[align=left]
“Urdu-Duniya” ho keh “Urdu-Anjuman”
Khidmat-e Urdu meN rahte haiN magan
Justujoo.e sher.o.naGhma dil meN hai
Noor unke dam se har mehfil meN hai
Chaahne waale hain unke beshumaar
Kuch “Muzaffar” chund kahte haiN “Ghubar”
Dil meN hai bus sher kahne ki lagan
Dekhiye tou justujoo.e shauq-e fun
Ho gaii mashq.e suKhan ki inthaa
Ik zameeN meN teen GhazleN marhaba
Urdu-Duniya meN sukhan ka ehtmaam
Haath meN hai Urdu-Bandhan ka nizaam
Daad deeN kyuuNker kisee ko muKhtaSar
Tabsarey likhte haiN woh dil kholker
Shairee-mazmoon sub aiboN se door
yAAni NaSr.o.Nazm per yaksaaN uboor
Aaj unko yeh doa dete haiN hum
Aur bhee baRh jaye kuch zor.e qalam
Justujoo.e shauq dil meN kum nah ho
Ya Ilaahee unko koii gham na ho
--------------------------------------------------
Dekhiye ab kiskee baaree hai!
Jawaid Badauni[/align]
Aur ab .........MUZAFFAR SAHAB per..................
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Aur ab .........MUZAFFAR SAHAB per..................
Last edited by jawaid badauni on Tue Jun 05, 2007 12:32 pm, edited 1 time in total.
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
moHtaram Biradaram Janab Jawaid Badauni SaHib aadaab!
HuZ^oor aap ne to kaamaal hee kar diyaa hai. aap agar rubaru hote to aap kee muHabbat ko dekhte huwe aap kaa maathaa hee choom letaa.
aap ke khulooS aor lagao kaa andazah laganaa aap ke purshafqat alfaaz^ aor dilkash taraakeeb ne baRaa aasaan kar diyaa hai. aap to az sar taa paa dil hee dil haiN..........Jawaid bhaee alfaaz^ meraa saath naheeN de rahe..............fart^-e-jazbaat aor wafoor-e-inbisaat^ se haath kaanp raheY haiN. aap ne yeh shahkaar Nazm keh kar Qalam tooR diyaa hai.
maiN apne jabzaat ko qalam band karne par qaadir naheeN rahaa. aap kee muHabbat aor lagawaT hameshah faqeer ke dil meN rahe gee. aek raoshan ChaaraaGh kee manand.
maiN inshAllah is nazm ko apnee anqareeb aane walee kataab (Jaam-e-jam) ke pehle SafaH par lagaa kar kataab ko i'zzat bakhooN gaa.
DherooN dua'aooN aor nek tamannaooN ke saath ijazut deejiYe.
Wassalam
mukhliS
Muzaffar A Muzaffar

- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
masha allah
jawaid bhai saahib
Assalaam o alaikum
“Urdu Duniya” ho keh “Urdu Anjuman”
Khidmat-e Urdu meN rahte haiN magan
bilkul sach kaha aapnay.
Justujoo.e sher.o.naGhma dil meN hai
Noor unke dam se har mehfil meN hai
is meiN koyee shak nahiN hai.woh aise hee shaksiyat kay maalik haiN.
Chaahne waale hain unke beshumaar
Kuch “Muzaffar” kuch unheN kahte “Ghubar”
hum bhi unkay chaahnay waaloN meiN sAy haiN.
Dil meN hai bus sher kahne ki lagan
Dekhiye tou justujoo.e shauq-e fun
kya baat hai......
Ho gaii mahq.e suKhan ki inthaa
Ik zameeN meN teen GhazleN marhaba
hum bhi hairaan haiN unki is mashqe sukhan per.
Urdu-Duniya meN sukhan ka ehtmaam
Haath meN hai Urdu-bandhan ka nizaam
woh deserve kartay haiN.
Daad deeN kyuuNker kisee ko muKhtaSar
Tabsarey likhte hain woh dil kholker
is say yeh zaahir hauta hai keh woh kitnay mukhlis haiN.
Shairee-mazmoon sub aiboN se door
yAAni NaSr.o.Nazm per yaksaaN uboor
bahut acchee aur sahi baat kahee aapnay.
Aaj unko yeh doa dete haiN hum
Aur bhee baRh jaye kuch zor.e qalam
aameen.yaa rabbil aalameen
Justujoo.e shauq dil meN kum nah ho
Ya Ilaahee unko koii gham na ho
aameen summa aameen
--------------------------------------------------
Dekhiye ab kiskee baaree hai!
Jawaid Badauni
masha allah ...........is nazm kee jitni t'aareef keejaaye woh kam hai.
aapnay hamaaray azeez bhai muzaffar saahib kee shakhsiyat ko jistarah ubhaara hai keh shayed hi koyee itnay khloos kay saath kisee kay liye likkhay.bahut khoob.
is nazm kay ikhtetaam per qaari muzaffar saahib ko apnay saamnay khada paata hai.woh bilkul waisay hi haiN jaisay aapnay unheN qalamband kiya hai.
allah(sbhnwt)aapkay is khuloos ko taa damay aakhir baaqi rakkhay.aameen.
is kaamiyaab nazm per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN .
hum bhi muntazir haiN keh agla khushnaseeb kaun hauga............ya haugee.......
aapka apna
haamidbaaqari

mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Janab Jawaid Badauni SaHib aadaab!
