Haamid Baaqri per meri ek Nazm

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Haamid Baaqri per meri ek Nazm

Post by jawaid badauni »

Dosto! aadaab
MaiN akSar apne dostoN aur buzurgoN per NazmeN kahta rahta hooN. Aaaj baiThe baiThe Haamid Baaqri SaaHab per kuch sher ho gaye. Hasb.e dastoor meri Nazm mubaliGhey se beniyaaz hai.

Aapka MuKhliS
Jawaid

Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

woh rahe zinda yehee Rub se doayeN haiN miree
nek dil insaan hai wallah Haamid Baaqri

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

aaj tak GhazaloN meN hota tha bayaN bus Husn.e yaar
gesoo.e janaN ke Kham ya jaadaa.e manzil ke Khar

nashsha.e Sehba ki lazzat hum ko GhazaloN meN milee
roz naaseH ki naSeeHat hum ko GhazaloN meN milee

duniya waloN ki jafaayeN yaar ke jaur.o.sitam
bus yehee GhazloN meN milta tha hamesha besh.o.kum

lekin ik insaan ab deta hai tableeGhee payaam
usne GhazaloN ke tawassul se kiya yeh nek kaam

woh yeh kahta hai ke insaanoN ke Gheebat choR do
deen ki jaanib baRho duniya se raGhbat choR do

uska kahna hai Musalmaano bano achche moHib
yAAnee bun jaao Rasoolullah* ke sachche moHib

apne sheroN men jo kahta hai karo neki ke kaam
haaN woh ik shayar hai Haamid Baaqri hai jiska naam

maiN tou Khush hooN aaj bhi aisa koii insaan hai
jo bataata hai Nabee.e DeeN * ka kya farmaan hai

hai doa meri tumheN Allah rakhkhe shaadmaN

* SAWW
Last edited by jawaid badauni on Sun Jun 03, 2007 6:00 pm, edited 1 time in total.
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Janab Jawaid Badauni SaHib aadaab!

hamare moHtaram bhaee janab-e-Hamid Baaqri kee Zaat-o-Sifaat par aap ne apne qeematee kheyaalaat kaa iz^haar farmaayaa hai. jo keh aek nihayat HaoSlah afz^aa aor dil kush kun iqdaam hai.

Hamid Baaqri SaHib kee shakhSiyat kisee ta'aruf kee meHtaaj naheeN. in kaa Halqah-e-shuhrat maashAllah baRhtaa hee jata hai. yeh yaqeen se kaha jaa saktaa hai. keh aap Bangalore meN rehte huwe apnee adabee aor qalamee khidmaat meN hamah tan maSroof haiN. aor pure India kee sat^aH par aap kee i'lmee aor adabee khidmaat ke i'lawah aap kee HaseeN aor qabil-e-rashk "Saotee khidmaat" ko bhee baRee qadar kee nigaah se dekhaa jataa hai. aor India kee a'alaa adabee maHafil meN aap kee maojoodagee ko Z^aruree aor aham kheyaal kiyaa jataa hai.

maoSoof bandah ko apnee sargarmiyooN aor adabee maSrufiyaat se gahe gahe aagah karte rehte haiN. aor khaaksaar ko is Hawalah se un kee kaamyabee aor daraaz-e-SeHet ke liye dua'aa kee taofeeq mil jatee hai.

Hamid SaHib aek Jurrat mand, buland HaoSlah, aor khare insaan haiN. deen-e-Islaam se muHabbat aor a'qeedat-e-Rasul-e-A'rabee SWWS aap ke rag-o-reshah meN bharee hoee hai. aap kee buland HaoSalagee aor Hammiyat-e-deenee Qabil-e-taqleed hai.

aaj ke maadee daor meN jahaaN nasfaa nafsee kee aek nah khatam hone wali daoR lagee hoee hai. jahaaN insaanee iqdaar aor adab-o-eHtaraam perooN tale paaemaal ho kar reh geyaa hai. aese ashkhaaS kee maojudagee aor sargarmee himmat baRhaa detee hai. aap kee pur waqaar shakhSiyat aese dood-e-mayoosee meN nah Sirf ChaaraGh-e-raoshan kee manad hai. balkeh z^ulmat-e-Zamanah aor is QeHt-tur-reejaalee meN aesaa wujood Walee kaa darajah rakhtaa hai.

woh rahe zinda yehee Rub se doayeN haiN miree
nek dil insaan hai wallah Haamid Baaqri

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

aaj tak GhazaloN meN hota tha bayaN bus Husn.e yaar
gesoo.e janaN ke Kham ya jaadaa.e manzil ke Khar

nashsha.e Sehba ki lazzat hum ko GhazaloN meN milee
roz naaseH ki naSeeHat hum ko GhazaloN meN milee

duniya waloN ki jafaayeN yaar ke jaur.o.sitam
bus yehee GhazloN meN milta tha hamesha besh.o.kum

lekin ik insaan ab deta hai tableeGhee payaam
usne GhazaloN ke tawassul se kiya yeh nek kaam

woh yeh kahta hai ke insaanoN ke Gheebat choR do
deen ki jaanib baRho duniya se raGhbat choR do

uska kahna hai Musalmaano bano achche moHib
yAAnee bun jaao Rasoolullah* ke sachche moHib

apne sheroN men jo kahta hai karo neki ke kaam
haaN woh ik shayar hai Haamid Baaqri hai jiska naam

maiN tou Khush hooN aaj bhi aisa koii insaan hai
jo bataata hai Nabee.e DeeN * ka kya farmaan hai

Aap ne maoSoof kee Zaat-o-Sifaat ko nazm ke HaseeN paekar meN Dhaal kar baRaa kaam kiyaa hai. naz^m apnee haiyat aor takneekee aa'tebaar se bhee muraSSa' kaaree kaa aek haseeN shehkaar hai. nazm apne takhleeQkaar kee Zubaan-o-beyaan par dastaras kaa pataa bhee de rahee hai.

meree dua'aa hai. keh khudaa aap ko is kaar-e-nek kaa ajr-e-a'az^eem a't^aa farmaa de. aor aap jumlah afraad ko SeHat-o-salaamatee walee daraaz u'mr se nawaze.

