Taaza Ghazal-meri bikhri hui hasti...

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Taaza Ghazal-meri bikhri hui hasti...

Post by Shummu »

Salam humne bhi mehfil-e-sukhan mein diye gaye tarahi misre pe kuch likhne ki jasarat ki hai..ghazal saada si hai....ummeed hai kisi laayaq lagegi.. :-) aap sab ki aara ki muntazir :rose

meri bikhri hui hastii ko ikhathTaa karne
koi aa jaaye kahiN se mujhe poora karne!

'raat aayee hai mire Gham meiN izaafaa karne'
mujhko tanhaaiyoN meiN aur bhi tanhaa karne

bewafaayi ka tum aaye ho khulaasah karne?
ya ke aaye ho faqat koi tamashaa karne?!

phir chale uski wafaaoN pe bharosaa karne
Ghalatii jo kabhi kii thii wo dubaaraa karne

pehle to dil ko mire choRha tha zakhmi karke
aur ab aaya hai woh kaar-e-maseehaa karne!

abhi to khol ke rakh dete ho apne dil ko
hum na honge to kahaaN jaaoge aisaa karne?

tumse bujhtii hui ummeed ki lau kehti hai
kam se kam ab to chale aao ujaalaa karne!

shukriya,
shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Salam Shumaila Ji,

iss se pehlay ke koi sukhan shanas aap ki ghazal par izhar e raa-aye karay, mujhe ijaazat dijiaye ke meiN apni fazool si raa-aye se aap ki ghazal ke bakhiaye udhaiR sakooN.

meri bikhri hui hastii ko ikhathTaa karne
koi aa jaaye kahiN se mujhe poora karne!
--------------------------------------------bohat khoob

bohat achchaa matl'aa hai. aap ka sh'er paRh rahaa thaa to to pehlay miSra paRtay huway ye miSra maire zahn meiN koonda.

maire sheerazaa e hasti ko ikathaa karne

'raat aayee hai mire Gham meiN izaafaa karne'
mujhko tanhaaiyoN meiN aur bhi tanhaa karne
----------------------------------------acchi girah hai.

aam Tor par TaraH misr'a ko miSr'a e caani banayaa jaataa hai. agar aap apni iss sh'er ke miSroaN ko adal badal kar daiN to mairaa khyaal hai ke mafhooM meiN koi tabdeeli naheen aa-aye gi

'raat aayee hai mire Gham meiN izaafaa karne'
mujhko tanhaaiyoN meiN aur bhi tanhaa karne

bewafaayi ka tum aaye ho khulaasah karne?
ya ke aaye ho faqat koi tamashaa karne?!
---------------------------------------------- achchha sh'er hai

phir chale uski wafaaoN pe bharosaa karne
Ghalatii jo kabhi kii thii wo dubaaraa karne
---------------------------------------------- doosra miSra be behr maaloom hotaa hai.

pehle to dil ko mire choRha tha zakhmi karke
aur ab aaya hai woh kaar-e-maseehaa karne!
----------------------------------------------bohat khoob

abhi to khol ke rakh dete ho apne dil ko
hum na honge to kahaaN jaaoge aisaa karne?
----------------------------------------------- pehla miSra be be beHr maloom hotaa hai

mire zahn meiN ye Soorat aai hai.

ab to dil khol ke rakh daite mire saamne ho
meiN na hooNgi to ........................................

tumse bujhtii hui ummeed ki lau kehti hai
kam se kam ab to chale aao ujaalaa karne!
----------------------------------------------- ummeed aap ki hai to uss se kaise mukhatib hai?

meiN hotaa to ye sh'er yooN kehtaa

mujh se bujhti hui ummeed ki lua kehti hai
kam se kam ab to woh aa jaaaye ujaala karne

phir khud hi kehtaa wah wah :-)

Shumaila ji, tamaam gustakhiaN muaf farma-i-aye ga.

mukhliS,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

:salaam: Shumail Sahiba

Ghazal par meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye. Yeh sheir zyada pasand ayaa:

pehle to dil ko mire choRha tha zakhmi karke
aur ab aaya hai woh kaar-e-maseehaa karne!

Shukria
سالم احمد باشوار
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Taaza Ghazal-meri bikhri hui hasti...

