ash'aar-e-Arabee ma' tarjamah

Deeni maloomat aur aurAnbiyaa SAWS ke qissaoN kaa bayaan

Post Reply
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

ash'aar-e-Arabee ma' tarjamah

Post by yasir shah »

naaZ'ireen !
assalamOa'laikum

Arabee ash.'aar paish-e-khidmat heN:





izaa qarubat saa,'at.uN.yyaalahaa
wa.zulzilat.il.arZu zilzaalahaa


jab qiyaamat qareeb ho gee to kyaa ho gaa ,,zameen pooray zalzalay meN ho gee-

taseer.ul.jibaalu 'alaa sur.'atin
kamarri.ssaHaabi taraa Haalahaa


daf'atan pahaaR uRnay lagaiN gay ,, jis t'araH abr ko tum uRtay huwe daiKhtay ho

wa tanfat'ir.ul.arZu min.nafkhatin
hunaalika tukhriju acqaalahaa


Soor ke PhooNknay ki wajah se zameeN Phat jaa.ay gee,, aur us waqt apnay bojh ko nikaal day gee

walaa budda min saailin qaailin
min.annaasi yaumaizi.mmaalahaa


logoN meN se us shakhS kaa honaa Zarooree hay jo us din sawaal karay,, aur kahay keh is (zameen) ko kyaa ho gayaa ?

tuHaddicu akhbaarahaa rabbahaa
wa rabbuka laa shakka auHaa lahaa


woh apnaa Haal rab se bayaan kar day gee,, aur tumhaaray rab ne yaqeenan us ke paas waHee bhaijee hay

wa yaSduru kullun ilaa mauqifin
yuqeem.ul.kuhoola wa at'faalahaa


aur sab ke sab mouqif par pahuncheN gay,, aisaa mauqif jo udhaiR aur bachchay sab ko Thahraataa hay

tarannafsu maa a'milat muHZaran
wa.lau zarratan kaana micqaalahaa


jo kuCh insaan ne kiyaa hay sab ko moujood paa.ay gaa ,, agarcheh woh chyooNTee ke baraabar ho

yuHaasibuhaa maalikun qaadirun
fa.immaa 'alaihaa wa immaa lahaa


woh khudaa jo maalik-o-qaadir hay nafs se muHaasabah karay gaa,, to nafs nuqSaan meN rahay gaa yaa nafa' meN

tarannaasa sukraa bilaa qahwatin
walaakin tara.l.'aina maa haa lahaa


tum logoN ko daiKho gay keh baGhair piye huwe nashay meN hoN gay,, magar tum aaNkh ko daiKho gay keh kis cheez ne us ko is qadar khoufzadah kar diyaa hay

zunoobee balaaee famaa Heelatee
izaa kuntu fi.l.ba'ci Hammaalahaa


mere gunaah muSeebat huwe bas ab kyaa tadbeer hay, jab qiyaamat meN meN apnay gunaahoN ko laaday hooN gaa

naseet.ul.ma.'aada fayaa wailahaa
wa a't'aitu linnafsi aamaalahaa


meN aakhirat ko faraamosh kiye rahaa , pas afsos ! , aur nafs ki aarzooaiN aur khwaahisheN pooree keeN-






Allaah ham ko a'maal-e-bad aur aakhirat ki sakhtiyoN se maHfooZ' raKhkhay-aameen


Haashiyah

mazkoorah ash.'aar "deewaan-e-Ali" se maakhooz heN keh jo 'aam dastyaab hay ,magar chooNkeh is kitaab ki tasneed meN naamwar muSannifeen jaisay "Sulaiman Nidwee " waGhairah ne ibhaam kaa iZ'haar kiyaa hay liHaaZ'aa HaZrat Ali (R.A) ke naam ke saath yeh ash.'aar paish karnaa khat'ray se khaalee naheeN,chunaaNcheh un kaa naam haTaa diyaa gayaa hay- ma'zarat
Last edited by yasir shah on Fri Mar 23, 2007 2:16 am, edited 1 time in total.
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

jazaka Allah
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Post by yasir shah »

idhar tawajjoh farmaanay kaa shukriyah

aap kaa "signatature" aap ki a'qeedat-e-rasool (SalAllaahu.'alaihiwasallam ) kaa maZ'har hay -kisee kaa kyaa khoob na'tiyah miSra' hay keh

ba'd az khudaa buzurg tu hi qiSSah mukhtaSar

aap ko bhi yeh maah bahut mubaarak ho -
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

:salaam: Yasir saheb, share karne ka bohat shukria.
:jazak:
سالم احمد باشوار
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Post by yasir shah »

sbashwar SaaHib !
aap ki tawajjoh kaa shukrguzar hooN- Haashiyah zaraa dubaarah paRh leejiye gaa-

shukriyah
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Post by yasir shah »

sara_j wrote:shukriya yasir bhai.
jazaakAllah -


Sbashwar SaaHib aur bahan Saaraa !

ba'd az salaam ,
a'rZ yeh hay keh naam ke neechay se itnaa baRaa "sukhanwar" kaa takhtah to haTaa daiN -bad.numaa lag rahaa hay-

yasir
Post Reply