Muz^affar A Muz^affar
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Tue May 29, 2007 8:53 am, edited 2 times in total.
Rehana.A
-
-
Posts: 76
Joined: Fri Dec 10, 2004 5:01 am
Contact:

Post by Rehana.A »

Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

woh rahe zinda yehee Rub se doayeN haiN miree
nek dil insaan hai wallah Haamid Baaqri

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

aaj tak GhazaloN meN hota tha bayaN bus Husn.e yaar
gesoo.e janaN ke Kham ya jaadaa.e manzil ke Khar

nashsha.e Sehba ki lazzat hum ko GhazaloN meN milee
roz naaseH ki naSeeHat hum ko GhazaloN meN milee

duniya waloN ki jafaayeN yaar ke jaur.o.sitam
bus yehee GhazloN meN milta tha hamesha besh.o.kum

lekin ik insaan ab deta hai tableeGhee payaam
usne GhazaloN ke tawassul se kiya yeh nek kaam

woh yeh kahta hai ke insaanoN ke Gheebat choR do
deen ki jaanib baRho duniya se raGhbat choR do

uska kahna hai Musalmaano bano achche moHib
yAAnee bun jaao Rasoolullah* ke sachche moHib

apne sheroN men jo kahta hai karo neki ke kaam
haaN woh ik shayar hai Haamid Baaqri hai jiska naam

maiN tou Khush hooN aaj bhi aisa koii insaan hai
jo bataata hai Nabee.e DeeN * ka kya farmaan hai

hai doa meri tumheN Allah rakhkhe shaadmaN
Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

* SAWW

Mashallah hasub-e- mamool buhut pasand aa,i aap ki yeh nazm bhi
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: Haamid Baaqri per meri ek Nazm

Post by Sarwar A. Raz »

jawaid badauni wrote:
Dosto! aadaab
MaiN akSar apne dostoN aur buzurgoN per NazmeN kahta rahta hooN. Aaaj baiThe baiThe Haamid Baaqri SaaHab per kuch sher ho gaye. Hasb.e dastoor meri Nazm mubaliGhey se beniyaaz hai.

Aapka MuKhliS
Jawaid

Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

woh rahe zinda yehee Rub se doayeN haiN miree
nek dil insaan hai wallah Haamid Baaqri

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

aaj tak GhazaloN meN hota tha bayaN bus Husn.e yaar
gesoo.e janaN ke Kham ya jaadaa.e manzil ke Khar

nashsha.e Sehba ki lazzat hum ko GhazaloN meN milee
roz naaseH ki naSeeHat hum ko GhazaloN meN milee

duniya waloN ki jafaayeN yaar ke jaur.o.sitam
bus yehee GhazloN meN milta tha hamesha besh.o.kum

lekin ik insaan ab deta hai tableeGhee payaam
usne GhazaloN ke tawassul se kiya yeh nek kaam

woh yeh kahta hai ke insaanoN ke Gheebat choR do
deen ki jaanib baRho duniya se raGhbat choR do

uska kahna hai Musalmaano bano achche moHib
yAAnee bun jaao Rasoolullah* ke sachche moHib

apne sheroN men jo kahta hai karo neki ke kaam
haaN woh ik shayar hai Haamid Baaqri hai jiska naam

maiN tou Khush hooN aaj bhi aisa koii insaan hai
jo bataata hai Nabee.e DeeN * ka kya farmaan hai

hai doa meri tumheN Allah rakhkhe shaadmaN
Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

* SAWW
mukarram-e-bandah Jawaid SaaHeb: aadaab!

Baaqree SaaHeb se ham sab hee waaqif haiN aur un ko aap kaa yeh Khiraaj-e-a'qeedat ek kaamyaab koshish hai. eHbaab ne is kee ta'reef kee hai. meree bhee daad qubool kar leejiYe. aur lage haathoN is meN aaYe huwe :shutur-gurbah: kee iSlaaH bhee kar deejiYe! :-)

aur kyaa a'rZ^ karooN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtaram Janab Jawaid SaHeb,

aap kuch din nazar naa aa-aye to meN to aap ke baaray meN fikrmand hi hogyaa. abhi aap ko PM kar ke hi aa rahaa hooN :). jaldi se mairi ghazal par ki nok palalak saNwaarne ke leeaye apne mashwaraa jaat se nawaaziaye.

ab aataa hooN aap ki nazm par,

woh rahe zinda yehee Rub se doayeN haiN miree
nek dil insaan hai wallah Haamid Baaqri

Ameen. bilkul sach kahaa aap ne.

