Guzarish#28 - woh rukh se niqaab aapna sirka raheN haiN.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Rehana.A
-
-
Posts: 76
Joined: Fri Dec 10, 2004 5:01 am
Contact:

Guzarish#28 - woh rukh se niqaab aapna sirka raheN haiN.

Post by Rehana.A »

Sadar majlas oer sub saathiuon ki khidmat mien
apni koshish paish kar rahi hoon ,aap ki aaraa ka intzaar rahey ga. :-)

Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtarmah Rehanah AHmad JanaN SaHibah aadaab-o-tasleemaat!

Awwal-ul-zikr to aap kee bazm-e-mushae'irah meN tashreef aawaree ke liye aap ka teh-e-dil se mamnoon hooN. aap ne apnee a'lalat ke bawajood ham sam hee himmat baRh~ate huwe Ghazal keh kar apnee Urdu dostee ka bh~ar poor Caboot faraham kiya hai. dua'a gao hooN keh khuda aap ko SeHet-o-salaamatee se rakh~e. Aameen!

Aap ne jis khubSurat andaaz meN apne dard aor andoh kee tarjumanee kee hai. us se pata chalta hai. keh aap aek dardmand aor baa HaoSilah Shaae'irah haiN. kalam meN jazbaat aor eHsaasaat kee bh~arpoor Aawezish aor aap ke naaguftah bah Haalaat-o-waqe'aat kee tapish ne Ghazal kee khubSuratee aor nikh~aar ko jazbah aor chooT kee shiddat se mila kar Aatish-e-sayyaal bana diya hai.

aap aek muddat se dard-e-Zindagee ko jama' kar ke she'er-o-miSra' ka roob de raheeN haiN. aap har lamHah irtaqaa-e-she'eriyat kee manzilooN kee janib rawaaN dawaaN haiN. aap ke kalam kee khubSuratee aor tawanaee ka indazah mujh~e us waqt huwa jab maiN ne aap ke haaN maZ^ameen ka aek samundar Th~aTeeN maarta huwa dekh~a. maiN jo keh she'er-o-shaae'iree kee alaf be se bh~ee aagah naheeN lekin aap ke kalam ko paRh~te huwe woh maqaam bh~ee aya keh bandah sar pakaR kar beTh~ geya.

aap kee shae'iree ka aek buniyaadee waSf yeh bh~ee hai. keh paRh~ne wala paRh~te paRh~te soch meN gum ho jata hai. aor taa der is ke seHer se baher naheeN nikal pata. she'er gaoya khushbu ka aesaa jh~oNka hai. jo sare badan aor maHool ko it^r beZ kar jata hai. aor yahee khubSurat aor dilkashee shae'iree ka buniyadee waSf bh~ee hota hai.

aor kabh~ee kabh~ee aesa bh~ee hota hai. keh aap shiddat-e-Gham aor aalaam-e-Zindagee ka saamna karte karte aesa she'er bh~ee keh detee haiN keh jis se insaan ke andar ka Jawaar bh~aTaa apnee puree shiddat ke saath~ t^ufaan bapaa ho jata hai.

GharZ^ aap ke kalam meN infradiyat aor anokh~e pan ka rachaao hai. Husn, muHabbat, khushbu, aor dard kee motee JanaaN ke kalam kee zeenat haiN. aor isee t^arz-e-teHree ke a'aks aap ke majnooa'ah-e-kalam ke SafaH-e-q^it^aas par bikh~re paRe haiN.

aap naaummeed naheeN haiN.....aap ummeed aor aas ka CharaaCh aath~ooN meN th~aame hoee haiN. aor apne meHboob kee rah dekh~ raheeN haiN.

shayad yeh she'er aap hee ke liye kaha geya hai!

hamaa haoSlah dekh~o ke is musafat meN
ChaaraGh aath~ meN le kar hawaeeN dekh~te haiN.

Muz^affar A Muz^affar
Rehana.A
-
-
Posts: 76
Joined: Fri Dec 10, 2004 5:01 am
Contact:

Post by Rehana.A »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtarmah Rehanah AHmad JanaN SaHibah aadaab-o-tasleemaat!

