:: Valentine's Day ke Havaale se aek nazm ! ::

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

:: Valentine's Day ke Havaale se aek nazm ! ::

Post by Star Mind »

Yaaraan-e-meHfil, aadaab !

ummeed hai k aap sab ba-Khair hoNge !

aaj kai'ii dinoN ke baa'd Net ka masa'ala Hal hovaa to is qaabil hovaa k kuchh post kar sakooN ! go k online aataa rahaa , magar net har 1 / 2 minutes baa'd DC hotaa thaa , jis se posting meiN mushkilaat kaa saamnaa thaa ! ab inshaa Allah apnii "Ghazal" par bhii aahista aahista aap ke tabSiroN ka javaab detaa rahoNga aur is nazm par bhii aap ki qeematii-araa ka javaab detaa rahoNga ! ummeed hai k mayoos naheeN kareNge ! shukriya

Nazm paish hai !

:: Urdu V ::
Image
:: Roman V ::

kis ne chalkaaya hai haNgaam-e-saHar jaam-e-nigaah ?
jis taraf dekhiye mai-noshi ki tayyarii hai !
aasmaaN mast-e-mai-e-shauq hovaa jaataa hai
baada-e-noor se madhosh zameeN saarii hai !
saaqiy-e-SubH ne aNgRaa'i voh lii hai k na poochh !
zarre zarre pe maHabbat ka nashaa taarii hai !

aaNkh reh reh ke chhalak uThti hai saaqii ki a'jab
zindagii choom rahii hai bhare paimaanoN ko
a'aariz-e-zeest pe shabnam haiN k aNgaare haiN
a'aashiqii dekhiye kyaa deti hai deevaanoN ko !


dil miraa fart-e-maHabbat se phaTaa jaataa hai !
koi dil-daar naheeN hai k jise pyaar karooN !
SubH raushan hai to kyaa, roo-e-daraKhshaaN hi naheeN !
maiN kise dekhoN Zia aur kise pyaar karooN ?

aise moqa' pe bahut Khoob kahaa :Hafiz: ne !

" saaqiy-o-mutrib-o-may, jumla muhayyaa-st valii
a'aish bee yaar muhayyaa na shavad, yaar kujaa-st ?? "

Farsi she'r kaa tarjuma :

"saaqii, mutrib, sharaab sab kuchh hai magar , a'aish dost ke ba-Ghair naheeN miltaa , dost kahaaN hai ?"

shukriya

Zia Baloch
Last edited by Star Mind on Thu Feb 15, 2007 7:31 pm, edited 1 time in total.
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »


moHtaram Z^eya Baloch SaHib aadaab! :-)

aap kee naz^m aek nihayat kamyaab koshish hai. aap ne is naz^m meN apnee kaefiyat-e-dilee ko baRe achch~e andaaz meN bayaaN kiya hai. naz^m ke teesre band meN dard-o-ranj zeyadah shiddat ekhteyaar kar geya hai. is band par aakar maiN bh~ee udaas ho geya! aor mujh~e yeh mand mere Hasb-e-Haal laga. :(

bahar Haal is kamyaab koshish par dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

Wassalam
Muz^affar
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Bradar e Aziz Zia
Assalam Alaikum wa rahma
Aapki nazm apni kaifiatoN ke aitebaar se nihayat purasar nazm kahi ja sakti hai. aur andaaz e bayaan ki khoobsurti lahje ki rawaani aap ko aik kaamyaab shayer balke fikri safar mai apni manziloN ko choone wala shayer tasleem karwaarahi hai. is had tak aap ko mai mubarakbaad pesh karta hoN.

laikin valentine day ki theory un logoN ki hai jo apne mahool mai mohabbatoN ko kabhi kabhi jaga dete haiN, jin ke paas rishte naate sirf makhsoos din o raat ke mutaqaazi haiN unki adeem ul fursati unheiN apnoN se mulaqat karne bhi nahi deti , isi lye kabhi mahbooba ka din kabhi maaN ka din kabhi baap ka din mana lete haiN. ham jis muashire mai sans le rahe haiN wahaN to har din valentine day hai har raat shab e aroosi kahlai ja sakti hai(agar shadishuda hoN to) maN bap ki khidmat karke har din ko unke naam mansoob kia ja sakta hai. Islye mai nazm ke khyaal se mutaffiq nahi hoN. umeed ke aap mere mafhoom tak pahoNch kar mujhe samajhne ki koshsih kar rahe hoNge.
shukria