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

ye sach farmaayaa aap ne

aaj tak GhazaloN meN hota tha bayaN bus Husn.e yaar
gesoo.e janaN ke Kham ya jaadaa.e manzil ke Khar

such kahaa

nashsha.e Sehba ki lazzat hum ko GhazaloN meN milee
roz naaseH ki naSeeHat hum ko GhazaloN meN milee

bohat khoobSoorat izhaar hai.

duniya waloN ki jafaayeN yaar ke jaur.o.sitam
bus yehee GhazloN meN milta tha hamesha besh.o.kum

sach kahaa aap ne

lekin ik insaan ab deta hai tableeGhee payaam
usne GhazaloN ke tawassul se kiya yeh nek kaam

bohat khoob tareeqay se aap ne Haamid baaqri SeHeb ki ghazloaN ke raNg byaan kiyaa hai. bay shak un ki ghazlaiN naiki ka paighaam hain

woh yeh kahta hai ke insaanoN ke Gheebat choR do
deen ki jaanib baRho duniya se raGhbat choR do

ahaa haa . deen ki jaanib baRho duniya se raGhbat choR de. bohat khoob janab. kiyaa 'arq nikaalaa hai aap ne

uska kahna hai Musalmaano bano achche moHib
yAAnee bun jaao Rasoolullah* ke sachche moHib

ji haan bilkul saHeeH nishaandahi ki hai aap ne Haamid baaqri SaHeb ki firk ki.

apne sheroN men jo kahta hai karo neki ke kaam
haaN woh ik shayar hai Haamid Baaqri hai jiska naam

waah jaanab. waah. haaN woh ik shayer hai Haamid Baaqir hai jiskaa naam. bohat dilkash t'uaaraf hai.

maiN tou Khush hooN aaj bhi aisa koii insaan hai
jo bataata hai Nabee.e DeeN * ka kya farmaan hai

Allah t'aalaa Hamid Baaqri SaHeb ki isteqaamat aor jaza day

hai doa meri tumheN Allah rakhkhe shaadmaN
Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN
* SAWW

Aameen. Allah t'aalaa aap ki aor hamari du'aa. Haamid Baaqri SaHeb ke Haq meN poor karay. Cumaa Aameen

aise shaandaar alfaaz meN Haamid Baaqri SeHeb ko kharaaj e teHseen paish karne par mubaarakbaad qubool kijiaye.

du'aa goa,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Haamid Baaqri per meri ek Nazm

Post by jawaid badauni »

Sarwar Raz wrote:
jawaid badauni wrote:
Dosto! aadaab
MaiN akSar apne dostoN aur buzurgoN per NazmeN kahta rahta hooN. Aaaj baiThe baiThe Haamid Baaqri SaaHab per kuch sher ho gaye. Hasb.e dastoor meri Nazm mubaliGhey se beniyaaz hai.

Aapka MuKhliS
Jawaid

Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

woh rahe zinda yehee Rub se doayeN haiN miree
nek dil insaan hai wallah Haamid Baaqri

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

aaj tak GhazaloN meN hota tha bayaN bus Husn.e yaar
gesoo.e janaN ke Kham ya jaadaa.e manzil ke Khar

nashsha.e Sehba ki lazzat hum ko GhazaloN meN milee
roz naaseH ki naSeeHat hum ko GhazaloN meN milee

duniya waloN ki jafaayeN yaar ke jaur.o.sitam
bus yehee GhazloN meN milta tha hamesha besh.o.kum

lekin ik insaan ab deta hai tableeGhee payaam
usne GhazaloN ke tawassul se kiya yeh nek kaam

woh yeh kahta hai ke insaanoN ke Gheebat choR do
deen ki jaanib baRho duniya se raGhbat choR do

uska kahna hai Musalmaano bano achche moHib
yAAnee bun jaao Rasoolullah* ke sachche moHib

apne sheroN men jo kahta hai karo neki ke kaam
haaN woh ik shayar hai Haamid Baaqri hai jiska naam

maiN tou Khush hooN aaj bhi aisa koii insaan hai
jo bataata hai Nabee.e DeeN * ka kya farmaan hai

hai doa meri tumheN Allah rakhkhe shaadmaN
Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

* SAWW
mukarram-e-bandah Jawaid SaaHeb: aadaab!

Baaqree SaaHeb se ham sab hee waaqif haiN aur un ko aap kaa yeh Khiraaj-e-a'qeedat ek kaamyaab koshish hai. eHbaab ne is kee ta'reef kee hai. meree bhee daad qubool kar leejiYe. aur lage haathoN is meN aaYe huwe :shutur-gurbah: kee iSlaaH bhee kar deejiYe! :-)

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

hai doa meri tumheN Allah rakhkhe shaadmaN
Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

aur kyaa a'rZ^ karooN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Sarwar SaaHab aadaab.

Bohat bohat shukriya.

Pahle sher meN "Ka' ki jagah "Ke" type ho gaya hai. Thik kar dooNga. Magar doosre meN yeh aib kahaN hai kuch samajh meN nahiN aaya.

Iss qism ke kalam meN qawaaneen.e suKhan se ziyadah KhulooSe dil ki ahmiyyat hoti hai. Aap baKhubee jaante haiN main in cheezoN per nazar.e Saane nahiN karta hooN.

