Guzarish # 28 - Zarqa Mufti

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Guzarish # 28 - Zarqa Mufti

Post by zmufti »

Ahl-e-bazm
aadaab
guz#28 ke liye apni maamooli si ghazal pesh kar rahi hooN
aap ki besh qeemat ara ka intzaar rahe ga
regards
zmufti

1. youN waadoN se ham ko vo behla rahe heN
zamane ki jhooti qasam khaa rahe heN

2. jo aaye the qismat hamaari badalne
bacha kar nazar vo kidhar ja rahe heN

3.Giro kar, gaNwa kar, Acacey luta kar
Taraqqi ke daawe kiyye ja rahe heN

5. waracat meN jo kuch mila thaa gaNva kar
na sharma rahe heN na pachtaa rahe heN

6. Gayye the watan se jo paisa kamane
shinakhat apni vo bhoolte ja rahe heN

7. haya hi bachi hai na chilman hai hayel
payam aa rahe heN salam aa rahe heN

8. na rasta sahel hai na manzil ki su hai
kahaN ko chale the, Kidhar Jaa rahe heN


[/b]
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Salam Zarqa ji,

mushairay ke leeaye aap ki likhi hoee ghazal daikh kar bohat khusi hoee. majmoo,ee ta,cur achhchaa hai. agar aap ijaazat deN to fardan fardan har sher ko daikh leN?


1. youN waadoN se ham ko vo behla rahe heN
zamane ki jhooti qasam khaa rahe heN

bhalaa zamane ki jhooti qasam khaanay meN aisi kyaa baat hai. aor na hi kabhi aisi qasam ka koi shaairaan rang khil rahaa hai. [/b]hamari hi jhooti[/b] kar ke daihiaye.

youN waadoN....................................
hamari hi jhooti qasam khaa rahay haiN.



2. jo aaye the qismat hamaari badalne
bacha kar nazar vo kidhar ja rahe heN

ye sher theek lagaa.

3.Giro kar, gaNwa kar, Acacey luta kar
Taraqqi ke daawe kiyye ja rahe heN

is sher meN aik to ye pataa naheeN chalta ke kon ye d'aawaa kar rahaa hai. lafz tarraqi se qom ya mulk ka zahn meN aataa laikin koi qaom accacay luta kar taraq kaise kar sakti hai. aor agar aap tanz farmaa raheeN haiN to meN m'azirat ke saath kahooN ga ye very well directed naheeN hai.

5. waracat meN jo kuch mila thaa gaNva kar
na sharma rahe heN na pachtaa rahe heN

bohat khoob!

6. Gayye the watan se jo paisa kamane
shinakhat apni vo bhoolte ja rahe heN

bohat khoob shinakhat ka typo theek kar lijiaye.

7. haya hi bachi hai na chilman hai hayel
payam aa rahe heN salam aa rahe heN

ye sher bhi pasand ayaa. laikin sochataa hooN ke aap ne aa rahe, ja rahe haiN ka combination adjust karne ki koshish kyooN nahi ki?

8. na rasta sahel hai na manzil ki su hai
kahaN ko chale the, Kidhar Jaa rahe heN

waah. bohat khoob janab.

is kaamyaab koshish par mubarakbaad qubool kijiaye

khair andesh
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

muhammad_19k wrote:Salam Zarqa ji,
wasalam
mushairay ke leeaye aap ki likhi hoee ghazal daikh kar bohat khusi hoee. majmoo,ee ta,cur achhchaa hai. agar aap ijaazat deN to fardan fardan har sher ko daikh leN?
Khawar saheb ghazal per aap ke tabsare ke liye mamnoon hooN

1. youN waadoN se ham ko vo behla rahe heN
zamane ki jhooti qasam khaa rahe heN

bhalaa zamane ki jhooti qasam khaanay meN aisi kyaa baat hai. aor na hi kabhi aisi qasam ka koi shaairaan rang khil rahaa hai. [/b]hamari hi jhooti[/b] kar ke daihiaye.

Shayad aap jaante hoN keh zamane ki qasam sab se mutabar hai kiyoN keh yeh qasam Allah taala ne Surah-e-Alacar meN uThaaii hai

youN waadoN....................................
hamari hi jhooti qasam khaa rahay haiN.



2. jo aaye the qismat hamaari badalne
bacha kar nazar vo kidhar ja rahe heN

ye sher theek lagaa.

