Guzarish # 28 - Jawaid Badauni
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Guzarish # 28 - Jawaid Badauni
Dosto! Aadab
Tarahee mushaireh ke liye apnee bohat sada Ghazal
aapke Hawaley kar raha hooN. Buzurg.e moHtaram
Sarwar Raz Saahab se guzarish ahi keh woh chauthey
aur chhaTey sher ko nazar andaz kar deN; waise kuch
ibtedaaii ashaar meN KhaliS Ghazal ka rung apna
kar main ne kuch to izalah kar hi diya hai.
Khair andesh!
Jawaid Badauni
-------------------------------------------------------------
zamane pe woh Tunz farma rahe haiN
ishare hamaree taraf aa rahe haiN
hameN dekh kar aap sharma rahe haiN
“mohabbat meN yeh kya maqam aa rahe haiN”
yeh duniya nahiN ik saraaye hai logo
kaii aa rahe haiN kaii jaa rahe haiN
kabhee ab nah lauTeNge muflis ke ghar tak
jo zewar mahajan ke ghar ja rahe haiN
woh mansub jise hum ne Thukra diya tha
usey paake log aaj itra rahe haiN
“Club” meN haiN sub nanhe bachchoN ke maaeN
pidar baiThe ghar loriyaaN gaa rahe haiN
Rah.e ishq ke tum bhee :Jawaid: raihro !
tumhaare bure din qareeb aa rahe hai
Last edited by jawaid badauni on Fri May 04, 2007 5:39 am, edited 2 times in total.
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: Tarahee Ghazal Guz: 28
jawaid badauni wrote:
Dosto! Aadab
Tarahee mushaireh ke liye apnee bohat sada Ghazal
aapke Hawaley kar raha hooN. Buzurg.e moHtaram
Sarwar Raz Saahab se guzarish ahi keh woh chauthey
aur chhaTey sher ko nazar andaz kar deN; waise kuch
ibtedaaii ashaar meN KhaliS Ghazal ka rung apna
kar main ne kuch to izalah kar hi diya hai.
Khair andesh!
Jawaid Badauni
-------------------------------------------------------------
zamane pe woh Tunz farma rahe haiN
ishare hamaree taraf aa rahe haiN
hameN dekh kar aap sharma rahe haiN
“mohabbat meN kya kya maqam aa rahe haiN”
yeh duniya nahiN ik saraaye hai logo
kaii aa rahe haiN kaii jaa rahe haiN
kabhee ab nah lauTeNge muflis ke ghar tak
jo zewar mahajan ke ghar ja rahe haiN
woh mansub jise hum ne Thukra diya tha
usey paake log aaj itra rahe haiN
“Club” meN haiN sub nanhe bachchoN ke maaeN
pidar baiThe ghar loriyaaN gaa rahe haiN
Rah.e ishq ke tum bhee :Jawaid: raihro !
tumhaare bure din qareeb aa rahe hai
biradaram jawaid saahib
bahut acchee ghazal hai yeh aapki.
masha allah saare sher acchay haiN.
"yeh duniya nahiN ik saraaye hai logo
kaii aa rahe haiN kaii jaa rahe haiN"
bahut khoob.....yehi tau haqeeqat hai jisay insaan bhula baitha hai.
hamaari dilee daad qubool farmaayeN :rose :rose :rose .
allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah.
aapka apna
haamid baaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Tarahee Ghazal Guz: 28
haamidbaaqri wrote:jawaid badauni wrote:
Dosto! Aadab
Tarahee mushaireh ke liye apnee bohat sada Ghazal
aapke Hawaley kar raha hooN. Buzurg.e moHtaram
Sarwar Raz Saahab se guzarish ahi keh woh chauthey
aur chhaTey sher ko nazar andaz kar deN; waise kuch
ibtedaaii ashaar meN KhaliS Ghazal ka rung apna
kar main ne kuch to izalah kar hi diya hai.
Khair andesh!
Jawaid Badauni
-------------------------------------------------------------
zamane pe woh Tunz farma rahe haiN
ishare hamaree taraf aa rahe haiN
hameN dekh kar aap sharma rahe haiN
“mohabbat meN kya kya maqam aa rahe haiN”
yeh duniya nahiN ik saraaye hai logo
kaii aa rahe haiN kaii jaa rahe haiN
kabhee ab nah lauTeNge muflis ke ghar tak
jo zewar mahajan ke ghar ja rahe haiN
woh mansub jise hum ne Thukra diya tha
usey paake log aaj itra rahe haiN
“Club” meN haiN sub nanhe bachchoN ke maaeN
pidar baiThe ghar loriyaaN gaa rahe haiN
Rah.e ishq ke tum bhee :Jawaid: raihro !
tumhaare bure din qareeb aa rahe hai
biradaram jawaid saahib
bahut acchee ghazal hai yeh aapki.
masha allah saare sher acchay haiN.
