dukh
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
dukh
payaare saathio
slaam
aik nehaayat dukhi si nazm aap sab se share ker rehi hoN . nah jaane kehaaN see aa gaey maire zehan maiN yeh saare dukh. agar isae peRhker aap dukhee ho jaaeiN tau.. peshgi m'azerat
soch rehi hoN esko forums per bhejoN yaa nah.................
:smt012 chalo lets see what happens
eskaa roman version Inshallah ba'd maiN
wassalam

Last edited by tahira Masood on Mon Feb 05, 2007 1:31 am, edited 1 time in total.
live and let live
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: dukh
tahira Masood wrote:payaare saathio
slaam
aik nehaayat dukhi si nazm aap sab se share ker rehi hoN . nah jaane kehaaN see aa gaey maire zehan maiN yeh saare dukh. agar isae peRhker aap dukhee ho jaaeiN tau.. peshgi m'azerat
soch rehi hoN esko forums per bhejoN yaa nah.................
:smt012 chalo lets see what happens
eskaa roman version Inshallah ba'd maiN
wassalam
azeezah taahira masood saahebah
aik nihaayat hassaas tahreer aapki.
behtareen haalaatay haazrah ki manzar kashee ki hai aapnay is nazm mei.n.
fikr kay dareecho.n ko kholnay waalee is khoobsoorat nazm per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaaye.n :rose :rose :rose
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
aapka bhai
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Aziz bha'ee
salaam
aap ne itnee payaare tareeqe se meri HauSlah afza'ee ki hai keh dil se duaaiN niklee haiN
aap bilaa shuabaah aik Hassaas aur faheem insaan haiN
shaair hasaas hi hotaahai
sunaa hai keh shaair ka lafz Arabi lafz "sha'Ar" se niklaa hai sha'Ar yani baal
shaair woh hotaa hai jo baal ki khaal nikaale ya'nee kisee bhee baat kaa bohat baareek beeni yaa eghra'ee se mushaahidah -o-mutaali'Aa kare.
aur agar dekhaa jaaey tau insaan khwaah ko'ee bhee ho kisee kaa bhee dukh meHsuus kerne ki Slaahiyyat rakhtaa hai
es k baawajood azal se insaanoN ne hi aisee aisee khooneiN daateaanieN raqam ki haiN keh Alamaan-ul- Hafeez magar guzishtah dehaa'ee meiN khaaS taur per jo jo mazaalim insaan ne insaan per aur qomoN ne qomoN per Dhaaey haiN kioNkeh apnee hosh meiN maiN ne yeh pehli baar dekhe heiN yaqeen maaneiN meraa insaaniyyat se aitebaar uThh gaya ahai
mairee anhkhieN goyaa yeh dekh ker sun ker pathraa ga'ee heN
sab se ziyaadah azziyyat naak baat yeh hai keh es k ba'd bhee es k tadaaruk ki teraf koee pesh qadami nahiN ho rehi aur jo ho rehi hai woh in massil ko mazeed baRhaa rehi hai
aaaaaaaaaaaaahh............. yeh mairee dukhti ragg hai
meiN Pakistan maiN aane waale zalzle ko nahiN bhool saki Haalankeh wehaaN per meraa koee sagaa Azeez nah thaa magar maire daes k laug mujhay kitnae Aziz haiN yeh mujhay es k ba'd ilm huaa..........
behan yeh wo topic hai jo kahtam nahiN ho saktaa
mairee soch kaa andaaz mukhatlif hai mujhay tau 911 meiN uss building main dab ker merne waale nursery k bache bhee nahiN bhoole
India maiN train meiN hone waali dehshat gerdi meri aankhoiN meiN hai kayaa woh insaan nahin thay
woh kisee ne bhee kiyaa ho ghalat hai
kionkeh civilian khwaah kahiN k hoN unko maarane ki hamaara mazahab her gizz ijaazant nahin daitaa
magar aaj kal buzdil log nahatte laugoN per hi waar kerat haiN
Allah T'Aalaa k bataaey huay aSuloN se haT ker ham koee fateh mubeen haaSil nahin ker sakte
aikbaar her mulk-o-mazhab k laug apne apne mazaaahib ki asal ta'leem se ruju tau ker k dekhieN koee bhee mazhab es weHsht-o-berbariyyat ki ijaazat nahiN detaa
HindouoN meiN tau jio hattiyaa es qadr buree samjhi jaati hai keh yeh log anDDah bee nahin khaatay k kisee jaan ko nuqSaan nah ho
Islaam ki taleem hai keh kabhi jang maiN aurtoN bachoN boRhoN aur sabzaa zaar baaghaat aur khaitoN ko nuqSaan nah ponhchaaya jaaey aur agar dushmna SulaH per maail ho tau Sulah behter hai
Eesaaiyyat ki Ta'leem hai keh agar koee aik gaal per tahppaR maare tau dosseraa aage ker dau
kaya inteenoN mazaahib k pairukaar es per amal kar rehae haiN???????
