Ummeed Apni BaSirat Khooo Rahi Hai...

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Ummeed Apni BaSirat Khooo Rahi Hai...

Post by munir-armaan-nasimi »

Ek ghazal... Aabroo-e-Ghazal... Nasir Kaazmi Saheb ki Nazr... Ummeed hai ke aap sab Ghazal Premiyon ko Pasand Aayegi....!!

Mujhe aap sab ki aara' ka be-sabri se intezaar hai.

Regards,

Munir Armaan Nasimi
Attachments
Ghazal-Umeed-Apni-Basirat.gif
Ghazal-Umeed-Apni-Basirat.gif (24.06 KiB) Viewed 699 times
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

:salaam: Munir Saheb
Aapki ghazal ka matla'a, #2 aur #4 asha'ar bhi bohat pasand aye.
Meri mubarakbaad aur daad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Salam Munir SaHab,

Aik aor achchi ghazal par mubarakbad qabool kijiaye.

1. matla'aa achchha hai.

2. ye shair pasand aayaa.

3. doosra miSra "zindigi" ki wajaa se bewazn maloom ho rahaa hai. aap daikh lijiaye.

4. ye shair bhia achchha hai

5. " ki koi qadr daani" kaaf ki aawaaz ki takraar hai. mujhe bhali na lagi. ho saktaa hai baaqi dostaoN ka khyaal mukhtalif ho.

6. maqta pasand aayaa.

ijaazat chaahooN ga,

aap ka mukhlis,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

Bhai Salem Bashwar Saheb,

Meri 'ghazal' ke sirf sher No. #2 and #4 aap ko pasand aaye.... mujhe bahut afsoos hoa... kitna socha tha ke...Salem bhai ko..... Sher No. 3, 5 aur Maqta...( jahan main ne apne takhallus ko bade pyare andaaz main ishtemaal kiya hai)... jaroor pasand aayenge magar...... Aadmi jo sochta hai woh hota kahaan hai....??!

Anyway, agli baar koshish karoonga ke aisi ghazal kahoon jiske tamaam sher aap ke dil ko chhooo jaayein.

Aap ka apna,

Armaan
Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain

MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

Behad Mukhlis Bhai Muhammad Siddiqui Saheb,

Salam-o-Rehmat! Behad mamnoon hoon ke aap ne meri ghazal ko pasand kia aur kuch 'suggestions' bhi diye hain. Insha'Allah main un suggestions pe gaur karoonga. aap jaise sukhan-fahm qaari ki badaulat hamari ghazal sanwar jaati hain. ummeed hai ke aaindah bhi apni aara se nawaazenge.

aap ka apna,

armaan
Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain

MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: Ummeed Apni BaSirat Khooo Rahi Hai...

Post by Shummu »

hai Ghaayal aaj asmat ka parinda
hayaa daaman saNbhaale ro rahi hai!


wahhhh..bahut accha sher hai...!

maiN shikasta us ke kandhoN paR paRa hoon
zindagi bojh mera Dhoo rahi hai!


wah wah bahut khoob kaha!

udhar titli ke par jalne lage haiN
idhar ummeed be rang ho rahi hai


ye sher samjhaa denge to hum bhi sher ka lutf uthaa sakenge..shukriya:)


maqta bhi bahut hi umda hai aur aapke takhallus ka istimaal bahut accha laga... majmui taur pe ghazal umda hai aur daad ki mustehaq so daad pesh hai qubool farmaayein munir sahab :grin:

adaab,
shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

Shummu ji... kya baat hai... aap ko sher hum samjhaein.... ??? Ulti Ganga bah rahi hai... bahar-haal hum samjha nahin rahe hain.... bas bata dete hain ke humne ye sher kya soch kar kaha hai...

udhar titli ke par jalne lage haiN
idhar ummeed be rang ho rahi hai

"Titli" ke par 'sat-rangi' hote hain... khushnuma hote hain.... theek hamare "Sapnon" (Dreams) kii tarah..... Jab aadmi khwaab dekhta hai to tarah tarah i ummeedein bhi bandhta rehta hai. Magar jab us Titli ke par jalne lagte hain (matlab jab khwaab toot kar bhikarne lagte hain) to dil ki ummeed be-rang ho jaati hai..... matlab mayoosi main badal jaati hai.

