Tarahee Ghazal Guzarish (26)

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Tarahee Ghazal Guzarish (26)

Post by jawaid badauni »

MoHtarmee Muzaffar SaaHab
Tasleemaat

Aap ka bohat bohat shukriya keh aap ne ek hote huwwey achche adabee kaam ko rukne nah diya. Abdulla Nazir SaaHab ko yeh jaan ker bohat Khooshee hogee keh unki Alaalat ke dauran bhee hum logoN ne unke kaam ko jaree rakhkha. Allah unheN jald shifa de aur woh aainda Khood iss mehfil ka eHtmaam kareN, aamin.

Koii bohat murassah Ghazal tou nahiN ho sakee hai. ChoTee zameen meN kahan waise bhi dushwaar hota hai. Bus baiThe baiThe chund ashAAr kah liye haiN jo aap ki nazr haiN. Ummid hai aap wa deegar membaraan apni giraaNqadr aara se nawazeNge.

Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni

-------------------------------------------------------------------------------

bekasoN per zulm Dhaanaa choR de
Arsh ka paaya hilaana choR de

mehfiloN meN aana jaana choR de
warna phir aaNsoo bahaana choR de

Iss se baRh ker bhee koii n’emat hai kya
“Koii kaise dil lagaana choR de”

Main tou duniya se bohat beezaar hooN
Kaash mujh ko bhee zamaana choR de

shiddat.e eHsas.e gham apni jagah
Kaise koii muskuraana choR de

Main Gam.e janaN bhulaa dooN, kya kahaa?
yAAni ik muflis Khazana choR de

phir saNbhalNge tujhe tere qadam
pahle tou auroN ka shaana choR de

ho raha hai phir kisaanoN per sitam
phir kaho "Mamata" se khaana choR de *

yeh nahiN :Jawaid: tere bus ka kaam
shaairee per zulm Dhaanaa choR de

* iss sher ka taAlluq ek siyasee
bhook haRtaal se hai jo W.Bengal meN
ek Khatoon ne kisanoN pe zulm ke Khilaaf kee thee.
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

mukarram-o-mohtaram Janab Jawaid Badauni SaHib aadaab!
Aap ka bohat bohat shukriya keh aap ne ek hote huwwey achche adabee kaam ko rukne nah diya. Abdulla Nazir SaaHab ko yeh jaan ker bohat Khooshee hogee keh unki Alaalat ke dauran bhee hum logoN ne unke kaam ko jaree rakhkha. Allah unheN jald shifa de aur woh aainda Khood iss mehfil ka eHtmaam kareN, aamin.
aap ka shukrguzaar hooN keh aap ne meree ma'mulee se koshish ko pasand farmaya aor HaSilah bh~ee baRh~aya. aap ka shukriyah!

jee Jawaid bh~aee khuda kare keh Nazir SaHib jald SeHt yaab hokar mehfil kee garmee aor jaolaani ka sabab ban jaeeN.

Koii bohat murassah Ghazal tou nahiN ho sakee hai. ChoTee zameen meN kahan waise bhi dushwaar hota hai. Bus baiThe baiThe chund ashAAr kah liye haiN jo aap ki nazr haiN. Ummid hai aap wa deegar membaraan apni giraaNqadr aara se nawazeNge.
HuZ^or agar yeh :muraSSa': Ghazal naheeN hai. to aor kaesee GhazleeN is ma'aar par puree utartee haiN. aSl cheez to kheyaal, ada bandee, aor rang-e-taGhazzul hai. jis ka aap ke haaN ehtemaam maojood hai. aor jahaaN tak aozaan kee baat hai. us par bh~ee aap kee garift baRee maZ^boot^ hai. to ph~ir kiYooN nah is Ghazal ko aek :muraSSa': Ghazal kaha jae???

bekasoN per zulm Dhaanaa choR de
Arsh ka paaya hilaana choR de

Bohot khoob, waah, waah...

mehfiloN meN aana jaana choR de
warna phir aaNsoo bahaana choR de

kiya kehne, waah,waah...

Iss se baRh ker bhee koii n’emat hai kya
“Koii kaise dil lagaana choR de”

Bohot khoob, bohot u'mdah girah lagaee hai.