yehi wajah hai keh Khuda anaaraaz hai jis k baaic qudarti aafaat Azaab ki surat maiN kurrah-e-arZ ko hilaa rehai haiN magar iss k baawajood koee bhee iSlaaH ki teraf maail nahiN
pehle se bhee baRh ker t'ASSub aur dunyaa daari per bhooke giddoN ki teraH jhapaTT rehay haiN
baat bohat lambi ho gaee hai
es liye aap kaa shuekriyaha adaa kertay huay ijaazat chaahoN gee
eski gehraa'ee ko meHsuus kerne kaa shuekriyah
es se Zaahir hotaa hai keh aap waq'ee shaair
khush rehaiN... her chand shaairoN k liye aisaa mumkin nahiN
Allah Hafiz
wasssalam

- Nadir Sir'giroh
- nau-waarid
- Posts: 19
- Joined: Sun Apr 16, 2006 9:18 am
- Location: Bambai Meri JaaN.............
- Contact:
WoH subaH kabhee toA aayegi...........
Nadir Khan Sir'giroh
http://forum.urdugulban.com/phpBB/
Hairat se yooN na dekhiye, zarraH huwaa toA kya huwaa.
Apni jagaH pe jaaneman, zarraH bhi aaftaab hai.
http://forum.urdugulban.com/phpBB/
Hairat se yooN na dekhiye, zarraH huwaa toA kya huwaa.
Apni jagaH pe jaaneman, zarraH bhi aaftaab hai.
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
aameenNadir Sir'giroh wrote:WoH subaH kabhee toA aayegi...........
Allah kare keh aisaa hi ho jaaey magar qaraain kehte haiN keh woh subaH azz khud nahiN aaey gee bha'ee
laani paRe gee
duaaoN se
Husn-e-amal se, Husn-e-niyyat-o- tadbeer se
himaat-e-merdaaN madad-e-Khudaa
magar yeh kaam ab Sirf aur Sirf insaaf, Sabr aur duaaoN se hogaa
Allah ki makhlooq se qata'e nazar rang-o-nasal k haq-o-insaaf kaa salook kerni ki zaroorat hai
the world is a global village now
literacy aam ho gaee hai
communications intehaaii fast haiN
insaan kisee ko mile baghair dekhe baghair door tereen ilaaqoN meiN rehtay huay bhee achaaiyaaN baant saktaa hai
so we have to live andd let live
respact others if we want to be respacted
care for others if we want to be cared
if we sow the seeds of love,care and equality
we will harvest peace Inshallah
life is give and take.. not, take, tak
jehaaN yeh huaa wahiN naa inSaafi shuru ho jaati hai
Allah kare keh
Last edited by tahira Masood on Wed Jan 31, 2007 2:16 pm, edited 1 time in total.
live and let live
- Nadir Sir'giroh
- nau-waarid
- Posts: 19
- Joined: Sun Apr 16, 2006 9:18 am
- Location: Bambai Meri JaaN.............
- Contact:
Muhtarma
Ye DUKH iss duniya meN koii nyee baat nahi hai..
Jab se duniya banee hai... dukh bhee saathh saathh chalaa hai...
Hazrat aadam alaihi-assalaam ne bhee jaannat se nikaale jaane ka dukh jhelaa...phir chaalees saal... beebi hawwa....se judaaee ke gham meN guzaare...
Unki aulaadoN meN se ek ne doosrey ka qatl kar diya.....
Aur... aagey baRheN toA....
Nooh alaihissalaam kee beewi aur betey ne unko dukh diya.....
Waqt guzarta gayaa......
Dukh baRhta gayaa...........PaighambaroN ne dukh uthaaye.....
Zaalim aur jaabir hukmaraanoN ne...zulm ke pahaaR toRey....
Adl-o-insaaf ko taaq par rakh kar........... apney jaisey doosrey insaanoN ka jeena haraam kar diya....
Halaaku...Changez khan.............
