gar muNh meN zabaaN hai to kuch~ beher-e-khuda kahiYe!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

gar muNh meN zabaaN hai to kuch~ beher-e-khuda kahiYe!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »


Yaran-e-meHfil aadaab a'rZ^ hai.

apnee Haqeer see koshish pesh karne kee sa'adat HaSil kar raha hooN. ummeed hai. aap dost pasand farmaeeN ge. azrah-e-karam mulaHiZ^ah farmaiye.

( mafa'ool.....mufaaeelun.......mafa'ool.....mufaaeelun )

Ghazal

1,

bedad-e-wafa kahiYe ya qhr-e-khuda kahiYe?

uftaad-e-muHabbat ko kahiYe bh~ee to kiya kaiYe?

2,

weeranee musallat^ hai jo SeHn-e-gulistaaN par

is khanah kharabee ko kiya baad-e-Saba kahiYe?

3,

shal ho gae dast-o-pa gao rah-e-muHabbat meN

par dashtnawardee ko hargiz nah bura kahiYe!

4,

ham Harf-e-shikayat ko lab par naheeN laeeN ge

neerangee-e-daoraaN ko qismat ka likh~a kahiYe!

5,

ik baar jo zulfooN ke saae tale aa beTh~a

us bandah-e-bebas ko zanjeer ba pa kahiYe!

6,

dastoor muHabbat ke badle haiN nah badle ge

ph~ir kiYooN nah taGhaful ko bh~ee Husn-e-ada kahiYe?

7,

naqqarah-e-hastee meN chup* kiYoN haiN Muz^affar aap

gar muNh meN zabaaN hai to kuch~ beher-e-khuda kahiYe!

*chup=khamosh


Wassalam
Muz^affar A Muz^affar


[/b]
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Mon Mar 05, 2007 1:30 am, edited 5 times in total.
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtaram Muzaffar sb,

Salam arz hai. khoobSoorat ghazal par mubarik baad qabool keejiaye.

1,

bedad-e-wafa kahiYe ya gehr-e-khuda kahiYe? ---------------------
gehr? ya qehr? meiN iss qehr paRh kar daad de rahaa hooN.

uftaad-e-muHabbat ko kahiYe bh~ee to kiya kaiYe?


hamesha ki taraH iss baar bhi maqTa bohat jaandaar hai.

2,

weeranee musallat^ hai jo SeHn-e-gulistaaN par
is khanah kharabee ko kiya baad-e-Saba kahiYe?


baad e Saba weeraani ki wajaa to ho sakti hai. laikin uss kaa mutzaad naheeN ya hamshakal naheeN ke weeranee ko baad e saba se tashbeeh di jaa-aye. kia khayaal hai aap ka. oar agar kaheeN mujh se chook ho rahi ho wazaaHat farmaa deejiaye ga.

3,

shal ho gae dast-o-pa gao rah-e-muHabbat meiN
...... shayed aap meiN type karnaa bhool gay haiN.
par dashtnawardee ko hargiz nah buraa kahiYe!
........ pura bhi typo lag rahaa hail meiN iss buraa samajh rahaa hooN


sha'er pasand ayaa. daad!

4,

ham Harf-e-shikayat ko lab par naheeN laeeN ge
neerangee-e-daoraaN ko qismat ka likh~a kahiYe!

bohat khoob

5,

ik baar jo zulfooN ke saae tale aa beTh~a
us bandah-e-bebas ko zanjeer ba paa kahiYe!


bohat khoob. shaer zanjeer ba paa ki wajaa se pasand aayaa.
6,

dastoor muHabbat ke badle haiN nah badle ge
ph~ir kiYooN nah taGhaful ko bh~ee Husn-e-ada kahiYe?

daad! ji aap ki baat maan laite haiN. :-)

7,

naqqarah-e-hastee meN chub kiYoN haiN Muz^affar aap
--------- kia chub ki jage chup lainay ki ijaazat hai?
gar muNh meN zabaaN hai to kuch~ beher-e-khuda kahiYe!



bohat khoob janab, abhi kia kehnaa baaqi hai ;-)



Duaa gao,
Muhammad Khawar.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

muhammad_19k wrote:Mohtaram Muzaffar sb,

Salam arz hai. khoobSoorat ghazal par mubarik baad qabool keejiaye.