MAHTAB QADR
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
moHtaram Z^eya Baloch SaHib aadaab! :-)

aap kee naz^m aek nihayat kamyaab koshish hai. aap ne is naz^m meN apnee kaefiyat-e-dilee ko baRe achch~e andaaz meN bayaaN kiya hai. naz^m ke teesre band meN dard-o-ranj zeyadah shiddat ekhteyaar kar geya hai. is band par aakar maiN bh~ee udaas ho geya! aor mujh~e yeh mand mere Hasb-e-Haal laga. :(

bahar Haal is kamyaab koshish par dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

Wassalam
Muz^affar
Mohtaram Janab Muzaffar SaaHib, aaadaab !

janaab yeh jaan kar be-Had Khushii ho'ii k aap ko is Haqeer ki yeh adnaa kaavish bahut pasand aa'ii hai ! janaab yeh meri Khush-baKhtii hai in teera-rozoN meiN ! :wink:

aur yeh jaan kar bahut raNj hovaa ke aaKhrii band aap ke Hasb-e-Haal hai meri taraH ! :cry: .......... phir bhii shukr hai ! :wink:

nehaayat mamnoon hooN is HauSla -afzaa'ii ke liye ! shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

sara_j wrote:zia bhai,

salaam.

bohat din baad aapko yehan dekh ker khushi hui aur

aapki khoobsurat nazm ne aur bhi dil khush kerdiya.

bohat hi rawaan jise prhte hue bohat lutf aya go ke

ranjeedgi se bharpoor hai jo khud aek dil ko maza deta hai.

is kamyaab kawish per daad qubool keejiye.

mukhlis

sara
Saara aapaa, aadaab !!

yeh jaan kar bahut Khushii ho'ii k aap ko mujhe dekh kar aur Khushii ho'ii :wink: mujhe bhii yahaaN aa kar nehaayat Khushii ho'ii ! aur ab to yeh silsila jaarii rahega ! :-) .

aap ko aHqar kii yeh Khaahish bahut pasand aa'ii , bhalaa is se baRhh kar mere liye aur Khushii kii kyaa baat hogii ?

aap kaa tah-e-dil se mamnoon hooN ! ummeed hai k HauSla afzaa'ii kaa yeh silsila jaarii rahega ! shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: :: Valentine's Day ke Havaale se aek nazm ! ::

Post by yasir shah »

Star Mind wrote:Yaaraan-e-meHfil, aadaab !

ummeed hai k aap sab ba-Khair hoNge !

aaj kai'ii dinoN ke baa'd Net ka masa'ala Hal hovaa to is qaabil hovaa k kuchh post kar sakooN ! go k online aataa rahaa , magar net har 1 / 2 minutes baa'd DC hotaa thaa , jis se posting meiN mushkilaat kaa saamnaa thaa ! ab inshaa Allah apnii "Ghazal" par bhii aahista aahista aap ke tabSiroN ka javaab detaa rahoNga aur is nazm par bhii aap ki qeematii-araa ka javaab detaa rahoNga ! ummeed hai k mayoos naheeN kareNge ! shukriya

Nazm paish hai !

:: Urdu V ::
Image
:: Roman V ::

kis ne chalkaaya hai haNgaam-e-saHar jaam-e-nigaah ?
jis taraf dekhiye mai-noshi ki tayyarii hai !
aasmaaN mast-e-mai-e-shauq hovaa jaataa hai
baada-e-noor se madhosh zameeN saarii hai !
saaqiy-e-SubH ne aNgRaa'i voh lii hai k na poochh !
zarre zarre pe maHabbat ka nashaa taarii hai !

aaNkh reh reh ke chhalak uThti hai saaqii ki a'jab
zindagii choom rahii hai bhare paimaanoN ko
a'aariz-e-zeest pe shabnam haiN k aNgaare haiN
a'aashiqii dekhiye kyaa deti hai deevaanoN ko !


dil miraa fart-e-maHabbat se phaTaa jaataa hai !
koi dil-daar naheeN hai k jise pyaar karooN !
SubH raushan hai to kyaa, roo-e-daraKhshaaN hi naheeN !
maiN kise dekhoN Zia aur kise pyaar karooN ?

aise moqa' pe bahut Khoob kahaa :Hafiz: ne !