Taareekh bharee paRee hai DUKHOn kee DUKH-BHAREE daastaanoN se..
Barr-e-Sagheer ne bhee Do sadiyoN tak DUKH jheley....
Ye aur baat hai ke abb DUKH teen hissoN meN butt gayaa hai.
Ek waqt thha ke British Empire ka sooraj kabhee ghuroob nahhi hota thha lekin.....
abb humm iss intezaar meN hai ke kabb hamaara sooraj tulooA hoga.
WoH Subah Kabhee toa aayegi...
Shaayed uss se pehley.
Hamaari zindagee ki shaam ho jaayegi.
MaiN apnee tehreer se aapko mazeed DUKH nahi pohNchaana chaahta..isee liye...
B U S S.
Ye DUKH iss duniya meN koii nyee baat nahi hai..
Jab se duniya banee hai... dukh bhee saathh saathh chalaa hai...
Hazrat aadam alaihi-assalaam ne bhee jaannat se nikaale jaane ka dukh jhelaa...phir chaalees saal... beebi hawwa....se judaaee ke gham meN guzaare...
Unki aulaadoN meN se ek ne doosrey ka qatl kar diya.....
Aur... aagey baRheN toA....
Nooh alaihissalaam kee beewi aur betey ne unko dukh diya.....
Waqt guzarta gayaa......
Dukh baRhta gayaa...........PaighambaroN ne dukh uthaaye.....
Zaalim aur jaabir hukmaraanoN ne...zulm ke pahaaR toRey....
Adl-o-insaaf ko taaq par rakh kar........... apney jaisey doosrey insaanoN ka jeena haraam kar diya....
Halaaku...Changez khan.............
Taareekh bharee paRee hai DUKHOn kee DUKH-BHAREE daastaanoN se..
Barr-e-Sagheer ne bhee Do sadiyoN tak DUKH jheley....
Ye aur baat hai ke abb DUKH teen hissoN meN butt gayaa hai.
Ek waqt thha ke British Empire ka sooraj kabhee ghuroob nahhi hota thha lekin.....
abb humm iss intezaar meN hai ke kabb hamaara sooraj tulooA hoga.
WoH Subah Kabhee toa aayegi...
Shaayed uss se pehley.
Hamaari zindagee ki shaam ho jaayegi.
MaiN apnee tehreer se aapko mazeed DUKH nahi pohNchaana chaahta..isee liye...
B U S S.
Nadir Khan Sir'giroh
http://forum.urdugulban.com/phpBB/
Hairat se yooN na dekhiye, zarraH huwaa toA kya huwaa.
Apni jagaH pe jaaneman, zarraH bhi aaftaab hai.
http://forum.urdugulban.com/phpBB/
Hairat se yooN na dekhiye, zarraH huwaa toA kya huwaa.
Apni jagaH pe jaaneman, zarraH bhi aaftaab hai.
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Tahera ji ki nazm bahut pasand aai, zaher hai aik shayer aik qalamkar apne atraaf ke haalaat ki akkasi hi kar sakta hai aur karna chahaiye. jahaN tak dukhoN ka taalluq hai Nadir khan sahib ne bhi bilkul sahi farmaya , dukh aur dard e dil hi to Allaama Iqbal ki zaban mai yoN bayan kiye jasakte haiN ke
dard e dil ke waste paida kiaa insaan ko
warna ta'at ke lye kam na the karro bayaN
aur Jigar muradabadi ne kaha hai ke
tool e gham e firaaq se ghabra na aye jigar
aisi bhi koi shaam hai jis ki sahar na ho
shukria
Mahtab Qadr
dard e dil ke waste paida kiaa insaan ko
warna ta'at ke lye kam na the karro bayaN
aur Jigar muradabadi ne kaha hai ke
tool e gham e firaaq se ghabra na aye jigar
aisi bhi koi shaam hai jis ki sahar na ho
shukria
Mahtab Qadr
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Nadir Sir'giroh wrote:Muhtarma
Ye DUKH iss duniya meN koii nyee baat nahi hai..
Jab se duniya banee hai... dukh bhee saathh saathh chalaa hai...
Hazrat aadam alaihi-assalaam ne bhee jaannat se nikaale jaane ka dukh jhelaa...phir chaalees saal... beebi hawwa....se judaaee ke gham meN guzaare...
Unki aulaadoN meN se ek ne doosrey ka qatl kar diya.....
Aur... aagey baRheN toA....
