"keh bolo kya tumhaara hai"taza tarhi kalaam aapka

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

"keh bolo kya tumhaara hai"taza tarhi kalaam aapka

Post by haamidbaaqri »

Assalaam o alaikum
dosto

taza tarhi kalaam hum aapki bacaarato.n ki nazr kar rahay hai.n.

gar qubool uftad zahay......

arz kiya hai..........

hamaara rab yeh kehta hai keh bolo kya tumhaara hai
zameeno.n aasmaano.n mei.n jau hai woh sab hamaara hai

musalsal ek nayee makhlooq kau hum khalq kartay hai.n
hamaaray aagay har banday nay apna sar jhukaaya hai

tumhaari neend tau kya oongh bhi humko nahi.n aati
yeh sab bando.n ki raahat kayliye humnay banaaya hai

nazar apni uthaao ghaur say dekho har ek shaye ko
keh har zarra hai harakat mei.n munazzam dahr saara hai

tumhaari dars gaahe.n aisee ho.n keh laug keh utthe.n
"naseehat kee naseehat hai tamaashay ka tamaasha hai"

kabhie mat bhoolna haamid mohammed(sawaw)ki shariat ko
sahaaray say isee kay khud ko insaa.n nay sanwaara hai

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Last edited by haamidbaaqri on Fri Feb 09, 2007 6:53 am, edited 1 time in total.
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Hamid bh~aee Asslam Alikum!

aap ka tazah t^arHee kalam dekh~ne ka sharf mila. mashAllah bohot u'mdah aor pur mua'anee asha'aar kahe haiN. meree dua'a hai. keh khuda aap ko in khidmaat ke badlah meN ajr-e-a'zeem se hamkinaar farmade. aor aap ko daraaz-e-u'mr se nawaze!

hamaara rab yeh kehta hai keh bolo kya tumhaara hai
zameeno.n aasmaano.n mei.n jau hai woh sab hamaara hai

mashAllah

musalsal ek nayee makhlooq kau hum khalq kartay hai.n
hamaaray aagay har banday nay apna sar jhukaaya hai

mashAllah

tumhaari neend tau kya oongh bhi humko nahi.n aati
yeh sab bando.n ki raahat kayliye humnay banaaya hai

subHanAllah

nazar apni uthaao ghaur say dekho har ek shaye ko
keh harakat mei.n hai har zarra munazzam dahr saara hai

mashAllah

tumhaari dars gaahe.n aisee ho.n keh laug keh utthe.n
"naseehat kee naseehat hai tamaashay ka tamaasha hai"

subHanAllah

kabhie mat bhoolna haamid mohammed(sawaw)ki shariat ko
sahaaray say isee kay khud ko insaa.n nay sanwaara hai

mashAllah

is khubSurat tareen kalam par meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

Wassalam
Muz^affar
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Hamid bh~aee Asslam Alikum!

wa alaikumussalaam
muzaffar bhai

aap ka tazah t^arHee kalam dekh~ne ka sharf mila. mashAllah bohot u'mdah aor pur mua'anee asha'aar kahe haiN. meree dua'a hai. keh khuda aap ko in khidmaat ke badlah meN ajr-e-a'zeem se hamkinaar farmade. aor aap ko daraaz-e-u'mr se nawaze!

aapki musalsal hausalah afzaayee, dilee daad aur mukhlisaanah duaye.n hamesha hamaaray shamilay haal rahee hai.n jiskay liye hum aapkay behad mamnoono mashkoor hai.n.

hamaara rab yeh kehta hai keh bolo kya tumhaara hai
zameeno.n aasmaano.n mei.n jau hai woh sab hamaara hai

mashAllah

shukriya

musalsal ek nayee makhlooq kau hum khalq kartay hai.n
hamaaray aagay har banday nay apna sar jhukaaya hai

mashAllah

shukriya

tumhaari neend tau kya oongh bhi humko nahi.n aati
yeh sab bando.n ki raahat kayliye humnay banaaya hai

subHanAllah

shukriya

nazar apni uthaao ghaur say dekho har ek shaye ko
keh harakat mei.n hai har zarra munazzam dahr saara hai

mashAllah

shukriya

tumhaari dars gaahe.n aisee ho.n keh laug keh utthe.n
"naseehat kee naseehat hai tamaashay ka tamaasha hai"

subHanAllah

shukriya

kabhie mat bhoolna haamid mohammed(sawaw)ki shariat ko
sahaaray say isee kay khud ko insaa.n nay sanwaara hai

mashAllah

shukriya

is khubSurat tareen kalam par meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

Wassalam
Muz^affar
bahut bahut shukriya

allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish karay.aameen

mukhl;is
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: "keh bolo kya tumhaara hai"taza tarhi kalaam a