Post by jawaid badauni »

Shummu wrote:
Salam humne bhi mehfil-e-sukhan mein diye gaye tarahi misre pe kuch likhne ki jasarat ki hai..ghazal saada si hai....ummeed hai kisi laayaq lagegi.. :-) aap sab ki aara ki muntazir :rose
Azeezah Shummu SaaHibah,
aadaab aur doa

MaiN ne aap ki Ghazal per tabsarah kiya tha magar bohat see "typo" ki GhaltiyaaN Khud mujhse ho gaii theeN mujhe yeh bhi Khadsha tha kahiN mere e'traazaat nagawaar.e Khaatir nah ho jayeN. MaiN aap ki ya kisee ki dilshikanee nahiN chaahta hooN. Iss liye maiN ne apne tabsarey ko wahaN se "delete" kar diya tha. Ab aap ne israar kiya hai tou ek baar phir aapki Ghazal ka jayezah leta hooN. Majmooii taur per ek achchee koshish hai magar chund miSrey kuch Safaii chaahte haiN. Raftah raftah yeh kamee Khud hi door ho jayegee mashq jaaree rakhiyega.

meri bikhri hui hastii ko ikhathTaa karne
koi aa jaaye kahiN se mujhe poora karne!
Mazmoon achcha hai magar sher kuch ziyadah Saaf nahiN.
"Pura karne" KhuSusan achcha nahiN laga. Waise sher
yaqeena" wazn meN hai. Nazr.e Saani kar lijiyega.

'raat aayee hai mire Gham meiN izaafaa karne'
mujhko tanhaaiyoN meiN aur bhi tanhaa karne
Awwal tou riwaaj yeh hai keh miSra.e tarah ko
doosra miSra banaaker usmeN miSra.e awwal ya oolah
lagaaker tazmeen ki jaatee hai jo kaam aap ne nahiN kiya
hai. Nez yeh keh doosra miSra Saaf bhi nahiN hai. YuuN
paRhkar dekhiye: "Mujhko tanahii meN kuch aur bhi tanha
karne".

bewafaayi ka tum aaye ho khulaasah karne?
ya ke aaye ho faqat koi tamashaa karne?!

Yaqeena" sher wazn meN hai. Magar donoN miSroN meN koii
rabt nazar nahiN aata. "Ya ke aaye ho" ki jagah "ya tum
aaye ho" paRhker dekhiye.

phir chale uski wafaaoN pe bharosaa karne
Ghalatii jo kabhi kii thii wo dubaaraa karne

Bhat achcha mazmoon hai.
Pahle miSrey meN "uski" ki jagah "unki" kar lijiye.
Achcha lagega. Doosra miSreymeN sirf dou alfaz
ko aage peeche kar lijiyega:

"Galatee ki jo kabhi usko dobarah karne".
pehle to dil ko mire choRha tha zakhmi karke
aur ab aaya hai woh kaar-e-maseehaa karne!

MaZmoon achcha magar sher Saaf nahiN hai.
Aap ko jis cheez ki zaroorat hai usey Angrezee
zubaan meN "finishing touch" kahte haiN.

Jo mire dil ko gaye thEy kabhi zaKhmee karke
aaj Khud aaye haiN woh kaar.e maseehaa karne

abhi to khol ke rakh dete ho apne dil ko
hum na honge to kahaaN jaaoge aisaa karne?

Bahan yeh aap ki Ghazla ka sub se kamzor sher hai.
Bura nah maaniyega. Doosra miSra phir bhee kuch
thik hai magar pahle miSra bohat kamzor aur bemAAna
hai. Doosre miSrey ka kuch behtar istaimal kijiyega.

tumse bujhtii hui ummeed ki lau kehti hai
kam se kam ab to chale aao ujaalaa karne![/b]

Aur yeh hai aap ki Ghazla ka shayad sub se Haseen sher.
Yuun karleN tou shayad aur Haseen ho jayega:

shamm.e ummid ki boojhtee huwee lau har lamha
unse kahtee hai chale aaoo ujaala karne

Mere mashware Ghalat bhi ho sakte haiN. Aap per koii
aKhlaaqee pabandee aayad nahiN hotee keh aap inper
laazmee taur per amal kareN. Aap ki Ghazal hai aur sub
kuch aap ki marZee per hai. Khoosh raheN!

Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni

Last edited by jawaid badauni on Wed May 02, 2007 7:54 am, edited 1 time in total.
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

muhammad_19k wrote:Salam Shumaila Ji,

iss se pehlay ke koi sukhan shanas aap ki ghazal par izhar e raa-aye karay, mujhe ijaazat dijiaye ke meiN apni fazool si raa-aye se aap ki ghazal ke bakhiaye udhaiR sakooN.[/quote

w'salaam khawar sahab ..arey bilajhijhak mere kalaam pe aap apni raaye de diya kijiye...hum inshallah har baat ka reply denge... :-)

meri bikhri hui hastii ko ikhathTaa karne
koi aa jaaye kahiN se mujhe poora karne!
--------------------------------------------bohat khoob

bohat achchaa matl'aa hai. aap ka sh'er paRh rahaa thaa to to pehlay miSra paRtay huway ye miSra maire zahn meiN koonda.

maire sheerazaa e hasti ko ikathaa karne
bahut shukriya aur aapne jo misra likha hai behad khoobsurat hai...
'raat aayee hai mire Gham meiN izaafaa karne'
mujhko tanhaaiyoN meiN aur bhi tanhaa karne
----------------------------------------acchi girah hai.

aam Tor par TaraH misr'a ko miSr'a e caani banayaa jaataa hai. agar aap apni iss sh'er ke miSroaN ko adal badal kar daiN to mairaa khyaal hai ke mafhooM meiN koi tabdeeli naheen aa-aye gi

mujhko tanhaaiyoN meiN aur bhi tanhaa karne
'raat aayee hai mire Gham meiN izaafaa karne'
giraah pasand karne ke liye bahut shukriya...jahan tak tarahi misre ko misra-e-oola banaane ka sawaal hai to maine kahin paRha tha ke tarahi misra jab MATLE mein istimaal hota hai to aap ko aazaaadi hoti hai ke aap ise pehla karein ya doosra...kyonki koi farq to paRta nahi hai aur yahan pe mujhe apna misra ''as a punch line use' karna tha jisse ek tajassus rahe ke next misra kya hone waala hai isliye maine tarahi misra pehla le liya...aur aap khud dekhein ..mafhoom to nahi badalta magar aise zyaada asar paida ho raha hai banisbat us ke jab apne misre ko pehla kar doon...

bewafaayi ka tum aaye ho khulaasah karne?
ya ke aaye ho faqat koi tamashaa karne?!
---------------------------------------------- achchha sh'er hai
shukriya!!
phir chale uski wafaaoN pe bharosaa karne
Ghalatii jo kabhi kii thii wo dubaaraa karne
---------------------------------------------- doosra miSra be behr maaloom hotaa hai.
is hawaale se to guftugu urduanjuman mein chal hi rahi hai...main bataati chaloon ke ye behr....

beHr-e-ramal mucamman makhboon meHzoof maqtoo' hai jiske arkaan.. faa.i.laatun___fa.i.laa.tun___fa.i.laa.tun___fe'lun / fa.i.lun hai aur is meiN pehle rukn ko "faa.i.laa.tun" ki jaga "fa.i.laa.tun" baandhne ki bhi ijaazat hai..aur isi flexibility ka maine istimaal kiya hai...isliye mera misra wazn mein hi hai.. :-)

pehle to dil ko mire choRha tha zakhmi karke
aur ab aaya hai woh kaar-e-maseehaa karne!
----------------------------------------------bohat khoob
nawaazish..! :-)
abhi to khol ke rakh dete ho apne dil ko
hum na honge to kahaaN jaaoge aisaa karne?
----------------------------------------------- pehla miSra be be beHr maloom hotaa hai

mire zahn meiN ye Soorat aai hai.

ab to dil khol ke rakh daite mire saamne ho
meiN na hooNgi to ........................................
gustaakhi mu'aaf magar yahan bhi maine behr ki flexibility ka istimaal kiya hai aur misra wazn mein hi hai..

tumse bujhtii hui ummeed ki lau kehti hai
kam se kam ab to chale aao ujaalaa karne!
----------------------------------------------- ummeed aap ki hai to uss se kaise mukhatib hai?