"yeh duniya nahiN ik saraaye hai logo
kaii aa rahe haiN kaii jaa rahe haiN"
bahut khoob.....yehi tau haqeeqat hai jisay insaan bhula baitha hai.
hamaari dilee daad qubool farmaayeN :rose :rose :rose .
allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah.
aapka apna
haamid baaqri
Azeezi Haamid SaaHab,
Salam e masnoon
Aapki purKhuloos daad aur us se baRhker
aap ki doa ke liye ap ka behud mamnoon hooN.
Khoosh raheN!
Jawaid
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Re: Tarahee Ghazal Guz: 28
MOHTARAM JANAB JAWAID BADAUNI SAHEB
aik nehtait hi shaandaar ghazal par dilli mubarakbaad qabool kijiaye. agar isse gustakhi ke zimray meiN naa laayaa jaa-aye to meiN keh saktaa hooN ke meiN ab tak aap ko ja kalaam paRha hai us meiN ye behtareen ghazloaN me se aik hai.
aik aik sh'er bohat zabardast hai.
sher number 3 meiN agar logo ki jagaa yaro kiyaa jaa-aye to kiyaa baat ka acar baRh saktaa hai?
sher number 4 jo ke mujhe sab se pasand aayaa,
kabhee ab nah lauTeNge muflis ke ghar tak
jo zewar mahajan ke ghar ja rahe haiN
meiN aap ne aakhir meiN "ghar tak" istemaal kiyaa hai. mujhe aisaa lagtaa hai jaise "ghar tak" jaane ka taSSuwar daitaa hai. "waapsi" ke taSSawar ke leeaye agar "ghar ko" kar diyaa jaa-aye toa? yaqeenun "ghar tak" ke saath bhi sh'er behtareen hai.
Aisi shaandaar ghazal par ik baar phir mubaarakbaad qabool kijiaye,
du'aa go,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.

Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Tarahee Ghazal Guz: 28
muhammad_19k wrote:MOHTARAM JANAB JAWAID BADAUNI SAHEB
aik nehtait hi shaandaar ghazal par dilli mubarakbaad qabool kijiaye. agar isse gustakhi ke zimray meiN naa laayaa jaa-aye to meiN keh saktaa hooN ke meiN ab tak aap ko ja kalaam paRha hai us meiN ye behtareen ghazloaN me se aik hai.
aik aik sh'er bohat zabardast hai.
sher number 3 meiN agar logo ki jagaa yaro kiyaa jaa-aye to kiyaa baat ka acar baRh saktaa hai?
sher number 4 jo ke mujhe sab se pasand aayaa,
kabhee ab nah lauTeNge muflis ke ghar tak
jo zewar mahajan ke ghar ja rahe haiN
meiN aap ne aakhir meiN "ghar tak" istemaal kiyaa hai. mujhe aisaa lagtaa hai jaise "ghar tak" jaane ka taSSuwar daitaa hai. "waapsi" ke taSSawar ke leeaye agar "ghar ko" kar diyaa jaa-aye toa? yaqeenun "ghar tak" ke saath bhi sh'er behtareen hai.
Aisi shaandaar ghazal par ik baar phir mubaarakbaad qabool kijiaye,
du'aa go,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.
Azeezi Khawar Sahab,
Salam.e masnoon
Aapka dilchusp tabsara paRh kar Khushee huwee. Ghazal aap ko pasaNd aaii so meri meHnat wuSool huuwee. Waise raaz ki baat yeh hai keh maiN tarahee GhazaloN per ziyadah meHnat nahiN karta. Nazar.e Saane ka waqt bhi nahiN mil pata hai.
"Ko" lafz izafee hota hai is se sher ka Husn Khatm ho jata hai. Waise bhi "Main Karachi jane wala hooN" saheeh hai magar yeh kahna keh "maiN Karachi KO jane wala hooN" Ghalat hai."
Agar baat koii aisee hoti keh yaroN per ya dostoN per koii Tanz kiya hota tou Yaro lafz saheeh tha magar yahaN to baat duniya ki hai shayad logo hi ziyadah munasib hai. Waise aap ki tajweez bhi achchi lagee.