Main tou duniya se bohat beezaar hooN
Kaash mujh ko bhee zamaana choR de

kiya kehne Jawaid bh~aee waah, waah..

shiddat.e eHsas.e gham apni jagah
Kaise koii muskuraana choR de

lajawaab hai. Jawaid bh~aee waah, waah

Main Gam.e janaN bhulaa dooN, kya kahaa?
yAAni ik muflis Khazana choR de

Bohot khoob,waah, waah, aap ke makhSooS rang meN she'er hai. waah.

phir saNbhalNge tujhe tere qadam
pahle tou auroN ka shaana choR de

kiya kehne!

ho raha hai phir kisaanoN per sitam
phir kaho "Mamata" se khaana choR de *

kiya kehne waah waah.

yeh nahiN :Jawaid: tere bus ka kaam
shaairee per zulm Dhaanaa choR de

Bohot khoob waah waah! Jawaid bh~aee kiya kehne!

aap ka kehna apnee jagah lekin meree rae,Y bh~ee sunte jae,iY keh,

"yeh nahiN :Jawaid: tere bus ka kaam"
shae,iree kar fikr-e-dunya ch~ooR de. :-)

mujh~e ummeed hai keh meree tajweez par Ghaor farmaeeN ge! :-)
Is HaseeN koshish par jahaaN aap ka be had mamnoon hooN. wahaaN dilee mubarak baad bh~ee pesh kar raha hooN. qubool farmaeeN.

Wassalam
Muz^affar
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Azeezi Muzaffar Saahab,
Aadaab

Aapki purKhuloos daad ke liye behud mamnoon hooN. Pahle bhee Arz kar chuka hooN keh aap ki daad.o.taHseen meN aap ka KhulooS shamil ho jata hai. Warna Haqeeqat yehee hai keh yeh meri bohat sada GhazaloN meN se ek hai. Tarahee GhazaleN Amuman ujlat meN hi kahee jaate haiN aur choTe zameeN meN ziyadah kuch kahna mumkin bhi nahiN hota. Lekin qawafee bohat aasaan haiN. Mujhe ummid hai kuch aur achchee GhazaleN bhi dekhne ko mileNgee, Insha Allah.

Inn tarahee MushaairoN ka sub se baRa faaidah yehee hai keh yeh l hameN mashq.e suKhan ka mauqa faraham kartee haiN. LeHaZah iss sislsilay ko jaaree.o.saaree arkhiyega, main aap ke saath hooN.

Ek baar phir bohat bohat shukriya.

MuKhliS
Jawaid Badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

jawaid badauni wrote:Azeezi Muzaffar Saahab,
Aadaab

Aapki purKhuloos daad ke liye behud mamnoon hooN. Pahle bhee Arz kar chuka hooN keh aap ki daad.o.taHseen meN aap ka KhulooS shamil ho jata hai. Warna Haqeeqat yehee hai keh yeh meri bohat sada GhazaloN meN se ek hai. Tarahee GhazaleN Amuman ujlat meN hi kahee jaate haiN aur choTe zameeN meN ziyadah kuch kahna mumkin bhi nahiN hota. Lekin qawafee bohat aasaan haiN. Mujhe ummid hai kuch aur achchee GhazaleN bhi dekhne ko mileNgee, Insha Allah.

Inn tarahee MushaairoN ka sub se baRa faaidah yehee hai keh yeh l hameN mashq.e suKhan ka mauqa faraham kartee haiN. LeHaZah iss sislsilay ko jaaree.o.saaree arkhiyega, main aap ke saath hooN.

Ek baar phir bohat bohat shukriya.

MuKhliS
Jawaid Badauni

moHtaram Jawaid Badauni SaHib aadaab!

aap ne baja irshaad farmaya hai. keh ch~Tee beHer kee GhazleeN u'muma" ujlat meN ho jateeN haiN. aor mera bh~ee yehee tajrubah hai keh u'aam t^aor par aesee GhazleeN aek hee fikr meN ho jatee haiN ya'anee faora" hee uoslah dh~aar barish kee t^arH sare she'er ho jate haiN. aor bas wohee waqt hota hai. jitne she'er bh~ee aaeN likh~te jaeeN. ba'd meN aamad naheeN hotee. chahe laakh~ koshish kee jae she'er maozooN naheeN hota.

Jawaid bh~aee yeh jaan kar baRee khushee koee keh t^arHee mushae,irooN ko zindah rakh~ne meN aap pesh pesh haiN. khuda aap ke jazbah Ghazal ko zindah rakh~e. Ameen!

aap kee Ghazal dekh~ raha th~a keh barish shuro' ho gaee! :lol: aor chand she'er isee beHer meN ho gae haiN. abh~ee laga deta hooN.

moHtarmah Zarqa baaji ke sawaal par ser HaSil tshreH dekh~ kar jee baRa khush huwa. is imdaad ke liye aap ka mamnoon hooN.