aap ka tah-e-dil se mamnoon hooN keh aap itnee talaash aor istaGhraaq se kalam ko dekh~te haiN. khuda aap ko salamat rakh~e!
1,

bedad-e-wafa kahiYe ya gehr-e-khuda kahiYe? ---------------------
gehr? ya qehr? meiN iss qehr paRh kar daad de rahaa hooN.

uftaad-e-muHabbat ko kahiYe bh~ee to kiya kaiYe?


hamesha ki taraH iss baar bhi maqTa bohat jaandaar hai.

aap ke dad ke liye aap ka be Had mamnoon hooN :-)

2,

weeranee musallat^ hai jo SeHn-e-gulistaaN par
is khanah kharabee ko kiya baad-e-Saba kahiYe?


baad e Saba weeraani ki wajaa to ho sakti hai. laikin uss kaa mutzaad naheeN ya hamshakal naheeN ke weeranee ko baad e saba se tashbeeh di jaa-aye. kia khayaal hai aap ka. oar agar kaheeN mujh se chook ho rahi ho wazaaHat farmaa deejiaye ga.

is she'er meN meree muraad yeh hai keh SeHn-e-gulistaaN par jo weeranee musallat^ hai. ise ae baad-e-Saba kiya naam deeN. Ya'nee ae baad-e-Saba tu maojood hai. aor maiN tujh~ se mukhat^ib hooN. tu hee bata keh ke tere aane se gulshan kee faZ^a/fiZ^a par koee HaoSilah afza farq nah paRa. tune koee kaam nah dikh~aya. ab bata ae baad-e-Saba maiN ise kiya naam dooN. keh tere aane se bh~e yeh khanah kharabee rafa' nah ho sakee.......aek rang meN maiN baad-e-saba se shukwah sanj hooN keh tu hee bata....is khanah kharabee ko maiN kis naam se ta'beer karooN.
3,

shal ho gae dast-o-pa gao rah-e-muHabbat meiN
...... shayed aap meiN type karnaa bhool gay haiN.
par dashtnawardee ko hargiz nah buraa kahiYe!
........ pura bhi typo lag rahaa hail meiN iss buraa samajh rahaa hooN

aap ka mamnoon hooN keh aap meree typo par gehree nigah rakh~te haiN. aap ka kehna baja hai. is meN typo reh gaee hai.

sha'er pasand ayaa. daad!

shukryah Khawar SaHib!
4,

ham Harf-e-shikayat ko lab par naheeN laeeN ge
neerangee-e-daoraaN ko qismat ka likh~a kahiYe!

bohat khoob

aap ka mamnoon hooN!

5,

ik baar jo zulfooN ke saae tale aa beTh~a
us bandah-e-bebas ko zanjeer ba paa kahiYe!


bohat khoob. shaer zanjeer ba paa ki wajaa se pasand aayaa.

aadaab! aap kee muhabbat hai.!
6,

dastoor muHabbat ke badle haiN nah badle ge
ph~ir kiYooN nah taGhaful ko bh~ee Husn-e-ada kahiYe?

daad! ji aap ki baat maan laite haiN. :-)

shukryah :lol:

7,

naqqarah-e-hastee meN chub kiYoN haiN Muz^affar aap
--------- kia chub ki jage chup lainay ki ijaazat hai?

maiN aap kee muraad naheeN samajh~ paya....waZ^aHat farma deeN. shukriyah
!
gar muNh meN zabaaN hai to kuch~ beher-e-khuda kahiYe!


bohot khob huzor abhee kuch kehna baqi reh geya hai. :-)

HuZ^oor aSal baat to yeh hai keh kuch~ bh~ee nah keh paya hooN. aSal baat to reh gaee hai. baqaol-e-shae,ir

kuch~ bh~ee nah kaha aor keh bh~ee gae!
kuch~ kehte kehte reh bh~ee gae! :-)


Duaa gao,[/color]
Muhammad Khawar.
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

muHibbee Muzaffar SaaHeb: aadaab!