Nooh alaihissalaam kee beewi aur betey ne unko dukh diya.....
Waqt guzarta gayaa......
Dukh baRhta gayaa...........PaighambaroN ne dukh uthaaye.....
Zaalim aur jaabir hukmaraanoN ne...zulm ke pahaaR toRey....
Adl-o-insaaf ko taaq par rakh kar........... apney jaisey doosrey insaanoN ka jeena haraam kar diya....
Halaaku...Changez khan.............
Taareekh bharee paRee hai DUKHOn kee DUKH-BHAREE daastaanoN se..
Barr-e-Sagheer ne bhee Do sadiyoN tak DUKH jheley....
Ye aur baat hai ke abb DUKH teen hissoN meN butt gayaa hai.
Ek waqt thha ke British Empire ka sooraj kabhee ghuroob nahhi hota thha lekin.....
abb humm iss intezaar meN hai ke kabb hamaara sooraj tulooA hoga.
WoH Subah Kabhee toa aayegi...
Shaayed uss se pehley.
Hamaari zindagee ki shaam ho jaayegi.
MaiN apnee tehreer se aapko mazeed DUKH nahi pohNchaana chaahta..isee liye...
B U S S.
moHteram Nadir Bha'ee
Assalamo alaikum w.w
aap kaa tajziyah bohat ameeq aur SaHeH hai, Maashallah
aur bilkul aisaa hi huaa hai hai.
meraa mazahbi mtualiaa itnaa wasee'A nahiN keh maiN koee aalimaah guftaguu ker sakoN magar jisqder mujhay ma'loom hai yaa jaisaa keh kehaa jaata hai keh kisee bhee muaamile meiN "tastafo beqalbi" ya'nee kisee bhi kaam k muat'alliq dil se bhee fatwaah liyaa jaa saktaahai uss k aiterbaar se meraa naZriyah kuch aur hai
jehaan tak zameen maiN fasaad kaa t'alluq hai tau ibtadaa hi se Allah Ta'ala k Ataa kerdah ilm ki wajah se farsihtoN ne kehaa thaa keh Ay Allah T'aala aadam tau woh hai keh jo zameen ko khoon se rangeen ker de gaa( yanee kayaa Tu aisaa insaan paidah ker rehaa hai?)
Allah Ta'alaa ne fermaaya thaa maiN woh jaantaa hoN jo tum nahiN jaante.
is k saath yeh bhee aik Haqeeqat hai keh jis qader tehzeeb yaaftah insaan aaj huaa hai aur jo jo wasaail usko achaa'e k jald phailaane k liye aaj mile haiN woh pehle muyassir nah thae balkeh ab tau yeh wasaail badrjah-e-atam mojuud haiN
aur saath hi hamaare paas pehloN ki ghalat rawishoN ki miCaleN aur un k nataaij mojuud haiN Quraan-e-paak maiN jagah jagah ka'ee qomoN ki miCaaleiN haiN jo apni ghalat rawai ki wajah se Safah-e-hasti se naa bood ho gaeiN
Allah T'aala ne Quran-paak maiN yeh bhee waZeH taur per fermaa diyaa hai keh agar ham us k HukmoN se inHeraaf kereiN ge tau woh hamaari jagah auroN ko le aane per bhi Qaadir hai
bas yehi sawaal aaj k tehzeebayaaftah aur wasaail yaaftah insaan se meraa hai
kayaa insaan (aur KhuSuSan Musalmaan) ab bhee un se istefaadah nahiN keraeN gae?
umeed hai keh maiN apna muaqqif SaHeeH tauur per pesh ker saki hoN
Allah Kare keh aisaa hi ho
dilee duaaoN k saath
wassalam
Last edited by tahira Masood on Wed Jan 31, 2007 2:19 pm, edited 1 time in total.
