Ghazal - beyfikr kabhi aur kahiN ho nahiN sakta

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Ghazal - beyfikr kabhi aur kahiN ho nahiN sakta

Post by Sohail Malik »

Ehalian e bazm aap ki khidmet maiN aik aur ghazal pesh kerta huN

aap ki raey ka muntazir huN.

Image

Beyfikr kabhi aur kahiN ho nahiN sakta
Her baat peh ab dil to hazeeN ho nahiN sakta

Is bazm ki ronaq kehay ji lo koi din aur
Yeh rang kabhi zer e zameeN ho nahiN sakta

Is taak main rehta hay keh chand tukRay uTha lay
Kargas kabhi aflak nasheeN ho nahiN sakta

Suntay haiN keh gulshan main baRa nazm raha tha
Yeh shehr kabhi waisa haseeN ho nahiN sakta

Ik aaho baka, shor o fughaN, garm tmasha
Bey khater try ghar ka makeeN ho nahiN sakta

Itnay millay ezaz keh dil bhar sa gaya hay
Her lamha to pendar e muteeN ho nahiN sakta

Chand aur marahil haiN keh ho garm tira dil
Sab kuch to miray dost yehiN ho nahiN sakta

Nadan baseerat ko teri zang laga hay
Cheetah kabhi bheRoN ka ameeN ho nahiN sakta

wassalam
sohail malik
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Janab Sohail SaHeb,

leejiaye aap ki ye ghazal bhi daikh li meiN ne.

Beyfikr kabhi aur kahiN ho nahiN sakta
Her baat peh ab dil to hazeeN ho nahiN sakta

Pehla miSra kia keh rahaa hai kuch khaaS samajh naheeN aai

Is bazm ki ronaq kehay ji lo koi din aur
Yeh rang kabhi zer e zameeN ho nahiN sakta

bohat khoob!

Is taak main rehta hay keh chand tukRay uTha lay
Kargas kabhi aflak nasheeN ho nahiN sakta

bohat khoob Sir!

Suntay haiN keh gulshan main baRa nazm raha tha
Yeh shehr kabhi waisa haseeN ho nahiN sakta

ye aik Caqeel sha'er lagaa. kuch khaaS samajh naheeN aayaa.

Ik aaho baka, shor o fughaN, garm tmasha
Bey khater try ghar ka makeeN ho nahiN sakta

ji bohat khoob. tamaasha ke saath koi aor izaafat shayed iss se bhi achchha taaSSur paidaa kare.

Itnay millay ezaz keh dil bhar sa gaya hay
Her lamha to pendar e muteeN ho nahiN sakta

iss sha'er meiN mujhe apni naaqiS aql par afsoos hai.

Chand aur marahil haiN keh ho garm tira dil
Sab kuch to miray dost yehiN ho nahiN sakta

bohat khoob Sir. mujhe aap ki baat ittefaaq hai.

Nadan baseerat ko teri zang laga hay
Cheetah kabhi bheRoN ka ameeN ho nahiN sakta

sha'er achchha hai. mujhe "cheetaah" ne impress naheeN kiyaa. is meiN sha'eriat kam lag rahi hai

aap ka mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Siddiqui Sahib

Assalam o alekum

aap nay ghazal peRhi aur pasand ki maiN aap ka mashkur huN

jin ashaar nay ibham peda kia un per baat ker laitay haiN
-------------------------------------------------------------

Suntay haiN keh gulshan main baRa nazm raha tha
Yeh shehr kabhi waisa haseeN ho nahiN sakta

ye aik Caqeel sha'er lagaa. kuch khaaS samajh naheeN aayaa.

apnay bhalay waqtoN ko yaad kijiay jab hamara system of adminsteration tamam duniya ka liay aik misal tha hamara nazm o zabt hamara akhlaq hamari dianat hamara insaaf,,,,,,,,,,,,,aur aaj kia haal hay

yahaN afsoos kay saath hasrat ka bhi izhar kia hay keh kia dobara waisa mumkin nahiN

----------------------------------------------------------------------

Ik aaho baka, shor o fughaN, garm tmasha
Bey khater try ghar ka makeeN ho nahiN sakta

ji bohat khoob. tamaasha ke saath koi aor izaafat shayed iss se bhi achchha taaSSur paidaa kare.

shukria janab ---- agar koi munasib izaafat aap tajweez ker daiN to mamnun huN ga
--------------------------------------------------------------------

Itnay millay ezaz keh dil bhar sa gaya hay
Her lamha to pendar e muteeN ho nahiN sakta

iss sha'er meiN mujhe apni naaqiS aql par afsoos hai.

yahN tanz hay

ezaz say murad woh baateiN haiN jo logoN ki teraf say sunani peRi haiN

jab logoN ko sanjeedah naseehat (pendar e muteen) keraiN to akser yehi hota hay.

to teng aa ker kaha keh ab yeh naseehat ka kaam roz roz nahiN ho sakta kiunkeh is maiN khasi baateiN sun chuka huN.