Chauthe aurChaTey sher ke Hawaley se Arz karooN keh buzurgoN ne baarha e'traaz kiya keh yeh Ghazal ke mazameen nahiN haiN magar maiN jab tak kuch sher iss ruNg meN nah kahoN meree tabeeyat ser nahiN hoti. Ghazal ka mizaj badal gaya hai ab yeh masaaIl nazar andaaz nahiN kiye ja sakte.
Ek baar phir aap ka shukriya.
Jawaid
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
moHtaram Biradaram Janab Jawaid Badauni SaHib aadaab-o-tasleemaat!
Guzashtah mushaae'irah kamyabee se hamkinaar huwa.(AlHamdolillAah) aap aor deegar daostooN ne use apne dilkash aor dilfareb kalam se kamranee kee kaleed faraham kee.
khuda-e-buzurg-o-bartar ka baRa aHsaan hai. keh us ne hameeN yeh taofeeq e't^a farmaee keh ham ne Janab-e-Abdullah Naz^ir SaHib kee Ghaer maojudagee meN yeh gulisitaan-e-she'er-o-naGhmah sajaya. aor aap aese mukhliSeen ne she'er keh kar gaoya khun-e-jigar se is kee aabyaree kee aor kar rahe haiN. khuda aap sam ke i'lm-o-fan meN aZ^afah farmata rahe.
Aap kee Ghazal mushae'irah meN pesh kee ja chukee hai. mashAllah kalam Hasb-e-rawayat a'aam fehem, hejaan parwar, aor zoodacar haone kee wajah se zeyadah rangeen aor jazib-e-naz^ar ho geya hai.
Ghazal ke upar ke asha'aar meN maoseeqee kee lehnooN, alfaaz^ ke zer-o-bam aor qawafee ke AahaNg ka eHsaas zeyadah shadeed ho geya hai. kalam sadah usloob meN hone ke baae'ic dil meN gh~ar kar raha hai. aap ne mushkil tarakeeb aor bandishooN se daman bachaate huwe Ghazal kee wohee haiyat jo aap ke haaN miltee hai. ise barqaraar rakh~a.
aap ne apnee Ghazal se mazaaq-e-jamhoor kee taskeen ka samaan faraham kar diya hai. mujh~e yaqeen hai. keh agar Ghazal ka yahee mea'aar aaj ke SaaHibaan-e-qalam ikhteyaar kar leeN to aaj jadeed Ghazal kee sard aor tund hawaooN kee badaolat rawayatee Ghazal ke CharaaGh ko gul hone se bachaya ja sakta hai.
zamane pe woh Tunz farma rahe haiN
ishare hamaree taraf aa rahe haiN
Bohot khoob!! waah waah!
hameN dekh kar aap sharma rahe haiN
“mohabbat meN kya kya maqam aa rahe haiN”
Kiya kehne! waah waah!
yeh duniya nahiN ik saraaye hai logo
kaii aa rahe haiN kaii jaa rahe haiN
kiya kehne!waah waah!
kabhee ab nah lauTeNge muflis ke ghar tak
jo zewar mahajan ke ghar ja rahe haiN
achch~a ma'anee khaez she'er hai.
woh mansub jise hum ne Thukra diya tha
usey paake log aaj itra rahe haiN
Kiya kehne! waah waah!
“Club” meN haiN sub nanhe bachchoN ke maaeN
pidar baiThe ghar loriyaaN gaa rahe haiN
Waah! yeh to aap ne maGhrib ka naqshah kh~ench diya hai! achch~a fikr angez she'er hai!
Rah.e ishq ke tum bhee :Jawaid: raihro !
tumhaare bure din qareeb aa rahe hai
Bohot khub waah waah! rah-e-i'shq ka rehro hona hee bure dinooN ka pesh khaemah hai!
Aakhir meN aap ko mubarak baad aor dad dete huwe dilee musarrat ka eHsaas ho raha hai.
mujh~e ummeed hai. keh aap aae'indah bh~ee hamaree maHafil meN tashreef la kar nah Sirf hamare HaoSile baRh~aeeN ge. balkeh baae'ic-e-raonaq-e-meHfil bh~ee hoN ge.
Dh~erooN dua'aaooN ke saath~ ijazut chahooN ga!
Wassalam
Muz^affar

Kyuun nahiN Bhaii. Main Urdu bandhan se wabasta hooN aur yeh ek maZboot rishta hai. Jab tak Nazir Saahab wapas nahiN aate hum sub ki yah zimmedaari bhi hai keh hum is bazm ko usee tarah saNware raheN jaise unke saamne thee. Khuda aap ko Khush rakhkhe sub se ziyadah kaam aap ne hi kiya hai unki ghair Hazireee meNMuzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Janab Jawaid Badauni SaHib aadaab-o-tasleemaat!