" saaqiy-o-mutrib-o-may, jumla muhayyaa-st valii
a'aish bee yaar muhayyaa na shavad, yaar kujaa-st ?? "

Farsi she'r kaa tarjuma :

"saaqii, mutrib, sharaab sab kuchh hai magar , a'aish dost ke ba-Ghair naheeN miltaa , dost kahaaN hai ?"

shukriya

Zia Baloch

Bhai Zia !
assalamOa'laikum


kaise heN ? :-)
aap ne bhi aik baRyaa nazm ghaTyaa din se mansoob kar dee -ab 'aalam yeh hay keh isay aaj paRhooN to lagtaa hay keh DaiRh haftah puraanaa akhbaar paRh rahaa hooN-

azraah-e-karam unwaan badal deejiye,, mazeed yeh keh "shabnam heN" ko "shabnam hay" kaheN-

aik darkhwaast yeh bhi hay keh "mai" ko "Hafiz shirazi" aur "Molanaa Roomee" jis ma'nee meN laitay thay aaj kal ke dor-e-hawaa-o-hawas meN woh ma'nee mafqood heN aur "sharaab" se muraad woh "paishaab" hotaa hay keh jis ki Hurmat hay ,, chunaaNcheh is isti'aaray se Hatt.ul.imkaan ijtinaab bartaa jaa.ay to bahtar hay- khair,aap ne to "Haafiz" kaa she'r paish kar ke "mai" ki takhSeeS kar hi dee hay ,,

aakhir meN yeh kahooN gaa keh meree raa.ay kaa jaisaa jawaab aa.ay foree t'or par deejiye gaa nah keh kisee aur maHal aur moqe' par jaisaa keh kuCh naam.nihaad adeeb kartay heN

ummeed hay baaqee sab khairiyat ho gee ,,aur kyaa kahooN bajuz is ke keh :

"qad aflaHa man tazakkaa"




khush rahiye
du'aago
yasir
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Mahtab Qadr wrote:Bradar e Aziz Zia
Assalam Alaikum wa rahma
Aapki nazm apni kaifiatoN ke aitebaar se nihayat purasar nazm kahi ja sakti hai. aur andaaz e bayaan ki khoobsurti lahje ki rawaani aap ko aik kaamyaab shayer balke fikri safar mai apni manziloN ko choone wala shayer tasleem karwaarahi hai. is had tak aap ko mai mubarakbaad pesh karta hoN.


moHtarami Sarfaraz bha'ii , w/salaam

yeh aap ka Husn-e-nazar aur aap kii zarra-navaazii hai ! varna man hamaaaN Khaakam k hastam ! ta'Kheer ke liye ma'zirat Khaah hooN !


laikin valentine day ki theory un logoN ki hai jo apne mahool mai mohabbatoN ko kabhi kabhi jaga dete haiN, jin ke paas rishte naate sirf makhsoos din o raat ke mutaqaazi haiN unki adeem ul fursati unheiN apnoN se mulaqat karne bhi nahi deti , isi lye kabhi mahbooba ka din kabhi maaN ka din kabhi baap ka din mana lete haiN. ham jis muashire mai sans le rahe haiN wahaN to har din valentine day hai har raat shab e aroosi kahlai ja sakti hai(agar shadishuda hoN to) maN bap ki khidmat karke har din ko unke naam mansoob kia ja sakta hai. Islye mai nazm ke khyaal se mutaffiq nahi hoN. umeed ke aap mere mafhoom tak pahoNch kar mujhe samajhne ki koshsih kar rahe hoNge.
shukria


aap bajaa farmaate haiN ! maiN aai'na iHteraaz karooNga ! aap kaa bahut bahut shukriya mujhe "raah-e-raast" par laane ke liye ! :wink:
Allah is kaa ajr aap ko de Aaameen ! shukriya

Zia Baloch


MAHTAB QADR
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Post Reply