Muzaffar Bhaa,i khaasi dair soochtee rahi kah yeh sub aap nay mairi ghazal ky liay hi likha hey ?aakhar aap ki faraakh dili yaad aa gai ,
to yaqeen bhi aa gaya :grin: khair aap kuch aisa nah kar dijiay gaa kah main mahnat karna hi chooR doon ghazal par .yeh bhi sach hey kah
kah huosla shikni jahaan dil uchaaT kar jata hey wahaan aap ki is had tak barhi hu,ee taa,reef ulTa hi asar nah ho ja,ay kahien. :-)
buhut mamnoon hoon aap ki buhut shukriya aap ka .
Rehana.A
-
-
Posts: 76
Joined: Fri Dec 10, 2004 5:01 am
Contact:

Post by Rehana.A »

sara_j wrote:wah Rehana ji ye tou karishma hougaya...........

shayad pehli baar aapko urdubandhan

ke moshaire mein hissa lete hue dekhi.

aek umda kalaam pesh karne per daad aur

mubarakbaad qubool keejiye.

sara
buhut shukriya Sara magar ..........ye bhi sach hey kah
ye pahlee baar nahien :-)

karishmay sa hum ko woh dikhlaa rahey haien
mohabbat mien ye kya maqaam aa rahy haien :-)
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

MoHtarma Rehanah JanaN SaaHibah
Aadaab

Aapki tarahee Ghazal pasand aaii. Meree janib se daad qubool farmaaiye.

Aapka MuKhliS
Jawaid
bard
-
-
Posts: 16
Joined: Sat Feb 04, 2006 9:23 am

Post by bard »

Rehana Ji,eik tu dilkash Font phir umda layout aur us par say itne umda Ghazal.In sab cheezon kay leyay mere purkhulos dad qubool kejeyay.
Rehana.A
-
-
Posts: 76
Joined: Fri Dec 10, 2004 5:01 am
Contact:

Post by Rehana.A »

jawaid badauni wrote:MoHtarma Rehanah JanaN SaaHibah
Aadaab

Aapki tarahee Ghazal pasand aaii. Meree janib se daad qubool farmaaiye.

Aapka MuKhliS
Jawaid

Jawaid Sahib! ye mairi khush naseebi hey kah aap mairi huoSla afzaa,i farma rahey haien,yaqeenan huoSla afz,aa karna bhi aik naiki ka hi kaam hey, kah ye bhi insaan ki su,ee hu,ee quowatoon ko jagaati hey ,bay had mamnoon hoon aap ka buhut shukriya .
Rehana.A
-
-
Posts: 76
Joined: Fri Dec 10, 2004 5:01 am
Contact:

Post by Rehana.A »

bard wrote:Rehana Ji,eik tu dilkash Font phir umda layout aur us par say itne umda Ghazal.In sab cheezon kay leyay mere purkhulos dad qubool kejeyay.

Bard Sahib/Sahiba

sub say pahlay to moazrat khah hoon kah mairi kam ilmi kah amin aap ka naam pooree taraha nahien sumjh rahi ,kuch wazahat farma dain to aaindah moshkil nah paish aa,ay gee .
baharhaal aap ki mamnoon hoon aur shukriya adda kartee hoon .
bard
-
-
Posts: 16
Joined: Sat Feb 04, 2006 9:23 am

Post by bard »

Bard Sahib/Sahiba

sub say pahlay to moazrat khah hoon kah mairi kam ilmi kah amin aap ka naam pooree taraha nahien sumjh rahi ,kuch wazahat farma dain to aaindah moshkil nah paish aa,ay gee .
baharhaal aap ki mamnoon hoon aur shukriya adda kartee hoon .

Rehana Ji,
Ghazal mein gender say keya farq parta hay keyonkay ghazal ka lehja tu rewaitan mardana he raha hay.

Donon jahan tere muhabbat mein hark kay
Wo ja raha hay koi-shab e gham guzar kay.

Waissay banda doosray forums par Rashid_166 kay nick say jana jata hay.Barid urdu mein `sard` ko kehtay hain jo aam tor par Bard bhe bola jata hay.Jab ye nick buhut pehlay banaya tha tu mein sirf English ka poet tha.Bard ke Scotland mein buhut izzat hote hay aur wahan shaire khandani kam hay.Aam tor par English mein ye lafz `poet` kay leyay istemal hota hay aur khas tor par azeem `William Shakespeare` ka leyay.
Urdu forum say mazrat kay sath us azeem poet aur dramanigar kay sonnet ka eik hissa.

Not marble, nor the gilded monuments
Of princes, shall outhve this powerful rime;
But you shall shine more bright in these con-
tents
Than unswept stone, besmear'd with sluttish
time.
When wasteful war shall statues overturn,
And broils root out the work of masonry,
Nor Mars his sword nor war's quick fire shall
burn
The living record of your memory
(Na sang e marmar,na chamaktay mehal,is nazam say zeyada jeyay gain.Balkay tum aor zeyada chamkoge is nazam kay misron mein..Sang e marmar tu waqt kay sath peela paR jayay gay aur But totein gain jangon mein aur tapish say peghle ge naqashe.Par na qismat na jang na aag say jalay ge,yay zinda therer tere yadon ke)
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

wah bahut khoob rehana jee..hamari jaanib se bhi daad qubool karein is khoobsurat ghazal pe!:)

shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Post Reply