meiN hotaa to ye sh'er yooN kehtaa

mujh se bujhti hui ummeed ki lua kehti hai
kam se kam ab to woh aa jaaaye ujaala karne

phir khud hi kehtaa wah wah :-)
arey wah ummeed aap se baat kar sakti hai..usse nahi.. :twisted: khair mazaaq bartaraf aap ne bhi acchi tajweez di hai magar woh shiddat jo mere likhe misre mein hai jis mein direct bande se mukhataib hoon woh zara kam ho jaa rahi hai..aisa mujhe laga...baaqi aap ki bhi tajweez apni jagah bahut achi hai...is pe jawaid bhai aur sarwar sahab ne bhi tajweez di hain..main inshallah sab pe ghaur karke final verison mein tabdeeli karungi..
Shumaila ji, tamaam gustakhiaN muaf farma-i-aye ga.

mukhliS,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI
arey gustaakhi kaisi....ghazal post karne ka maqsad hi yahi hai ke kuch hum kahein..kuch aap kahein aur sehetmand tabaadlay e khayaal ho...ummeed hai meri koi baat buri nahi lagi hogi..shukriya...aayenda bhi aap ki aara ka intizaar rahega apne kalaam pe.. :grin:

shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

sbashwar wrote::salaam: Shumail Sahiba

Ghazal par meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye. Yeh sheir zyada pasand ayaa:

pehle to dil ko mire choRha tha zakhmi karke
aur ab aaya hai woh kaar-e-maseehaa karne!

Shukria
ws aur bahut bahut shukriya Salem sahab...aapki daad aur mubarakbaad sar aankhon pe...aapko woh sher zyaada pasand aaya jaankar accha laga...ummeed hai aayenda bhi yuhin hausla afzaayi farmaate rahenge :-)

Adaab,
shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: Taaza Ghazal-meri bikhri hui hasti...

Post by Shummu »

jawaid badauni wrote:
Azeezah Shummu SaaHibah,
aadaab aur doa

MaiN ne aap ki Ghazal per tabsarah kiya tha magar bohat see "typo" ki GhaltiyaaN Khud mujhse ho gaii theeN mujhe yeh bhi Khadsha tha kahiN mere e'traazaat nagawaar.e Khaatir nah ho jayeN. MaiN aap ki ya kisee ki dilshikanee nahiN chaahta hooN. Iss liye maiN ne apne tabsarey ko wahaN se "delete" kar diya tha. Ab aap ne israar kiya hai tou ek baar phir aapki Ghazal ka jayezah leta hooN. Majmooii taur per ek achchee koshish hai magar chund miSrey kuch Safaii chaahte haiN. Raftah raftah yeh kamee Khud hi door ho jayegee mashq jaaree rakhiyega.
Ws Jawaid bhai..plz aap se guzaarish hai ke aap is tarah apna tabsira likh ke miTaaya na karien kabhi....ye accha nahi lagta...aap ko pata hai ke main munaasib tanqeed ka kabhi bura nahi maanti aur tabsira hota hai to har baat ka apne ilm ke mutaabiq jawaab deti hoon...plz aap logon se bhi iltimaas hai ke mere diye gaye jawaab ka bura na maana karein..main jo kuch bhi kehti hoon to apne ilm mein izaafa karne ke liye kehti hoon na keh kisi anaa ki wajah se warna apne kalaam ko yaahn post hi kyon karti...main aankh band karke koi baat qubool nahi karti balki poori tarah samajh boojh ke ..ghaur fikr karke uspe amal karti hoon...jahan mujhe lagta hai tabdeeli karni chahiye karti hoon aur jahan mujhe apna sher zyaada behtar lagta hai to use as such chorh deti hoon basharte ke wazn sahi hona chahiye..ab itni to ijazat honi hi chahiye har shayar ko kyonki use hi asl pata hota hai ke woh kaun sa khayaal likh raha hai..ab aate hain aapke tabsire ki aur..

meri bikhri hui hastii ko ikhathTaa karne
koi aa jaaye kahiN se mujhe poora karne!

Mazmoon achcha hai magar sher kuch ziyadah Saaf nahiN.
"Pura karne" KhuSusan achcha nahiN laga. Waise sher
yaqeena" wazn meN hai. Nazr.e Saani kar lijiyega.
arey itna khoobsurat sher aapko accha nahi laga??hairat hai..ye to mera sabse azeez sher hai poori ghazal mein... aur jo baat is behr mein lafz"poora" se aa rahi hai..woh shayad hi kisi aur lafz se aa paayegi...aur mere ehsaas ki bilkul sahi tarjumaani kar raha hai ye sher aur khusoosan woh lafz....wahi to is sher ki jaan hai...

