Ek Ghazal

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Shafeeq
-
-
Posts: 26
Joined: Wed Feb 22, 2006 6:10 am
Location: Hyderabad, A.P., India
Contact:

Ek Ghazal

Post by Shafeeq »

Ehle –Bazm, Tasleemat

Baad muddat ke aap ki mehfil-e-sukhan mein apni chaar ghazlon ke saath phir haazir hoon. Umeed hai ke aap sab inhen pasand farmaenge.
Main Janab-e-Abdur Rahman ka mamnoon hoon ke unhi ki madad se aap tak pahunch raha hoon.

Aap ka, Shafeeq

Lutf-e-sukhan se aisa hai behron ka taal meil
Aab-e-rawan mein jaise ho maujon ka taal meil

Dekha hai hum ne khoob ameeron ka taal meil
Doulat ke waaste rakhen rishton ka taal meil

Hum par khula hai wasl ka uqda shab-e-zifaf
Roohani ban gaya tha jo jimson ka taal meil

Abr-e-siyah shikan hai tira rukh, aye mah jabeen!
Milta hai barq se tire gaalon ka taal meil

Girdaab-e-aashiqi se rihai na mil saki
Mumkin nahin bhanwar se kinaron ka taal meil

Baar-e haya se palken jhuki theen jo uth gayeen
Laaya hai kaisa rang nigahon ka taal meil

Jiski samajh mein ek hon mahmood aur ayaaz
Uski nazar mein khaam hai rutbon ka taal meil

So kar zameen pe odh le jo aasman ko
Kya jaanta nahin who panahon ka taal meil

Dekhoon jidhar bhi khwab si taari hai kaifiyat
Kya sehr hai Shafeeq khayalon ka taal meil
Shafeeq Ahmed
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Shafeeq AHmad SaHib aadaab! :-)

waah jee waah! HuZ^oor aap ne to kamal hee kar diya hai. aap aese SaHibaan ko dekh~ kar baRa HaoSilah baRh~ta hai. aor medaan-e-fan-o-adam meN qadam baRh~hane kee hammat aor lagan paeda ho tee hai.
aap ke kalam ko dekh~te huwe baRee aasanee se kaha ja sakta hai keh aap baRee barq raftaaree se apne taraqqee aor u'rooj ka safar t^e kar rahe haiN. aap kee lagan aor shabanah raoz kawisheeN. is baat kee daleel haiN.



Lutf-e-sukhan se aisa hai behron ka taal meil
Aab-e-rawan mein jaise ho maujon ka taal meil

Dekha hai hum ne khoob ameeron ka taal meil
Doulat ke waaste rakhen rishton ka taal meil

Hum par khula hai wasl ka uqda shab-e-zifaf
Roohani ban gaya tha jo jimson ka taal meil

Abr-e-siyah shikan hai tira rukh, aye mah jabeen!
Milta hai barq se tire gaalon ka taal meil

Girdaab-e-aashiqi se rihai na mil saki
Mumkin nahin bhanwar se kinaron ka taal meil

Baar-e haya se palken jhuki theen jo uth gayeen
Laaya hai kaisa rang nigahon ka taal meil

Jiski samajh mein ek hon mahmood aur ayaaz
Uski nazar mein khaam hai rutbon ka taal meil

So kar zameen pe odh le jo aasman ko
Kya jaanta nahin who panahon ka taal meil

Dekhoon jidhar bhi khwab si taari hai kaifiyat
Kya sehr hai Shafeeq khayalon ka taal meil

faqeer kee janib se dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

Wassalam
Muz^affar
Post Reply