Khair andesh
Jawaid
Last edited by jawaid badauni on Tue May 29, 2007 10:08 am, edited 3 times in total.
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

BHAII MUZAFFAR SAAHAB

BAHAN REHANA SAHIBAH

AZEEZI KHAWAR SAAHAB
---------------------------------

Nazm ki pazeeraaii ke liye aapka mamnoon hooN. Ek tajweez yeh bhi pesh karna chaahta hooN kyuuN nah har maah kisee ek shayar ka JASHN yahaN urdu bandhan men manaya jaye? ShruAAt kisi buzurg shayar se ki ja sakte hai masla" Sarwar Raaz Sahab. Aap logoN ke jawab ka intezaar rahega.

MuKhliS
Jawaid
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Haamid Baaqri per meri ek Nazm

Post by haamidbaaqri »

jawaid badauni wrote:
Dosto! aadaab

Assalaam o alaikum
biradare azeez jawaid saahib

MaiN akSar apne dostoN aur buzurgoN per NazmeN kahta rahta hooN.

jee hameN ilm hai is baat ka.yeh aik nek dil insaan ki 'alaamat hai.

Aaaj baiThe baiThe Haamid Baaqri SaaHab per kuch sher ho gaye.

hum hairaan hain bhai saahib aapki is kaavish per.

Hasb.e dastoor meri Nazm mubaliGhey se beniyaaz hai.

sach kaha aapnay.yeh humnay aapki deegar aisee nazmoN meiN dekha hai.allah(sbhnwt)aapko jazaye khair de.aameen.

Aapka MuKhliS
Jawaid

Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

woh rahe zinda yehee Rub se doayeN haiN miree
nek dil insaan hai wallah Haamid Baaqri

allah(sbhnwt) aapki is purkhuloos dua kay tawassul say hameN aik nek insaan banne kee taufeeq enaayat farmaaye.aameen.

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

yeh ...beshak taufeeqe ilaahi ke siwa kuch bhi nahiN.

aaj tak GhazaloN meN hota tha bayaN bus Husn.e yaar
gesoo.e janaN ke Kham ya jaadaa.e manzil ke Khar

nashsha.e Sehba ki lazzat hum ko GhazaloN meN milee
roz naaseH ki naSeeHat hum ko GhazaloN meN milee

duniya waloN ki jafaayeN yaar ke jaur.o.sitam
bus yehee GhazloN meN milta tha hamesha besh.o.kum

humnay bhi akcar ghazloN meiN yahi paaya hai.shayed isee ko ghazal kehtay haiN.

lekin ik insaan ab deta hai tableeGhee payaam
usne GhazaloN ke tawassul se kiya yeh nek kaam

hum kehchukay haiN keh yeh taufeeqe ilaahi hai.

woh yeh kahta hai ke insaanoN ke Gheebat choR do
deen ki jaanib baRho duniya se raGhbat choR do

uska kahna hai Musalmaano bano achche moHib
yAAnee bun jaao Rasoolullah* ke sachche moHib

apne sheroN men jo kahta hai karo neki ke kaam
haaN woh ik shayar hai Haamid Baaqri hai jiska naam

yeh sab qur'aan o hazrate mohammede mustafa(sawaw) ke ahaadeec kee raushni meiN kahay huee baateN haiN.

maiN tou Khush hooN aaj bhi aisa koii insaan hai
jo bataata hai Nabee.e DeeN * ka kya farmaan hai

aap jaisay mukhlis shayer us say bhi badhkar aik acchay insaan ki musalsal hausalah afzaayee nay hameN kayee baar sambhala hai aur hum girtay girtay sambhleN haiN.

hai doa meri tumheN Allah rakhkhe shaadmaN
Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

bahut bahut shukriya aapki mukhlisaanah duaoN ka.dil bhar aaya .....AAPKA YEH HASEEN TOHFA HUM ZINDAGI BHAR NAHIN BHOOLENGE.INSHA ALLAH.
hamaari aankhoN say ashk jaari haiN.aapnay hameN rula diya.hum jaantay haiN yeh aapki mohabbat hai.allah(sbhnwt)aap per apni rehmatoN ki baarish kare.aameen.

* SAWW
aapka apna
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Janab Jawaid Badauni SaHib aadaab!

hamare moHtaram bhaee janab-e-Hamid Baaqri kee Zaat-o-Sifaat par aap ne apne qeematee kheyaalaat kaa iz^haar farmaayaa hai. jo keh aek nihayat HaoSlah afz^aa aor dil kush kun iqdaam hai.

Hamid Baaqri SaHib kee shakhSiyat kisee ta'aruf kee meHtaaj naheeN. in kaa Halqah-e-shuhrat maashAllah baRhtaa hee jata hai. yeh yaqeen se kaha jaa saktaa hai. keh aap Bangalore meN rehte huwe apnee adabee aor qalamee khidmaat meN hamah tan maSroof haiN. aor pure India kee sat^aH par aap kee i'lmee aor adabee khidmaat ke i'lawah aap kee HaseeN aor qabil-e-rashk "Saotee khidmaat" ko bhee baRee qadar kee nigaah se dekhaa jataa hai. aor India kee a'alaa adabee maHafil meN aap kee maojoodagee ko Z^aruree aor aham kheyaal kiyaa jataa hai.

maoSoof bandah ko apnee sargarmiyooN aor adabee maSrufiyaat se gahe gahe aagah karte rehte haiN. aor khaaksaar ko is Hawalah se un kee kaamyabee aor daraaz-e-SeHet ke liye dua'aa kee taofeeq mil jatee hai.