'raat aayee hai mire Gham meiN izaafaa karne'
mujhko tanhaaiyoN meiN aur bhi tanhaa karne

Awwal tou riwaaj yeh hai keh miSra.e tarah ko
doosra miSra banaaker usmeN miSra.e awwal ya oolah
lagaaker tazmeen ki jaatee hai jo kaam aap ne nahiN kiya
hai. Nez yeh keh doosra miSra Saaf bhi nahiN hai. YuuN
paRhkar dekhiye: "Mujhko tanahii meN kuch aur bhi tanha
karne".
jee mujhe ilm hai ke' tanhaaiyon 'mein 'yoN' dab raha hai...aur mujhe laga tha itni ijazaat hoti hai behr mein..aur main isi tarah apni baat keh paa rahi thi..aapki tajweez qaabil-e-qubool hai..inshaAllah ise badal dungi...shukriya...

jahan tak tarahi misre ko misra-e-oola banaane ka sawaal hai to jaisa maine Khawar sahab ko likha hai keh maine kahin paRha tha ke tarahi misra jab MATLE mein istimaal hota hai to aap ko aazaaadi hoti hai ke aap ise pehla karein ya doosra...kyonki koi farq to paRta nahi hai aur yahan pe mujhe apna misra ''as a punch line use' karna tha jisse ek tajassus rahe ke next misra kya hone waala hai isliye maine tarahi misra pehla le liya...aur aap khud dekhein ..mafhoom to nahi badalta magar aise zyaada asar paida ho raha hai banisbat us ke jab apne misre ko pehla kar doon...
bewafaayi ka tum aaye ho khulaasah karne?
ya ke aaye ho faqat koi tamashaa karne?!

Yaqeena" sher wazn meN hai. Magar donoN miSroN meN koii
rabt nazar nahiN aata. "Ya ke aaye ho" ki jagah "ya tum
aaye ho" paRhker dekhiye.
bas saada sa sher hai..jis mein shaayra soch rahi hai ke uske saath bewaafyi karne waala banda aaj wapis aaya hai to aakhir kisliye..woh kash ma kash mein mubtilaa hai keh kya waqaii us bande ko apne kiye pe nadaamat hai aur apni safaayi dene aaya hai ya phir use ruswaa karne ke liye koi naya tamshaa karne aaya hai...is mein shak-o-shubhaat ka pehluu hai :roll:

main pehle doosra misra "ya tum aaye ho" karke hi likh rahi thi magar mujhe laga mujh pe takraar-e-lafzi ka ilzaam lag jaayega so isliye nahi likha...
phir chale uski wafaaoN pe bharosaa karne
Ghalatii jo kabhi kii thii wo dubaaraa karne

Bhat achcha mazmoon hai.
Pahle miSrey meN "uski" ki jagah "unki" kar lijiye.
Achcha lagega. Doosra miSreymeN sirf dou alfaz
ko aage peeche kar lijiyega:

"Galatee ki jo kabhi usko dobarah karne".
oh aapne apna message edit kiya hai lagta hai ..kahir shukriya mazmoon pasand karne ke liye... aap na.. mere misre ko jab parhein to aise parhein "ghalatee jo kabhi kii thi..(thora rukein) aur phir paRhein "woh dubaara karne" aur dekhein kuch sahi laga??waise itni baar parh parh ke zubaan pe rawaaN ho chuka hai ye misra... aapka bataya misra bhi accha hai..is pe bhi zaroor ghaur karungi...maine likh liya hai...waise "uski" ko "unki" se badalna accha laga..shukriya..
pehle to dil ko mire choRha tha zakhmi karke
aur ab aaya hai woh kaar-e-maseehaa karne!

MaZmoon achcha magar sher Saaf nahiN hai.
Aap ko jis cheez ki zaroorat hai usey Angrezee
zubaan meN "finishing touch" kahte haiN.

