Jo mera qalb-o-jan ka bhi makeen hai
Wohi mera khuda ,mera ameen hai
Jahan par tu hai who khuld-e-bareen hai
Bashar ke waaste sab kuch waheen hai
Gunahgaar-e-falak jab khud zameen hai
To phir kyon aasman hi sharmgeen hai
Kahan hain wirsa-o-tehzeeb qadren
Hai kuchh to zan,ya zar,ya phir zameen hai
Tiri khamdaar woh zulf-e-muambar
Siyah hokar jo rashk-e-ambareen hai
Na baal-o-par na dast-o-pa salaamat
Tadapti reh gayee jaan-e-hazeen hai
Falak par chand taare sochte hain
Shafeeq apna zameen par to naheen hai
Ek Ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Ek Ghazal
Shafeeq Ahmed
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Re: Ek Ghazal
Shafeeq wrote:
Jo meray qalb-o-jan meN makeen hai
Wohi mera khuda ,mera ameen hai
Jahan par tu hai who khuld-e-bareen hai
Bashar ke waaste sab kuch waheen hai
Gunahgaar-e-falak jab khud zameen hai
To phir kyon aasman hi sharmgeen hai
Kahan hain wirsa-o-tehzeeb qadren
Hai kuchh to zan,ya zar,ya phir zameen hai
Tiri khamdaar woh zulf-e-muambar
Siyah hokar jo rashk-e-ambareen hai
Na baal-o-par na dast-o-pa salaamat
Tadapti reh gayee jaan-e-hazeen hai
Falak par chand taare sochte hain
Shafeeq apna zameen par to naheen hai
waaaaaaaaaah
shafeeq Saheb tuaurdu bandhan forum per haiN
shafeeq Saheb es forum per khush aamdeed
ghazal k maZameen bohaaaaaaaaat Haseen haiN
daad Hazir hai janaab
ummeed hai keh aayndah bhee es meHfil meN shamil hote rehieN ge
ahlan wa sahlan wa merHabaa!
wassalaam[/color]
live and let live