Hamid SaHib aek Jurrat mand, buland HaoSlah, aor khare insaan haiN. deen-e-Islaam se muHabbat aor a'qeedat-e-Rasul-e-A'rabee SWWS aap ke rag-o-reshah meN bharee hoee hai. aap kee buland HaoSalagee aor Hammiyat-e-deenee Qabil-e-taqleed hai.

aaj ke maadee daor meN jahaaN nasfaa nafsee kee aek nah khatam hone wali daoR lagee hoee hai. jahaaN insaanee iqdaar aor adab-o-eHtaraam perooN tale paaemaal ho kar reh geyaa hai. aese ashkhaaS kee maojudagee aor sargarmee himmat baRhaa detee hai. aap kee pur waqaar shakhSiyat aese dood-e-mayoosee meN nah Sirf ChaaraGh-e-raoshan kee manad hai. balkeh z^ulmat-e-Zamanah aor is QeHt-tur-reejaalee meN aesaa wujood Walee kaa darajah rakhtaa hai.

Asslaam o alaikum
azeez bhai muzaffar saahib

aapkay mohabbat bhare alfaaz hamaare dil meiN ghar kar gaye haiN.

LEKIN WALI TAU SIRF ALLAH(SBHNWT)HI MUQARRAR KARTA HAI.

hum gunahgaar bande haiN.dua farmaayeN keh hamaari is haqeer see kaushish kau woh mohammed(sawaw) wa aale mohammed(a.s.)kay sadqe meiN qubool farmaaye.yahi hamaaray liye asl meiN kaamiyaabi hai.insha allah
.

woh rahe zinda yehee Rub se doayeN haiN miree
nek dil insaan hai wallah Haamid Baaqri

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

aaj tak GhazaloN meN hota tha bayaN bus Husn.e yaar
gesoo.e janaN ke Kham ya jaadaa.e manzil ke Khar

nashsha.e Sehba ki lazzat hum ko GhazaloN meN milee
roz naaseH ki naSeeHat hum ko GhazaloN meN milee

duniya waloN ki jafaayeN yaar ke jaur.o.sitam
bus yehee GhazloN meN milta tha hamesha besh.o.kum

lekin ik insaan ab deta hai tableeGhee payaam
usne GhazaloN ke tawassul se kiya yeh nek kaam

woh yeh kahta hai ke insaanoN ke Gheebat choR do
deen ki jaanib baRho duniya se raGhbat choR do

uska kahna hai Musalmaano bano achche moHib
yAAnee bun jaao Rasoolullah* ke sachche moHib

apne sheroN men jo kahta hai karo neki ke kaam
haaN woh ik shayar hai Haamid Baaqri hai jiska naam

maiN tou Khush hooN aaj bhi aisa koii insaan hai
jo bataata hai Nabee.e DeeN * ka kya farmaan hai

Aap ne maoSoof kee Zaat-o-Sifaat ko nazm ke HaseeN paekar meN Dhaal kar baRaa kaam kiyaa hai. naz^m apnee haiyat aor takneekee aa'tebaar se bhee muraSSa' kaaree kaa aek haseeN shehkaar hai. nazm apne takhleeQkaar kee Zubaan-o-beyaan par dastaras kaa pataa bhee de rahee hai.

meree dua'aa hai. keh khudaa aap ko is kaar-e-nek kaa ajr-e-a'az^eem a't^aa farmaa de. aor aap jumlah afraad ko SeHat-o-salaamatee walee daraaz u'mr se nawaze.

aameen ya rabbil aalameen

Muz^affar A Muz^affar
aapki mohabbatoN ka shukriya ada kaisay hum kareN muzaffar bhai saahib.hamaare paas siwaaye dua kay kuch bhi nahiN hai.

allah(sbhnwt)aap per apni nazre khaas farmaaye.aameen

aapka apna
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Post by haamidbaaqri »

Rehana.A wrote:Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

bahut bahut shukriya mohtarmah rehana saahebah

jazakallah

mukhlis
haamidbaaqari

woh rahe zinda yehee Rub se doayeN haiN miree
nek dil insaan hai wallah Haamid Baaqri

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

aaj tak GhazaloN meN hota tha bayaN bus Husn.e yaar
gesoo.e janaN ke Kham ya jaadaa.e manzil ke Khar

nashsha.e Sehba ki lazzat hum ko GhazaloN meN milee
roz naaseH ki naSeeHat hum ko GhazaloN meN milee

duniya waloN ki jafaayeN yaar ke jaur.o.sitam
bus yehee GhazloN meN milta tha hamesha besh.o.kum

lekin ik insaan ab deta hai tableeGhee payaam
usne GhazaloN ke tawassul se kiya yeh nek kaam

woh yeh kahta hai ke insaanoN ke Gheebat choR do
deen ki jaanib baRho duniya se raGhbat choR do

uska kahna hai Musalmaano bano achche moHib
yAAnee bun jaao Rasoolullah* ke sachche moHib

apne sheroN men jo kahta hai karo neki ke kaam
haaN woh ik shayar hai Haamid Baaqri hai jiska naam

maiN tou Khush hooN aaj bhi aisa koii insaan hai
jo bataata hai Nabee.e DeeN * ka kya farmaan hai

hai doa meri tumheN Allah rakhkhe shaadmaN
Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

* SAWW

Mashallah hasub-e- mamool buhut pasand aa,i aap ki yeh ghazal bhi
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Haamid Baaqri per meri ek Nazm

Post by haamidbaaqri »

Sarwar Raz wrote:
jawaid badauni wrote:
Dosto! aadaab
MaiN akSar apne dostoN aur buzurgoN per NazmeN kahta rahta hooN. Aaaj baiThe baiThe Haamid Baaqri SaaHab per kuch sher ho gaye. Hasb.e dastoor meri Nazm mubaliGhey se beniyaaz hai.

