Yaraan-e-mehfil aadaab!
Woh Dost jo mushae'irah meN tashreef laa kar apnee takhleeqaat se mushae'irah kee raonaq ko chaar chand laga rahe haiN. un sab kee khimat meN ijtemaaee shukriyah aor mubarak baad. aap sab kee aamad mushaae'irah ko kaamyabee ke Qareeb le gaee hai.
lekin woh saath~ee jo abh~ee shareek-e-mushae'rah naheeN huwe. un kee khidmat meN manz^oom z^areefanah darkhuwaast hai.
mulaaHiZ^ah farmaiye.
Woh kiyooN int^ezaar itna karwa rahe haiN?
suna thaa woh le kar Ghazal aa rahe haiN
kahaaN kho gae haiN woh ab ke najane?
Ghaneemat hai un ke peyaam aa rahe haiN
Ghazal woh khuda jane likheeN ge kis din?
keh Wade peh Wade kiye ja rahe haiN
Ghazal nah hoee aasmaaN ho geya hai!
Haqeeqat meN ham keh ke pachtaa rahe haiN
hamare liye un ko furSat hee kab hai.
mujhe lag raha hai woh Tarkaa rahe haiN.
Muz^affar yeh un se maiN keh doN ga ek din
"muaHabbat meN yeh kiya maqaam aarahe haiN"
meHeZ^ tafreeH-e-t^ba' ke liye keh dee hai. Dost tabSirajaat kee zeHmat gawarah nah farmaeeN.
Wassalam
Muz^affar
Guzarish#28 ke liye aek z^areefanah Ghazal!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Guzarish#28 ke liye aek z^areefanah Ghazal!
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Wed May 09, 2007 8:43 pm, edited 1 time in total.
ha ha haaaaaaaaa bahut khoob janaab..bahut khoob...aap ka shikwah karne ka ye andaaz bahut accha laga...sab ko ishaara mil gaya hoga lolz...
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
bohat khoob janab
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
moHtaram Biradaram Jawaid SaHib aadaab!jawaid badauni wrote:Azeezi Muzaffar SaaHab
Ek hi zameen meN kaii kaii GhazaleN kahan aap ka hi kaam hai. Bohat Khub.
Dad qubool kijiye.
MuKhliS
Jawaid Badauni
kalam ko pasand farmane aor himmat afzaee ke liye aap ka mamnoon hooN. khuda aap ko salamat rakh~e.
Aabaad raheeN.
Wassalam
Muzaffar