"guzaarish #25 "hazrate insaan"aik nazm peshe

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

"guzaarish #25 "hazrate insaan"aik nazm peshe

Post by haamidbaaqri »

:salaam2:
mohtaram abdullah nazir saahib

aapkay diye huay muqaddas micray per humnay pehlibaar nazm kehnay kee kaushish kee hai.

gar qubool uftad zahay......

"hazratay insaan"

arz kiya hai.......

ibtedaa' teri najis intehaa teri hai najis
khaaye tu paak ghiza tujh say nikalta hai najis
chalta hai apnay shikam mei.n tu najaasat kau liye.
ek najis qatray say paida kiya khaaliq nay tujhay
mujhko hairat hai keh kis baat ka tujhko hai ghuroor
tujhko ehsaas nahi.n hai keh tu kitna majboor

tayz raftaar say jau daudta hai tujh mei.n lahu
uski aawaaz bataa kya kabhie sun sakta hai tu
tiree rag rag mei.n rawaa.n hai.n yeh lahu kay qatray
inhee.n qatro.n say hai.n harakat mei.n badan kay hissay
daudtay phirtay hi rehtay hai yeh ruktay hi nahi.n
bandagi kartay chalay jaatay hai.n thaktay hi nahi.n

aik lamhay keliye gar yeh rawaani ruk jaaye
tira bachpan hi nahi.n teri jawaani tham jaaye
garmiye shams say chamdee tiree jal jaati hai
chubhay jau kaanta tiree cheekh nikal jaati hai
aag dauzakh ki tu bardaasht karayga kaisay
jiskee haibat say jahannum ka badan bhi larzay

jisnay pehchaana khudee ko woh musalmaan bana
chod kar kufr ko woh saahibay eemaan bana
chal kay ahmed(sawaw)ki shariat peh woh insaan bana
koyee mighdaad(r.a)bana aur koyee salmaan(r.a.)bana
zahnay muslim say musalsal yahi aatee hai sada
"mire alla'h nay mujh per kiye ehsaa.n kya kya"

kar zara fikr tiray kal ki aye ghaafil insaa.n
aakhirat keliye karlay tu mohayya saamaa.n
'aql dekar tujhay alla'h nay bakhsha hai sharaf
saaray makhlooq mei.n tujhko diya naamay ashraf
tujh peh qur'aan ka haamid nahi.n hauta kyu.n acar
hai agar sharm sharaafat say safar kar yeh basar

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Last edited by haamidbaaqri on Sat Jan 13, 2007 9:26 am, edited 1 time in total.
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Hamid bh~aee aadaab! :-)

Guzarish 25 ke liye aap kee jaesa keh aap ne farmaYa hai pehlee naz^m hai. dekne ka sharf mila. bohot u'mdah aor baRe khubSurat andaaz aor peraeY meN aap ne apne dil kee baat baRee aasanee aor rawanee se keh dee hai.

alfaaz^ ka intekhaab aor zer-o-bam dekh~ne se ta'luq rakh~ta hai. aap ke mukhSooS andaaz^ meN aap kee Yeh naee aor pehlee naz^m aap kee taraqqiyaat ka pesh khaemah cabit hao gee.

aap ne apne makhSooS aor munfarid andaaz se dunya-e-adab meN apna aek judaganah muqaam HaSil kar liYa hai. aor Yahee munfarid aor naSeHanah t^arz-e-kalam aap kee pehch~aan bana hai. jis meN she'er kee lazzat bh~ee hai. aor taSawwuf kee Hiddat bh~ee........pand-o-naSeHat kee bateeN bh~ee haiN aor ramooz-e-be khudee kee gh~ateeN bh~ee.