Ummeed hai ke ab aap daad jaroor dengi...!!
Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain

MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

wah bahut accha khayaal kalaamband kiya hai aapne..waqaii qaabil-e-daad hai...!!!!

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

Armaan-nawazi ka tah-e-dil se mamnoon hoon....!!
Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain

MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Naseem SaaHeb:aadaab!

aap kee Ghazal kayee din huwe shauq se paRhee thee lekin aaj likhne kaa mauqa' milaa hai. Ghazal kaa u'moomee raNg pasand aayaa. saath hee Zehn meN chand sawaal bhee paidaa huwe. so aap se hee poochhe letaa hooN. ummeed hai keh waZ^aaHatoN se sarfaraaz kareN ge. shukriyah!
---------------------------------------------
umeed apnee baSeerat kho rahee hai
:udaasee baal khole ro rahee hai:

mat^la' Theek hai lekin yeh samajh meN nah aayaa keh agar aap kee ummeedeN TooT gayee haiN (aur aap is se yaqeena" udaas hoN ge) to :udaasee baal khol kar kyoN roYe gee: aur is kaa mat^lab kyaa hai? agar ummeed hee :baal khol kar rotee: to Gham kaa naqshah bantaa lekin udaasee kaa ronaa a'jeeb see baat hai. mumkin hai khe maiN samajh naheeN sakaa!
---------------------------------
hai ghaayel aaj i'Smat kaa parindah
Hayaa daaman saNbhaale ro rahee hai

:aaj: se kyaa muraad hai? kyaa kisee waa,qia'h kee jaanib ishaarah hai. yeh apne i'lm ke liYe poochh rahaa hooN.
----------------------------
maiN shikastah us ke kandhoN par paRaa hooN
zindagee bojh meraa Dho rahee hai

donoN miSre' wazn se Khaarij haiN. in ko durust kar leN to behtar ho gaa.
----------------------------------
udhar titlee ke par jalne lage haiN
idhar ummeed be-raNg ho rahee hai

doosraa miSra' wazn meN naaqiS hai. taqt^ee' kar ke taSdeeq kar lene meN harj naheeN hai. phir :titlee ke par jalnaa: a'laamat kis baat kee hai? aap ne shaayad dekhaa ho lekin maiN ne titlee ke par jalte naheeN dekhe aur nah hee sune! goyaa mat^lab Ghair-waaZ^eH aur naa-maanoos ho gayaa hai. kam se kam mujh ko aisaa hee ma'loom huwaa. ma'Zirat!
---------------------------------
naheeN ab sach kee qadrdaanee
keh i'zzat jhooT kee ab ho rahee hai

waqt kaa achaa Haal likhaa hai. daad!
--------------------------------
meree aaNkhoN se saawan jam ke barse
zameeN chehre ko apne dho rahee hai

:meree: ko :miree: honaa chaahiYe taa.k wazn qaa,im rahe
----------------------------
woh paglee yaas kee banjar zameeN par
naYe Arman phir se bo rahee hai

:zameen par: naheeN :zameen meN: cheez boyee jaatee hai. doosre yeh keh Arman aap kaa taKhalluS hai. is ko aap :ummeed: ke ma'nee meN likh sakte haiN lekin phir yeh aap kaa taKhalluS naheeN rahe gaa. Ghaur kareN ge to yeh nuktah aap par z^aahir ho jaaYe gaa.
======================
koyee baat naa-gawaar guzree ho to ma'Zirat!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

Ustaad-e-Girami Sarwar Alam Raz 'Sarwar' Saheb,

Salam-o-Rehmat!

koyee baat naa-gawaar guzree ho to ma'Zirat!

ye jumla likh kar aap ne mujhe sharmindah kar diya Sir. Main to abhi tifl-e-matab hoon aur aap jaise ahl-e-fan hazrat se seekh ne koshish kar raha hoon. Main ne aap ki har baat NOTE kar li hai aur Insha'Allah... koshish karoonga ke aaindah... aisi galtiyaan meri shairi main na hon. Mere liye Dua karein.

Munir Armaan Nasimi

NOTE: Puri ghazal main ek sher aap ko pasand aaya... yahi mere liye badi baat hai. Hosla afzaai ka tah-e-dil se mamnoon hoon.
Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain

MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
Post Reply