Jo mire dil ko gaye thEy kabhi zaKhmee karke
aaj Khud aaye haiN woh kaar.e maseehaa karne
bahut khoob..shukriya..aapki tajweez kaafi acchi hai....waise sarwar sahab ki bhi tajweez mujhe acchi lagi thi....inshallah final version mein apa sab ki tajaweez ko zehn mein rakhke sher ko chust kar lungi...

abhi to khol ke rakh dete ho apne dil ko
hum na honge to kahaaN jaaoge aisaa karne?

Bahan yeh aap ki Ghazla ka sub se kamzor sher hai.
Bura nah maaniyega. Doosra miSra phir bhee kuch
thik hai magar pahle miSra bohat kamzor aur bemAAna
hai. Doosre miSrey ka kuch behtar istaimal kijiyega.
pata nahi kyon aap ko aisa laga??is mein ek tarah se main US KO warn kar rahi hoon ke itna close mat aao mere warna jab main nahi hongi to tumhe bahut takleef hogi aur tum phir kiske paas jaaya karoge apne dil ka bojh halka akarne...aur kisi misre se main ye baat keh nahi paa rahi thi...

tumse bujhtii hui ummeed ki lau kehti hai
kam se kam ab to chale aao ujaalaa karne![/b]

Aur yeh hai aap ki Ghazla ka shayad sub se Haseen sher.
Yuun karleN tou shayad aur Haseen ho jayega:

shamm.e ummid ki boojhtee huwee lau har lamha
unse kahtee hai chale aaoo ujaala karne
bahut nawaazish...maine shuru mein aisa hi likhna chaaha tha. pehla misra ..magar mujhse ban nahi paa raha tha..shukriya aap ka bahut khoobsurat badal pesh kiya hai aapne...waise aap ko nahi lagta..direct mukhaatib hone mein zyaada shiddat ka ehsaas hai? :shock:

Mere mashware Ghalat bhi ho sakte haiN. Aap per koii
aKhlaaqee pabandee aayad nahiN hotee keh aap inper
laazmee taur per amal kareN. Aap ki Ghazal hai aur sub
kuch aap ki marZee per hai. Khoosh raheN!

Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni
shukriya ye aazaadi dene ke liye :grin: jee jo cheez mujhe munaasib aur qaabil-e-qubool lagegi to inshaAllah use zaroor apnaaongi...aapka behad shukriya jo aap ne meri adna si ghazal pe tabsira kiya aur apni tajaweez pesh ki...accha laga...ummeed hai mera koi jawaab nagaawar-e-khaatir na hua hoga..agar aisa hua ho to gustaakhi mu'aaf kar dijiyega ke choti hoon...zyaada bol jaati hoon kabhi kabhi :oops:

duaoon mein yaad rakhiyega,
shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: Taaza Ghazal-meri bikhri hui hasti...

Post by Shummu »

sara_j wrote:
Shummu wrote:
meri bikhri hui hastii ko ikhathTaa karne
koi aa jaaye kahiN se mujhe poora karne!

'raat aayee hai mire Gham meiN izaafaa karne'
mujhko tanhaaiyoN meiN aur bhi tanhaa karne

bewafaayi ka tum aaye ho khulaasah karne?
ya ke aaye ho faqat koi tamashaa karne?!

phir chale uski wafaaoN pe bharosaa karne
Ghalatii jo kabhi kii thii wo dubaaraa karne

pehle to dil ko mire choRha tha zakhmi karke
aur ab aaya hai woh kaar-e-maseehaa karne!

abhi to khol ke rakh dete ho apne dil ko
hum na honge to kahaaN jaaoge aisaa karne?

tumse bujhtii hui ummeed ki lau kehti hai
kam se kam ab to chale aao ujaalaa karne!
shummu,

salaam.

bohat din baad aapki tehreer dekh ker dil khush hua.

sab hi ashaar pasand aaye. daad qubool keejiye :rose

sara
w'salaam sara jee...

bahut shukriya ghazal ki pazeraayi farmaane ke liye aur daad se nawaazne ke liye :-)

Adaab,
shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

SHUMAILA JEE,

aap ki ghazal ka ta-accur to achchchaa thaa hi. tabSiraa par jawab bhi kuch kam naheeN hai :-).