aap kee Ghazal dekhee aur paRh kar lut^f aayaa. zameen bohat achhee hai aur aap ne apne Khayaalaat ke iz^haar ke liYe alfaaz^ bhee Khoob muntaKhib kiYe haiN. aap ke yahaaN wazn aur beHr kaa koyee mas,alah naheeN hotaa hai aur yeh ek dil-Khushkun baat hai. albattah aap kaheeN kaheeN ma'nee-aafreenee meN bhaTak jaate haiN. agar ijaazat ho to do ek baateN a'rZ^ karooN. ho saktaa hai keh maiN Ghalat^ee par hooN, so aap us kee taSHeeH kar hee deN ge.
----------------------------------
1,
bedad-e-wafa kahiYe ya gqhr-e-khuda kahiYe?
uftaad-e-muHabbat ko kahiYe bh~ee to kiya kaiYe?

she'r se z^aahir hotaa hai jaise :uftaad-e-muHabbat: nateejah hai :bedaad-e-wafaa: kaa yaa :qehr-e-Khudaa: kaa. :qehr-e-Khudaa: tak to Theek hai lekin awwal to :wafaa: kee :bedaad: naheeN hotee bal.k :jafaa: kee hotee hai. doosre yeh keh :bedaad-e-wafaa/jafaa: nateejah hai :uftaad-e-muHabbat: kaa! goyaa aap ne baat ulTee kar dee hai! naz^ar-e-caanee kar leN to behtar ho gaa.
--------------------------------
2,
weeranee musallat^ hai jo SeHn-e-gulistaaN par
is khanah kharabee ko kiya baad-e-Saba kahiYe?

maiN ne woh jawaab dekhaa jo aap ne Khawar SaaHeb ko :baad-e-Sabaa: ke Hawaale se diyaa hai. lekin aap ke she'r kee bunat se yeh z^aahir hai keh aap :baad-e-Sabaa: se muKhaat^ib naheeN haiN! muHaawirah ke liHaaz^ se miSra' Ghalat^ hai. :ai baad-e-Sabaa: ke saath :kahiYe: yooN bhee durust nah hotaa. phir yahaaN to yeh Khit^aab z^aahir hee naheeN hai.
------------------------------
3,
shal ho gae dast-o-pa gao rah-e-muHabbat meN
par dashtnawardee ko hargiz nah bura kahiYe!

4,
ham Harf-e-shikayat ko lab par naheeN laeeN ge
neerangee-e-daoraaN ko qismat ka likh~a kahiYe!

5,
ik baar jo zulfooN ke saae tale aa beTh~a
us bandah-e-bebas ko zanjeer ba pa kahiYe!

6,
dastoor muHabbat ke badle haiN nah badle ge
ph~ir kiYooN nah taGhaful ko bh~ee Husn-e-ada kahiYe?

yeh chaaroN ash,a'ar achhe haiN. daad qubool keejiYe.
----------------------------
7,
naqqarah-e-hastee meN chub kiYoN haiN Muz^affar aap
gar muNh meN zabaaN hai to kuch~ beher-e-khuda kahiYe!

:naqqarah: meN koyee kyoN.kar :chhup: saktaa hai? yeh kisee jagah kaa naam to naheeN! yeh to :bugle: ko kehte haiN! mash,hoor hai keh:

zabaan-e-Khalq ko naqqaarah-e-Khudaa samjho

haaN :naqqaar-Khaaneh: meN aap :chhup: sakte haiN kyoN.k woh ek jagah kaa naam hai. aap ne sunaa ho gaa keh :naqqar-Khaaneh meN t^oot^ee kee aawaaz kaun suntaa hai:?

is she'r par bhee aap ko naz^ar-e-caanee karnee ho gee.

baaqee :raawee sab chain boltaa hai!:

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Qabil ehteraam Muzaffar Sb,

is she'er meN meree muraad yeh hai keh SeHn-e-gulistaaN par jo weeranee musallat^ hai. ise ae baad-e-Saba kiya naam deeN. Ya'nee ae baad-e-Saba tu maojood hai. aor maiN tujh~ se mukhat^ib hooN. tu hee bata keh ke tere aane se gulshan kee faZ^a/fiZ^a par koee HaoSilah afza farq nah paRa. tune koee kaam nah dikh~aya. ab bata ae baad-e-Saba maiN ise kiya naam dooN. keh tere aane se bh~e yeh khanah kharabee rafa' nah ho sakee.......aek rang meN maiN baad-e-saba se shukwah sanj hooN keh tu hee bata....is khanah kharabee ko maiN kis naam se ta'beer karooN.
leejiaye aap ki nazr kar rahaa hooN.