live and let live
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Mahtab bha'eeMahtab Qadr wrote:Tahera ji ki nazm bahut pasand aai, zaher hai aik shayer aik qalamkar apne atraaf ke haalaat ki akkasi hi kar sakta hai aur karna chahaiye. jahaN tak dukhoN ka taalluq hai Nadir khan sahib ne bhi bilkul sahi farmaya , dukh aur dard e dil hi to Allaama Iqbal ki zaban mai yoN bayan kiye jasakte haiN ke
dard e dil ke waste paida kiaa insaan ko
warna ta'at ke lye kam na the karro bayaN
aur Jigar muradabadi ne kaha hai ke
tool e gham e firaaq se ghabra na aye jigar
aisi bhi koi shaam hai jis ki sahar na ho
shukria
Mahtab Qadr
Assalamo Alaikum w.w
nazam ko pasand kerne kaa shukeriyah balkeh bohat bohat shuekriyah
janaab derd-e-dil tak tau saHeeH hai ab tau pooraa badan hi dukh gayaa hai ummat kaa blkhaSuuS aur aam insaan kaa bil Amuum balkeh rooheiN tak zakhmi ho gaeN haiN
dooseraa shaer aap kaa bohat ummeed afzaa hai
umeed per hi duniaa qaaim hai
magar momin tau aaonT ko baandh ker hi tawakkal kertaa hai
iss liye yeh waqt Hikmat-e-amali aur nehaayat munSifaanah aur muCbit Hikmat-e-Amali kaa mutaqaazi hai
iss waqt dukhi isnaaniyyat ko dkehbhaal aur moHabbat ki zaroorat hai
is maiN rang nasal aur mazhab kaa imtiyaaz nahiN honaa chaaiye
magar kioNkeh charity begins at home
hameiN Muslim ummah maiN itteHaad aur Quran aur Huzur Sallallaho Alaihi waa aalihi wassalam k uswaah ko az serenau shuru se aakhir tak seekh ker Amal ki zaroorat hai
Allah Ta'alaa hamiN iskee taufeeq de
iss nazam per apni raaey se nawaazne kaa aikbaar phir dilee shuekriyah qabuul fermaaiN
aap tau Mashallah khud bohat ilm rakhte hain iss liye yeh baateN aap k liye nahiN blakeh aur laugoN k liye haiN jinko shaayed is terah sochne kaa moqua nah milaa ho
khush erhaiN
wassalam
live and let live
- Nadir Sir'giroh
- nau-waarid
- Posts: 19
- Joined: Sun Apr 16, 2006 9:18 am
- Location: Bambai Meri JaaN.............
- Contact:
Tahira baaji
Baat se baat nikalti jaa rahi hai........
bahes ke dareechey khulte jaa rahe haiN....
Aesa lagta hai ke waqt nikaal kar kuchh... bohat kuchh.. likhna paRega..
Lekin.....
Hawa ke dosh par ek baat keh kar uR chalooN...
ke ye jo aap ne wasaael ka zikr kiya hai naa....
iss se toA DUKH aur baRh gaya hai...
Technology........aur ye nayee nayee eejaadaat....
yahee toA DUKH meN roz ba roz izaafa karti jaa rahee haiN.
ye Email...ye sms...
duniya ke ek sirey se doorey sirey tak ..
sirf 10 seconds meN DUKH bhare kalimaat...........
yooN uRaaye yooN pohNchaaye.
Ye toA ek chhoti see misaal thhee......
Ek waqt aesa bhee aayega ke. koii meri tehreeroN se pareshaan ho kar..internet ke zariye...zehreeli shuaaeN
bhej kar mujh par jaan lewaa hamla kar de.
Baat se baat nikalti jaa rahi hai........
bahes ke dareechey khulte jaa rahe haiN....
Aesa lagta hai ke waqt nikaal kar kuchh... bohat kuchh.. likhna paRega..
Lekin.....
Hawa ke dosh par ek baat keh kar uR chalooN...
ke ye jo aap ne wasaael ka zikr kiya hai naa....
iss se toA DUKH aur baRh gaya hai...
Technology........aur ye nayee nayee eejaadaat....
yahee toA DUKH meN roz ba roz izaafa karti jaa rahee haiN.
ye Email...ye sms...
duniya ke ek sirey se doorey sirey tak ..
sirf 10 seconds meN DUKH bhare kalimaat...........
yooN uRaaye yooN pohNchaaye.
Ye toA ek chhoti see misaal thhee......
Ek waqt aesa bhee aayega ke. koii meri tehreeroN se pareshaan ho kar..internet ke zariye...zehreeli shuaaeN
bhej kar mujh par jaan lewaa hamla kar de.
Nadir Khan Sir'giroh
http://forum.urdugulban.com/phpBB/
Hairat se yooN na dekhiye, zarraH huwaa toA kya huwaa.
Apni jagaH pe jaaneman, zarraH bhi aaftaab hai.
http://forum.urdugulban.com/phpBB/
Hairat se yooN na dekhiye, zarraH huwaa toA kya huwaa.
Apni jagaH pe jaaneman, zarraH bhi aaftaab hai.
