Durrust farmaya Ap ney Shummu Ji,ab ap say behac ke mujh mein tab nahi.Sirf guzarish hay kay banda bhe `karoRon` he samjha tha magar Urdu shaeri mein `nazar ana`say murad hote hay wo cheez jo sirf zahire tor par nazar ayay par assal mein wo na ho.
jis simt bhii dekhuun nazar aataa hai ke tum ho
ai jaan-e-jahaa.N ye ko_ii tum saa hai ke tum ho
[Ahmad Faraz]
apane saaye pe bhii qaatil kaa gumaa.N hotaa hai
ghar kaa aangan bhii nazar aataa hai maqtal kii tarah
yak_sar jahaan-e-husn bhii badalaa huaa saa hai
duniyaa-e-ishq aur nazar aa rahii hai aaj
[Firaq Gorakhpuri]
karaudoN jo insaaN nazar aa rahay haIN
Tu yahan `jo insaan nazar aa rahay hain`ka matlab ya hosakta hay ka wo sirf Insan jaissay nazar atay hain par hain nahi.magar doosra micray ka is bat say koe rabt nahi hay.
ajal ki taraf yeh chalay jaarahay haiN
Is leyay mein ney likha kay shayed un ke murad koraisna yane tehqeeq karna ho.
Magar ap hanse keyon?Mein ney kab kaha kay mein Urdu dan hoon.Han English mein aain tu bataon lol
SAKHTIAN KARTA HOON DIL PAR,GHAIR SAY GHAFIL HON MEIN
HAYAY KEYA ACHE KAHE ZALIM HON MEIN,JAHIL HON MEIN
ILM KAY DARYA SAY NIKLAY GHOTAZAN GOHAR BADAST
WAE MEHROME!KHAZAF CHAIN E LAB E SAHIL HON MEIN
Allama Iqbal
bard wrote: Adaab Haamid Sahib,
Hameesha ke tarah ek aur nehaet umda sabaq amoz kalam.
bahut bahut shukriya aapka.jazakallah
gaye tum say pehlay haiN jitnay bhi insaaN
kiya jo yahaaN per wohi paa rahay haiN
Magar kuch rehnumae chaeyay the . `karaudoN` say ap ke murad koraidna hay?
karaudoN jo insaaN nazar aa rahay haIN
ajal ki taraf yeh chalay jaarahay haiN
Mafhom kuch wazih nahi hay.
Mujhay abhe tak is micray mein `nazar` ka istemal kuch ajeeb sa lagta hay magar beharhal is ke eik assan se sorat bhe hosakte hay
haiN kawakub kuch nazar atay haiN kuch
dete haiN dhokah yeh bazi gar khulah
zara ghaur farmaaiye...... baat aik hi hai.gustaakhee bilkul nahiN hai.
Waissay tu Haamid sahib,kisse ko tum kaha jayay ya ap,is say bhe matan tu eik he rehta hay bas lehja badal jata hay.Yahan eik doosra ta`sur bhe milta hay ka jaissay koe apne bat kahay jar aha ho aur koe dehayan na day raha ho.
kahaa hay Ghair nay tum say meraa haal
kahay dete hay bebaake adaa ke
[Momin Khan Momin]