mujh~e aap kee she'eree maSrufiYaat ka jooN jooN i'lm ho raha hai. utnee hee ap ke Haq meN dil se dua'a nikaltee hai keh khuda-e-a'zzua-o-jal aap ko SeHet aor tandrustee se bh~arpoor t^uweel u'mr se nawaze!(aameen)

ibtedaa' teri najis intehaa teri hai najis
khaaye tu paak ghiza tujh say nikalta hai najis
chalta hai apnay shikam mei.n tu najaasat kau liye.
ek najis qatray say paida kiya khaaliq nay tujhay
mujhko hairat hai keh kis baat ka tujhko hai ghuroor
tujhko ehsaas nahi.n hai keh tu kitna majboor

waah! mashAllah! kiya kehne! :clap01:

tayz raftaar say jau daudta hai tujh mei.n lahu
uski aawaaz bataa kya kabhie sun sakta hai tu
tiree rag rag mei.n rawaa.n hai.n yeh lahu kay qatray
inhee.n qatro.n say hai.n harakat mei.n badan kay hissay
daudtay phirtay hi rehtay hai yeh ruktay hi nahi.n
bandagi kartay hi rehtay hai.n yeh thaktay hi nahi.n

mashAllah! :clap01:

aik lamhay keliye gar yeh rawaani ruk jaaye
tira bachpan hi nahi.n teri jawaani tham jaaye
garmiye shams say chamdee tiree jal jaati hai
chubhay jau kaanta tiree cheekh nikal jaati hai
aag dauzakh ki tu bardaasht karayga kaisay
jiskee haibat say jahannum ka badan bhi larzay

waah! waah! :clap01:

jisnay pehchaana khudee ko woh musalmaan bana
chod kar kufr ko woh saahibay eemaan bana
chal kay ahmed(sawaw)ki shariat peh woh insaan bana
koyee mighdaad(r.a)bana aur koyee salmaan(r.a.)bana
zahnay muslim say musalsal yahi aatee hai sada
"mire alla'h nay mujh per kiye ehsaa.n kya kya"

waah! waah! bohot u'mdah girah lagaee hai aap ne! :clap01:

kar zara fikr tiray kal ki aye ghaafil insaa.n
aakhirat keliye karlay tu mohayya saamaa.n
'aql dekar tujhay alla'h nay bakhsha hai sharaf
saaray makhlooq mei.n tujhko diya naamay ashraf
tujh peh qur'aan ka haamid nahi.n hauta kyu.n acar
hai agar sharm sharaafat say safar kar yeh basar

kiYa kehne! mashAllah!! :clap01:

aakhir meN is dilkash, imaan afrooz, aor pur acar naz^m par meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

Wassalam
Muz^affar
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

bahut bahut shukriya

Post by haamidbaaqri »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Hamid bh~aee aadaab! :-)
mohtaram muzaffar bhai Assalaam o alaikum

Guzarish 25 ke liye aap kee jaesa keh aap ne farmaYa hai pehlee naz^m hai. dekne ka sharf mila. bohot u'mdah aor baRe khubSurat andaaz aor peraeY meN aap ne apne dil kee baat baRee aasanee aor rawanee se keh dee hai.

shukriya.

alfaaz^ ka intekhaab aor zer-o-bam dekh~ne se ta'luq rakh~ta hai. aap ke mukhSooS andaaz^ meN aap kee Yeh naee aor pehlee naz^m aap kee taraqqiyaat ka pesh khaemah cabit hao gee.

insha allah......aapki duae.n chaahiye mohtaram.

aap ne apne makhSooS aor munfarid andaaz se dunya-e-adab meN apna aek judaganah muqaam HaSil kar liYa hai. aor Yahee munfarid aor naSeHanah t^arz-e-kalam aap kee pehch~aan bana hai. jis meN she'er kee lazzat bh~ee hai. aor taSawwuf kee Hiddat bh~ee........pand-o-naSeHat kee bateeN bh~ee haiN aor ramooz-e-be khudee kee gh~ateeN bh~ee.

hamaari aankho.n mei.n nami utar aayee hai.hamaari mehnat rang laayee.shukr us paak parwardigaar ka.