Post by haamidbaaqri »

sara_j wrote:
haamidbaaqri wrote: hamaara rab yeh kehta hai keh bolo kya tumhaara hai
zameeno.n aasmaano.n mei.n jau hai woh sab hamaara hai

musalsal ek nayee makhlooq kau hum khalq kartay hai.n
hamaaray aagay har banday nay apna sar jhukaaya hai

tumhaari neend tau kya oongh bhi humko nahi.n aati
yeh sab bando.n ki raahat kayliye humnay banaaya hai

nazar apni uthaao ghaur say dekho har ek shaye ko
keh har zarra hai harakat mei.n munazzam dahr saara hai

tumhaari dars gaahe.n aisee ho.n keh laug keh utthe.n
"naseehat kee naseehat hai tamaashay ka tamaasha hai"

kabhie mat bhoolna haamid mohammed(sawaw)ki shariat ko
sahaaray say isee kay khud ko insaa.n nay sanwaara hai

hamid bhai

bohat khoob! aapka tarhi kalaam bohat pasand aaya har shair per waah nikli hai .

"hamaara rab yeh kehta hai keh bolo kya tumhaara hai
zameeno.n aasmaano.n mei.n jau hai woh sab hamaara hai"

waah! bohat sach kaun jhutla sakta hai is baat ko.

dili daad qubool keejiye
azeezah sara saahebah
Assalaam o alaikum

hausalah afzaayee aur purkhuloos daad kayliye hum aapkay behad mamnoono mashkoor hai.n.

jawaab mei.n deree kaliye hum muaazirat chaahtay hai.n.

jazakallah
iltaymaasay dua
aapka bhai
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

moHtaram Hamid bhaai, aadab !

kaise mizaaj haiN aap ke ?

janaab aap ke KhoobSoorat kalaam par agar che kabhii kabhii kuch naheeN likh paate , magar is kaa yeh matlab hargiz naheeN k ham aap ka kalaam naheeN paRte , ham aap ki har kaavish se mustafeez hote haiN ! maashaa Allah ! aap hamesha sachche mazaameen baandhte haiN ! aap kaa andaaz-e-bayaan bhii Khoob hai ! daad Haazir hai ! shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

Star Mind wrote:moHtaram Hamid bhaai, aadab !

Assalaam o alaikum
zia bhaai

kaise mizaaj haiN aap ke ?

al hamdulillah.hum theek hai.n.....aap kaisay hai.n.?

janaab aap ke KhoobSoorat kalaam par agar che kabhii kabhii kuch naheeN likh paate , magar is kaa yeh matlab hargiz naheeN k ham aap ka kalaam naheeN paRte , ham aap ki har kaavish se mustafeez hote haiN !

zahay naseeb.har insaan masroof hauta hai aur hauna bhi chaahiye.lekin phir bhi waqt nikaal kar is naacheez kay kalaam kau nah sirf aap padhtay hai.n balkeh apni purkhuloos daad say bhi nawaaztay hai.n jiskay liye hum aapkay behad shukrguzaar hai.n.

maashaa Allah ! aap hamesha sachche mazaameen baandhte haiN ! aap kaa andaaz-e-bayaan bhii Khoob hai ! daad Haazir hai ! shukriya

Zia Baloch

hausalah afzaayee ka bahut bahut shukriya.

jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtaram Haamid baaqri sb,

is bazm meiN maiN khud ko aik "laadle" ki haciat meiN daikhtaa hooN. laadla iss taraH ke hooN to sub se chhotaa (ilmi a'etbaar se) magar phir bhi doosre ke kalaam par apne taSSuraat baghair kissi jhijhak ke paish kar daitaa hooN. umeed hai aap bhi dar guzar farmaa-aiN ge,

aap ke Sha'iri mujhe hameshaa pasand aati hai choonke maqSidiat bilkul qaTa'ai hai. leejiaye aap ke ashaar paRhne ke baad maire taSSuraat,

hamaara rab yeh kehta hai keh bolo kya tumhaara hai
zameeno.n aasmaano.n mei.n jau hai woh sab hamaara hai

matl'a ka ye andaaz bohat pasand ayaa. laikin baad ke ashhaar paRhne se pataa chalaa ke maTlaa'a eeTaa-e-khafi ka shikar ho gia hai. aap ka matlaA daikh kar aisaa lagtaa hai jaisey baaqi ahsaar meiN ra hai radeef ke Toar par saamne aa-aye ga laikin baaqi asha'ar meiN sirf aa hai radeef istemaal kiyaa gayaa hai. yehi eeTaa-e-khafi hai.
iss ki makammal wazahat ke leeaye ustaad e mohtaram Nazir Sb ka mazmoon iss web site ke mazaameen ke section meiN moojood hay. ye leejiaye khidmat ka aik moqaa milaa hay to kyooN na faadiaa uthaaooN. Link Haazir khidmat hai. http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... php?t=4102

musalsal ek nayee makhlooq kau hum khalq kartay hai.n
hamaaray aagay har banday nay apna sar jhukaaya hai

bilkul such kahaa aap ne. taham aik baat sirf seekhne ke leeaye poochnaa chahooN ga. pehly miSraa meiN "makhlooq" aor doosre misra meiN "banday" ka istemaal kia aHsan hai? maire zahn meiN aayaa ke bhalaa dooosre miSra meiN bhi "har makhlooq" ke sir jhukaane ka zikar kyooN naheeN kiyaa gayaa?

