MeHfil-e-Mushae'rak ke t^arHee muqabilah ke liye meri Ghazal

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

MeHfil-e-Mushae'rak ke t^arHee muqabilah ke liye meri Ghazal

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Yaran-e-Anjuman Adaab!

MeHfil-e-Mushae'rah ke liye apnee aek Ghazal baGharaZ^-e-muqabila pesh kee hai. jo keh zael meN bh~ee pesh kar raha hooN.

aap daostooN se is kee mushae'rah meN kamyabee ke liye dua'a kee darkhuwast^ hai.



t^arHee Ghazal

1,
"nah kalam hai, nah peyaam hai, nah sawaal hai, nah jawaab hai"
mire hamnasheN mujh~e lag raha hai, yeh chahatoN ka a'zaab hai!

2,
wohee talkhi-e-shab-e-hijr hai wohee kawish-e-pae'Y*-e-Z^abt^-e-Gham
yeh Hayaat kushtah-e-intez^aar kee gaoya raoz-e-Hisaab hai!

3,
go jahaaN kee har sheh badal gaee naheeN badle asbaaq*-e-a'ashaqee!
keh sabh~ee makatib-e-i'shq ka wohee aek kuhnah niSaab hai!

4,
maiN qateel-e-teGh-e-ada huwa to yeh jazb-e-dil ne mujh~e kaha!
rah-e-shaoq meN jo tabah huwa tu woh pehla khanah kharaab hai!

5,
dil-e-naatawaaN yeh nah th~ee khabar hai kaRa muHabbatoN ka safar!
ho ke paapeyadah* pata chala keh yeh rastah kitna kharaab hai!

6,
yoN to aor bh~ee haiN HaseeN magar tu(swws)hai wajh-e-takhleeq-e-do jahaaN
yahee sach hai Husn-o-jamaal meN tu hee aap apna jawaab hai!
7,
Woh chala geya ise raoNdta* aeY Muz^affar-e-shah-e-khush beyaaN
maiN to yeh bh~ee us se nah keh saka keh yeh mere dil kee kataab hai!

pae'Y*= ke liye,wast^e
asbaaq=sabaq kee jama'
paapeyadah*=baGhaer sawaree ke, apne paooN par chalna.
raoNdta=masalta huwa,paoN ke neeche masalta huwa.

Muz^affar Ahmad Muz^affar
Attachments
muzaffar photo.jpg
muzaffar photo.jpg (25.04 KiB) Viewed 439 times
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Sat May 12, 2007 12:45 pm, edited 2 times in total.
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: MeHfil-e-Mushae'rak ke t^arHee muqabilah ke liye meri Gh

Post by yasir shah »

Muzaffar SaaHib !
Yaran-e-Anjuman Adaab!

MeHfil-e-Mushae'rah ke liye apnee aek Ghazal baGharaZ^-e-muqabila pesh kee hai. jo keh zael meN bh~ee pesh kar raha hooN.

aap daostooN se is kee mushae'rah meN kamyabee ke liye dua'a kee darkhuwast^ hai.
yeh miSra' t^arH Janab Sarwar A'alam Raz Sarwar saHib ka hai.

du'aago hooN keh kaamyaabee aap ke qadam choomay- baHr-e-kaamil " apnay andar balaa ki jaazibiyat raKhtee hay, agar munSifoN ki munSifee ne mutaccir kiyaa hotaa :-) to shaayed meN bhi shareek hotaa laiken yeh sab aisee hi baateN heN keh "yooN hotaa to kyaa hotaa ,yooN hotaa to kyaa hotaa !" aur "Ghaalib mar gayaa" ,waGhairah ,waGhairah :lol: -

khair ,, baHr-e-kaamil meN t'aba'.aazmaaee bazaat-e-khud qaabil-e-taHseen hay,, laiken agar jaan ki amaan paaooN to kuCh aap ki Ghazal ke muta.'lliq bhi a'rZ karooN :-) !



t^arHee Ghazal

1,
"nah kalam hai, nah peyaam hai, nah sawaal hai, nah jawaab hai"
mire hamnasheN mujh~e lag raha hai, yeh chahatoN ka a'zaab hai!

khoob kahaa !