aap ki tamaam wazaHateiN khoob haiN. aap ne ye bataa kar ke is beHr meiN pehlay runk ki jagaa fa'ilaatun bhi ist'emaal kiyaa ja saktaa hai. marie ilm mieN izaafa kiyaa hai. jis ke leeaye meiN shukr guzar hooN. ye maire ilm meiN nahi thaa aor ye mari kam aqli ke ke meiN ne jhaT se miSra par be beHr honay tamgha lagaa dia. aap ki tahammul mizaaji aor maire ilm meiN izaafa karne ke leeaye aap ka shukrguzaar hooN.

tumse bujhtii hui ummeed ki lau kehti hai
kam se kam ab to chale aao ujaalaa karne!
----------------------------------------------- ummeed aap ki hai to uss se kaise mukhatib hai?

meiN hotaa to ye sh'er yooN kehtaa

mujh se bujhti hui ummeed ki lua kehti hai
kam se kam ab to woh aa jaaaye ujaala karne

phir khud hi kehtaa wah wah :-)

arey wah ummeed aap se baat kar sakti hai..usse nahi.. :twisted: khair mazaaq bartaraf aap ne bhi acchi tajweez di hai magar woh shiddat jo mere likhe misre mein hai jis mein direct bande se mukhataib hoon woh zara kam ho jaa rahi hai..aisa mujhe laga...baaqi aap ki bhi tajweez apni jagah bahut achi hai...is pe jawaid bhai aur sarwar sahab ne bhi tajweez di hain..main inshallah sab pe ghaur karke final verison mein tabdeeli karungi..
:-). bhayee meiN kaise keh saktaa hooN ke aap ki ummeed ki lau baat naheeN karti ? sha'iri meiN iss baRay baRay ghuloo haiN.

aap theek farmateeN haiN. iss meiN koi shak naheen ke jo khoobSoorti e bayaan umeed ki lau ki uss se baat karne meiN hai. woh lafz mujh se paidaa naheeN hoti.

laikin meiN sochtaa hooN ke woh to aayaan naheeN to sha'iraa ne kaise risk lay leeyaa ke ki umeed ki lau ussay bulane ke leeaye jaanay dia? kia bilkul andhariaa na ho gayaa?

mukhiS o dua'aa goa,

MUHAMMAD K. SIDDIQUI
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtarmah Shumailah saHibah aadaab! :-)

aap kee Ghazal dekh~ne kee taofeeq milee. maashAllah baRee kamyaab koshish hai. kiya hee achch~a ho keh agar aap isee t^arH meHfil meN tashreef latee raheeN aor hameeN apne dilkash kalam se nawaaztee raheeN. meree dua'a hai. keh Allah aap ke Z^aor-e-Qalam ko mazeed baRh~ata jae. AameeN.

meri bikhri hui hastii ko ikhathTaa karne
koi aa jaaye kahiN se mujhe poora karne!

Waah! bohot khoob!

'raat aayee hai mire Gham meiN izaafaa karne'
mujhko tanhaaiyoN meiN aur bhi tanhaa karne

waah!

bewafaayi ka tum aaye ho khulaasah karne?
ya ke aaye ho faqat koi tamashaa karne?!

Kiya kehne!

phir chale uski wafaaoN pe bharosaa karne
Ghalatii jo kabhi kii thii wo dubaaraa karne

Waah! Bohot khoob!

pehle to dil ko mire choRha tha zakhmi karke
aur ab aaya hai woh kaar-e-maseehaa karne!

Waah!

abhi to khol ke rakh dete ho apne dil ko
hum na honge to kahaaN jaaoge aisaa karne?

kiya kehne!

tumse bujhtii hui ummeed ki lau kehti hai
kam se kam ab to chale aao ujaalaa karne!

Kiya kehne! Waah!

meree janib se is kamyaab koshish par dilee mubarak baad Qubool keejiye!