Guzashtah mushaae'irah kamyabee se hamkinaar huwa.(AlHamdolillAah) aap aor deegar daostooN ne use apne dilkash aor dilfareb kalam se kamranee kee kaleed faraham kee.
khuda-e-buzurg-o-bartar ka baRa aHsaan hai. keh us ne hameeN yeh taofeeq e't^a farmaee keh ham ne Janab-e-Abdullah Naz^ir SaHib kee Ghaer maojudagee meN yeh gulisitaan-e-she'er-o-naGhmah sajaya. aor aap aese mukhliSeen ne she'er keh kar gaoya khun-e-jigar se is kee aabyaree kee aor kar rahe haiN. khuda aap sab ke i'lm-o-fan meN aZ^afah farmata rahe.
Aapko jitnee bhi mubarakbaad de jaye kum hai. Nazir sahab ki kamee maHsoos nahiN hone dee. Pahle mere iltemas per Mushaaira saNbhaala aur phir mere hi mashwarey per aap ko naazim.e.aala banaya gaya aur yeh kaam bhi aap Masha Allah bakhubee anjaam de rahe haiN. Zindabad.
Aap kee Ghazal mushae'irah meN pesh kee ja chukee hai. mashAllah kalam Hasb-e-rawayat a'aam fehem, hejaan parwar, aor zoodacar haone kee wajah se zeyadah rangeen aor jazib-e-naz^ar ho geya hai.
Main tou hamesha hi saadgee se kahta hooN bhaai aur is se ziyadah ka ahl bhee nahiN. Waise yeh Haqeeqat hai sada zubaan meN kaha gaya kalam sub tak pahooNch jata hai aur maqbool bhi ho jata hai.
Ghazal ke upar ke asha'aar meN maoseeqee kee lehnooN, alfaaz^ ke zer-o-bam aor qawafee ke AahaNg ka eHsaas zeyadah shadeed ho geya hai. kalam sadah usloob meN hone ke baae'ic dil meN gh~ar kar raha hai. aap ne mushkil tarakeeb aor bandishooN se daman bachaate huwe Ghazal kee wohee haiyat jo aap ke haaN miltee hai. ise barqaraar rakh~a.
Yaqeenan aap ki muraad matloN se hai jo main ne KhaliS Ghazal ke ruNg meN kahne ki koshish ki hai.
aap ne apnee Ghazal se mazaaq-e-jamhoor kee taskeen ka samaan faraham kar diya hai. mujh~e yaqeen hai. keh agar Ghazal ka yahee mea'aar aaj ke SaaHibaan-e-qalam ikhteyaar kar leeN to aaj jadeed Ghazal kee sard aor tund hawaooN kee badaolat rawayatee Ghazal ke CharaaGh ko gul hone se bachaya ja sakta hai.
Sharminda nah kijiye Muzaffar Saahab. Bohut saadgee se ujlat meN kahe gaye chund ashAAr haiN yeh bhi aap ka karam hai keh aap inheN Ghazal ka naam de rahe haiN.
zamane pe woh Tunz farma rahe haiN
ishare hamaree taraf aa rahe haiN
Bohot khoob!! waah waah!
hameN dekh kar aap sharma rahe haiN
“mohabbat meN kya kya maqam aa rahe haiN”
Kiya kehne! waah waah!
yeh duniya nahiN ik saraaye hai logo
kaii aa rahe haiN kaii jaa rahe haiN
kiya kehne!waah waah!
kabhee ab nah lauTeNge muflis ke ghar tak
jo zewar mahajan ke ghar ja rahe haiN
achch~a ma'anee khaez she'er hai.
woh mansub jise hum ne Thukra diya tha
usey paake log aaj itra rahe haiN
Kiya kehne! waah waah!
“Club” meN haiN sub nanhe bachchoN ke maaeN
pidar baiThe ghar loriyaaN gaa rahe haiN
Waah! yeh to aap ne maGhrib ka naqshah kh~ench diya hai! achch~a fikr angez she'er hai!
Rah.e ishq ke tum bhee :Jawaid: raihro !
tumhaare bure din qareeb aa rahe hai
Bohot khub waah waah! rah-e-i'shq ka rehro hona hee bure dinooN ka pesh khaemah hai!
Aakhir meN aap ko mubarak baad aor dad dete huwe dilee musarrat ka eHsaas ho raha hai.
Ghazal ki bharpoor pazeeraayee ke liye aap ka jitna bhi shukriya adaa karooN kum hai. Aap ki daad.o.taHseen hamesha himmat afzaai ka baayis bantee hai.
mujh~e ummeed hai. keh aap aae'indah bh~ee hamaree maHafil meN tashreef la kar nah Sirf hamare HaoSile baRh~aeeN ge. balkeh baae'ic-e-raonaq-e-meHfil bh~ee hoN ge.