Aapka MuKhliS
Jawaid

Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

woh rahe zinda yehee Rub se doayeN haiN miree
nek dil insaan hai wallah Haamid Baaqri

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

aaj tak GhazaloN meN hota tha bayaN bus Husn.e yaar
gesoo.e janaN ke Kham ya jaadaa.e manzil ke Khar

nashsha.e Sehba ki lazzat hum ko GhazaloN meN milee
roz naaseH ki naSeeHat hum ko GhazaloN meN milee

duniya waloN ki jafaayeN yaar ke jaur.o.sitam
bus yehee GhazloN meN milta tha hamesha besh.o.kum

lekin ik insaan ab deta hai tableeGhee payaam
usne GhazaloN ke tawassul se kiya yeh nek kaam

woh yeh kahta hai ke insaanoN ke Gheebat choR do
deen ki jaanib baRho duniya se raGhbat choR do

uska kahna hai Musalmaano bano achche moHib
yAAnee bun jaao Rasoolullah* ke sachche moHib

apne sheroN men jo kahta hai karo neki ke kaam
haaN woh ik shayar hai Haamid Baaqri hai jiska naam

maiN tou Khush hooN aaj bhi aisa koii insaan hai
jo bataata hai Nabee.e DeeN * ka kya farmaan hai

hai doa meri tumheN Allah rakhkhe shaadmaN
Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

* SAWW
mukarram-e-bandah Jawaid SaaHeb: aadaab!

Baaqree SaaHeb se ham sab hee waaqif haiN aur un ko aap kaa yeh Khiraaj-e-a'qeedat ek kaamyaab koshish hai.

mohtaram sarwar A raz saahib
Assalaam o alaikum

aapsay duaoN ki darkhwaast hai janaabe aali.aapka yeh kehna keh aap humsay waaqif haiN hameN bada sukoon degaya.

jazakallah
mukhlis
haamidbaaqari

eHbaab ne is kee ta'reef kee hai. meree bhee daad qubool kar leejiYe. aur lage haathoN is meN aaYe huwe :shutur-gurbah: kee iSlaaH bhee kar deejiYe! :-)

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

hai doa meri tumheN Allah rakhkhe shaadmaN
Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

aur kyaa a'rZ^ karooN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Post by haamidbaaqri »

muhammad_19k wrote:Mohtaram Janab Jawaid SaHeb,

aap kuch din nazar naa aa-aye to meN to aap ke baaray meN fikrmand hi hogyaa. abhi aap ko PM kar ke hi aa rahaa hooN :). jaldi se mairi ghazal par ki nok palalak saNwaarne ke leeaye apne mashwaraa jaat se nawaaziaye.

ab aataa hooN aap ki nazm par,

woh rahe zinda yehee Rub se doayeN haiN miree
nek dil insaan hai wallah Haamid Baaqri

Ameen. bilkul sach kahaa aap ne.

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

ye sach farmaayaa aap ne

aaj tak GhazaloN meN hota tha bayaN bus Husn.e yaar
gesoo.e janaN ke Kham ya jaadaa.e manzil ke Khar

such kahaa

nashsha.e Sehba ki lazzat hum ko GhazaloN meN milee
roz naaseH ki naSeeHat hum ko GhazaloN meN milee

bohat khoobSoorat izhaar hai.

duniya waloN ki jafaayeN yaar ke jaur.o.sitam
bus yehee GhazloN meN milta tha hamesha besh.o.kum

sach kahaa aap ne

lekin ik insaan ab deta hai tableeGhee payaam
usne GhazaloN ke tawassul se kiya yeh nek kaam

bohat khoob tareeqay se aap ne Haamid baaqri SeHeb ki ghazloaN ke raNg byaan kiyaa hai. bay shak un ki ghazlaiN naiki ka paighaam hain

woh yeh kahta hai ke insaanoN ke Gheebat choR do
deen ki jaanib baRho duniya se raGhbat choR do

ahaa haa . deen ki jaanib baRho duniya se raGhbat choR de. bohat khoob janab. kiyaa 'arq nikaalaa hai aap ne

uska kahna hai Musalmaano bano achche moHib
yAAnee bun jaao Rasoolullah* ke sachche moHib

ji haan bilkul saHeeH nishaandahi ki hai aap ne Haamid baaqri SaHeb ki firk ki.

apne sheroN men jo kahta hai karo neki ke kaam
haaN woh ik shayar hai Haamid Baaqri hai jiska naam

waah jaanab. waah. haaN woh ik shayer hai Haamid Baaqir hai jiskaa naam. bohat dilkash t'uaaraf hai.

maiN tou Khush hooN aaj bhi aisa koii insaan hai
jo bataata hai Nabee.e DeeN * ka kya farmaan hai

Allah t'aalaa Hamid Baaqri SaHeb ki isteqaamat aor jaza day

hai doa meri tumheN Allah rakhkhe shaadmaN
Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN
* SAWW

Aameen. Allah t'aalaa aap ki aor hamari du'aa. Haamid Baaqri SaHeb ke Haq meN poor karay. Cumaa Aameen

aise shaandaar alfaaz meN Haamid Baaqri SeHeb ko kharaaj e teHseen paish karne par mubaarakbaad qubool kijiaye.

du'aa goa,
Muhammad K. Siddiqui.
mohtaram mohammed khawar saahib
Assalaam o alaikum

aapki purkhuloos duaoN kay liye hum aapkay behad shukrguzaar haiN.

