Mahanah Mushae'rooN ke mut^a'liq Z^ruri Aa'laan!!

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Mahanah Mushae'rooN ke mut^a'liq Z^ruri Aa'laan!!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Yaraan-e-meHfil UrduBandhan aadaab-o-tasleemaat!

maahanah mushae'irooN ke Hawalah se aap sab moa'azziz mimbaraan ko muttela' kiya jata hai. keh aae'indah mushae'irooN meN intez^amiyah kee yeh koshish rahee gee. keh jaesa keh rawayat bh~ee hai. har musha'irah meN aek mehmaan-e-khuSuSee kee maojudagee ko Hattal imkaan laazim qaraar diya jae.

is iqdaam se yaqeena" mushae'irah kee raonaq aor afadiyat meN gu naa gooN aZ^afah kee Qawee ummeed hai. inshaAllah is silsilah ka pehla mushae'rah agle maah Guzarish#29 Jun07 se kar diya jae ga.

mehmaan-e-khuSuSee ka intekhaab moa'zziz mehmaan kee qalamee khidmaat kee buniyaad par a'amal meN laya jaa sake ga. is silsilah meN muntakhib kiye jane wale mehmaan kee Qalamee khidmaat chahe woh interneT ya kisee bh~ee sat^aH par hooN. khat^ir nasheeN rakh~a jae ga. intekhaab ke silsilah meN naazmeen ke mashwarah ko qadr kee nigaah se dekh~a jae ga. aor un ke taa'wun kee Z^arurat se inkaar nah kiya jae ga.

mehmaan-e-khuSee ko jahaaN da'awat-e-mushae'rah dee jae gee. waahaaN naaz^im-e-mushae'irah ke ilawah shurakaa'-e-majlis moa'zziz mehmaan se diye gae t^arHee miSra' par Ghazal pesh karne ke liye darkhuwaast guzaar bh~ee hooN geY.

Wassalam
Nazim-e-mushae'irah
Muz^affar A Muzaffar
Post Reply