:: kyaa kejiye begam ke haiN armaan ziyaadaa :) ::

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

:: kyaa kejiye begam ke haiN armaan ziyaadaa :) ::

Post by Star Mind »

Yaaran-e-anjuman , aadaab !

aaj pehlii baar baa-qaai'da aek mizaaHiya hazal paish kar rahaa hooN , ummeed hai k pasand aaye gii ! ;D shukriya !

yeh meeri baa-qaai'da taur par pehlii mizaaHiya koshish hai ! :cool: . shukriya

:: Urdu Version ::

Image

:: Roman Version ::

1.

hotaa hai abhii qarZoN pe guzraan ziyaadaa !
kyaa kejiye begam ke haiN armaan ziyaadaa !

2.

ho jaaye na meraa kaheN nuqSaan ziyaadaa !
kartaa naheeN begam ko pareeshaan ziyaadaa !

3.

mat poochh k kyaa Hashr miraa karti hai begam
jab ghar pe kabhii aate haiN mehmaan ziyaadaa !

4.

us roz to beham ke karaaTe naheN pochho !
jis roz police karti hai chaalaan ziyaadaa !

5.

is fikr meiN GhaltaaN hooN, kahaaN sab ko rakhooNga ?
saaloN se kaheeN un ke haiN saamaan ziyaadaa !

6.

tum Husn ka chaaqoo ho, maiN hooN i'shq ka tarbooz !
batlaa'o zaraa kis ka hai nuqSaan ziyaadaa ?

7.

maiN kaise bataa'oN k yahaaN kon HaseeN hai ?
make-up ki naheeN hai mujhe pehchaan ziyaadaa !

8.

khaate howe leader ko jo dekhaa to yeh jaanaa
Haivaan se bhii bhooke haiN insaan ziyaadaa !

9.

pooraa yeh kareN aek hi va'daa to bahut hai !
haaN , qaum se karte raheN paimaan ziyaadaa !

10.

saHraa naheeN, voh ahl-e-siyaasat ka hai eevaaN !
hote haiN jahaaN chaak, gareebaan ziyaadaa !

11.

Allah nigah-baan ho ma'yaar-e-Ghazal kaa !
shaai'r ke to baaloN se haiN deevaan ziyaadaa !

12.

meeThii hai kahaaN tere Zia ki abhi chaaye
dau chaar chamach aur mirii jaan ziyaadaa !

...............................................................................

shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

BHAI WAH ZIA BALOCH SAHEB.....

kyaa kejiye begam ke haiN armaan ziyaadaa !

aap unko ek 'munir armaan' laa diziye phir dekhiye wohh aap ko 'bhagwaan' manne lagengi aur aap 'pareshaan' hona chhod denge.

aap ka sautela mehmaan,

Munir Armaan
Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain

MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

:salaam: Zia saheb, barhi safai se begum aur leader ekja kardiye hain. Pehli, magar kamyab koshish rahi aapki.
Meri daad aur mubarakbaad qubool farmaye.
:grin:
سالم احمد باشوار
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Janab Zia Baloach SaHeb

eemaandaari ki baat hai tamaa ashaar hi bohat pasand aa-aye. laikin ye

maiN kaise bataa'oN k yahaaN kon HaseeN hai ?
make-up ki naheeN hai mujhe pehchaan ziyaadaa !


Janab mat poochiaye.

:clap02: :clap02: :clap02: :clap02:
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

ha ha ha bahut khoob zia bahut khoob..mazaa aa gaya..pehli dafa mein hi itna kamaal likha hai..mizaah bharpoor hai... :lol: :lol: daad pesh hai..ummeed hai aayenda bhi aise hi mazaahiya ghazlon se humein lutfandoz hone ka mauqa doge :-)

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: :: kyaa kejiye begam ke haiN armaan ziyaadaa :) ::

Post by Star Mind »

sara_j wrote:
Star Mind wrote:Yaaran-e-anjuman , aadaab !

aaj pehlii baar baa-qaai'da aek mizaaHiya hazal paish kar rahaa hooN , ummeed hai k pasand aaye gii ! ;D shukriya !

yeh meeri baa-qaai'da taur par pehlii mizaaHiya koshish hai ! :cool: . shukriya

:: Urdu Version ::

Image

:: Roman Version ::

1.

hotaa hai abhii qarZoN pe guzraan ziyaadaa !
kyaa kejiye begam ke haiN armaan ziyaadaa !

