mujh~e Muz^affar AHmad Muz^affar kehte haiN!

Ham Istaqbal karte haiN aap apna taarruf karwaiN:)
Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

mujh~e Muz^affar AHmad Muz^affar kehte haiN!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

ASli Naam: Muz^affar AHmad S/O MuHammad Rashid Arshad Vice President National Bank of Pakistan/Chief Adit Officer N.W.F.P and Aazad kashir Pakistan.

takhalluS: Muzaffar/AHmad
taareekh-e-paedaai'sh: 14.07.69
Ja-e-paedaai'sh:68 Club Road Nowsherah cantt khaebar pakhton khuwah Subah SarHad (N.W.F.P) Pakistan.

Qaomiyat (shehriyat): German
Zaat:Jat
Burj:sartaan
mazhab: Islam
Behen bh~aei'yooN kee ta'daad; paanch bh~ee, aek behen.

Azdawajee Haeciyat:Shadee shudah,
Bachche:do betiyaaN aor chaar beTe.

Begum ka mukhtaSir ta'aruf:

Begum England ke sheher Huddersfield meN bataareekh 16/5/78 ko paedah hoeeN.
ebtadaee ta'leem isee sheher meN HaSil kee. Haj kar rakh~a hai.

t^aba'ee rujHaan: mazhabee, khuda taras,
sarokaar: namaaz se
khaof: khuda ka
manfee pehlu: shkkee
mucbat pehlu: Sadaqah-o-kheeraat karne walee.
mashaaGhil: tilaawat-e-Quraan-e-hakeem. kh~ana pakana, pachchooN ko deene ta'aleem ke zewar se aarastah karna,
ZabanooN par dastaras: English, Urdu, Punjabi, German.

Begum ka khaandanee pas-e-manz^ar:
Begum ke taya jaan taqseem-e-hind se pehle hee England kee faoj meN khidmaat sar anjaam de rahe th~e. unhee ke eema' par meree Begum ke walid 1964 meN India ke sheher Jalindh~ar se nakal makaanee kar ke bart^aniyah aakar aabaad ho gae th~e.
begum ke maaN baam ab faot ho chuke haiN.

Shadee:
29 April,1995 ko baRee dh~oom dh~aam se shaadee kee taqreeb munaaqid kee gaee. jis meN meN Germany, Pakistan, England aor Holand se khaSee ta'daad meN dost eHbaab ke i'lawah sheher bh~ar se ma'azziz khawateen-o-HaZ^araat ne shirkat kee.

maqaam-e-taqreeb-e-shadee: Congress Hall Husum Germany.
mehmanooN kee kul ta'adaad: do Sad 200.

Haq-e-Meher: Das laakh~ Rs. :(
======================
ab khaaksaar ke barah meN!
ZabanooN se Aashnaaee; Urdu, English, punjabi, Hindkao, Ph~oTowari, Pashto, German.
jo ZabaneeN zeyadah pasand haiN; Urdu aor Farsi.

Ibtadai'ee deeni-o-bat^ani ta'aleem:
Gaod-e-madar!
Khatm-ul-Quraan Walidah maajidah se (AlHamdolillAah)

Ibtadai'ee-o-z^ahiri Duniyawaee ta'aleem.
primary: Public High ScHooL Nowshera cantt Pakistan.
intermediate: Government High ScHool No1 Nawsherah cantt. Pakistan
Mazeed ta'aleem: F.Sc: Government Degree College Nowshera Cantt. pakistan
B.Sc: Government Degree College Nowshera Cantt. Pakistan

Mazeed ta'aleem. (beroon-e-mulk England/Germany)

1, Garman Language Diploma: Germany Jun,92

2, Information Technology: Volkshoch Schule, Germany Sep,93

3, Modern Psychology Diploma: Germany Sep,96

4, German Language Diploma: Germany Jun,92

5, Psychology Diploma Jun,97 Husum, Germany

6, Employability Training:Careers Development Group Kingston Upon Thames England Aug 06

7, Upgrading Literacy skills Training: to C&G Level1 and Numeracy to Level3 Wimbledon England.

8, City and Guilds: Level1 Certificate in Adult Numeracy Traning. September 2006 AWARDED by M.Howell Chairman The City and Guilds of London Insititute.Qualification and Curriculum Authority England.

9, City and Guilds: Level 1 Certificate in Literacy Traning. September 2006 AWARDED by C.Humphries Director-General The City and Guilds of London Insititute. Qualification and Curriculum Authority England.