JAZAKALLAH

mukhlis
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: Haamid Baaqri per meri ek Nazm

Post by Sarwar A. Raz »

jawaid badauni wrote:
Sarwar Raz wrote:
jawaid badauni wrote:
Dosto! aadaab
MaiN akSar apne dostoN aur buzurgoN per NazmeN kahta rahta hooN. Aaaj baiThe baiThe Haamid Baaqri SaaHab per kuch sher ho gaye. Hasb.e dastoor meri Nazm mubaliGhey se beniyaaz hai.

Aapka MuKhliS
Jawaid

Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

woh rahe zinda yehee Rub se doayeN haiN miree
nek dil insaan hai wallah Haamid Baaqri

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

aaj tak GhazaloN meN hota tha bayaN bus Husn.e yaar
gesoo.e janaN ke Kham ya jaadaa.e manzil ke Khar

nashsha.e Sehba ki lazzat hum ko GhazaloN meN milee
roz naaseH ki naSeeHat hum ko GhazaloN meN milee

duniya waloN ki jafaayeN yaar ke jaur.o.sitam
bus yehee GhazloN meN milta tha hamesha besh.o.kum

lekin ik insaan ab deta hai tableeGhee payaam
usne GhazaloN ke tawassul se kiya yeh nek kaam

woh yeh kahta hai ke insaanoN ke Gheebat choR do
deen ki jaanib baRho duniya se raGhbat choR do

uska kahna hai Musalmaano bano achche moHib
yAAnee bun jaao Rasoolullah* ke sachche moHib

apne sheroN men jo kahta hai karo neki ke kaam
haaN woh ik shayar hai Haamid Baaqri hai jiska naam

maiN tou Khush hooN aaj bhi aisa koii insaan hai
jo bataata hai Nabee.e DeeN * ka kya farmaan hai

hai doa meri tumheN Allah rakhkhe shaadmaN
Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

* SAWW
mukarram-e-bandah Jawaid SaaHeb: aadaab!

Baaqree SaaHeb se ham sab hee waaqif haiN aur un ko aap kaa yeh Khiraaj-e-a'qeedat ek kaamyaab koshish hai. eHbaab ne is kee ta'reef kee hai. meree bhee daad qubool kar leejiYe. aur lage haathoN is meN aaYe huwe :shutur-gurbah: kee iSlaaH bhee kar deejiYe! :-)

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

hai doa meri tumheN Allah rakhkhe shaadmaN
Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

aur kyaa a'rZ^ karooN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Sarwar SaaHab aadaab.

Bohat bohat shukriya.

Pahle sher meN "Ka' ki jagah "Ke" type ho gaya hai. Thik kar dooNga. Magar doosre meN yeh aib kahaN hai kuch samajh meN nahiN aaya.

Iss qism ke kalam meN qawaaneen.e suKhan se ziyadah KhulooSe dil ki ahmiyyat hoti hai. Aap baKhubee jaante haiN main in cheezoN per nazar.e Saane nahiN karta hooN.

Khair andesh
Jawaid
biraadaram Jawaid SaaHeb: aadaab!

aap ke jawaab ne maKhmaSeh meN Daal diyaa. yeh kaise mumkin hai keh aap :shutur-gurbah: se naa-waaqif haiN jab.k aap 35 saal se shaa,i'ree kar rahe haiN? aap kee ijaazat se do baateN a'rZ^ haiN:

(1) :shutur-gurbah: us waqt hotaa hai jab ek hee she'r yaa naz^m meN kisee shaKhS ko do muKhtalif SeeGhoN meN muKhaat^ib kiyaa jaataa hai. aap ne pehle she'r meN Baaqri SaaHeb ko :too,teraa: se muKhaat^ib kiyaa hai aur doosre meN :tum, tumhaare: se! yehee shutur-gurbah hai aur baRaa a'ib hai jis se parhez Z^arooree hai.

(2) pehle she'r meN :kaa/ke: se farq naheeN paRtaa. donoN hee munaasib haiN. ma'loom naheeN kyoN aap ne yeh samjhaa keh :ke: ista'maal karne se :shutur-gurabh: Saadir ho jaaYe gaa!

(3) aap kaa kehnaa keh aisee naz^moN meN shaa,i'ree ke uSool se ziyaadah KhulooS kee ahmiyyat hai Ghalat^fehmee hai. be-shumaar sho,a'raa ne doosroN ke qaSeede likhe haiN. aap apne uSool se un ko dekh leN to Khud hee Haqeeqat ma'loom ho jaaYe gee. shaa,i'ree ke uSool har Haal meN barte jaaYeN ge illaa yeh keh koyee un se waaqif nah ho.

