Ghazal haazir-e-khidmat he !
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 7
- Joined: Thu Apr 12, 2007 5:54 am
Ghazal haazir-e-khidmat he !
Haaziriin-e-mehfil,
Aadaab !
Aaj pehli baar iis bazm meiN apne TuuTe phuuTe Ash'Aar ke saathh
haazir ho rahaa huuN.eik taazaah Ghazal haazir-e-khidmat he.iss mein
agar koii khuubi nazar aaye to usey mohtaremah saaraa jabiiN ka
kamaal tasav'vur kiijiye ga k uun kaa paiham iSraar mujhe yahaaN
khaiNch kar laayaa he.tou Haaziriin Ghazal mulaahizaah farmaaiye:
Bolte heiN yuuN k shaayad khud ko sun'naa chaahte heiN
apne sar ham apni hi baatoN pe dhun'naa chaahte heiN
pehle apni khuaahishoN ko ham ne har jaanib bakhheraa
ab unheiN hasrat zadaah palkoN se chun'naa chaahte heiN
apni chup kaa ik sabab yeh he k farhaNg-e-bayaaN meiN
lafz voh na-paid heiN jo log sun'naa chaahte heiN
sab ko ehsaas-e-tahaf'fuz ne hiraasaaN kar diyaa he
sab hi apne saamne diivaar chun'naa chaahte heiN
Azm khhultaa hi nahiiN iis raaye-gaani ki fazaa meiN
ham yahaaN kis zindagi ke khuaab bun'naa chaahte heiN
Azm Behzad

- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: Ghazal haazir-e-khidmat he !
azm behzad wrote:Haaziriin-e-mehfil,
Aadaab !
Aaj pehli baar iis bazm meiN apne TuuTe phuuTe Ash'Aar ke saathh
haazir ho rahaa huuN.eik taazaah Ghazal haazir-e-khidmat he.iss mein
agar koii khuubi nazar aaye to usey mohtaremah saaraa jabiiN ka
kamaal tasav'vur kiijiye ga k uun kaa paiham iSraar mujhe yahaaN
khaiNch kar laayaa he.tou Haaziriin Ghazal mulaahizaah farmaaiye:
Bolte heiN yuuN k shaayad khud ko sun'naa chaahte heiN
apne sar ham apni hi baatoN pe dhun'naa chaahte heiN
pehle apni khuaahishoN ko ham ne har jaanib bakhheraa
ab unheiN hasrat zadaah palkoN se chun'naa chaahte heiN
apni chup kaa ik sabab yeh he k farhaNg-e-bayaaN meiN
lafz voh na-paid heiN jo log sun'naa chaahte heiN
sab ko ehsaas-e-tahaf'fuz ne hiraasaaN kar diyaa he
sab hi apne saamne diivaar chun'naa chaahte heiN
Azm khhultaa hi nahiiN iis raaye-gaani ki fazaa meiN
ham yahaaN kis zindagi ke khuaab bun'naa chaahte heiN
Azm Behzad
moHtaram Azm Behzad SaaHib aadaab-o-tasleemaat! :rose
Aap kee aamad hamare liye aor saree meHfil ke liye bae'ic-e-Sad iftekhaar hai. aap ko ham sab mimbaraan-e-UrduBandhan kee janib se "Khush Amdeed" kaha jata hai.
hamare bazm ko yeh aa'zaaz HaaSil hai keh hamare haaN aek aa'la mea'aar ka adabee meHool hai. jahaaN sab mimbaraam ko seekh~ne aor sikh~ane ka bh~arpoor maoqa' musassar hai. yeh baat baRe yaqeen aor aa'tamaad se kahee ja saktee hai keh aap bh~ee hameeN apnee abadee aor i'lmee SalaHiyatooN se mustafeed hone ka maoqa' dete rahe ge.
maiN Saara JabeeN saHibah ka teh-e-dil se mamnoon hooN keh aap aese mukhliS insaan ko bazm meN lane ka bai'c baneeN.
Bolte heiN yuuN k shaayad khud ko sun'naa chaahte heiN
apne sar ham apni hi baatoN pe dhun'naa chaahte heiN
pehle apni khuaahishoN ko ham ne har jaanib bakhheraa
ab unheiN hasrat zadaah palkoN se chun'naa chaahte heiN
apni chup kaa ik sabab yeh he k farhaNg-e-bayaaN meiN
lafz voh na-paid heiN jo log sun'naa chaahte heiN
sab ko ehsaas-e-tahaf'fuz ne hiraasaaN kar diyaa he
sab hi apne saamne diivaar chun'naa chaahte heiN
Azm khhultaa hi nahiiN iis raaye-gaani ki fazaa meiN
ham yahaaN kis zindagi ke khuaab bun'naa chaahte heiN
aap kee Ghazal qabil-e-ta'reef hai. sabh~ee she'er khubSurat haiN. meree janib se is kamyaab koshish par dilee dad aor mubarak baad qubook kijiye!
Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
-
- -
- Posts: 7
- Joined: Thu Apr 12, 2007 5:54 am
MoHtaram Muzaf'far A Muzaf'far saahib,
Aadaab!
Aap ki jaanib se yeh piziiraaii mere liye baa'is-e-tamaaniyat he. meiN inshaa-allaah vaqtan favaqtan iis bazm meiN haazir
hotaa rahuN ga.yahaaN aap ko janaab sarwar aalam raaz saahib jaise qaadir-ul-kalaam shaa'ir ki sarparasti haasil he,
iin buzurgoN se jii bhar ke faiz uthhaa leiN.
Ghazal aap ko pasand aaii yeh mere liye khushi aur saaraa jabiiN saahibaah ke liye amr-e-mubarak-baadi he.
inshaa-allaah haazir hotaa rahuN ga.
yaar zindah suhbat baaqi.
khair-andesh
Azm Behzad[align=left][/align][align=center][/align]

- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
JANAB AZM BEHZAAD SAHEB,
apni iss khoobSoorat kaavish ko hamaray saath share karne ke leeaye mirii taraf se bhi mubarakbaad qabool kijiaye.
ALLAH karay zor e qalam aor zyaadaa.
dua'aa goa,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI

Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
- yasir shah
- -
- Posts: 191
- Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
- Location: karachi
- Contact:
muHtaram Azm SaaHib !
aap kaa is maHfil meN khairmaqdam kartaa hooN -meree t'araf se is she'r peh dilee daad qubool farmaaiye:
apni chup kaa ik sabab yeh he k farhaNg-e-bayaaN meiN
lafz voh na-paid heiN jo log sun'naa chaahte heiN
weeraan zameen-o-baHr meN raushan imkaanaat ki talaash aap ki mushkil pasand fit'rat ki Ghammaaz hay -is ke liye bhi daad qubool keejiye-
yasir
aap kaa is maHfil meN khairmaqdam kartaa hooN -meree t'araf se is she'r peh dilee daad qubool farmaaiye:
apni chup kaa ik sabab yeh he k farhaNg-e-bayaaN meiN
lafz voh na-paid heiN jo log sun'naa chaahte heiN
weeraan zameen-o-baHr meN raushan imkaanaat ki talaash aap ki mushkil pasand fit'rat ki Ghammaaz hay -is ke liye bhi daad qubool keejiye-
yasir
-
- -
- Posts: 7
- Joined: Thu Apr 12, 2007 5:54 am
muhammad_19k wrote:JANAB AZM BEHZAAD SAHEB,
apni iss khoobSoorat kaavish ko hamaray saath share karne ke leeaye mirii taraf se bhi mubarakbaad qabool kijiaye.
ALLAH karay zor e qalam aor zyaadaa.
dua'aa goa,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI
moHtaram siddiqui saahib!
Aap ki jaanib se iis hauslah-afzaaii ka shukriyah.
duAa kiijiye k allaah behtar se behtar likhhne ki taufiiq
ataa farmaye.
khair andesh
Azm Behzad
-
- -
- Posts: 7
- Joined: Thu Apr 12, 2007 5:54 am
yasir shah wrote:muHtaram Azm SaaHib !
aap kaa is maHfil meN khairmaqdam kartaa hooN -meree t'araf se is she'r peh dilee daad qubool farmaaiye:
apni chup kaa ik sabab yeh he k farhaNg-e-bayaaN meiN
lafz voh na-paid heiN jo log sun'naa chaahte heiN
weeraan zameen-o-baHr meN raushan imkaanaat ki talaash aap ki mushkil pasand fit'rat ki Ghammaaz hay -is ke liye bhi daad qubool keejiye-
yasir
moHtaram yasir shah saaHib!
istaqbaalii kalemaat aur Ghazal par apni garaaN-qadr raaye
dene kaa shukriyaa. baat aap ne durust farmaaii k behr to
nahiiN laikiN zamiin qavaafii ki tangi ke baa'is bohat mushkilaat
paidaa kar rahi thii,so uus kaa Hal yeh nikaalaa k qavaafii ko
duhraa liyaa gayaa.
Aap ka eik baar phir shukriyah.
niyaaz-mand
Azm Behzad
moHtarami janaab Azm behzaad SaaHib, aadaab !
aap ko yahaaN dekh kar dilii masarrat ho'ii, yaqeena" aap ki aamad se meHfil ki raunaqoN meiN izaafa hogaa ! aur yeh baat ham sab ke liye baa'c-e-faKhr hai ! :) ham aap ka is meHfil meiN dil ki gehraa'iyooN se isteqbaal karte haiN ! :)
aap ke qalam ke to ham ab aek sanjeeda maddaaH haiN ! aap kaa munfarid andaaz hameN be-Had pasand hai ! yeh taKhleeq bhii be-Had pasand aa'ii hai ! daad qubool kejiye ! shukriya
Zia Baloch

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
-
- -
- Posts: 7
- Joined: Thu Apr 12, 2007 5:54 am
Star Mind wrote:moHtarami janaab Azm behzaad SaaHib, aadaab !
aap ko yahaaN dekh kar dilii masarrat ho'ii, yaqeena" aap ki aamad se meHfil ki raunaqoN meiN izaafa hogaa ! aur yeh baat ham sab ke liye baa'c-e-faKhr hai ! :) ham aap ka is meHfil meiN dil ki gehraa'iyooN se isteqbaal karte haiN ! :)
aap ke qalam ke to ham ab aek sanjeeda maddaaH haiN ! aap kaa munfarid andaaz hameN be-Had pasand hai ! yeh taKhleeq bhii be-Had pasand aa'ii hai ! daad qubool kejiye ! shukriya
Zia Baloch
moHtaram zia baloch saaHib,
Assalaam-o-Alaikum!
Aap ke pur-khuluus istabaaliyah kalemaat ka be-Had shukriyah.
iis bazm meiN meraa aanaa apne ikhtiyaar se kam aur aHbaab
ke iSraar se ziyaadah huaa. meiN "taNg'gi-e-vaqt " kaa shikaar
aadami huuN.iis liye baqaul e shaad aZiim aabaadi yuuN samajh
liijiye"maiN khud aayaa nahiiN laayaa gayaa huuN".
maiN ne aHbaab se vaadah kiyaa he k insha-allaah vaqtan favaqtan
haaziri detaa rahuuN ga.
aap ko Ghazal ach'chhi lagi yeh mere liye tamaaniyat ki baat he.
khush rahiye aur yuuN hi adab ki khidmat meiN juTe rahiye.
niyaaz-mand
Azm Behzad