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
shukriya
aap bhi sada khush rahe.n.tahira Masood wrote:Aziz bha'ee
salaam :
walikum:
azeezah tahira saahebah
aap ne itnee payaare tareeqe se meri HauSlah afza'ee ki hai keh dil se duaaiN niklee haiN
aapki nazm waaqayee mei.n bahut acchee hai.duao.n kay liye hum aapkay mamnoon hai.n.
aap bilaa shuabaah aik Hassaas aur faheem insaan haiN
al hamdulillah
shaair hasaas hi hotaahai
sunaa hai keh shaair ka lafz Arabi lafz "sha'Ar" se niklaa hai sha'Ar yani baal
shaair woh hotaa hai jo baal ki khaal nikaale ya'nee kisee bhee baat kaa bohat baareek beeni yaa eghra'ee se mushaahidah -o-mutaali'Aa kare.
aur agar dekhaa jaaey tau insaan khwaah ko'ee bhee ho kisee kaa bhee dukh meHsuus kerne ki Slaahiyyat rakhtaa hai
bilkul sahi.
es k baawajood azal se insaanoN ne hi aisee aisee khooneiN daateaanieN raqam ki haiN keh Alamaan-ul- Hafeez magar guzishtah dehaa'ee meiN khaaS taur per jo jo mazaalim insaan ne insaan per aur qomoN ne qomoN per Dhaaey haiN kioNkeh apnee hosh meiN maiN ne yeh pehli baar dekhe heiN yaqeen maaneiN meraa insaaniyyat se aitebaar uThh gaya ahai
mairee anhkhieN goyaa yeh dekh ker sun ker pathraa ga'ee heN
hamaara yahaa.n imtihaan hauraha hai.yeh silsila kab tak chalega yeh sirf khuda jaanta hai.
hame.n apna apna role nibhana hai.
qur'aan nay kaha keh .....
1,"akcarahum jaahiloon,akcarahum ghaafiloon,akcarahum zaalimoon,
qaleelun mominoon"
2,"aye eemaan waalo bachaao khud ko aur apnay beewi baccho.n ko us aag say jiska eendhan insaan aur patthar hai.n"
is aayat per fikr karnay kay baad hum apnay aapko aur apnay ahlay khaandaan ko durust karnay mei.n lagay huay hai.n.
waqt bahut kum hai aur hame.n bahut kuch karna hai.insha allah.
lets work together
for the benefit of fellow human beings in general &muslims in particular.
sab se ziyaadah azziyyat naak baat yeh hai keh es k ba'd bhee es k tadaaruk ki teraf koee pesh qadami nahiN ho rehi aur jo ho rehi hai woh in massil ko mazeed baRhaa rehi hai
aaaaaaaaaaaaahh............. yeh mairee dukhti ragg hai
yeh aik mominah ki nishaani hai.hum bahut khush hai.n aap jaisee behan paakar.
meiN Pakistan maiN aane waale zalzle ko nahiN bhool saki Haalankeh wehaaN per meraa koee sagaa Azeez nah thaa magar maire daes k laug mujhay kitnae Aziz haiN yeh mujhay es k ba'd ilm huaa..........
behan yeh wo topic hai jo kahtam nahiN ho saktaa
mairee soch kaa andaaz mukhatlif hai mujhay tau 911 meiN uss building main dab ker merne waale nursery k bache bhee nahiN bhoole
India maiN train meiN hone waali dehshat gerdi meri aankhoiN meiN hai kayaa woh insaan nahin thay
woh kisee ne bhee kiyaa ho ghalat hai
kionkeh civilian khwaah kahiN k hoN unko maarane ki hamaara mazahab her gizz ijaazant nahin daitaa
magar aaj kal buzdil log nahatte laugoN per hi waar kerat haiN
bilkul sahi farmaarahi hai.n aap.
Allah T'Aalaa k bataaey huay aSuloN se haT ker ham koee fateh mubeen haaSil nahin ker sakte
bayshak.
aikbaar her mulk-o-mazhab k laug apne apne mazaaahib ki asal ta'leem se ruju tau ker k dekhieN koee bhee mazhab es weHsht-o-berbariyyat ki ijaazat nahiN detaa
yeh bhi sahi hai.
HindouoN meiN tau jio hattiyaa es qadr buree samjhi jaati hai keh yeh log anDDah bee nahin khaatay k kisee jaan ko nuqSaan nah ho
yeh bhi aik falsafa hai.
