saRak ke beech _______Jalib ,,(wukalaa ke naam )

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

saRak ke beech _______Jalib ,,(wukalaa ke naam )

Post by yasir shah »

aadaab naaZ'ireen !

HabeeB jaaliB ki aik naZ'm apnay mulk ke wukalaa ki nazr kartaa hooN keh jo inqilaab Zaroor barpaa karaiN gay -jarnail nah bhi utraa to bhi qaanoon kaa sar bulaNd ho gaa kyooNkeh inhoN ne apnaa lahoo bahaayaa hay -

yeh nazm Habeeb Jaalib ki tab ki hay keh jab un ki bhi "Lahore" meN aik iHtijaaj ki rahnumaai kartay huwe piTaaee huwee thee:



baray banay thay Jaalib SaaHib piTay saRak ke beech
gaalee Khaaee , laaThee Khaaee, giray saRak ke beech

kabhee giraibaaN chaak huwaa aur kabhee huwaa dil khooN
hamaiN to yooN hi milay sukhan ke Silay saRak ke beech

jism par jo zakhmoN ke nishaaN heN apnay tamGhay heN
milee hay aisee daad wafaa ki kisay saRak ke beech




waaZeh rahay keh kashmakash-e-HaaZir meN a'Z'eem shaai'r "Ahmed Faraz " ne bhi "press club" ke baahir jarnail ke khilaaf iHtijaaj kiyaa hay magar "khaamosh"- :-)
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

:salaam: Yasir Saheb,
Shukria nazm share karne ka. Bohat umda kalaam hai.
سالم احمد باشوار
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Post by yasir shah »

Sbashwar SaaHib aur Saaraa bahan !

paRhne kaa shukriyah
Post Reply