Wassalam
Muz^affar
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

muhammad_19k wrote:SHUMAILA JEE,

aap ki ghazal ka ta-accur to achchchaa thaa hi. tabSiraa par jawab bhi kuch kam naheeN hai :-).

aap ki tamaam wazaHateiN khoob haiN. aap ne ye bataa kar ke is beHr meiN pehlay runk ki jagaa fa'ilaatun bhi ist'emaal kiyaa ja saktaa hai. marie ilm mieN izaafa kiyaa hai. jis ke leeaye meiN shukr guzar hooN. ye maire ilm meiN nahi thaa aor ye mari kam aqli ke ke meiN ne jhaT se miSra par be beHr honay tamgha lagaa dia. aap ki tahammul mizaaji aor maire ilm meiN izaafa karne ke leeaye aap ka shukrguzaar hooN.

tumse bujhtii hui ummeed ki lau kehti hai
kam se kam ab to chale aao ujaalaa karne!
----------------------------------------------- ummeed aap ki hai to uss se kaise mukhatib hai?

meiN hotaa to ye sh'er yooN kehtaa

mujh se bujhti hui ummeed ki lua kehti hai
kam se kam ab to woh aa jaaaye ujaala karne

phir khud hi kehtaa wah wah :-)

arey wah ummeed aap se baat kar sakti hai..usse nahi.. :twisted: khair mazaaq bartaraf aap ne bhi acchi tajweez di hai magar woh shiddat jo mere likhe misre mein hai jis mein direct bande se mukhataib hoon woh zara kam ho jaa rahi hai..aisa mujhe laga...baaqi aap ki bhi tajweez apni jagah bahut achi hai...is pe jawaid bhai aur sarwar sahab ne bhi tajweez di hain..main inshallah sab pe ghaur karke final verison mein tabdeeli karungi..
:-). bhayee meiN kaise keh saktaa hooN ke aap ki ummeed ki lau baat naheeN karti ? sha'iri meiN iss baRay baRay ghuloo haiN.

aap theek farmateeN haiN. iss meiN koi shak naheen ke jo khoobSoorti e bayaan umeed ki lau ki uss se baat karne meiN hai. woh lafz mujh se paidaa naheeN hoti.

laikin meiN sochtaa hooN ke woh to aayaan naheeN to sha'iraa ne kaise risk lay leeyaa ke ki umeed ki lau ussay bulane ke leeaye jaanay dia? kia bilkul andhariaa na ho gayaa?

mukhiS o dua'aa goa,

MUHAMMAD K. SIDDIQUI
ek baar phir jawaab se nawaazne ke liye behad shukriya Khawar sahab..mujhe khushi hui ke aapko hamara jawaab achcha laga...main mazeed aakhri sher pe ghaur kar rahi hoon sab ki tajweez ki raushnee mein aur kya pata usko badal hi loon..shukriya ghaur farmaane ka....

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtarmah Shumailah saHibah aadaab! :-)

aap kee Ghazal dekh~ne kee taofeeq milee. maashAllah baRee kamyaab koshish hai. kiya hee achch~a ho keh agar aap isee t^arH meHfil meN tashreef latee raheeN aor hameeN apne dilkash kalam se nawaaztee raheeN. meree dua'a hai. keh Allah aap ke Z^aor-e-Qalam ko mazeed baRh~ata jae. AameeN.

meri bikhri hui hastii ko ikhathTaa karne
koi aa jaaye kahiN se mujhe poora karne!

Waah! bohot khoob!

'raat aayee hai mire Gham meiN izaafaa karne'
mujhko tanhaaiyoN meiN aur bhi tanhaa karne

waah!

bewafaayi ka tum aaye ho khulaasah karne?
ya ke aaye ho faqat koi tamashaa karne?!

Kiya kehne!

phir chale uski wafaaoN pe bharosaa karne
Ghalatii jo kabhi kii thii wo dubaaraa karne

Waah! Bohot khoob!

pehle to dil ko mire choRha tha zakhmi karke
aur ab aaya hai woh kaar-e-maseehaa karne!

Waah!

abhi to khol ke rakh dete ho apne dil ko
hum na honge to kahaaN jaaoge aisaa karne?

kiya kehne!

tumse bujhtii hui ummeed ki lau kehti hai
kam se kam ab to chale aao ujaalaa karne!

Kiya kehne! Waah!

meree janib se is kamyaab koshish par dilee mubarak baad Qubool keejiye!

Wassalam
Muz^affar
Salam!

bahut bahut shukriya Muzaffar sahab ..aap jaise sukhan shanaas shakshiyat ki jaanib se itni daad paake dil baaGh baaGh ho gaya..ye dekhkar bahut khushi hui keh aapko sab hi sher pasand aaye...aapki duaayein aur mubarakbaad sar aankhon pe....bas duaa kijiye aur behtar likh sakoon...shukriya :-)

Shumaila