ub Husn tire par ham, kia koi ghazal likhaiN?
Jo ahl e nazar keh gay, kia uss se siwaa kahiaye :-)


(Muzaffar Sb, aap ki hi zameen par sha'er ki Soorat meiN aamad hoe, jis meiN mairaa mudda'aa bhi bayaan ho rahaa thaa. so likh diaa. agar ye iss taraH ki muhaafal meiN naa pasandeedigi ki nazar se daikhaa jaataa ho to meiN maa'zirat chahooN ga)
naqqarah-e-hastee meN chub kiYoN haiN Muz^affar aap --------- kia chub ki jage chup lainay ki ijaazat hai?

maiN aap kee muraad naheeN samajh~ paya....waZ^aHat farma deeN. shukriyah!
gar muNh meN zabaaN hai to kuch~ beher-e-khuda kahiYe!
ji meiN zaroor wazaaHat kar daitaa hooN. is sher ke pehly misrA meiN lafz chub likhaa huwaa hai. jo maire khayaal meiN chup yani khamosh honaa chahiaye. Aor iss lafz ko hamare mohtaram sarwar SaHib ne chhup leeyae hai. aor phir us ke mutaabiq tashreeH bhi farmaai hai. aap se abhaam door karne ki darkhaast hai.


aap ka shukarguzar,
Muhammad Khawar Siddiqui
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

a'zeezam Khawar SaaHeb: aadaab!

Muzaffar SaaHeb kee Ghazal par aap kaa tabSirah dekhaa thaa aur ab yeh doosraa Khat^ bhee paRhaa. maiN aap se muttafiq hooN keh :chub: ko dar-aSl :chup: (=Khaamosh) paRhnaa chaahiYe. maiN ne Ghalate^ se us ko :chuup: paRhaa hai. shukriyah.

Muzaffar SaaHeb kee Ghazal meN kitaabat kee kayee aGlaat^ haiN. ummeed hai keh woh :chub: kee tashreeH se iltibaas door kar deN ge.

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Sarwar Raz wrote:a'zeezam Khawar SaaHeb: aadaab!

Muzaffar SaaHeb kee Ghazal par aap kaa tabSirah dekhaa thaa aur ab yeh doosraa Khat^ bhee paRhaa. maiN aap se muttafiq hooN keh :chub: ko dar-aSl :chup: (=Khaamosh) paRhnaa chaahiYe. maiN ne Ghalate^ se us ko :chuup: paRhaa hai. shukriyah.

Muzaffar SaaHeb kee Ghazal meN kitaabat kee kayee aGlaat^ haiN. ummeed hai keh woh :chub: kee tashreeH se iltibaas door kar deN ge.

Sarwar A. Raz :Sarwar:


moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar saHib aadaab-o-taseemaat!

1,
Khawar SaHib ke naam aap ka khat^ dekh~a hai. aap jumlah HaZ^raat durust farma rahe haiN. yeh typo se :chup: ke bajae :chub likh~a geya hai. meree muraad hai. keh muz^affar tu naqqarah-e-hastee meN kiYooN khamosh (chup) hai.

2,
aor naqqarah-e-hastee se naqqar khanah-e-hastee muraad lene kee nakaam koshish kee hai.

dar-aSl mere paas jo keyboard hai. who Garman t^arz ka hai. aor chand alfaaz^ angreezee t^areeq se haT kar likh~e haiN is liye beaHteyat^ee se aesee aGhlaat ka hona e'aen mumkin hai.

maiN khud bh~ee is silsilah meN cheezeeN lagane ke ba'd kafee talash se kaam leta hooN lekin dh~iyaan naheeN rehta. kaee t^arH kee typo ba'd meN dost eHbaab nikaal dete haiN. is liye un aap aor un sab ka mamnoon hooN.

