meHfil meN shae'ir-e-mashriq A'llamah M. Iqbal kee mashhoor-e-zamanah nazm "shikwah Jawab-e-shikwah" ko itne ehtemaam se pesh karne ke liye aap kaa jitnaa bhee shukriyah adaa kiyaa jaeY kam ho gaa.
maiN is i'nayat ke liye aap kaa eHsaan mand rahooN gaa. aor baRee ummeed kartaa hooN keh aap aae'indah bhee aesee khubSurat aor dilkash takhleeqaat se dostooN ke mazaaj kaa kheyaal farmate raheeN ge. aor apne Aa'laa she'eree Zaoq se bhee hameeN aagah farmate raheeN ge.
shikwa - jawaab shikwa se t'ullaq bohat puraanaa hai. yis ka kuch HiSSa us paRhaa jub se meN naweeN jam'aat ka taalib ilm thaa. phir sh'iri ko shauq se lagao huwaa to issay mukammail paRhaa. kuch maaH pehlay hi Nusrat FateH Ali Khan ki awaaz meN turram ke saath paRha huwaa shikwaa - jawab shikwaa bhi milaa. aor ab isse aik aor khoobSoorat andaaz meN daikh rahaa hooN.