Zeyadah khuloS!

Wassalam
Muz^affar
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Fri Mar 09, 2007 11:54 am, edited 2 times in total.
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Tarahee Ghazal Guzarish (26)

Post by haamidbaaqri »

jawaid badauni wrote:MoHtarmee Muzaffar SaaHab
Tasleemaat

Aap ka bohat bohat shukriya keh aap ne ek hote huwwey achche adabee kaam ko rukne nah diya. Abdulla Nazir SaaHab ko yeh jaan ker bohat Khooshee hogee keh unki Alaalat ke dauran bhee hum logoN ne unke kaam ko jaree rakhkha. Allah unheN jald shifa de aur woh aainda Khood iss mehfil ka eHtmaam kareN, aamin.

Koii bohat murassah Ghazal tou nahiN ho sakee hai. ChoTee zameen meN kahan waise bhi dushwaar hota hai. Bus baiThe baiThe chund ashAAr kah liye haiN jo aap ki nazr haiN. Ummid hai aap wa deegar membaraan apni giraaNqadr aara se nawazeNge.

Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni

-------------------------------------------------------------------------------

bekasoN per zulm Dhaanaa choR de
Arsh ka paaya hilaana choR de

mehfiloN meN aana jaana choR de
warna phir aaNsoo bahaana choR de

Iss se baRh ker bhee koii n’emat hai kya
“Koii kaise dil lagaana choR de”

Main tou duniya se bohat beezaar hooN
Kaash mujh ko bhee zamaana choR de

shiddat.e eHsas.e gham apni jagah
Kaise koii muskuraana choR de

Main Gam.e janaN bhulaa dooN, kya kahaa?
yAAni ik muflis Khazana choR de

phir saNbhalNge tujhe tere qadam
pahle tou auroN ka shaana choR de

ho raha hai phir kisaanoN per sitam
phir kaho "Mamata" se khaana choR de *

yeh nahiN :Jawaid: tere bus ka kaam
shaairee per zulm Dhaanaa choR de

* iss sher ka taAlluq ek siyasee
bhook haRtaal se hai jo W.Bengal meN
ek Khatoon ne kisanoN pe zulm ke Khilaaf kee thee.
biradaram jawaid saahib
Assalaam o alaikum

kaisay hai.n aap?

"shiddatay ehsaasay gham apni jagah
kaisay koyee muskuraana chor day"

bahut khoob jawaid bhai.

aapki is murassa ghazal per hamaari dilee daad qubool farmaaye.n.

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Tarahee Ghazal Guzarish (26)

Post by jawaid badauni »

haamidbaaqri wrote:

Azeezi Haamid Saahab
Aadaab

Ghazal ki pazeeraayee ke liye aap ka mamnoon hooN.
Aapki Ghazal ka intezaar hai.

MuKhliS
Jawaid
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtarami Janab Jawaid Sb,

aap ki behreen kawish nazroaN se guzri. muzaffar Sb oar hamid baaqri sb ka tabSiraa bhi paRhaa to sochaa apne taassurrat qalam band kar ke meiN bhi shaheedoaN meiN naam likhwaa looN.

bekasoN per zulm Dhaanaa choR de
Arsh ka paaya hilaana choR de

bohat khoob. kamaal khoobSoorti se aap ne mazloom ki daad rasi aor zaalim ko tanbeeh ki hai. i. Allah taalaa aap ko ajar day.

mehfiloN meN aana jaana choR de
warna phir aaNsoo bahaana choR de

konsi behfiloN meiN aanaa jaanaa chuRwana chahteiN aap? kuch uss ke baare meiN bhi to ishaaraa farmaa-aye.

Iss se baRh ker bhee koii n’emat hai kya
“Koii kaise dil lagaana choR de”

ahaa haa. waha janab wah. zabardast giraa lagai hai aap ne.

Main tou duniya se bohat beezaar hooN
Kaash mujh ko bhee zamaana choR de

bohat khoob!

shiddat.e eHsas.e gham apni jagah
Kaise koii muskuraana choR de

bohat khoob janab. khoob kahi.