-------------------------------------------------------------------

aap nay theek fermaya

darasal yeh un chand tajrubaat maiN say hay keh jahaN maiN kabhi kabhar ikka dukka namanus lafz ghazal maiN Dalnay ki koshish kerta huN. dekhiay ghazal kitni hassas hay keh kahiN say aik bhi namanoos lafz aa jaey to forun kaan khaRay ho jaatay haiN.

khair andesh

Sohail Malik
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Sohail Malik SaHib aadaab!

kiya kene baRee barjastagee se Ghazal kahee hai. Ghazal kee rawanee aor salasat aap kee kubee-e-fan kee aae'inah daar hai. Allah kare Z^aor-e-qalam aor ziyadah!

meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiye!
Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Sohail Malik SaHib aadaab!

kiya kene baRee barjastagee se Ghazal kahee hai. Ghazal kee rawanee aor salasat aap kee kubee-e-fan kee aae'inah daar hai. Allah kare Z^aor-e-qalam aor ziyadah!

meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiye!
Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
Muzaffar Sahib

Zehay naseeb keh aap ko hamaray bayrabt khayalat achay lagay

Aap ki duaeN aur hosla afzai yunhi barasti rehiN to is baat ka khadsha hay keh kahiN sach much hi yeh tuk bandi shaeri maiN nah badal jaey :grin:

wassalam
Sohail Malik
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Janab Sohail Sahib,

aik baar phir mukhtisiran likhne ki muaafi chahtaa hooN.
Sohail Malik wrote:Siddiqui Sahib

Assalam o alekum

aap nay ghazal peRhi aur pasand ki maiN aap ka mashkur huN

jin ashaar nay ibham peda kia un per baat ker laitay haiN
-------------------------------------------------------------

Suntay haiN keh gulshan main baRa nazm raha tha
Yeh shehr kabhi waisa haseeN ho nahiN sakta

ye aik Caqeel sha'er lagaa. kuch khaaS samajh naheeN aayaa.

apnay bhalay waqtoN ko yaad kijiay jab hamara system of adminsteration tamam duniya ka liay aik misal tha hamara nazm o zabt hamara akhlaq hamari dianat hamara insaaf,,,,,,,,,,,,,aur aaj kia haal hay

yahaN afsoos kay saath hasrat ka bhi izhar kia hay keh kia dobara waisa mumkin nahiN

doosre miSraa meiN ye pehlay miSra meiN chupay huway woh ka ishaaraa kartaa hai. is leeaye mafhoom meiN abham huwa, doosre miSra ke leeaye ye tajweez daikhiaye,

phir shehr mairaa waisaa HaseeN ho naheeN saktaa

ye aap ke mafhooM ko barqaaraar rakhne ki koshish thi. aor agar aap ijaazat daiN to meiN keh saktaa hooN?

kyooN shehr miraa phir se HaseeN ho naheeN saktaa?

----------------------------------------------------------------------

Ik aaho baka, shor o fughaN, garm tmasha
Bey khater try ghar ka makeeN ho nahiN sakta

ji bohat khoob. tamaasha ke saath koi aor izaafat shayed iss se bhi achchha taaSSur paidaa kare.

shukria janab ---- agar koi munasib izaafat aap tajweez ker daiN to mamnun huN ga

abhi to kuch zahn meiN naheeN aa rahaa hai :-)
--------------------------------------------------------------------

Itnay millay ezaz keh dil bhar sa gaya hay
Her lamha to pendar e muteeN ho nahiN sakta

iss sha'er meiN mujhe apni naaqiS aql par afsoos hai.

yahN tanz hay

ezaz say murad woh baateiN haiN jo logoN ki teraf say sunani peRi haiN

jab logoN ko sanjeedah naseehat (pendar e muteen) keraiN to akser yehi hota hay.

to teng aa ker kaha keh ab yeh naseehat ka kaam roz roz nahiN ho sakta kiunkeh is maiN khasi baateiN sun chuka huN.

iss shaer par dobaaraa ghor kar lijiaye. miraa naheeN Khyaal ke jo mafhoom aap keh rahaiN woh adaa ho rahaa hai.