3.Giro kar, gaNwa kar, Acacey luta kar
Taraqqi ke daawe kiyye ja rahe heN

is sher meN aik to ye pataa naheeN chalta ke kon ye d'aawaa kar rahaa hai. lafz tarraqi se qom ya mulk ka zahn meN aataa laikin koi qaom accacay luta kar taraq kaise kar sakti hai. aor agar aap tanz farmaa raheeN haiN to meN m'azirat ke saath kahooN ga ye very well directed naheeN hai.


Khawar saheb yeh to bilkul samne ki baat baat hai aap Pakistan meN rehte hue isse nahiN samjhe agar aap dekhieN to hamari hakomat ne taqreeban sab munafa bkhsh acacey baich khaaye heN aur taraqqi ke daawe bhee barabar ho rahe heN

5. waracat meN jo kuch mila thaa gaNva kar
na sharma rahe heN na pachtaa rahe heN

bohat khoob!

6. Gayye the watan se jo paisa kamane
shinakhat apni vo bhoolte ja rahe heN

bohat khoob shinakhat ka typo theek kar lijiaye.

7. haya hi bachi hai na chilman hai hayel
payam aa rahe heN salam aa rahe heN

ye sher bhi pasand ayaa. laikin sochataa hooN ke aap ne aa rahe, ja rahe haiN ka combination adjust karne ki koshish kyooN nahi ki?

8. na rasta sahel hai na manzil ki su hai
kahaN ko chale the, Kidhar Jaa rahe heN

waah. bohat khoob janab.

is kaamyaab koshish par mubarakbaad qubool kijiaye

khair andesh
Muhammad K. Siddiqui.
aakhir meN aik baar phir aap ka shukria
regards
zmufti
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtarmah Zarqa Mufti Behen SaHibah aadaab-o-tasleemaat!

Guzarish 28 ke liye aap kee Ghazal kaa baRee shiddat se intez^aar thaa. khubee-e-Qismat se aap ne mazaaq-e-arbaab-e-mushae'rah ko malHooz^-e-khaat^ir rakhte huwe aek a'dad dilkash aor qareeb qareeb sehl-e-mumtina' meN kahee huee Ghazal i'nayat farmaa dee aor yooN faZ^aa-e-mushae'rah ko naee aor taazah khubu-e-kalam se mua'att^ir kar diyaa.

maiN zatee t^aor par aap kee is kaamyaab koshish aor t^arab sanj kalam par dilee daad aor mubarak baad pesh kartaa hooN. aor ummeed kartaa hooN keh aap hameshah isee t^arH apnee nishaat^ afzaa Ghazleeyaat se mushae'rah kee raonaq aor dilkashee baRhaatee raheeN gee.

meree tamaam dostooN se iltemaas hai. keh woh aap kee is t^arab angez Ghazal par khul kar iz^haar-e-kheyaal kareeN. aor is kee ta'reef-o-taoSeef ke silsilah meN koee kacar uThaa nah rakheeN.


1. youN waadoN se ham ko vo behla rahe heN
zamane ki jhooti qasam khaa rahe heN

Waah kiyaa kehne!

2. jo aaye the qismat hamaari badalne
bacha kar nazar vo kidhar ja rahe heN

Bohot khoob!

3.Giro kar, gaNwa kar, Acacey luta kar
Taraqqi ke daawe kiyye ja rahe heN

kiyaa kehne!

5. waracat meN jo kuch mila thaa gaNva kar
na sharma rahe heN na pachtaa rahe heN

waah baRaa kuch keh diyaa hai aap ne!! kiyaa kehne!

6. Gayye the watan se jo paisa kamane
shinakhat apni vo bhoolte ja rahe heN

Waah jee Waah!

7. haya hi bachi hai na chilman hai hayel
payam aa rahe heN salam aa rahe heN

Kiyaa kehne!

8. na rasta sahel hai na manzil ki su hai
kahaN ko chale the, Kidhar Jaa rahe heN

Bohot khoob!



Wassalam
Muzaffar A Muzaffar[/b]
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Muzaffar bhai
ghazal ki pazeeraaii ke liye aap ki mamnoon hooN

wasalam
zarqa
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Re: guz # 28

Post by zmufti »

sara_j wrote:
zarqa ji,

salaam.

ghazal bohat pasand aayi sabhi ashaar khoob hain.

dili daad qubool keejiye.

sara
shukria Sara jee
khush rahiye
zarqa
Post Reply