Main Gam.e janaN bhulaa dooN, kya kahaa?
yAAni ik muflis Khazana choR de

khayaal bohat khoobsoorat hai. laikin doosre miSra meiN "muflis" mujhe kuch durust mehsoos naheeN huwa. pehley miSre meiN ghama jaanaa (jise baad meiN khazanay se tashbee di gayee hai) us ki malkiat zaahir ki gayee hai. jub khazana aa chuka ( jis ke chhorne ka zikar ubb ho rahaa hai. ) to muflisi kaisi rahi?

phir saNbhalNge tujhe tere qadam
pahle tou auroN ka shaana choR de

ji bohat khoob.

ho raha hai phir kisaanoN per sitam
phir kaho "Mamata" se khaana choR de *

ye shair bhi achhchaa lagaa.

yeh nahiN :Jawaid: tere bus ka kaam
shaairee per zulm Dhaanaa choR de

janab ye khayaal toa mujhe bilkul pasand naheeN aayaa. :-). waise shararat bohat khoob hai. daad!

* iss sher ka taAlluq ek siyasee
bhook haRtaal se hai jo W.Bengal meN
ek Khatoon ne kisanoN pe zulm ke Khilaaf kee thee

iss wazaahat ka shukriya jis ki shadeed zaroorat thi us sha'er ko samajhne ke leeaye.

Allah kare zore qalam oar ziadaa,

du'aa goa
Muhammad K. Siddiqqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

muhammad_19k wrote:Mohtarami Janab Jawaid Sb,

Azeezi Khawar SaaHab,
aadaab

Ghazal ki pazeeraaii ke liye behud mamnoon hooN.
Aapki Ghazal ka intzaar hai.

Aapka MuKhliS

Jawaid Badauni
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Tarahee Ghazal Guzarish (26)

Post by jawaid badauni »

sara_j wrote:
jawaid badauni wrote: MoHtarmee Muzaffar SaaHab
Tasleemaat

Aap ka bohat bohat shukriya keh aap ne ek hote huwwey achche adabee kaam ko rukne nah diya. Abdulla Nazir SaaHab ko yeh jaan ker bohat Khooshee hogee keh unki Alaalat ke dauran bhee hum logoN ne unke kaam ko jaree rakhkha. Allah unheN jald shifa de aur woh aainda Khood iss mehfil ka eHtmaam kareN, aamin.

Koii bohat murassah Ghazal tou nahiN ho sakee hai. ChoTee zameen meN kahan waise bhi dushwaar hota hai. Bus baiThe baiThe chund ashAAr kah liye haiN jo aap ki nazr haiN. Ummid hai aap wa deegar membaraan apni giraaNqadr aara se nawazeNge.

Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni

-------------------------------------------------------------------------------

bekasoN per zulm Dhaanaa choR de
Arsh ka paaya hilaana choR de

mehfiloN meN aana jaana choR de
warna phir aaNsoo bahaana choR de

Iss se baRh ker bhee koii n’emat hai kya
“Koii kaise dil lagaana choR de”

Main tou duniya se bohat beezaar hooN
Kaash mujh ko bhee zamaana choR de

shiddat.e eHsas.e gham apni jagah
Kaise koii muskuraana choR de

Main Gam.e janaN bhulaa dooN, kya kahaa?
yAAni ik muflis Khazana choR de

phir saNbhalNge tujhe tere qadam
pahle tou auroN ka shaana choR de

ho raha hai phir kisaanoN per sitam
phir kaho "Mamata" se khaana choR de *

yeh nahiN :Jawaid: tere bus ka kaam
shaairee per zulm Dhaanaa choR de

* iss sher ka taAlluq ek siyasee
bhook haRtaal se hai jo W.Bengal meN
ek Khatoon ne kisanoN pe zulm ke Khilaaf kee thee.
Jawaid bhai,

adaab arz hai.

ghazal bohat pasand aayi aur ye ashaar bohat ziyada pasand aaye

Main tou duniya se bohat beezaar hooN
Kaash mujh ko bhee zamaana choR de

Main Gam.e janaN bhulaa dooN, kya kahaa?
yAAni ik muflis Khazana choR de

phir saNbhalNge tujhe tere qadam
pahle tou auroN ka shaana choR de

yeh nahiN :Jawaid: tere bus ka kaam
shaairee per zulm Dhaanaa choR de....... :-)

aur girah bhi khoob lagai ahi aur siyaasi rang mein likha shair
bhi pasand aaya

dhair saari daad qubool keejiye.

sara

Azeezah Sara SaaHibah
Aadaab

Himmat afzaaii ke liye aap ka mamnoon hooN. Ummid hai
jald hi aap bhee apni tarahee Ghazal se nawazeNgee.

MuKhliS
Jawaid
Post Reply