10, Certificate of Competence for Topographical Skills. 13th September 2007 AWARDED by P.A Plank Kingstone London England

Europe baGharZ^-e-ta'leem Aamad: 21,Nov,1991
u'mr ka kuch~ HiSSah baGharaZ^-e-ta'leem Moscow meN guzra.
Be sood koshish; Moscow aor Tashqand meN Rusee zaban sekh~ne kee koshish.
Naakami: MuHabbat meN
Barbadi ka baae'c: i'shq
A'am mashGhalah: Khidmat-e-khalq
A'la WaSf: MeHmaan nawazi,
kabil-e-fakhr Sift: darguzar karna.
Daosti ke Qabil: jis ka koee daost nah ho.
A'am Aadat. Duniya-e-takhiyal meN gum rehna.
rujHaan-e-t^aba': gaoshah nasheeN.
A'am A'adat: kam gaoee.
libaas: deedah zeb.
pasandeedah sawari: Marcedes Bens.
Zer-e-istea'aal sawari: Marcedes Bens SE 300 tow door.
safar se khae'if: Hawai safar se.
duri:AmeerooN se
Qurbat: GhareebooN maskeenooN se
Nafrat: HasidooN se
muHabbat: HaseenooN se
t^abiyat ka a'aam rujHaan: dil ph~enk a'ashiq
marGhoob mashGhalah: fikr-e-janaaN
dilkaraash baat: fikr-e-duniya
Khareed-o-farokht: She'eree majmua'e
Bai'c-e-sukoon: BuzurgooN kee SuHbat
Baei'c-e-qaraar: Ghuraba kee madad
t^areeq-e-imdaad: Mali-o-a'amali imdaad
meelan-e-t^aba': khalwat nasheeN
sab se baRa masa'alah: SharmahaT
Sab se HaseeN cheez: AaNkh~eeN
Gaoshah-e-sukoon: Switzerland.
Sab se a'zeez shaeh: muHabbat-e-khuda
Dusri A'zeez sheh: dast-e-shafqat-e-Rasul-e-A'arabi (SWWS)
sab se kabil-e-fakhr chez: Jazbah-e-Qurbani.
sab se behtareen rastah: rah-e-Haq
jo palkooN peh sajaee ja saktee hai: Khaak-e-A'rZ^-e-wat^an(Pakistan)
Duniya ka sab se HaseeN maqam: Jammu kashmee aor is se mulheqqah i'aqe Sawaat Gilgit skardu WaGhaerah.
kin par jaan dee ja saktee hai. Wat^an-e-a'zeez (Pakistan) par rah-e-Haq, A'dl-o-inSaaf, Khandan, aor naazneenooN par.
buree cheez: shaor aor hangamah.
achch~ee cheez: Sukoon aor SeHat
Qabil-e-nafrat:beemaree
Qabil-e-ta'reef KhuSuSiyat: Buland himmatee.
Apni do buraee'yaaN: AHmaq pan, aor saadagee.
Apni aek Khubee: Husn-e-iKhlaaq
khud peh taras aata hai: jab kisee se muHabbat ho jatee hai.
kisee cheez kee kami: siwa-e-muHabbat ke har sheh milee.
dh~okh~a diya: daostoon ne'
a'adat naheeN hai: shikayat kee.
inteqaam lene ka t^areeqah: dil se nikaal dena.
shae'iree: Z^arurat hai.
udasee meN: Ghazal gaoee.
sukoon milta hai: she'er keh kar.
waqif:beshumaar
daost:koee naheeN.
dushman: hoN ge.
peGhaam:muhabbat
khuwaahish: neek namee kee.


zaria'ah-e-mua'aash:
Manager British Heart Foundation UK.(ta Haal)

AGhaz-e-shae'iree:
Bachpan se.

pehlee Ghazal ka mat^la':

bahaar aane se pehle tum kabh~ee bankar bahaar aao!
khizaaN ka daor ho rukhSat kabh~ee bankar nikh~aar aao!

pehli Ghazal 9 saal kee u'm meN kahee.

pehla She'eree muqabilah: Kul Subah SarHad t^arHee muqabilah-e-nazm.
kamyabee ka naoi'yat: (Awwal)

us waqt u'mr:18 saal.

jo miSra' t^araH huwa. " har khizaaN zadah darakht peh a'ajab nikh~aar hai. (thek se yaad naheeN rahaa)

deegar Baet baazee ke muqabile jin meN meN Awwal :position: kee ta'daad:
AaTh~ muqabile.
Numae'yaaN muqabilah: kul Germany Bait bazee muqabilah Aug,92 Faranfurt Germany.

