Guzarish#28

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

bard
-
-
Posts: 16
Joined: Sat Feb 04, 2006 9:23 am

Post by bard »

Adaab Shummu Ji,Ap jaisse Azeem shaira mere Pehle tukbande paRh he lete tu buhut tha magar ap ney tu mere sathal Ghazal ka tajzeya bhe kar deya.Buhut buhut shukirya

bard wrote:


Sunna hay kay wo mere ghar aa rahe hain
Na pane pay maqsood ham pa rahe hain


ahem ahem achha

Shu Shu Shkriya.


Quote:
Ba uz o sharaf aj bulwa rahe hain
Takalaf ye keyon ap farma rahe hain


aaiye tab bataate haiN


gulshan mein bandobast bah rang-e digar hai aaj
qumrii kaa tauq halqah-e bairuun-e dar hai aaj (Ghalib)
In the garden the arrangements are of a different mode/color today
but the turtledove's neck-ring is nailed to the outside of the door' today



Quote:
"muHabbat meN yeh kiya maqaam aa rahe haiN"
Kay khud ko ganwan kay tujhe pa rahe hain


wah saadi magar acchi girah hai!!!


Buhut Shkriya.Ab pehle Ghazal ap ke Ghazlon se Ghamiz tu honay say rahein.
paataa huun us se daad kuchh apne kalaam kii
ruuh ul-qudus agarchih miraa ham-zabaan nahin
(Ghalib)


Quote:
Yeh dunya tu hay assal mein qeed khana
Jahan katay apne saza ja rahe hain


jee beshak....


Shukirya


Quote:
Hain logon mein mashoor jo parsa say
Wohii hain wohii ju sitam dha rahe hain


aah kya baat keh di aapne.....wah....


Buhut shukirya baysakhta dad kay layay.

Quote:
Keyon day kar gaye the mujhe wo dilasa?
Jo ab un kay khat munquta aa rahe hain


ghazal ka bahut khoobsurat sher hai....daad pesh hai..

Nawazish,karam,shukriya,mehrbane pasendeedge kay leyay
.
Quote:
Yunhe doostana murrawat he rakhlain
Kabeeda kabeeda say ham aa rahe hain


ye kabeeda kabeeda kya hota hai??hmmm??


Kabeeda ka matlab buhut assan hay yane ranjeeda ya ghamgeen(waissay apas ke bat hay mein ney bhe lughat say he dekha hay is ka matlab shhhhh)

Quote:
Jo hotay na hum tu sitam hote kis par
Kay hone ke khatir mitay ja rahe hain


oye hoye...kya kehne..wah wah..

Hosla afazae kay leyay shukar guzar hon.

Quote:
Tere zindage mein ujala hay lekin
Hujoom e raqeeban say ghabra rahe hain


rabt samajh nahi aaya misron meiN


Assal mein yay zara sa shouq shayr hay.Kay agarchay un ke zindage mein ujala hay aur hamare zindage mein andhera magar hal e dil is leyay nahe keh patay kay un ke zindage mein raqeebon ke line lage hay.Yahan ujala kay dohray matlab hain kay keyonkay un ke zindage mein ujala buhut hay is layay dil ke bat kehtay howay ghabratay hain kay raqeeb mazaq na uRain.
Jama kartay ho keyon raqeebon ko
Ek tamasha howa gila na howa
GHALIB

Quote:
Mere dil kii baste mein bastein the yadein
Magar eik lamhay mein wo dha rahe hain


sahi aisa hi hota hai aksar....


Je,jo chezein barson mein bante hain un ko dhane mein seconds nahe lagtay
SHOR BARPA HAY KHAN E DIL MEIN
KOE DEWAR SE GERE HAY ABHE
Nazir kazme

Quote:
yahii kal ko tuhmat darhein ge hazooron
Ye Jo aj ham ko buhut bha rahe hain


accha aap ko pehle se pata hai..aap kahin najoomi to nahi


Ilm e najoom ke keya zaroorat hay janab,insane fitrat konsa kabhe badalte hay.
BAS EIK BAR UNHEIN KHELNEY KA MOQA DO
KHUD UN KE CHAL BATADE GE SARAY MAT KAY RANG
Fatima Hassan

Quote:

Unhein pher say hoga banana tamasha
Hamein wo jo mehfil mein bulwa rahe hain


ok ok sher hai....


Bharte ka bolyay na,jo kay wo hay lol Shukriya dil rakhnay ka

Quote:
Kahan apnii marzii say kuch karnay paye
Khushe ka he dhoka jo ham kha rahe hain


ye sher bhi kuch theek se samajh nahi aaya


Yahan mein ney yay bat kehnay ke koshish ke hay kay keyonkay insaan kay hath mein kuch nahi hay is leyay wo apne marze ke zindagi nahi guzar sakta.Aur jab wo apne marze say he nahi jee sakta to pher woh khush kis tarah rah sakta hay?Is layay wo khud ko dhoka he deta hay kay yay us ke marze ke zindage hay aur wo is mein khush hay.



NAHI HOTAIN HAMHARAY BAS MEIN SAB BATEIN JO APNE HON
RAHE HAIN YAAD WO BATEIN MUJHAY JIN KO BHULANA THA
Saad Allah shah


majmoi taur pe acchi koshish hai so daad pesh hai...zor-e-qalam aur ziyaada...ummeed hai waqt ke saath aap behtar se behtar likhte jaayeiN...


Buhut Shukirya.Mere aenda ghazlein buhut behtar hongain keyonkay ab mein paste say tu bulande he ke taraf jaon ga kay mazeed zawal mumkin nahe.lol.
Agar fursat mile tu zaroor ap ko mazeed bore karon ga.

FIKRE DUNYA MEIN SAR KHAPATA HON
MEIN KAHAN AUR YE WABAL KAHAN
Ghalib

Khush rahein!


Ap bhe hamesha isse tarah muskraein aur nae Ghazlein shashmahe nahe balkay haftaware likhein

ahl-e biinish ko hai tuufaan-e havaadis maktab
latmah-e mauj kam az siilii-e ustaad nahin
(to people of insight, the typhoon of calamities is a school/
the buffet of the wave is not less than the slap of a teacher )
Ghalib
Post Reply