bazm-e-dil saugawaar hai peyare!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

bazm-e-dil saugawaar hai peyare!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]
Yaran-e-meHfil aadaab! :-)

abh~ee chae peete huwe Yeh Ghazal ho gaee hai.mulaHiZ^ah farmaiYe.

1,

bazm-e-dil saugawaar hai peyare
ph~ir tira intez^aar hai peyare!

2,

zindagee talkh jaam hai apnee
gaoya ik naok-e-khaar hai peyre!

3,

kiYa Haqeeqat hai apnee hastee kee
aek musht-e-Ghubaar hai peyare!

4,

jaaN balab kar diya hai Ghurbat ne
lut^f-e-parwardigaar hai peyare!

5,

ab mujh~e TooT kar bikh~arna hai
lamHah-e-inteshaar hai peyare!

6,

Gham se maiN hee naheeN hooN ranjeedah
har nasaf dilfigaar hai peyare!

7,

dil kee Halat peh raHam aata hai
HasratooN ka mazaar hai peyare!

8,

fikr-e-jaanaaN se ch~uT geya daman
ab Gham-e-ruzgaar hai peyare!

9,

e'shq meN tishnah kaam rehna bh~ee
baae,ic-e-iftekhaar hai peyare!

10,

ku-e-dilbar se mat uTh~a ham ko
yeh faZ^a khushgawaar hai peyare!

11,

kaam dil peh dikh~a diya tune
teer ik aar paar hai peyare!

12,

ham naheeN bechte Z^ameer apna
warnah yeh karubaar hai peyare!

13,

kuch~ khabar le zara Muz^affar kee
zindagee jis peh baar hai peyare!

Muz^affar A Muz^affar
[/align]
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Muzaffar Ahmad Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :lol: :lol: :lol:

Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye dili daad aur mubaarakbaad qubool keejiye.

Aapki ghazal per meri zabaan se aapki Mehbooba kee manzoomah mulaaHizaat heiN:

bazm-e-dil saugawaar hai peyare
ph~ir tira intez^aar hai peyare!


MeHboobah kee aavaaz:
Bazm-e-dil kaise sougwaar houee
Jab miraa intizaar hei pyaare.

zindagee talkh jaam hai apnee
gaoya ik naok-e-khaar hai peyre!


MeHboob kee aavaaz:
Chaaye pee pee ke isTaraH nah kaho
Zindagi nouk-e-khaar hei pyaare.

kiYa Haqeeqat hai apnee hastee kee
aek musht-e-Ghubaar hai peyare!


MeHboob kaa iAtiraaf:
HaaN bajaa hei hamaari hastee bhee
"aek musht-e-ghubaar hei pyaare"

jaaN balab kar diya hai Ghurbat ne
lut^f-e-parwardigaar hai peyare!


MeHboob kee aavaaz:
zalzalaoN meiN bhee ham ne aah nah kee
"shukr-e-parvardigaar hei pyaare".

ab mujh~e TooT kar bikh~arna hai
lamHah-e-inteshaar hai peyare!


Mehboobah kaa javaab:
TooT jaayeN khudaa kare dushman
Tuu bahut paayedaar hei pyaare

Gham se maiN hee naheeN hooN ranjeedah
har nafas dilfigaar hai peyare!


MeHboobah:
Kyaa baseraa hei mauj-e-ToofaaN meiN
Kis liye dil figaar hei pyaare.

dil kee Halat peh raHam aata hai
HasratooN ka mazaar hai peyare!


MeHboob kee aavaaz.
Naaumeedi se apni qabr nah khoud
Dil miraa beqaraar hei pyaare.

fikr-e-jaanaaN se ch~uT geya daman
ab Gham-e-ruzgaar hai peyare!


MeHboobah kaa javaab:
Raah-e-ulfat meiN zindagi ke liye
Ab gham-e-rouzgaar hei pyaare

e'shq meN tishnah kaam rehna bh~ee
baae,ic-e-iftekhaar hai peyare!


Mehboobah:
Ishq meiN begunaah rehnaa bhee
"baa'ic-e-iftikhaar hei pyaar"

ku-e-dilbar se mat uTh~a ham ko
yeh faZ^a khushgawaar hai peyare!


MeHboobah:
Saath zindah raheN tou saath mareN
"yeh faZaa khushgawaar hei pyaare."

kaam dil peh dikh~a diya tune
teer ik aar paar hai peyare!


MeHboobah:
Door se dil peh khoob waar kiyaa
"teer ik aar paar hei pyaare"

ham naheeN bechte Z^ameer apna
warnah yeh karubaar hai peyare!


MeHboobah:
Jo nahiN bechte Zameer apnaa
Un peh ghunDaoN kee maar hei pyaare

kuch~ khabar le zara Muz^affar kee
zindagee jis peh baar hai peyare!


Mehbooah:
Wo Muzaffar kahaaN hei, Nazir hei
"zindagi jis peh baar hei pyaar"

Nazir:
zikr meraa zabaaN peh kiyuN aayaa
kyaa tujhe mujh se pyaar hei pyaar?


Aapka MukhliS,
Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Wed Jan 17, 2007 3:26 pm, edited 1 time in total.
Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Sara SaHibah aadaab! :-)

jawaid bh~aee to aa hee jaeeN ge. lekin aap to aa hee chukee haiN.
lehazah aap bh~ee kuch~ saath~ nibh~aeeN. :grin:

Wassalam
Muz^affar
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Abdullah Nazir SaHib aadaab! :lol: :rose :rose :rose :lol:


zikr meraa zabaaN peh kiyuN aayaa
kyaa tujhe mujh se pyaar hei pyaare?
(Nazir)

zikr tera zabaaN peh aaya hai
haaN mujh~e tujh~ se peyaar hai peyare! :rose :lol:
(Muz^affar)

HuZ^ur kiYa kehne is barjastagee se Ghazal ka jawaab Ghazal meN dena aap hee ka HiSSah hai. aap ne apne kaamal-e-fan se asha'aar ko YooN mulaHiZ^ah farmaYa keh faqeer ke asha'aar zindah-o-jawaid ho gae. aor lagta hai keh is murawwat aor lagawaT se mere asha'aar ko bh~ee baqa-e-dawaam mil geya hai. aap ka dil-o-jaan se eHsaan mand hooN. aap ka be Had shukriyah!

aap ke in asha'aar meN aap ke kulooS aor be laoS muHabbat kee mehek meHsoos ho rahee hai. aap ka zeyadah waqt nah looN ga. khuda aap ko salamat rakh~e!

zeYadah Hadd-e-adab!!

Wassalam :-)

Muz^affar A Muz^affar
Post Reply