2,
wohee talkhi-e-shab-e-hijr hai wohee justuju pae'Y*-e-Z^abt^-e-Gham
yeh Hayaat kushtah-e-intez^aar kee gaoya raoz-e-Hisaab hai!

doosre miSre' ko yooN kahiye

"yeh Hayaat-e-kushtah-e-intizaar bhi Goyaa roz-e-Hisaab hay"


3,
go jahaaN kee har sheh badal gaee naheeN badle asbaaq*-e-a'ashaqee!
keh sabh~ee makatib-e-i'shq ka wohee aek kuhnah niSaab hai!

pahlaa misra' to khataa ho gayaa (khaarij az baHr hay) magar doosraa miSra' laajawaab hay -meN muntazir rahooN gaa na.ay miSra'-e-oolaa ke liye -

4,
maiN qateel-e-teGh-e-ada huwa to yeh jazb-e-dil ne mujh~e kaha!
rah-e-shaoq meN jo tabah huwa tu woh pehla khanah kharaab hai!

waah ! pahlay miSre' meN "mujhay kahaa" ko "kahaa mujhay" kar ke daiKh leejiye gaa-

5,
dil-e-naatawaaN yeh nah th~ee khabar hai kaRa muHabbatoN ka safar!
ho ke paapeyadah* pata chala keh yeh rastah kitna kharaab hai!

waah janaab ! aik Soorat yeh bhi daiKhiye:

dil-e-naatawaaN ko nah thee khabar ,hay kaRaa maHabbatoN kaa safar
hooN barihnah.paa to patah chalaa keh yeh raah kitnee kharaab hay


6,
yoN to aor bh~ee haiN HaseeN magar tu(swws)hai wajh-e-takhleeq-e-do jahaaN
yahee sach hai Husn-o-jamaal meN tu hee aap apna jawaab hai!



miSra' oolaa wazn se khaarij ho gayaa hay ,,is ki aik mumkinah Soorat yeh bhi hay :

yooN to aur bhi heN haseeN magar too hi hay muHarrak-e-"kun.fa.yakooN "

khayaal u'mdah hay !subHaanAllah

khudaa logoN ke har t'araH ke makr-o-faraib se aap ko maHfooZ' raKhay-aameen

shaandaar aakhiree shahkaar heN afkaar-e-rasool (SalAllaahu a'laihi wa.aalihi wasallam)

7,
Woh chala geya ise raoNdta* aeY Muz^affar-e-shah-e-khush beyaaN
maiN to yeh bh~ee us se nah keh saka keh yeh mere dil kee kataab hai!


she'r kuCh kuCh dil meN paiwast huwaa chunaaNcheh yeh "jaa-e-waah " naheeN "maqaam-e-aah" hay

pae'Y*= ke liye,wast^e
asbaaq=sabaq kee jama'
paapeyadah*=baGhaer sawaree ke, apne paooN par chalna.
raoNdta=masalta huwa,paoN ke neeche masalta huwa.

Muz^affar Ahmad Muz^affar

janaab !kaheeN agar meraa tabSirah aap ki taba'-e-naazuk peh giraaN guzraa ho to mujhay mu'aaf kar deejiye gaa -


mukhliS
yasir
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

janab MUZAFFAR SAHEB,

aap ne ghazal TarHi mushairaa mieN muqabalaa ke leeaye paish ki hai. meiN aap ki kaamyaab ke leeaye ALLAH TA'AALA ke HuZoor dua goaN hooN.

Abhi thoRi dair ke leeaye on line huwaa hooN baad meiN tassali se daikh kar apne taCCuraat bhi bayaan karooN gaa.

Haan agar aap ne kahaa hotaa ke ye daikhiaye ye mairi taSweer hai aor meiN ne MUQABILA E WAJAAHAT mien HiSSa lee-yaa hai to mein kehtaa janab ke agar inaam aap ko naheeN milay gaa to phir kissi ko naheeN milay gaa ;-)

ALLAH TA'AALA aap ko buri nazar se bachaa-aye aor SeHat mand lambi aor khushhaal zindigi day.

dua'aa gao,
MUHAMAMD K. sIDDIQUI.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

muhammad_19k wrote:janab MUZAFFAR SAHEB,

aap ne ghazal TarHi mushairaa mieN muqabalaa ke leeaye paish ki hai. meiN aap ki kaamyaab ke leeaye ALLAH TA'AALA ke HuZoor dua goaN hooN.

Abhi thoRi dair ke leeaye on line huwaa hooN baad meiN tassali se daikh kar apne taCCuraat bhi bayaan karooN gaa.

Haan agar aap ne kahaa hotaa ke ye daikhiaye ye mairi taSweer hai aor meiN ne MUQABILA E WAJAAHAT mien HiSSa lee-yaa hai to mein kehtaa janab ke agar inaam aap ko naheeN milay gaa to phir kissi ko naheeN milay gaa ;-)

ALLAH TA'AALA aap ko buri nazar se bachaa-aye aor SeHat mand lambi aor khushhaal zindigi day.

dua'aa gao,
MUHAMAMD K. sIDDIQUI.

moHtaram Khawar SaHib aadaab!

Aap ka baRa mamnoon hooN keh aap ne yaad rakh~a. aor itna lilchasp khat^ likh~a. :-)

khush raheeN!