Islaam ki taleem hai keh kabhi jang maiN aurtoN bachoN boRhoN aur sabzaa zaar baaghaat aur khaitoN ko nuqSaan nah ponhchaaya jaaey aur agar dushmna SulaH per maail ho tau Sulah behter hai
bilkul sahi.
Eesaaiyyat ki Ta'leem hai keh agar koee aik gaal per tahppaR maare tau dosseraa aage ker dau
hazratay eesa(as) nay yeh kabhie nahi.n kaha(please read gospel of barnabas this book has glimpses of true bible)
kaya inteenoN mazaahib k pairukaar es per amal kar rehae haiN???????
that is the main problem.
yehi wajah hai keh Khuda anaaraaz hai jis k baaic qudarti aafaat Azaab ki surat maiN kurrah-e-arZ ko hilaa rehai haiN magar iss k baawajood koee bhee iSlaaH ki teraf maail nahiN
pehle se bhee baRh ker t'ASSub aur dunyaa daari per bhooke giddoN ki teraH jhapaTT rehay haiN
'aql kay andhay jau hai.n.
baat bohat lambi ho gaee hai
lekin bahut acchee hai.
es liye aap kaa shuekriyaha adaa kertay huay ijaazat chaahoN gee
eski gehraa'ee ko meHsuus kerne kaa shuekriyah
nawaazish aapki
es se Zaahir hotaa hai keh aap waq'ee shaair
tiflay maktab hai.n.
khush rehaiN... her chand shaairoN k liye aisaa mumkin nahiN
Allah Hafiz
wasssalam
allah(sbhnwt)aaokay nek taufeeqaat mei.n ezaafa farmaaye.aameen.
aapka bhai
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Nadir Khan sahib , aur Tahira Masood sahiba
baat nikle gi to phir door talak jaayegi............................balke jaarahi hai.
chand ashaar isi hawaale se......mukhtalif shora ke mulahiza farmaiN..
diloN ka dard tatoolo yahi hai raah e najaat
larazte kaNpte hoNtoN ka ehteraam karo
hai dil ke lye maut , masheenoN ki hukoomat
ehsaas e murawwat ko kuchal de te haiH aalaat
tumhari tahzeeb apne hathoN aap khudkushi karegi
shakh e nazuk pe jo aashiaaN banegaa na payedaar hoga
shukria
Mahtab
baat nikle gi to phir door talak jaayegi............................balke jaarahi hai.
chand ashaar isi hawaale se......mukhtalif shora ke mulahiza farmaiN..
diloN ka dard tatoolo yahi hai raah e najaat
larazte kaNpte hoNtoN ka ehteraam karo
hai dil ke lye maut , masheenoN ki hukoomat
ehsaas e murawwat ko kuchal de te haiH aalaat
tumhari tahzeeb apne hathoN aap khudkushi karegi
shakh e nazuk pe jo aashiaaN banegaa na payedaar hoga
shukria
Mahtab
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Nadir Sir'giroh wrote:Tahira baaji
Baat se baat nikalti jaa rahi hai........
bahes ke dareechey khulte jaa rahe haiN....
bohat mubarak hai woh behaC jo kisee mucbit kaam ki khaatir ki jaaey
Aesa lagta hai ke waqt nikaal kar kuchh... bohat kuchh.. likhna paRega..
bohat achaa khayaal hai Allah Ta'alaa isski taufeeq de.aameen
Lekin.....
Hawa ke dosh par ek baat keh kar uR chalooN...
ke ye jo aap ne wasaael ka zikr kiya hai naa....
iss se toA DUKH aur baRh gaya hai...
Technology........aur ye nayee nayee eejaadaat....
yahee toA DUKH meN roz ba roz izaafa karti jaa rahee haiN.
ye Email...ye sms...
duniya ke ek sirey se doorey sirey tak ..
sirf 10 seconds meN DUKH bhare kalimaat...........
yooN uRaaye yooN pohNchaaye.
Ye toA ek chhoti see misaal thhee......
Ek waqt aesa bhee aayega ke. koii meri tehreeroN se pareshaan ho kar..internet ke zariye...zehreeli shuaaeN
bhej kar mujh par jaan lewaa hamla kar de.
Allah Nah kare aisaa ho.... agar aisaa huaa tau aap yaqeen aur itmenaan rakehiN keh aam insaan ko ba'd maiN aur baRi baRi hastioN ko pehle khatraah hai. lehaaza iskaa tauR foran se pehle aajeay gaa.