-------------------------------------------------------------------

Nadan baseerat ko teri zang laga hay
Cheetah kabhi bheRoN ka ameeN ho nahiN sakta

sha'er achchha hai. mujhe "cheetaah" ne impress naheeN kiyaa. is meiN sha'eriat kam lag rahi hai

aap nay theek fermaya

darasal yeh un chand tajrubaat maiN say hay keh jahaN maiN kabhi kabhar ikka dukka namanus lafz ghazal maiN Dalnay ki koshish kerta huN. dekhiay ghazal kitni hassas hay keh kahiN say aik bhi namanoos lafz aa jaey to forun kaan khaRay ho jaatay haiN.

bohat khoob Sir
-------------------------------------------------------------------

khair andesh

Sohail Malik

aap ka mukhliS,
muhammad k. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Siddique Sahib

Assalam o alekum

Aap kay mashweray dekhay aur yaqeenan qabil e ghour haiN
-------------------------------------------------------------

Suntay haiN keh gulshan main baRa nazm raha tha
Yeh shehr kabhi waisa haseeN ho nahiN sakta

ye aik Caqeel sha'er lagaa. kuch khaaS samajh naheeN aayaa.

apnay bhalay waqtoN ko yaad kijiay jab hamara system of adminsteration tamam duniya ka liay aik misal tha hamara nazm o zabt hamara akhlaq hamari dianat hamara insaaf,,,,,,,,,,,,,aur aaj kia haal hay

yahaN afsoos kay saath hasrat ka bhi izhar kia hay keh kia dobara waisa mumkin nahiN

doosre miSraa meiN ye pehlay miSra meiN chupay huway woh ka ishaaraa kartaa hai. is leeaye mafhoom meiN abham huwa, doosre miSra ke leeaye ye tajweez daikhiaye,

phir shehr mairaa waisaa HaseeN ho naheeN saktaa

ye aap ke mafhooM ko barqaaraar rakhne ki koshish thi. aor agar aap ijaazat daiN to meiN keh saktaa hooN?

kyooN shehr miraa phir se HaseeN ho naheeN saktaa?

Aap kay donoN hi tajweez kerda misray bohat bhalay lagay haiN aur in maiN say aik inshaAllah meray likhay ki jagah lay lay ga.

----------------------------------------------------------------------

Itnay millay ezaz keh dil bhar sa gaya hay
Her lamha to pendar e muteeN ho nahiN sakta

iss sha'er meiN mujhe apni naaqiS aql par afsoos hai.

yahN tanz hay

ezaz say murad woh baateiN haiN jo logoN ki teraf say sunani peRi haiN

jab logoN ko sanjeedah naseehat (pendar e muteen) keraiN to akser yehi hota hay.

to teng aa ker kaha keh ab yeh naseehat ka kaam roz roz nahiN ho sakta kiunkeh is maiN khasi baateiN sun chuka huN.

iss shaer par dobaaraa ghor kar lijiaye. miraa naheeN Khyaal ke jo mafhoom aap keh rahaiN woh adaa ho rahaa hai.

Filhaal to zehn issi per qael hay behrhaal lashaur ko refer ker dia hay aur akzerr wahaN say munasib waqt per jawab aa jata hay.

-------------------------------------------------------------------

khair andesh

Sohail Malik
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Mohtaram Sohail Sahib,
:salaam:

Aapki ghazal pasand ai, yeh sheir bohat khoob hai:

Is bazm ki ronaq kehay ji lo koi din aur
Yeh rang kabhi zer e zameeN ho nahiN sakta

Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN
سالم احمد باشوار
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Mohtaram sbashwar Sahib,
:salaam:
Aapki ghazal pasand ai, yeh sheir bohat khoob hai:

Is bazm ki ronaq kehay ji lo koi din aur
Yeh rang kabhi zer e zameeN ho nahiN sakta

Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN
Pasandeedgi aur hosla afzai kay liay mamnoon huN

khair andesh
Sohail Malik
Post Reply