sang hawa ke khel rachana bhool gaye

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
ahm4me
-
-
Posts: 17
Joined: Wed Feb 22, 2006 6:44 am
Contact:

sang hawa ke khel rachana bhool gaye

Post by ahm4me »

Azeezan-e-Urdu Bandhan
Adaab

Taaza ghazal ke saath haazir hua hooN, aap ke aaraa ka shiddat se intizaar rahay ga, umeed hay apni besh qeemat raaye se zaroor nawazaiN ge.

Mukhlis,
Muhammad Ahmed


Image

GHAZAL

sang hawa ke khel rachana bhool gaye
sham Dhali to deep jalana bhool gaye

dil aaNgan maiN dhoop GhamoN ki kya pheli
jugnu aaNkhoN maiN muskaana bhool gaye

ta’abeeroN ki ta’azeeroN ka khof raha
wo samjhay hum khwaab sunana bhool gaye

sadiyaaN jaisay lamHoN maiN aa Thehri hoN
lamHe jaisay aana jaana bhool gaye

lafzoN ko mafhoom badalna yaad naheeN
rang dhanak ki qous sajaana bhool gaye

jab qeHt-e-ajnaas Tala eHsaas hua
basti walay phool ugaana bhool gaye

siski siski hoNtoN ko muskaan kia
palkoN palkoN baaR lagaana bhool gaye

tez hawa ko khaak uRaana yaad raha
badal kyoN baarish barsaana bhool gaye

be-sabri yaadeN raste maiN aan mileeN
hum deevaane ghar bhi jaana bhool gaye

baad-e-saba ne aur dareechay dekh liay
hum bhii :Ahmed: geet suhaana bhool gaye


Muhammad Ahmed
Wednesday, January 24, 2007
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram M AHmad SaHib aadaab! :-)

mashAllah bohot u'mdah Ghazal se meHfil ko sajaya hai. neya andaaz bohot dilkash hai. sabh~ee asha'aar aap ke zaoq aor fannee SalaHiyatooN ke aae,inah daar haiN.

sang hawa ke khel rachana bhool gaye
sham Dhali to deep jalana bhool gaye

dil aaNgan maiN dhoop GhamoN ki kya pheli
jugnu aaNkhoN maiN muskaana bhool gaye

ta’abeeroN ki ta’azeeroN ka khof raha
wo samjhay hum khwaab sunana bhool gaye

sadiyaaN jaisay lamHoN maiN aa Thehri hoN
lamHe jaisay aana jaana bhool gaye

lafzoN ko mafhoom badalna yaad naheeN
rang dhanak ki qous sajaana bhool gaye

jab qeHt-e-ajnaas Tala eHsaas hua
basti walay phool ugaana bhool gaye

siski siski hoNtoN ko muskaan kia
palkoN palkoN baaR lagaana bhool gaye

tez hawa ko khaak uRaana yaad raha
badal kyoN baarish barsaana bhool gaye

be-sabri yaadeN raste maiN aan mileeN
hum deevaane ghar bhi jaana bhool gaye

baad-e-saba ne aur dareechay dekh liay
hum bhii :Ahmed: geet suhaana bhool gaye

is kamyaab aor dilfareb koshish par meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiYe!

Wassalam
Muz^affar
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Mohtarami Ahmed Sahib,
:salaam:
Aapki ghazal har sheir bohat pasand ayaa.
Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
Post Reply