Sara Saheba,
Umda ghazlein Jan Nisar Saheb ki share karne ka shukria.
Yeh meri bohat hi pasandida ghazal hai jisko main hamesha gungunata houn.
Shukria
poch na mujh se dil ke fasaane
ishq kii baate.n ishq hii jaane
vo din jab ham un se mile the
dil ke naazuk phuul khile
mastii aa.Nkhe.n chuum rahii thii
saarii duniyaa jhuum rahii
do dil the vo bhii diivaane
vo din jab ham duur huye the
dil ke shiishe chuur huye the
aa_ii Khizaa.N rangiin chaman me.n
aag lagii jab dil ke ban me.n
aayaa na ko_ii aag bujhaane
poch na mujh se dil ke fasaane
ishq kii baate.n ishq hii jaane
Sara Saheba, Yeh post bhi dil ko chugayee.
Share karne ka shukria.
JaaN Nicaar Akhtar kee GhazleeN achch~ee haiN. sadah andaz meN sukhan goee kee gaee hai. in ke beTe Jawaid Akhtar ka bh~ee yahee de~ma andaz hai.
is koshish aor zeHmat ke liye aap ka mamnoon hoN.
is silsilah meN aap ne jo teHreer upar likh~ee hai. us se yeh samjh~a ja raha hai keh maoSoof Hayaat haiN. agarcheh Akhtar rahee-e-mulk-e-a'adam ho chuke haiN.