moHtaram MuHammad khawar SaHib aadab!
aap ne ye ghazal sub se pehlay post ki meiN ne ussi waqt paRh li thi laikin taa-assurat qalm band karne ka moqaa ub milaa hai. chooNke saari ghazal hi achchhi hai iss leeaye saair ghazal par comments ke baja-aye un batoaN par zor dooN gaa jo aap ki ghazal paRne ke forun baad maire zahn meiN aa-eeN.
kaese mizaaj haiN baRee khushee huee keh aap ne meree Ghazal ko itnee dilchaspee aor talash se dekh~a. is muHabbat aor i'nayat ke liye aap ka shukrguzaar hooN.
1. Matla khoobsoorat alfaaz ki aisi masHoor kun baarish hai ke yaqeen janiaye ke bohat dairaa tak alfaaz dimagh se takrate rahay. bohat jaandar matlA hai. balke aap ki ub tak meiN ne jo bhi shaAer iss web site par paRhi hai uss meiN se agar mujhe pasandeeda shaAer pasand karne ka kaha jaa-aye to meiN ye matlA hi utaa kar paish kar dooN ga.
aap kee muHabbat hai keh faqeer ko aesa samajh~te haiN. warnah maiN kisee qabil naheeN. sab aap ka Husn-e-naz^ar hai. aap ka baRee meherbanee, aor maze kee bat yeh hai keh mujh~e bh~ee yeh mat^la' itna hee pasand hai....
2. aap ki jub bhi koi cheez paRhtaa hooN to phorun eHsaas hotaa hai ke aap alfaaz ke chanao meiN bohat baa zouaq haiN. ( yehi comments meiN aap ki nayee ghazal par comments daite huway bhi day chukaa hooN )
maiN samajh~ta hooN keh khubSurat alfaaz^ aor u'mdah kheyaal hee she'er-o-naGhmah kee jaan hota hai. isee liye maiN qaSda" a'aam baol chaal ke alfaaz^ se gurez karta hooN. aor koshish karta hooN keh nafees alfaaz^ chun kar iz^haar-e-kheyaal karooN. agarcheh sadah aor a'aam fehem alfaaz^ ka bh~ee apna Husn hai. aor un se bh~ee she'eree jadu jagaya ja sakta hai. jaesa keh maZ^ee maiN DaGh Dehlawi, ASGhar, jigar, Seemaab Akbar Abadi, Raz Chandpuri waGhaerah ne jagaya. aor maZ^ee qareeb meN SaHir, FaeZ^ AHmad FaeZ^, NaSir Kazmi, Nadeem, Jaon Eliya,Munir Niyazi, MoHsin Bh~opali, ne sadah alfaaz^ se khud ko manwaya. aor isee t^arH hamare e'hed meN AHmad Faraz, Hamayat Ali Shai'er, Amjad Islam Amjad, Khalid Majeed, Abdullah Naz^ir, Sarwar A'lam Raz Sarwar aor kaee dusre shamil haiN jo nafees alfaaz^ aor sadagee meN purkaree paeda karne par qadir haiN.
aor faqeer ka bh~ee yahee wat^irah hai keh jo kaha jae a'aam fehem aor sadah ho ta keh har lamHah par mazaaq-e-jamhoor ko malHooz^-e-khat^ir rakh~a jae. aap kee dad aor muHabbat ka shukriyah!
3. iss sheAer meiN aisaa lagaa jaise hamdam ka lafz sirf wazn poora karne ke leeaye lagaayaa gaya hai. waise to meiN apni shaAer meiN aadhay se ziaadaa lafz wazn poore karne ke leeaye bharti ke lagaa daitaa hooN. laikin aap ke shaAeri ko aap ke maiyaar par daikhte huwaay mujhe lagaa ke mujhe iss "taassur" ka izhaar zaroor karnaa chahiaye jo uss paRne ka baad huwaa.
aap durust farma rahe haiN :hamdam: meHeZ^ khanah puree ke t^aor par aageya hai.....aor Z^arurat-e-she'er ko khat^ir nasheen rakh~te huwe likh~a hai.
Muzaffar sb, meiN abhi iss meHfil meiN aapni aap ko kuch misfit meHsoos kar rahaa hooN. kyoon ke meiN ne apne buzargoaN se hamesha ye his seekhaa hai ko dost ko raa-aye hameishaa eeeman dari so do. aap jaante haiN ke karobari masroofiat meiN ye mumkin naheeN hotaa ke bohat ziadaa time nikaalaa ja sake. aor choonke yahaaN par kaafi saare dost shaAeri ko appreciate kar ke dostoaN ki hoslaa afazai farmaa daiteN haiN. iss leeaye jo time mujhe miltaa hai uss meiN un batoaN ko karnaa ziadaa behtar samajhtaa hooN jin ko kissi bhi takhleeq meiN daikh kar mujhe bojhal pan, manfi, kamzori ya na pasandeedgi ka eHsaas hotaa hai. aor meiN aisaa sirf iss leeaye kartaa hooN ke ho saktaa hai maria khayaal theek hi ho aor kissi ko iss se faidaa ho ja-aye.
mujh~e aap kee karubaree maSrufiyaat ka baRee shiddat se aHsaas hai. aor khuSuSa" Lahore kee karubaree daoR dh~oop se kaon aagah naheeN. yahaaN Bart^aniyah meN to aaTh~ gh~anTe kaam kiya aor gh~ar aa gae.....panch din kaam haftah itwaar ch~UTTee!
meree khuwahish hai keh aap in sab batooN ke bawajood meHfil meN baqaeedagee se tashreef laeeN. aor aek khaaS waqt muqarrar kar leeN. keh maiN ne falaaN waqt aek ya do gh~anTe Z^aroor meHfil meN jana hai. ya kam az kam haftah meN aek din hee sahee,,,, aap ke aane se ham sab kee HaoSilah afzaee hotee hai. aor khuSuSa" aap aese sanjeedah aadmee aor sukhanwar ka aesee adabee maHafil meN aana baRe aa'zaaz kee bat hotee hai.
Agar aap ko bhi mairi baat buri lagi ho toa meiN maazarat chaahooN ga.

aesee koee baat naheeN mujh~e to khushee is baat kee hai keh tashreef le aate haiN aor baRee deyanatdaree se kalam ko mulaHiZ^ah(janchna, paRtaal karna,) farmate haiN. aor Haqiqat yeh hai keh kalam ko laRee par lagane ka maqSad bh~ee to yahee hota hai. is Halawe se aap ka marhoon-e-minnat hooN keh aap kalam ko dekh~ne meN meree madad farmate haiN.
agar kabh~ee London kisee bahane aana ho to Ghareeb khanah par tashreef la kar khidmat ka maoqa' Z^aroor didiye ga.
Wassalam
MUz^affar A Muz^affr