Wassalam
Muz^affar
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

muhammad_19k wrote:Qabil ehteraam Muzaffar Sb,

is she'er meN meree muraad yeh hai keh SeHn-e-gulistaaN par jo weeranee musallat^ hai. ise ae baad-e-Saba kiya naam deeN. Ya'nee ae baad-e-Saba tu maojood hai. aor maiN tujh~ se mukhat^ib hooN. tu hee bata keh ke tere aane se gulshan kee faZ^a/fiZ^a par koee HaoSilah afza farq nah paRa. tune koee kaam nah dikh~aya. ab bata ae baad-e-Saba maiN ise kiya naam dooN. keh tere aane se bh~e yeh khanah kharabee rafa' nah ho sakee.......aek rang meN maiN baad-e-saba se shukwah sanj hooN keh tu hee bata....is khanah kharabee ko maiN kis naam se ta'beer karooN.
leejiaye aap ki nazr kar rahaa hooN.

ub Husn tire par ham, kia koi ghazal likhaiN?
Jo ahl e nazar keh gay, kia uss se siwaa kahiaye :-)


(Muzaffar Sb, aap ki hi zameen par sha'er ki Soorat meiN aamad hoe, jis meiN mairaa mudda'aa bhi bayaan ho rahaa thaa. so likh diaa. agar ye iss taraH ki muhaafal meiN naa pasandeedigi ki nazar se daikhaa jaataa ho to meiN maa'zirat chahooN ga)
naqqarah-e-hastee meN chub kiYoN haiN Muz^affar aap --------- kia chub ki jage chup lainay ki ijaazat hai?

maiN aap kee muraad naheeN samajh~ paya....waZ^aHat farma deeN. shukriyah!
gar muNh meN zabaaN hai to kuch~ beher-e-khuda kahiYe!
o ahl e nazar keh gay, kia uss se siwaa kahiaye
aap ka shukarguzar,
Muhammad Khawar Siddiqui
moHtaram Khawar SaHib aadaab!
ub Husn tire par ham, kia koi ghazal likhaiN?
Jo ahl e nazar keh gay, kia uss se siwaa kahiaye :-)
Is bat se mujh~ ko bh~ee inkaar naheeN "Khawar"
"Jo ahl e nazar keh gay, kia uss se siwaa kahiaye"

aap kee muhabbat ka mamnoon hooN. chaleeN aap kee khat^ir beHer meN keh deta hooN. :lol:

is naz^r-e-i,nayat ka mamnoon hooN maiN "Khawar" :-)
ji meiN zaroor wazaaHat kar daitaa hooN. is sher ke pehly misrA meiN lafz chub likhaa huwaa hai. jo maire khayaal meiN chup yani khamosh honaa chahiaye. Aor iss lafz ko hamare mohtaram sarwar SaHib ne chhup leeyae hai. aor phir us ke mutaabiq tashreeH bhi farmaai hai. aap se abhaam door karne ki darkhaast hai.
jee yeh typo se hogeya hai. aap ka mamnoon hooN.

yaar zindah SuHbat baaqi!

Wassalam
Muz^affar
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Post by yasir shah »

Muzaffar SaaHib !

aap ki Ghazal nazar se guzree ,,andaaz-e-bayaaN u'mdah hay laiken sawaal yeh hay keh bayaan kyaa kiyaa jaa rahaa hay ?,,bas yahaaN aa kar baRay baRoN ki sooee aTak jaatee hay ,ya'nee wuhee qiSSah ulfat kaa ,wuhee duKhRaa furqat kaa !

Sarwar SaaHib ke mashwaray qeematee hotay heN ,, liKhte rahiye ,bas takhayyul khuSooSee tawajjoh chaahtaa hay aur kyaa kahooN bajuz is ke keh :

innal.insaana lafee khusr




khush rahiye
du'aago
yasir
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Quote:

ub Husn tire par ham, kia koi ghazal likhaiN?
Jo ahl e nazar keh gay, kia uss se siwaa kahiaye


Is bat se mujh~ ko bh~ee inkaar naheeN "Khawar"
"Jo ahl e nazar keh gay, kia uss se siwaa kahiaye"

aap kee muhabbat ka mamnoon hooN. chaleeN aap kee khat^ir beHer meN keh deta hooN.

is naz^r-e-i,nayat ka mamnoon hooN maiN "Khawar"


=D> =D> =D> =D>
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Post Reply