ab tak milne wala sab se baRa adabee ina'aam: t^alaee tamGha-e-Husn-e-kaarkardagee 1994 Farankfurt Germany.

pehla mushae'irah: Hamburg Germany
mehmaan-e-khuSuSee: Ubaed Ullah A'leem MarHoom.

majmua'ah-e-kalam: 4 a'dad.
fehrist mujmua'ah haa-e-kalam:

1,
rakht-e-safar
2,
reg-e-dasht-e-a'dam
3,
Harf-e-zer-e-lab
4,
Jaam-e-Jam

(Ghaer t^aba')

Jin shae'irooN ne muta'acir kiy.(Sirf ma'roof shua'ra ke isma-e-garami deegar se ma'azrat ke saath~)
1,
Wali Dakni
2,
ASGhar Gaondawi
3,
Seemaab akbar Abadi
4,
Raz Chand Puri
5,
Jigar MuraadAbadi
6,
Dr.MuHammad Iqbal
7,
SaGhar Sadeeqi
8,
MoHsin bh~opali
9,
AHmad Faraz
10,
Sardar A'li jafri
11,
AHmad Nadeem Qasmi
12,
Sarwar A'alam Raz Sarwar
13,
Abdullah Nazir
14,
Jawaid Badauni
15,
Hamid Baqri
aor Chand deegar shu'ara.

kalaam ke tarajim deegar zabaanooN meN: English, aor Punjabi.
zer-e-intez^aam: Writers International Society of Harrow London England.
kis maoqa' par: Black History Month.
sarparast-e-A'ala:A'llamah A'adil Farooqi. Harrow England.

un tarajim meN se koee aek tarjumah bat^aor-e-numunah:

1,
When the imprisoned ones remembered their lost garden,
they tore their own garments to pieces in lamentation!

2,
How could we complain of the hatred shown by the enemies?
whwreas it was the friends woh devastated the garden!

3,
So what, if died, it was of course the fate!
Just see who dared the wound of the sword of eyelashes?

4,
How can we relate the story of the bitterness of the age?
The helplessness of Muslims has made us cry tears of blood.

5,
Sleepless nights have their own pleasure, O friend.
No night of desertion goes in vain.

6,
Lest the icy gale of your disaffection annihlate me
as all the tentropes of my life are already severed.

ASl Urdu Ghazal ka mat^la':

1,
Yaad ehle-e-zindaaN ko aaee jab gulistaaN kee
"dh~ajjiyaaN ura deeN haiN apne hee garibaaN kee"
(t^areHee Ghazal bara-e-mushae'rah Ghzarish#23 Urdubandhan)

Haliyah Adabee Khidmaat mukhtaSir:

General Secretary Sir Allamah Iqbal Academy England.
Rukun; Qalam Qabeelah Urdu Anjuman London.
Rukun; MeHfil-e-Zaoq Oxford
Rukan; Urdu teHreek London England.
Rukan; Bazm-e-Tanz-o-mazaH London. England.
Rukun; Writers International Society of Harrow London England.
Rukun; Ameer Khusro Society London England.
Rukun; Bazm-e-she'er-o-adab London England.
Rukan; Bazm-e-tanz-o-mazaH England
Administrator: http://www.urdubandhan.com (adabi chaopal)
Administrator: http://www.urduduniya.net
Additor: seh maahee Risaalah "Dastak" http://www.dastak-urduduniya.com
Naazim: http://www.urduAnjuman.com (adabi chaopal)
Member of Presidium of the Urdu World Organization Rassian State University 6 Miusskaya sq- Moscow 125993.
Director: Haji Sharif Ahmad Education & Literary Academy Germany.

MashaGhil: Mashq-e-sukhan, mut^alia'ah, tanqeed-o-tabSirah,
Asatezah karam, Sarwar A'alam Raz Sarwar, Abdullah Nazir, aor deegar SaHibaan.