2.

ho jaaye na meraa kaheN nuqSaan ziyaadaa !
kartaa naheeN begam ko pareeshaan ziyaadaa !

3.

mat poochh k kyaa Hashr miraa karti hai begam
jab ghar pe kabhii aate haiN mehmaan ziyaadaa !

4.

us roz to beham ke karaaTe naheN pochho !
jis roz police karti hai chaalaan ziyaadaa !

5.

is fikr meiN GhaltaaN hooN, kahaaN sab ko rakhooNga ?
saaloN se kaheeN un ke haiN saamaan ziyaadaa !

6.

tum Husn ka chaaqoo ho, maiN hooN i'shq ka tarbooz !
batlaa'o zaraa kis ka hai nuqSaan ziyaadaa ?

7.

maiN kaise bataa'oN k yahaaN kon HaseeN hai ?
make-up ki naheeN hai mujhe pehchaan ziyaadaa !

8.

khaate howe leader ko jo dekhaa to yeh jaanaa
Haivaan se bhii bhooke haiN insaan ziyaadaa !

9.

pooraa yeh kareN aek hi va'daa to bahut hai !
haaN , qaum se karte raheN paimaan ziyaadaa !

10.

saHraa naheeN, voh ahl-e-siyaasat ka hai eevaaN !
hote haiN jahaaN chaak, gareebaan ziyaadaa !

11.

Allah nigah-baan ho ma'yaar-e-Ghazal kaa !
shaai'r ke to baaloN se haiN deevaan ziyaadaa !

12.

meeThii hai kahaaN tere Zia ki abhi chaaye
dau chaar chamach aur mirii jaan ziyaadaa !

...............................................................................

shukriya

Zia Baloch
shukriya zia bhai itni mazaedaar hazal ke liye

ansuon ko pochker humare chehre per muskurahat bikher di

aapne.

Allah ta'ala aapko is tarah hansta basta rakhe :-)

dua go

sara
benaa! aadaab !

ma'zirat k der ho ga'ii ! kyaa karooN , ab to aa'aadat hoga'ii hai !

bahut mamnoon hooN k aap ko is aHqar bhaa'i ki hazl pasand aa'ii hai ! nehaayat mamnoon hooN :)

shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

sbashwar wrote::salaam: Zia saheb, barhi safai se begum aur leader ekja kardiye hain. Pehli, magar kamyab koshish rahi aapki.
Meri daad aur mubarakbaad qubool farmaye.
:grin:
Saalim SaaHib, aadaab !

janaab aap ki zarra-navaazii hai ! nehaayat mamnoon hooN ! shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

muhammad_19k wrote:Janab Zia Baloach SaHeb

eemaandaari ki baat hai tamaa ashaar hi bohat pasand aa-aye. laikin ye

maiN kaise bataa'oN k yahaaN kon HaseeN hai ?
make-up ki naheeN hai mujhe pehchaan ziyaadaa !


Janab mat poochiaye.

:clap02: :clap02: :clap02: :clap02:
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Siddiqui SaaHib, aadaab !

janaab nehaayat mamnoon hooN k aap ne itne KhoobSoorat andaaz meiN daad se navaazaa hai ! aap kaa tah-e-dil se mamnoon hooN ! shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Shummu wrote:ha ha ha bahut khoob zia bahut khoob..mazaa aa gaya..pehli dafa mein hi itna kamaal likha hai..mizaah bharpoor hai... :lol: :lol: daad pesh hai..ummeed hai aayenda bhi aise hi mazaahiya ghazlon se humein lutfandoz hone ka mauqa doge :-)
janaab !bahut shukriya aap kaa ! yeh sab aap kii SuHbat ka acar hai ! :lol: aap tayyar rahiye , maiN aek fresh kalaam ke saath phir Haazir hotaa hooN ! :)

shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Post Reply