tumhaari neend tau kya oongh bhi humko nahi.n aati
yeh sab bando.n ki raahat kayliye humnay banaaya hai

tumhaari neend ki tarkeeb, mujhe aisa lagaa, jaise kuch alaihdaa aliahdaa hai. yaqeenun aap behtar samajh sakte haiN. meiN ne socha ke kaash ke aap ne tumahri neend ki jagaa suno ye neend ya iss jaaisaa ko lafz iste'amaal kiyaa hotaa. laikin meiN jaantaa hooN ke alfaaz ke chanao oar mazmoon ke bandhne meiN mujhe abhi boaht kuch seekhnaa hai. aap ne tumhaari neend yaqeenun kissi khaaS wajaa se hi iste'amaal kiyaa hai.

nazar apni uthaao ghaur say dekho har ek shaye ko
keh har zarra hai harakat mei.n munazzam dahr saara hai

ye sha'er bhi bohat pasand aayaa.

tumhaari dars gaahe.n aisee ho.n keh laug keh utthe.n
"naseehat kee naseehat hai tamaashay ka tamaasha hai"

iss sha'er ne majmooi Tor par bohat achcha taaSur chooRa. laikin chooNke aap ba maqSad sha'er kehtay haiN aor iss sha'er ka rang bhi naseeHti hai iss leeaye ye socha baghair na reh sakaa ke darasgah tamaasha ho kar kia zaahir kare gi. kia waqitun hameiN darsgahooN meiN koi tamaashaa karnaa hoga?

kabhie mat bhoolna haamid mohammed(sawaw)ki shariat ko
sahaaray say isee kay khud ko insaa.n nay sanwaara hai

Aha haa. bohat khoobSoorat. Alla taalaa aap ko jazaa day aor aap ko aise behtareen mazameen se nawaztaa rahay.

Dua'aa gao,
Muhammad Khawar.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Post by haamidbaaqri »

muhammad_19k wrote:Mohtaram Haamid baaqri sb,

jee farmaaiye......mohtram mohammed khawaar saahib

is bazm meiN maiN khud ko aik "laadle" ki haciat meiN daikhtaa hooN. laadla iss taraH ke hooN to sub se chhotaa (ilmi a'etbaar se) magar phir bhi doosre ke kalaam par apne taSSuraat baghair kissi jhijhak ke paish kar daitaa hooN. umeed hai aap bhi dar guzar farmaa-aiN ge,

yeh aik mukhlis insaan ki nishaani hai.......
bay jhijak keh daaliye jo kehna hai
.

aap ke Sha'iri mujhe hameshaa pasand aati hai choonke maqSidiat bilkul qaTa'ai hai.

bahut bahut shukriya janaab

leejiaye aap ke ashaar paRhne ke baad maire taSSuraat,

zahay naseeb.....aapnay hamaaray kalaam ko apnay tabseray kay qaabil samjha.

hamaara rab yeh kehta hai keh bolo kya tumhaara hai
zameeno.n aasmaano.n mei.n jau hai woh sab hamaara hai

matl'a ka ye andaaz bohat pasand ayaa. laikin baad ke ashhaar paRhne se pataa chalaa ke maTlaa'a eeTaa-e-khafi ka shikar ho gia hai. aap ka matlaA daikh kar aisaa lagtaa hai jaisey baaqi ahsaar meiN ra hai radeef ke Toar par saamne aa-aye ga laikin baaqi asha'ar meiN sirf aa hai radeef istemaal kiyaa gayaa hai. yehi eeTaa-e-khafi hai.
iss ki makammal wazahat ke leeaye ustaad e mohtaram Nazir Sb ka mazmoon iss web site ke mazaameen ke section meiN moojood hay. ye leejiaye khidmat ka aik moqaa milaa hay to kyooN na faadiaa uthaaooN. Link Haazir khidmat hai. http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... php?t=4102

janaab.......hum peh;lay bhi keh chukay hai.n keh hum tiflay maktab hai. agar koyee takneeki gha;lati ho gayee hai tau is bazm mei.n mohtaram abdullah nazir saahib,mohtaram sarwar a raz saahib,mohtaram jawaid badaayuni saahib jaisay ustad shayer moujood hai. jo in ghalatiyo.n ki nishaandahi farmaadetay hai.n.humnay in hastioyo.n say bahut kuch seekha hai aur seekh rahay hai.n al hamdulillah.hamaaray khayaal mei.n jo baat aap keh rahay hai.n us per wohi raushni daal saktay hai.n.