Aziz bha'ee, aur yeh tau kisee cheez k istemaal per munHaSir hai.... aur dehshat gerd laug tau her cheez hattaa k kitchen maiN kaam aane waale aik gharailuu churee kaa bhi ghalat istemaal ker k usae hathayaar banaa laite haiN.es meiN uss eejaad kaa kayaa qaSuur?
ab maiN aur aap aur be shumaar doosere laug isskaa muCbit istemaal bhee tau ker rehay haiN
agar insaan maiN taqwaa hai tau computer jannat ki khiRki hai wernah jahnnum kaa derwaazah.
achaa ba ijaazat
sadaa khush rehaiN
wassalam
live and let live
- Nadir Sir'giroh
- nau-waarid
- Posts: 19
- Joined: Sun Apr 16, 2006 9:18 am
- Location: Bambai Meri JaaN.............
- Contact:
aap chaaqu chhuree ki baaat karti haiN...
Shaaer-o-adeeb....
ye kaam apne qalam se bhee le sakte haiN.
Shaaer-o-adeeb....
ye kaam apne qalam se bhee le sakte haiN.
Nadir Khan Sir'giroh
http://forum.urdugulban.com/phpBB/
Hairat se yooN na dekhiye, zarraH huwaa toA kya huwaa.
Apni jagaH pe jaaneman, zarraH bhi aaftaab hai.
http://forum.urdugulban.com/phpBB/
Hairat se yooN na dekhiye, zarraH huwaa toA kya huwaa.
Apni jagaH pe jaaneman, zarraH bhi aaftaab hai.
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Re: shukriya
.aapki nazm waaqayee mei.n bahut acchee hai.duao.n kay liye hum aapkay mamnoon hai.n
shukeriyah
maiN kayaa akeh sakti hhoN sawaaey iss k keh Allah kare keh yehi baat hoyeh aik mominah ki nishaani hai.hum bahut khush hai.n aap jaisee behan paakar
Eesaaiyyat ki Ta'leem hai keh agar koee aik gaal per tahppaR maare tau dosseraa aage ker dau
hazratay eesa(as) nay yeh kabhie nahi.n kaha(please read gospel of barnabas this book has glimpses of true bible)
ho saktaa hai keh aap Theek keh rehay hoN Isaaiyat maiN aur aaj kal ki Bible main bohat se aise aiteqaaadat aur baatiN shaamil ho chukee haiN jo Hazarat Isaa Aalaihi salaam ki t'aleem nahiN thi. magar kioNkeh generally inkaa ziyaadah ter yehi aiteqaad hai aur yaqeenan hai( maiN is per aage baat karongee) tau agar ink khayaal amiN Hazart yeh Hazrat Isa Alaihi salaam ki Ta'aleem ahi tau phir iss per amal kioN nahin kerte? meraa yeh kehne se yehi maqSad tha
jabh bhee EsaaiyoN se baat kero tau hamaari Islami Ta'leem an eye for an eye and a tooth for a tooth per aiteraaz kerte huay apni iss taleem ko ziyadah aman pasand gerdaante haiN iss liye yeh baat Haqeeqat hai keh Q'ata-e-nazar iss k keh Bible kayaa kkehti ahi inkaa yehi aiteqaad hai
maiN keha kerti hoN keh Islam ki yeh ta'leem ain fitrat-e-insaani k mutaabiq hai aur yehi a'alaa maiyaar hai inSaaf kaa. Islam kaa pooraa hukum yeh hai keh aankh k badle aankh daant k badle daant magar muaaf ker denaa behter hai.
Islam ki t'aleem maN tau mazloomk Haq kaa bhi kahyaal rekhaa gaya ahai keh woh jis per Zulm hua ahai uss k aHsaasat ka abhi tau kahayaal honaa chaahiye.
isee problem k hal ki tau talaash hai moHteramkaya inteenoN mazaahib k pairukaar es per amal kar rehae haiN???????
that is the main problem.
Allah T'alaa apne paak nabi Sallaho Alaihi waa aalihi wasallam k sadqe jin ki khaatir yeh kaainaat banee hai hamaari himmatoN aur taqwe k m'ayaar ko buland kerte huay hamaahri naa chheez si koshishoN ko bhee qabuul fermaaeay aur hamaari baatoN maiN aCar paidah fermaaey. aur hamaiN qol-o-fael maiN yaksaaN banaaey.aameen summaa aameen
live and let live