Attachments
Muzaffar.jpg
Muzaffar.jpg (25.03 KiB) Viewed 1948 times
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Fri Oct 19, 2007 10:50 pm, edited 14 times in total.
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Janab Muzaffar SaHeb,

Jub kahbi bhi aap ki likhi hoee koi cheez paRhtaa hooN to dil se du'aa nikalti hai ke "Allah karay zor e qalam aor zydaa " kis jagaa par kyaaa baat kaise kehni hai ye aap ko khoob aataa hai. . bhalaa ye t'uraaf hi leejiaye aisaa khoobSoorat t'aaruf ke har pehlaoo hai zindig par roshni Daal kar aap ne muzaffar Ahmed muzaffar k aise paish kiyaa hai jaise meN muzaffar ko barsoN se jaantaa hooN. aor qad e shakhSiat yaqeenun t'aaruf se bhi kuch buland hi nazar aataa hai. aor us par aik khoobSoorat taSweer jaise t'aaruf ki sachai par aik mohr lagai gayee hao ke daikh lo oar pehchaan lo. kya tumhaiN shakl se hi nazar naheeN aataa ke mosoof kya goona gooN shakhsiat ke maalik haiN ? waah SaHib, t'aaruf paRh kar bohat khushi hoee.

du'aa go,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Janab Muzaffar Ahmed Muzaffar

Janab Jawaid Badauni ki nazar meN


“Urdu-Duniya” ho keh “Urdu-Anjuman”
Khidmat-e Urdu meN rahte haiN magan


Justujoo.e sher.o.naGhma dil meN hai
Noor unke dam se har mehfil meN hai


Chaahne waale hain unke beshumaar
Kuch “Muzaffar” chund kahte haiN “Ghubar”


Dil meN hai bus sher kahne ki lagan
Dekhiye tou justujoo.e shauq-e fun


Ho gaii mashq.e suKhan ki inthaa
Ik zameeN meN teen GhazleN marhaba


Urdu-Duniya meN sukhan ka ehtmaam
Haath meN hai Urdu-Bandhan ka nizaam


Daad deeN kyuuNker kisee ko muKhtaSar
Tabsarey likhte haiN woh dil kholker


Shairee-mazmoon sub aiboN se door
yAAni NaSr.o.Nazm per yaksaaN uboor


Aaj unko yeh doa dete haiN hum
Aur bhee baRh jaye kuch zor.e qalam


Justujoo.e shauq dil meN kum nah ho
Ya Ilaahee unko koii gham na ho

--------------------------------------------------

Jawaid Badauni
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Biraadaram M. Khawar SaHib aadaab!

Aap kaa khat^ dekhaa aor us meN aap kaa chehraa naz^ar aa geyaa. jo muHabbat aor khulooS se surkh-o-safed ho rahaa hai. aap kee murawwat aor muHabbat mere liye baae'ic-e-iftekhaar hai. yeh aek aese khaZane kee manand hai jisee seene se lagaa kar rakhne ko jee chahaa taa hai.

meree dua'aa hai. keh aap ko khudaa hameshah khush-o-khurram rakheY. aap aese mukhliS dostooN kee yahaaN pardes meN baRee kamee meHsoos hotee hai. sach to yeh hai keh aaj duniyaa meN aese insaan jo dusrooN ke liye murawwat aor khulooS ke jaZbaat rakhte hooN DhoondeY se naheeN milte. khudaa aabaad rakheY in adabee chaopalooN ko keh in ke baae'ic ham musafarooN kaa Gham Ghalat^ ho jaataa hai.

khush raheeN aor in chaopalooN par aa kar ham be wat^an musaafarooN kaa pataa karte raheeN. :?

achchaa bhaaee!
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

sara_j wrote:Janaab muzaffar ahmed muzaffar sahib,

tasliimat!

aapka pehle bhi ta'arruf paRhi thi aur ye edited

ta'arruf bhi. itni tafseel se aapne apne aur apni zauja ke baare mein tafseel likhi hai ke waqai lagta hai ke aapko
barson se jaante hain. urdu zabaan se aapki lagan aur mehnat aur apni masroofiyet se waqt nikaal ker kitni hi
chaupalon ki khidmet karte hain dekh ker aapke liye duayein nikalti hain.

Jawaid sahib ke ta'asuraat apke baare mein paRh ker khushi hui. Allah apka har kaam asaan kare aur aapke har
kaam mein asaani paida kare.

sara.

moHtarmah Saara jabeeN SaaHibah aadaab!

Aap ne jis i'zzat afzaee se nawazah hai. us ke liye aap ka mamnoon hooN.
maiN harGiz is taoSeef-o-ta'reef kaa ehel naheeN hooN. maiN to ma'mulee saa aek insaan hooN. jise urdu se muHabbat hai.
aap aese looG HaoSlah baRha dete haiN. Allah aap ko salamat rakhe.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Post Reply