musalsal ek nayee makhlooq kau hum khalq kartay hai.n
hamaaray aagay har banday nay apna sar jhukaaya hai

bilkul such kahaa aap ne. taham aik baat sirf seekhne ke leeaye poochnaa chahooN ga. pehly miSraa meiN "makhlooq" aor doosre misra meiN "banday" ka istemaal kia aHsan hai? maire zahn meiN aayaa ke bhalaa dooosre miSra meiN bhi "har makhlooq" ke sir jhukaane ka zikar kyooN naheeN kiyaa gayaa?

makhlooq chaahay koyee bhi ho woh allah(sbhnwt)ki bandagee kartee hai is lehaaz say sab banday hai.n...hai na........

tumhaari neend tau kya oongh bhi humko nahi.n aati
yeh sab bando.n ki raahat kayliye humnay banaaya hai

tumhaari neend ki tarkeeb, mujhe aisa lagaa, jaise kuch alaihdaa aliahdaa hai. yaqeenun aap behtar samajh sakte haiN. meiN ne socha ke kaash ke aap ne tumahri neend ki jagaa suno ye neend ya iss jaaisaa ko lafz iste'amaal kiyaa hotaa. laikin meiN jaantaa hooN ke alfaaz ke chanao oar mazmoon ke bandhne meiN mujhe abhi boaht kuch seekhnaa hai. aap ne tumhaari neend yaqeenun kissi khaaS wajaa se hi iste'amaal kiyaa hai.

yeh khaaki insaan apnay khaaliq kee jo tasveer zahn mei.n banaata hai woh makhlooq hai kyu.n keh zahn kee paidaawaar bhi makhlooq hauti hai.is liye woh apnay khaaliq ko apnay jaisee koyee cheez samajhta hai jisay thakaawat hauti ho....neend aati ho.....aaraam ki zarorat masoos hauti ho.........yahaa.n khaaliq apnay is khaaki banday say mukhaatib hokay keh raha hai.(laa taakhuzu hu seenatan'v walaa naum qur'aan aayatal kursee)yahaa.n khudaaye t'aala hum hi say mukhaatib ho raha hai..

nazar apni uthaao ghaur say dekho har ek shaye ko
keh har zarra hai harakat mei.n munazzam dahr saara hai

ye sha'er bhi bohat pasand aayaa.

shukriya.....

tumhaari dars gaahe.n aisee ho.n keh laug keh utthe.n
"naseehat kee naseehat hai tamaashay ka tamaasha hai"

iss sha'er ne majmooi Tor par bohat achcha taaSur chooRa. laikin chooNke aap ba maqSad sha'er kehtay haiN aor iss sha'er ka rang bhi naseeHti hai iss leeaye ye socha baghair na reh sakaa ke darasgah tamaasha ho kar kia zaahir kare gi. kia waqitun hameiN darsgahooN meiN koi tamaashaa karnaa hoga?

yahaa.n tamaashay say muraad madaari waala tamaasha nahi.n hai.bal keh hamaaray asaateza ka andaaz aisa ho keh woh bacchay kayliye tafreeh ka baaic bhi ho aur naseehat bhi.aaj duniya isee andaaz ko apna rahi hai.

kabhie mat bhoolna haamid mohammed(sawaw)ki shariat ko
sahaaray say isee kay khud ko insaa.n nay sanwaara hai

Aha haa. bohat khoobSoorat. Alla taalaa aap ko jazaa day aor aap ko aise behtareen mazameen se nawaztaa rahay.

bahut bahut shukriya.........aap ki mukhlisaanah daad aur duaao.n kay liye.

salaamat rahe.n.

Dua'aa gao,
Muhammad Khawar.
mukhlis
haamidbaaqri

jawaab mei.n deeri kayliye hum muaazirat chaahtay hai.n.
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

Haamid bhai

salaam arz hai

ye khoobsurat kalaam pesh karne ke liye bahot bahot shukria

meri jaanib se daad qubool farmaaiye

Amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

Ibn-e-siddique wrote:Haamid bhai

salaam arz hai

wa alaikumussalaam
amjad bhai

ye khoobsurat kalaam pesh karne ke liye bahot bahot shukria

meri jaanib se daad qubool farmaaiye

Amjad
aapnay kalaam ko pasand farmaaya aur apni mukhlisaanah daad say bhi hame.n nawaaza jiskay liye hum aapkay behad mamnoono mashkoor hai.n.