Assalaam o alaikum
dosto
hamaari adna kaavish peshay khidmat hai
gar qubool uftad zahay.......
arz kiya hai....
musalsal jau maaN kay qadam dekhtay haiN
woh aankhoN say apni iram dekhtay haiN
mudabbir,mufakkir,muhaqqiq,mu'allim
khuda ko,khuda ki qasam dekhtay haiN
nigaahoN say dil ki nazar aaye maalik
nazar say faqat hum sanam dekhtay haiN
yahaaN bhi khuda hai,wahaaN bhi khuda hai
"nah tum dekhtay ho,nah hum dekhtay haiN"
khuda ki nazar meiN gunahgaar haiN woh
jo chupchaap zulmo sitam dekhtay haiN
mohammed(sawaw)nay humsay yeh farmaaya haamid
haqaayeq ko ahlay qalam dekhtay haiN
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
"musalsal jo maaN kay qadam"tarhi kalaam aapkay ha
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
"musalsal jo maaN kay qadam"tarhi kalaam aapkay ha
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa

- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Re: "musalsal jo maaN kay qadam"tarhi kalaam aapka
JANAB HAAMID BAAQRI SAHEB,
dua-oaN ki darkhaast ke saath aik baar phir Haazir ho gayaa hooN. kahiaye kaise mizaaj haiN. aor zindigi kaisi chal rahi hai?
ab baar baar aap ke kalaam ki khaSosiat ka kia zikr karooN. apne jazabaat kayee baar gosh guzaar kara chukaa hooN. haaN aap ki lambi omar ki, aap ki SeHat ki aor aap par Allah taalaa ke karam ki dua to baar baar ki jaa sakti hai. Allataa taalaa aap par apni naimatoaN aor rehmatoaN ki baarish karay.
leejiaye zaabtay ki kaarwai kiaye daitaa haooN.
bohat khoob. aap theek farmateiN haiN ke maaN ke qadmoaN meiN janat hai. laikin ham jaisoN ko bhaalaa kub nazar aati hai. aap hi is sh'er se baap ke mataullaq bhi aik aisaa hi khyaal mazoo ho gyaa hai.
jabeeN baap ki jub bhi ham daikhtay haiN.
shabeeh e haram se kia kam daikhtay haiN
agar mujhe makhmal meiN taat ke pawind ka dar na hotaa to aap se ye sher bhi ghazal meiN daalne ki darkhaast kartaa.
bohat khoob. laajwaab khyaal baandhaa hai aap ne.
bohat kam ilm hooN. aor nehayat adab se kehtaa hooN ke pehlay miSra meiN mufakkir aor muhaqqiq ke alfaaz qaabil e ghor haiN. agar in ko aam mai'noaN meiN leeyae jaa-aye jin meiN ye istemaal hotay haiN to bhalaa Khudaa maffakir kaise huwaa? bhalaa woh kiss bat par tafakkur karay? woh to kun kehtaa hai toa fayaakon ho jaataa hai. aor woh kiss baat ki teHqeeq karay? teHqeeq to woh kartaa hai jiss ne kissi nateeja par pohanchanaa ho ya jiss ki kissi shay meiN shak ho.
mujhe yaqeen hai ke aap ke ne ye kuch soch samajh kar hi istemaal kiaye hoaN ge. laikin chooNke baat Allah taalaa ki hai to kia haraj hai ke muHtaar rahaa jaa-aye uss ke bay-shumaar siffati naam haiN jo issi wazn par haiN aor iss jataa istemaal kiaye jaa saktay haiN. jaise ke muqaddas, mutahhar, maghnni waghairaa waghairaa.
nigaahoN say dil ki nazar aaye maalik
nazar say faqat hum sanam dekhtay haiN
ahaa haa. bohat khoob! bohat hi khoob.
yahaaN bhi khuda hai,wahaaN bhi khuda hai
"nah tum dekhtay ho,nah hum dekhtay haiN"
waah. waah wa. meiN giraah par iss taraH ke kissi mazmooN par sochtaa hi reh gayaa laikin kuch na ban payaa. bohat khoob.
khuda ki nazar meiN gunahgaar haiN woh
jo chupchaap zulmo sitam dekhtay haiN
bohat khoob.
mohammad (sawaw) nay humsay yeh farmaaya haamid
haqaayeq ko ahlay qalam dekhtay haiN
maqt'aa bhi achchha hai.
Mu,addab,
Siddiqui.

Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: "musalsal jo maaN kay qadam"tarhi kalaam aapka
muhammad_19k wrote:JANAB HAAMID BAAQRI SAHEB,
mohtaram mohammed khawar saahib
dua-oaN ki darkhaast ke saath aik baar phir Haazir ho gayaa hooN.
allah(sbhnwt)aapko hamesha salaamat rakkhe.aameen
kahiaye kaise mizaaj haiN. aor zindigi kaisi chal rahi hai?
al hamdulillah
maiN kahaaN duniya kamaana chaahta hooN
zindagaani jaavedaanah chaahta hooN
imtihaanay ishqay daawar hauraha hai
gham meiN bhi maiN muskuraana chaahta hooN
badla ek nekee ka haamid das milegaa
nekiyoN kay ghar banaana chaahta hooN
ab baar baar aap ke kalaam ki khaSosiat ka kia zikr karooN. apne jazabaat kayee baar gosh guzaar kara chukaa hooN. haaN aap ki lambi omar ki, aap ki SeHat ki aor aap par Allah taalaa ke karam ki dua to baar baar ki jaa sakti hai.