HuZ^oor aap ne to kaamaal hee kar diyaa hai. aap agar rubaru hote to aap kee muHabbat ko dekhte huwe aap kaa maathaa hee choom letaa.
aap ke khulooS aor lagao kaa andazah laganaa aap ke purshafqat alfaaz^ aor dilkash taraakeeb ne baRaa aasaan kar diyaa hai. aap to az sar taa paa dil hee dil haiN..........Jawaid bhaee alfaaz^ meraa saath naheeN de rahe..............fart^-e-jazbaat aor wafoor-e-inbisaat^ se haath kaanp raheY haiN. aap ne yeh shahkaar Nazm keh kar Qalam tooR diyaa hai.
maiN apne jabzaat ko qalam band karne par qaadir naheeN rahaa. aap kee muHabbat aor lagawaT hameshah faqeer ke dil meN rahe gee. aek raoshan ChaaraaGh kee manand.
maiN inshAllah is nazm ko apnee anqareeb aane walee kataab (Jaam-e-jam) ke pehle SafaH par lagaa kar kataab ko i'zzat bakhooN gaa.
DherooN dua'aooN aor nek tamannaooN ke saath ijazut deejiYe.
Wassalam
mukhliS
Muzaffar A Muzaffar
Azeezi Muzaffar Saahab
Nazm aap ne qubool ki aur aap koa chchee bhi lagi so meri meHnat woSool huuwi SaHab. Boaht saadgee se kahi huuwi Nazm hai. MaiN bohat qareeb se ek insan ko dekhta hooN jise Angrezi meN "observe" karna kahte haiN phir Nazm kahta hooN. Mubalighe se door hi rahta hooN. Shayad hi koii aisa azeez ya dost ho jis per maiN ne Nazm nah kahi ho magar meri mushkil yeh hai keh in chezoN ka "record" nahin rakhta kho jatee haiN.
Ziyadah doa,
Jawaid
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: masha allah
Azeezi Haamid SaaHab,haamidbaaqri wrote:jawaid bhai saahib
Assalaam o alaikum
“Urdu Duniya” ho keh “Urdu Anjuman”
Khidmat-e Urdu meN rahte haiN magan
bilkul sach kaha aapnay.
Justujoo.e sher.o.naGhma dil meN hai
Noor unke dam se har mehfil meN hai
is meiN koyee shak nahiN hai.woh aise hee shaksiyat kay maalik haiN.
Chaahne waale hain unke beshumaar
Kuch “Muzaffar” kuch unheN kahte “Ghubar”
hum bhi unkay chaahnay waaloN meiN sAy haiN.
Dil meN hai bus sher kahne ki lagan
Dekhiye tou justujoo.e shauq-e fun
kya baat hai......
Ho gaii mahq.e suKhan ki inthaa
Ik zameeN meN teen GhazleN marhaba
hum bhi hairaan haiN unki is mashqe sukhan per.
Urdu-Duniya meN sukhan ka ehtmaam
Haath meN hai Urdu-bandhan ka nizaam
woh deserve kartay haiN.
Daad deeN kyuuNker kisee ko muKhtaSar
Tabsarey likhte hain woh dil kholker
is say yeh zaahir hauta hai keh woh kitnay mukhlis haiN.
Shairee-mazmoon sub aiboN se door
yAAni NaSr.o.Nazm per yaksaaN uboor
bahut acchee aur sahi baat kahee aapnay.
Aaj unko yeh doa dete haiN hum
Aur bhee baRh jaye kuch zor.e qalam
aameen.yaa rabbil aalameen
Justujoo.e shauq dil meN kum nah ho
Ya Ilaahee unko koii gham na ho
aameen summa aameen
--------------------------------------------------
Dekhiye ab kiskee baaree hai!
Jawaid Badauni
masha allah ...........is nazm kee jitni t'aareef keejaaye woh kam hai.
aapnay hamaaray azeez bhai muzaffar saahib kee shakhsiyat ko jistarah ubhaara hai keh shayed hi koyee itnay khloos kay saath kisee kay liye likkhay.bahut khoob.
is nazm kay ikhtetaam per qaari muzaffar saahib ko apnay saamnay khada paata hai.woh bilkul waisay hi haiN jaisay aapnay unheN qalamband kiya hai.
allah(sbhnwt)aapkay is khuloos ko taa damay aakhir baaqi rakkhay.aameen.
is kaamiyaab nazm per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN .
hum bhi muntazir haiN keh agla khushnaseeb kaun hauga............ya haugee.......
aapka apna
haamidbaaqari
aadaab
Nazm ki pazeeraayee aur usper tafSeeli tabsarey ke liye aap ka behud mamnoon hooN. Aap bohat KhulooS se daad dete haiN jiski mujhe Khushee hai. Ummid hai aaindah bhi in maHafil meN aap se musalsal rabt rahega.
MaiN ne bohat se dostoN aur rishtedaaroN per nazmeN kahi haiN jin meN meri baRee hamsheerah bhi shamil haiN. Mash'hoor.e zamana "columist" Janab Kuldeep Nayar Sahab per ek nazm likhi thEe. UnhoN ne bohat pasaNd farmaii aur jawab meN mujhe likha," Jawaid SaaHab kaash maiN aisa hi hota jaisa aap ne mujhe bataya hai." Unka jawab Angrezee meN tha yeh tou maiN ne lafzee tarjuma likha hai. Yeh sub unki inkesaari thee warna main kabhi mubaliGhe se kaam nahiN leta. Atal Behari SaHab per jo nazm bhejee thee unheN pasand aai halaNkeh usmeN tanqeed bhee thee magar mujhe dou bateN achchee nahiN lageeN. Ek tou yeh keh unhoN ne apne Secretary se shukrita bhijwaya doosrey yeh ke unka Khat Hindi meN tha jab keh meri Nazm Urdu meN. Apna apna Tareeqa hota hai.
DoaoN meN shamil rakhiyega.
MuKhliS
Jawaid