LaRkiaN

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

LaRkiaN

Post by zmufti »

Ahl-e-bazm
aadaab
aik sada si nazm aap ki khidmat meN pesh kar rahi hooN
aap ki aaraa ka intizaar rahe ga
regards
zmufti


Image

1.aankh sharmaaii hui aur zulf bal khaaii hui
hoNt pe laali guloN ki chaal itraaii hui

2. din baharoN ke heN raatieN bhee heN mehkaaii hui
har ada iski sataish ki tamanaaii hui

3. Khud ko aanchal meN chupkar simti simtaaii hui
laRkiaN ghar se nikalti heN youN ghabraayii hui

4. rooh per charke lagatii hai haraik chubti nazar
yeh jawani to hai museebat koi aayii hui

5. shahr ke taareek koochoN meN zara dekho kabhi
be kafan phirti heN kitni laashieN boolaaii hui

6. taar chaandi ke utar aaye hasseeN zulfoN meN aur
surmayyii aankhoN meN maayoosi hai dar aayii hui

7. aayeene ke saamne khud se karti hai sawal
kis siyaahi se tu ne qismat hai likhwaaii hui

8. kitne sapnoN ki tahaN utri heN baratieN magar
in gharoN meN na kabhi mehman shehnaaii hui

9. in ki qismat meN ujale bhee heN kumlaaye hue
chaandni bhee utri hai aangan meN gehnaaii hui

10. ab nahiN aate heN shehzaade badalne ko naseeb
laRkiaN mar jaati heN kitni hi thukraaii hui



User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

Z Mufti Sahiba,

Salam-o-Rehmat... ye nazm nahin... Hamari behen, betiyon ka "Nauhaa" hai... Sirf upar ke teen sher ko chhod kar baqi tamaam ashaar padhne ke baad.... dil se pahle AAAHHHH nikalti hai phir... WAH WAH karne ke liye..... hum majboor ho jaate hain.....!!

Alla'h Kare Zor-e-Qalam Aur Jiyadaa....

Armaan
Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain

MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

munir-armaan-nasimi wrote:Z Mufti Sahiba,

Salam-o-Rehmat... ye nazm nahin... Hamari behen, betiyon ka "Nauhaa" hai... Sirf upar ke teen sher ko chhod kar baqi tamaam ashaar padhne ke baad.... dil se pahle AAAHHHH nikalti hai phir... WAH WAH karne ke liye..... hum majboor ho jaate hain.....!!

Alla'h Kare Zor-e-Qalam Aur Jiyadaa....

Armaan
Munir saheb
nazm ki pazeeraaii ke liye aap ki mamnoon hooN
regards
zmufti
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

sara_j wrote:zarqa ji,

aapki nazm parhi aur jo kaifiyet mere ander taari

hui use bayaan karna mushkil hai. bohat sachchai se bharpoor

aur ache se pesh karne per daad aur mubarakbaad

qubool keejiye.

aek suggestion jab tehreer ko image mein ya colorful background

mein pesh karein tou khaas khayaal rakhiye ke aapki tehreer

numayaaN ho aur parhne wale ko paRhne mein asaani hou.

aek baar phir is sachchai se bharloor tehreer per daad.

sara
Sara jee
maiN aap ki tah-e-dil se mamnoon hooN
presentation ke hawale se aap ke mashware ka shukria
Aayinda khayal rakhoN gi
khush rahiye
zmufti
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Zarqa Mufti Bajee aadaab!

aap kee dilkash aor HaseeN naz^m "LaRkiYaaN" dekh~ee bohot achch~ee koshish hai. agarcheh mua'ashirah laRkiYooN ke masaae,il se aashna hai aor har fard infaradee t^aor par in jumlah meHrumiYooN, be basiYooN aor lachaargiYooN se aagah hai. lekin aap ne baRe kamaal se qareeb qareeb sabh~ee masae,il jo laRkiYooN se muta'aliqah haiN naz^m kee Surat meN yakja kar ke baRa kaam kiya hai. :clap01:

maiN samajh~ta hooN keh is naz^m par sar saree nigah Dalne se hee mashraqee maHool meN palee baRh~ee aosat^ jumaa'aat( darajah) kee laRkee kee faryaad aor fuGhaah Saaf sunee ja saktee hai.

is Haqiqt se aaNkh~eeN naheeN churaee ja sakteeN keh aaj kee a'aorat (Sinf-e-nazuk) agarcheh kaee maedanoN meN mardooN ke shanah ba shanah chal rahee hai. aor kisee Had tak khud mukhtaar bh~ee ho gaee hai. (dae,irah-e-shari,yat ke andar rehte huwe) lekin ba eeN hamah! woh laRkiYaaN jin kee t^araf aap isharah farma raheeN haiN. waqa'ee qabil-e-raHam-o-tawajjah haiN.

mua'aashirah kee be raHam chachkee meN pisne walee laRkee madad chahatee hai. us kee khamoshee meN bh~ee ik farYaad hai, woh udasee ka samaundar jo aaj kee be sahara laRkee kee gehree aor weeraan aaNkh~ meN maojood hai. aap ne use dekh~a hai.YooN lagta hai keh aap ne be bas laRkee kee sawaliyah nigahooN ka har sawaal samajh~ liya hai..... aap ne aaj kee kamzaor aor be bas laRkee kee dabee huee aah-o-fuGhaaN ko aawaz ka roop de kar nah Sirf laRkiYooN par balkeh tamaam mua'sharae par aHsaan kiya hai.

mujh~e qawee ummeed hai keh agar aesee mucbat koshisheeN hotee raheeN to aaj kee be sahara laRkee ka muqaddar taabnaak banne se koee naheeN raok sakta....aor yaqeen se kaha ja sakta hai keh aese koshishooN ke e,waZ^ z^ulm-o-tashaddud aaj kee aor aane walee laRkee ka muqaddar naheeN bane ga.


1.aankh sharmaaii hui aur zulf bal khaaii hui
hoNt pe laali guloN ki chaal itraaii hui

2. din baharoN ke heN raatieN bhee heN mehkaaii hui
har ada iski sataish ki tamanaaii hui

3. Khud ko aanchal meN chupkar simti simtaaii hui
laRkiaN ghar se nikalti heN youN ghabraayii hui

4. rooh per charke lagatii hai haraik chubti nazar
yeh jawani to hai museebat koi aayii hui

5. shahr ke taareek koochoN meN zara dekho kabhi
be kafan phirti heN kitni laashieN boolaaii hui

6. taar chaandi ke utar aaye hasseeN zulfoN meN aur
surmayyii aankhoN meN maayoosi hai dar aayii hui

7. aayeene ke saamne khud se karti hai sawal
kis siyaahi se tu ne qismat hai likhwaaii hui

8. kitne sapnoN ki tahaN utri heN baratieN magar
in gharoN meN na kabhi mehman shehnaaii hui

9. in ki qismat meN ujale bhee heN kumlaaye hue
chaandni bhee utri hai aangan meN gehnaaii hui

10. ab nahiN aate heN shehzaade badalne ko naseeb
laRkiaN mar jaati heN kitni hi thukraaii hui

meree t^araf se dad aor mubarak baad qubool kijiYe! :clap01:

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
Post Reply