mujh~e aap kee she'eree maSrufiYaat ka jooN jooN i'lm ho raha hai. utnee hee ap ke Haq meN dil se dua'a nikaltee hai keh khuda-e-a'zzua-o-jal aap ko SeHet aor tandrustee se bh~arpoor t^uweel u'mr se nawaze!(aameen)

itni purkhuloos dua kay liye hum aapkay behad mamnoono mashkoor hai.n.
jazakallah

ibtedaa' teri najis intehaa teri hai najis
khaaye tu paak ghiza tujh say nikalta hai najis
chalta hai apnay shikam mei.n tu najaasat kau liye.
ek najis qatray say paida kiya khaaliq nay tujhay
mujhko hairat hai keh kis baat ka tujhko hai ghuroor
tujhko ehsaas nahi.n hai keh tu kitna majboor

waah! mashAllah! kiya kehne! :clap01:

bahut bahut shukriya

tayz raftaar say jau daudta hai tujh mei.n lahu
uski aawaaz bataa kya kabhie sun sakta hai tu
tiree rag rag mei.n rawaa.n hai.n yeh lahu kay qatray
inhee.n qatro.n say hai.n harakat mei.n badan kay hissay
daudtay phirtay hi rehtay hai yeh ruktay hi nahi.n
bandagi kartay hi rehtay hai.n yeh thaktay hi nahi.n

mashAllah! :clap01:
zarra nawaazi aapki.

aik lamhay keliye gar yeh rawaani ruk jaaye
tira bachpan hi nahi.n teri jawaani tham jaaye
garmiye shams say chamdee tiree jal jaati hai
chubhay jau kaanta tiree cheekh nikal jaati hai
aag dauzakh ki tu bardaasht karayga kaisay
jiskee haibat say jahannum ka badan bhi larzay

waah! waah! :clap01:
shukriya

jisnay pehchaana khudee ko woh musalmaan bana
chod kar kufr ko woh saahibay eemaan bana
chal kay ahmed(sawaw)ki shariat peh woh insaan bana
koyee mighdaad(r.a)bana aur koyee salmaan(r.a.)bana
zahnay muslim say musalsal yahi aatee hai sada
"mire alla'h nay mujh per kiye ehsaa.n kya kya"

waah! waah! bohot u'mdah girah lagaee hai aap ne! :clap01:
al hamdulillah.girah ko pasand farmaanay ka bahut bahut shukriya.

kar zara fikr tiray kal ki aye ghaafil insaa.n
aakhirat keliye karlay tu mohayya saamaa.n
'aql dekar tujhay alla'h nay bakhsha hai sharaf
saaray makhlooq mei.n tujhko diya naamay ashraf
tujh peh qur'aan ka haamid nahi.n hauta kyu.n acar
hai agar sharm sharaafat say safar kar yeh basar

kiYa kehne! mashAllah!! :clap01:
shukriya.

aakhir meN is dilkash, imaan afrooz, aor pur acar naz^m par meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

muzaffar bhai.....aapki taaliyo.n ki goonj hame.n yahaa.n tak sunaayee day rahi hai.
itni purkhuloos,belaus daad ab hum kya kahe.n.itna hi kahe.nge keh allah(sbhnwt)aap per apni khaas nazre karam farmaaye.aameen.

Wassalam

Muz^affar
mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

sara_j wrote:Hamid bhai,

salaam.

wa alaikumussalaam behan sara saahebah

:-) ab muzaffar sahib ke taaliyon ki goonj min humari

awaaz dab gayi hai go ke hum bhi utni hi zor se daad

pesh kar rahe hain qubool keejiye. :-)

sara
aapki taaliyaa.n bhi sunaayee day rahi hai.n.

bahut bahut shukriya aapki mukhisaanah daad ka.

allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish karay.aameen.

aapka bhai
haamid