Dh~erooN dua'aaooN ke saath~ ijazut chahooN ga!
Wassalam
Muz^affar
Aapka MuKhliS
Jawaid
Re: Tarahee Ghazal Guz: 28
wah wah bahut khoob jawaid bhai ..khoob farmaaya aapne..daad pesh hai...ghazal mein jo jiddat hai woh bhi mujhe pasand aayi...jawaid badauni wrote:
zamane pe woh Tunz farma rahe haiN
ishare hamaree taraf aa rahe haiN
hameN dekh kar aap sharma rahe haiN
“mohabbat meN yeh kya maqam aa rahe haiN”
yeh duniya nahiN ik saraaye hai logo
kaii aa rahe haiN kaii jaa rahe haiN
kabhee ab nah lauTeNge muflis ke ghar tak
jo zewar mahajan ke ghar ja rahe haiN
woh mansub jise hum ne Thukra diya tha
usey paake log aaj itra rahe haiN
“Club” meN haiN sub nanhe bachchoN ke maaeN
pidar baiThe ghar loriyaaN gaa rahe haiN
Rah.e ishq ke tum bhee :Jawaid: raihro !
tumhaare bure din qareeb aa rahe hai
adaab,
shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Tarahee Ghazal Guz: 28
Shummu wrote:wah wah bahut khoob jawaid bhai ..khoob farmaaya aapne..daad pesh hai...ghazal mein jo jiddat hai woh bhi mujhe pasand aayi...jawaid badauni wrote:
zamane pe woh Tunz farma rahe haiN
ishare hamaree taraf aa rahe haiN
hameN dekh kar aap sharma rahe haiN
“mohabbat meN yeh kya maqam aa rahe haiN”
yeh duniya nahiN ik saraaye hai logo
kaii aa rahe haiN kaii jaa rahe haiN
kabhee ab nah lauTeNge muflis ke ghar tak
jo zewar mahajan ke ghar ja rahe haiN
woh mansub jise hum ne Thukra diya tha
usey paake log aaj itra rahe haiN
“Club” meN haiN sub nanhe bachchoN ke maaeN
pidar baiThe ghar loriyaaN gaa rahe haiN
Rah.e ishq ke tum bhee :Jawaid: raihro !
tumhaare bure din qareeb aa rahe hai
adaab,
shumaila
Bohat bohat shukriya Shumaila SHibah.
Khoosh raheN!
MuKhliS
Jawaid
- yasir shah
- -
- Posts: 191
- Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
- Location: karachi
- Contact:
Re: Tarahee Ghazal Guz: 28
Jawaid SaaHib !jawaid badauni wrote:
Dosto! Aadab
Tarahee mushaireh ke liye apnee bohat sada Ghazal
aapke Hawaley kar raha hooN. Buzurg.e moHtaram
Sarwar Raz Saahab se guzarish ahi keh woh chauthey
aur chhaTey sher ko nazar andaz kar deN; waise kuch
ibtedaaii ashaar meN KhaliS Ghazal ka rung apna
kar main ne kuch to izalah kar hi diya hai.
Khair andesh!
Jawaid Badauni
-------------------------------------------------------------
zamane pe woh Tunz farma rahe haiN
ishare hamaree taraf aa rahe haiN
hameN dekh kar aap sharma rahe haiN
“mohabbat meN yeh kya maqam aa rahe haiN”
yeh duniya nahiN ik saraaye hai logo
kaii aa rahe haiN kaii jaa rahe haiN
kabhee ab nah lauTeNge muflis ke ghar tak
jo zewar mahajan ke ghar ja rahe haiN
woh mansub jise hum ne Thukra diya tha
usey paake log aaj itra rahe haiN
“Club” meN haiN sub nanhe bachchoN ke maaeN
pidar baiThe ghar loriyaaN gaa rahe haiN
Rah.e ishq ke tum bhee :Jawaid: raihro !
tumhaare bure din qareeb aa rahe hai
assalaamoa'laikum
mat'la'-e-Ghazal bahut u'mdah hay -khuSooSee daad aur mubaarakbaad qubool farmaaiye-
yasir
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Tarahee Ghazal Guz: 28
yasir shah wrote:Jawaid SaaHib !jawaid badauni wrote:

Shukriya Yasir SaaHab
"Mujhe itna sahara kum nahiN hai."
MuKhliS
Jawaid
-
- -
- Posts: 124
- Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact: