Guzarish 27 ke liye t^arHee misra' pesh-e-khidmat hai.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Guzarish 27 ke liye t^arHee misra' pesh-e-khidmat hai.

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram khuwateen-o-HaZ^araat aadaab-o-tasleemaat! :rose

Guzarish No, 27 ke liye t^arHee misra' pesh-e-khidmat hai.

"shab-e-Gham aarzuo'N kee farawanee naheeN jatee"

shae'ir, Sarwar A'alam Raz Sarwar SaHib.

beHer kee is shakl ka naam hai. beHer-e-hazaj musamman salim.
=mufaaee'lun......mufaaee'lun......mufaaee'lun.......mufaaee'lun
=//0/0/0......//0/0/0......//0/0/0.......//0/0/0
=1222........1222..........1222.........1222

qawafee, farawanee, arzanee, nigehbanee, pareshanee, Ghazal khuwanee, pehch~anee, musalmanee, waGhaerah.

radeef, naheeN jatee.

qawee ummeed hai. keh sabh~ee arbaab-e-sukhan diye gae t^arHee misra' Guzarish 27 par t^aba' aazmaa kar hameen shukriyah ada karne ka maoqa'deeN ge.

multamis
intezaamiyah Urdubandh~an.
Post Reply