Wassalam
Muz^affr
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

sara_j wrote:muzaffar sahib,

salaam.

aapne jab ghazal muqaable mein bheja hai tou

tarhee misre ko misra-e-oola kyun banadiya? koi

ghalati tou nahi lekin rules are rules na.........

waise ashaar ache hain hum sirf daad denge qubool keejiye.....

rahi khawar sahib ki baat aapki tasveer ke talluq se tou

hum bhi wahi kahenge :grin: .

sara

moHtarmah Saara SaHibah aadab! :-)

daraSl mujh~e miSra'-e-t^arH itna pasand aaya. aor pehla she'er yahee maozooN huwa. aor maiN ne murawwijah uSool pas-e-push Daal kar yeh neya tajrubah kiya hai. is se yeh pata bh~ee milta hai keh shae'ir ko yeh miSra' itna pasand aaya hai keh apnee puree Ghazal par Hawee kheyaal karta hai. aor ise jaae'iz samajh~ta hooN.

mere nazdeek is meN koee kabaHat nheeN. uSul-e-shae'ree shara'aee uSool naheeN. aor nah hee aayaat-e-quraaniyah haiN keh gunhgaar ThereeN. maZ^ee meN aesee aesee uSulee tabdeeliyaaN runumaa hueeN keh ab is daor meN un ke istadlaal kee bh~ee koee Surat naz^ar naheeN aatee. :-)

mere nazdeeq aaj ka shae'ir nisbata" zeyadah moHtaat^ hai. lekin is ka mat^lab hargiz yeh naheeN keh tajribah aor ijteeHaad kee raah band kar dee jae. :-)

Ghazal ko pasand farmane ka be Had shukriyah!
khush raheeN
Muz^affar
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Thu Apr 26, 2007 1:53 pm, edited 1 time in total.
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

sara_j wrote:
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
sara_j wrote:muzaffar sahib,

salaam.

aapne jab ghazal muqaable mein bheja hai tou

tarhee misre ko misra-e-oola kyun banadiya? koi

ghalati tou nahi lekin rules are rules na.........

waise ashaar ache hain hum sirf daad denge qubool keejiye.....

rahi khawar sahib ki baat aapki tasveer ke talluq se tou

hum bhi wahi kahenge :grin: .

sara

moHtarmah Saara SaHibah aadab! :-)

daraSl mujh~e miSra'-e-t^arH itna pasand aaya. aor pehla she'er yahee maozooN huwa. aor maiN ne murawwijah uSool pas-e-push Daal kar yeh neya tajrubah kiya hai. is se yeh pata bh~ee milta hai keh shae'ir ko yeh miSra' itna pasand aaya hai keh apnee puree Ghazal par Hawee kheyaal karta hai. aor ise jaae'iz samajh~ta hooN.

mere nazdeek is meN koee kabaHat nheeN. uSul-e-shae'ree shara'aee uSool naheeN. aor nah hee aayaat-e-quraaniyah haiN keh gunhgaar ThereeN. maZ^ee meN aesee aesee uSulee tabdeeliyaaN runumaa hueeN keh ab is daor meN un ke istadlaal kee bh~ee koee Surat naz^ar naheeN aatee. :-)

mere nazdeeq aaj ka shae'ir nisbata" zeyadah moHtaat^ hai. lekin is ka mat^lab hargiz yeh naheeN keh tajribah aor ijteeHaad kee raah band kar dee jae. :-)

Ghazal ko pasand farmane ka be Had shukriyah!
khush raheeN
Muz^affar
muzaffar sahib,

salaam.

sorry. meri itni bisaat nahi ke main kisi per eteraaz karun

aek waqt nazir sahib mujhe ye baat bataye the isliye

main likhdi, aapko naraaz karna hargiz mera maqsad nahi tha

aapka jawab parh ker laga jaise aapne naraazgi mein

mujhe jawab diye hain. main sirf yunhi likhleti hoon koi

shayara nahi hoon aur na hi shayari ke usoolon ko jaanti hoon, jo

kuch bhi thoRa bohat jaanti hoon voh Nazir sahib ki wajah se hai.

sara

moHtarmah saara JabeeN saHibah aadaab! :-)

khuda nah kare keh maiN aap se kisee bh~ee baat se naraaZ^ hone lagooN. yeh Sirf aap ka kheyaal hai. warnah aor koee baat naheeN.
Sirf maiN batate batate zara door nikal jata hooN. aor aesa kheyaal paeda ho jata hai.

maiN to aap sab ka khadim hooN. maiN naaraaZ^ ho hee naheeN sakta. :-)

aesa mat samjh~eeN.

aor khush raheeN.

Wassalam
Muz^affar
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

moHtaram Janaab braadaram Muzaffar SaaHib, aadaab !

kaise mizaaj haiN aap ke ?

maashaa Allah bahut u'mdah kaavish hai ! majmoo'ii taur par yaqeena" aap ki kaavish qaabil-e-Sad taHseen hai ! so daad qubool kejiye ! :) vaise bhii ham tuk-bandoN aur kam-i'lmoN ke paas sivaa-e-daad dene aur vaah vaah ke aur hai hii kyaaa? so chaar-o-naachaar qubool kejiye janaab ! :D

shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Post Reply