat aor mudda'a bayan kar paoN.

aap kee GhazleeYat par bila shubah aane wale naqqaad Z^aroor likh~eeN ge. maiN khat^ kee t^uwalat ko khat^ir nasheen rakh~te huwe mazeed yeh kehna chahooN ga. keh aap ne aesee dilkash GhazaliYaat takhleeq kar ke aane walee nasal ke kiYe aek adab ka aesa qaSr-e-falak baos ta'meer kar diYa hai. jis ka har gunbad apnee banawaT, aor fan ta'meer ke waste apnee micaal ap hai. aor Yahee maharat-e-fan ka ma'ayar bh~ee hai.


Junoon-e-ishq meiN dil ko koii malaal nahiN
Shikan jabeeN peh nahiN lab peh ArZ-e-Haal nahiN

:clap01:

Yeh kehke us ne miri zindagi badal Daali
Keh rasm o raah-e-muHabbat meiN iAtidaal nahiN

:clap01:

usi ke haath meiN hei Dour apni qismat kee
kamaal uskaa hei, meHkoom baakamaal nahiN

:clap01:

tire karam ke taSadduq tiri Ataa peh nicaar
miri zabaan peh yaarab koii sawaal nahiN

:clap01:

hamaare daur meiN inSaaf hougayaa unqaa
andheri raat meiN sooraj kaa iHtimaal nahiN

:clap01:

taZaad-e-fikr o nazar meiN bhee kam nahiN ulfat
wo kyaa nigaah jo shaidaayi-e-jamaal nahiN

:clap01:

wo aaftaab hei yaa maahtaab yaa tum hou
btaou kaun hei jisko kabhee zavaal nahiN

:clap01:

ishaare karte hou baalaay-e-baam aa aa kar
khud apni pardah-daree kaa tumheN khayaal nahiN

:clap01:

guzar bhee jaayiye is imtiHaan se :Nazir:
bajaa ke SaAb hei jeenaa magar muHaal nahiN

:clap01:

meree janib se is seHerangez Ghazal par dilee dad aor mubarak baad qubol kijiYe!

Wassalam
dua'a gao!

Muz^affar
[/align]
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Sat Jan 06, 2007 12:51 pm, edited 4 times in total.
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Sir,

Iss meiN koi shak naheeN ke na hi mujhe shaaAeri ki kuch aisi samajh hai aor na hi mieN alfaaz ka koi aisaa achha khilaaRi ke aap ki ghazal par raa-aye zani kar sakhooN. laikin aik baat bohat eemandari se kahooN ga. Mosiqi oar shAeri, kam az kam maire leeaye, ais cheezaiN haiN jo damagh ki samajh meiN aa-aiN ya na aa-aiN, agar achhi hoaN to dil par zaroor asar karti haiN. aor dil par asar karti hoee lay, ya shaAeri meiN jub koi baat samajh bhi aa-ja-aye to mazaa do baalaa ho jaataa hai. aap ki iss khoobsoorat ghazal ka aik shaAer bhi dil o damagh par asar kar gayaa hai. ubb shaid haftoaN tak meiN iss ke lutf se baahir na aa sakhooN ga,

Yeh kehke us ne miri zindagi badal Daali
Keh rasm o raah-e-muHabbat meiN iAtidaal nahiN


Mairi taraf se aisi shaandar ghazal par mubaarikbaad kabool keejiaye.

aap ke leeaye dua gao,
Muhammad Khawar.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Muzaffar Ahmad Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)


Meri ghazal per aapkaa tafSeeli tabSirah hameshah kee TarH bahut hee dilchusp aur HauSalah afzaa hei. Aapki is inaayat ke liye beHad shukrguzaar hooN.

Ummeed ke aayindah bhee isi TaraH mujh per karam farmaate rahenge taake meri mashq-e-sukhan garmjoushi se jaari reh sake.


Aapka MukhliS,

Nazir.

Image
Post Reply