(4) kyaa hee achhaa ho keh aap apnee nigaarishaat par naz^ar-e-caanee kar liyaa kareN taa.k aap se KhaamiyoN kaa Sudoor kam ho. kuhnah-mashq shaa,i'r se ummeed hotee hai keh us kaa kalaam doosroN ko raah dikhaaYe gaa nah keh Ghalat^iyoN kee jaanib le jaaYe gaa.

sama'-Kharaashee kee ma'Zirat! meree jaanib se baat Khatm huyee. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Haamid Baaqri per meri ek Nazm

Post by jawaid badauni »

Sarwar Raz wrote:
jawaid badauni wrote:
Sarwar Raz wrote: mukarram-e-bandah Jawaid SaaHeb: aadaab!

Baaqree SaaHeb se ham sab hee waaqif haiN aur un ko aap kaa yeh Khiraaj-e-a'qeedat ek kaamyaab koshish hai. eHbaab ne is kee ta'reef kee hai. meree bhee daad qubool kar leejiYe. aur lage haathoN is meN aaYe huwe :shutur-gurbah: kee iSlaaH bhee kar deejiYe! :-)

Baaqri! saare jahaN se muKhtalif hai tera kaam
teri GhazaleN aur yeh haqq.o sadaaqat ke payaam!

hai doa meri tumheN Allah rakhkhe shaadmaN
Khush raho, jete raho, likhte raho Haamid miyaaN

aur kyaa a'rZ^ karooN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Sarwar SaaHab aadaab.

Bohat bohat shukriya.

Pahle sher meN "Ka' ki jagah "Ke" type ho gaya hai. Thik kar dooNga. Magar doosre meN yeh aib kahaN hai kuch samajh meN nahiN aaya.

Iss qism ke kalam meN qawaaneen.e suKhan se ziyadah KhulooSe dil ki ahmiyyat hoti hai. Aap baKhubee jaante haiN main in cheezoN per nazar.e Saane nahiN karta hooN.

Khair andesh
Jawaid
biraadaram Jawaid SaaHeb: aadaab!

aap ke jawaab ne maKhmaSeh meN Daal diyaa. yeh kaise mumkin hai keh aap :shutur-gurbah: se naa-waaqif haiN jab.k aap 35 saal se shaa,i'ree kar rahe haiN? aap kee ijaazat se do baateN a'rZ^ haiN:

(1) :shutur-gurbah: us waqt hotaa hai jab ek hee she'r yaa naz^m meN kisee shaKhS ko do muKhtalif SeeGhoN meN muKhaat^ib kiyaa jaataa hai. aap ne pehle she'r meN Baaqri SaaHeb ko :too,teraa: se muKhaat^ib kiyaa hai aur doosre meN :tum, tumhaare: se! yehee shutur-gurbah hai aur baRaa a'ib hai jis se parhez Z^arooree hai.

(2) pehle she'r meN :kaa/ke: se farq naheeN paRtaa. donoN hee munaasib haiN. ma'loom naheeN kyoN aap ne yeh samjhaa keh :ke: ista'maal karne se :shutur-gurabh: Saadir ho jaaYe gaa!

(3) aap kaa kehnaa keh aisee naz^moN meN shaa,i'ree ke uSool se ziyaadah KhulooS kee ahmiyyat hai Ghalat^fehmee hai. be-shumaar sho,a'raa ne doosroN ke qaSeede likhe haiN. aap apne uSool se un ko dekh leN to Khud hee Haqeeqat ma'loom ho jaaYe gee. shaa,i'ree ke uSool har Haal meN barte jaaYeN ge illaa yeh keh koyee un se waaqif nah ho.

(4) kyaa hee achhaa ho keh aap apnee nigaarishaat par naz^ar-e-caanee kar liyaa kareN taa.k aap se KhaamiyoN kaa Sudoor kam ho. kuhnah-mashq shaa,i'r se ummeed hotee hai keh us kaa kalaam doosroN ko raah dikhaaYe gaa nah keh Ghalat^iyoN kee jaanib le jaaYe gaa.

sama'-Kharaashee kee ma'Zirat! meree jaanib se baat Khatm huyee. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
Sarwar SaaHab
aaadaab qubool farmaaiye

Aap jis ujlat se jawab dete haiN woh amr qaabil.e sataaish hai. Kaash meri Begam SaHibah murasilat ke maidaan meN aur jawab.e Khat ke moAmely meN aap ki taqleed shuroo kar deN tou mere kuch masAley hal ho jayeNge.

Yeh tou mujhe ilm hai keh ek hi sher meN dou miSroN meN tou aur tum jaaiiz nahiN (halaNkeh naii nasl ab iska bhee Khyaal nahiN kartee)magar mukammal Nazm meN iski pabandee ka mujhe ilm nahiN aur mera zahn isey qubool bhi nahiN karta. Agar yeh 40 sher ki nazm hoti tou kya ek baar tou ka seegha istaimal karne ke baad main kahiN tum nahiN istaimal kar sakta? Mera zahn is manTiq ko tasleem nahiN karta. BahrHaal yeh tou ek sada see Nazm thee. Mujhe Khushee hai logoN ne aur KhuSuSan jin per kahee thee unhoN ne bohat bohat pasaNd farmaii. Aage kuch kahooNga tou dekha jayega.

Ab yeH adabee baHc meri janib se bhi tamam huuwe kyuuNkeh "aur bhee Gham haiN zamaney meN.........'

Khaaksaar
Jawaid
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Jawaid Saaheb!

bohat shukria aik aisay insaan ko sarahnay ka jo haq o sadaqat kay paigham ko hi apni shaeri ka mozu banay huay hay.

wassalm

Sohail Malik
Post Reply