zahay naseeb..........jazakallah
Allataa taalaa aap par apni naimatoaN aor rehmatoaN ki baarish karay.
aameen yaa rabbil aalameen.....jazakallah
leejiaye zaabtay ki kaarwai kiaye daitaa haooN.
zahay naseeb.....
musalsal jau maaN kay qadam dekhtay haiN
woh aankhoN say apni iram dekhtay haiN
bohat khoob.
bahut bahut shukriya........
aap theek farmateiN haiN ke maaN ke qadmoaN meiN janat hai. laikin ham jaisoN ko bhaalaa kub nazar aati hai. aap hi is sh'er se baap ke mataullaq bhi aik aisaa hi khyaal mazoo ho gyaa hai.
irshaad.......
jabeeN baap ki jub bhi ham daikhtay haiN.
shabeeh e haram se kia kam daikhtay haiN
waah waah bahut khoob.................
agar mujhe makhmal meiN taat ke pawind ka dar na hotaa to aap se ye sher bhi ghazal meiN daalne ki darkhaast kartaa.
kaisee baateN kar rahay haiN aap.....hum khud tiflay maktab haiN.aapnay bahut accha sher kaha hai...yeh aapki takhleeq hai......aapka haq hai......masha allah bahut accha kehtay haiN aap.........aapki ghazal ka hameN intezaar rahaygaa.insha allah
mudabbir,mufakkir,muhaqqiq,mu'allim
khuda ko,khuda ki qasam dekhtay haiN
bohat khoob. laajwaab khyaal baandhaa hai aap ne.
bahut bahut shukriya.
bohat kam ilm hooN.
baa 'amal aalim yahi kehtay haiN.
aor nehayat adab se kehtaa hooN ke pehlay miSra meiN mufakkir aor muhaqqiq ke alfaaz qaabil e ghor haiN.
jee ...kistarah........?
agar in ko aam mai'noaN meiN leeyae jaa-aye jin meiN ye istemaal hotay haiN to bhalaa Khudaa maffakir kaise huwaa? bhalaa woh kiss bat par tafakkur karay? woh to kun kehtaa hai toa fayaakon ho jaataa hai.
bay shak...........
aor woh kiss baat ki teHqeeq karay? teHqeeq to woh kartaa hai jiss ne kissi nateeja par pohanchanaa ho ya jiss ki kissi shay meiN shak ho.
jee....bilkul sahi keh rahay haiN aap.
mujhe yaqeen hai ke aap ke ne ye kuch soch samajh kar hi istemaal kiaye hoaN ge. laikin chooNke baat Allah taalaa ki hai to kia haraj hai ke muHtaar rahaa jaa-aye uss ke bay-shumaar siffati naam haiN jo issi wazn par haiN aor iss jataa istemaal kiaye jaa saktay haiN. jaise ke muqaddas, mutahhar, maghnni waghairaa waghairaa.
janaab........hamaari muraad.......mudabbir insaan,mufakkir insaan,muhaqqiq insaan,muallim insaan hi khuda ko dil ki nazar say dekhtay haiN.
nigaahoN say dil ki nazar aaye maalik
nazar say faqat hum sanam dekhtay haiN
ahaa haa. bohat khoob! bohat hi khoob.
bahut bahut shukriya.....
yahaaN bhi khuda hai,wahaaN bhi khuda hai
"nah tum dekhtay ho,nah hum dekhtay haiN"
waah. waah wa. meiN giraah par iss taraH ke kissi mazmooN par sochtaa hi reh gayaa laikin kuch na ban payaa. bohat khoob.
bahut bahut shukriya ....
khuda ki nazar meiN gunahgaar haiN woh
jo chupchaap zulmo sitam dekhtay haiN
bohat khoob.
bahut bahut shukriya.
mohammad (sawaw) nay humsay yeh farmaaya haamid
haqaayeq ko ahlay qalam dekhtay haiN
maqt'aa bhi achchha hai.
shukriya janaab.
Mu,addab,
Siddiqui.
aapnay is naacheez kay kalaam ko apnay besh qeemti tabseray kay qaabil samjha.........bahut bahut shukriya aapka.
allah(sbhnwt)aap per apni khaas nazare karam farmaaye.aameen.
mukhlis
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: "musalsal jo maaN kay qadam"tarhi kalaam aapka
haamidbaaqrisara_j wrote:hamid bhai,haamidbaaqri wrote:Assalaam o alaikum
dosto
hamaari adna kaavish peshay khidmat hai
gar qubool uftad zahay.......
arz kiya hai....
musalsal jau maaN kay qadam dekhtay haiN
woh aankhoN say apni iram dekhtay haiN
mudabbir,mufakkir,muhaqqiq,mu'allim
khuda ko,khuda ki qasam dekhtay haiN
nigaahoN say dil ki nazar aaye maalik
nazar say faqat hum sanam dekhtay haiN
yahaaN bhi khuda hai,wahaaN bhi khuda hai
"nah tum dekhtay ho,nah hum dekhtay haiN"
khuda ki nazar meiN gunahgaar haiN woh
jo chupchaap zulmo sitam dekhtay haiN
mohammed(sawaw)nay humsay yeh farmaaya haamid
haqaayeq ko ahlay qalam dekhtay haiN
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
azeezah sara boliye........
bohat piyari ghazal inayat ki hai.
daad qubool keejiye.
bahut bahut shukriya............jazakallah
sara