Urdubandhan kay dosto,
Salaam. maira naam Kashmala aur takhallus Sahar hay. mujhay urdu shaaeri aur adab say dilchaspi hay. isi liye apnai taskeen e zauq kay liye main nau Urdubandhan ko join kia hay. mujhay ummeed hay keh aap logon kaa taawun mujhay har gaam par milay gaa. thanx so much.
Kashmala Sahar.
Kashmala from Karachi.
Kashmala from Karachi.
Last edited by Kashmala on Wed Jan 25, 2006 5:02 pm, edited 2 times in total.
Adaab-o-tasleemaat Kashmala Sahibaa..aap jaise baa zauq logon ki to is bazm ko khaas zaroorat hai..humein behad khushi hui jaankar ke aap ko shayri aur adab se dilchaspi hai..inshAllah aap ko yahan taskeen-e-zauq ke liye kaafi saamaan milega.....bas shart ye hai keh aap aati rahiyega....aap ki tehreeron ka bhi intizaar rahega.....
MashaAllah aap ki pic bahut achchi hai....Allah nazar-e-bad se bachaaye...!
Hum sabhi urdubandhan ke saathiyoN ki jaanib se aap ko KHUSHAAMADEED kehte hain!!!!
faqat,
Shumaila
MashaAllah aap ki pic bahut achchi hai....Allah nazar-e-bad se bachaaye...!
Hum sabhi urdubandhan ke saathiyoN ki jaanib se aap ko KHUSHAAMADEED kehte hain!!!!
faqat,
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Re: Kashmala from Karachi.
Mohatrama KHUSHAAMDEED aap ki amad urdubandhan ke lye yaqeenan khushaind sabit hogi , kioNke urdubandhan hai hi urdu adab o sher se taalluq rakhne waloNki anjuman. aap ki nigarishat e nacr o nazm ka intezar rahega.
shukria
shukria
Kashmala wrote:Urdubandhan kay dosto,
Salaam. maira naam Kashmala aur takhallus Sahar hay. mujhay urdu shaaeri aur adab say dilchaspi hay. isi liye apnai taskeen e zauq kay liye main nau Urdubandhan ko join kia hay. mujhay ummeed hay keh aap logon kaa taawun mujhay har gaam par milay gaa. thanx so much.
Kashmala Sahar.
- little abbasi
- -
- Posts: 112
- Joined: Tue Apr 19, 2005 4:24 pm
- Contact:
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
Ham bhi Aap sab ke saath
Urdubandhan ke saatiyo Salam Alaik Urdu adab ke is qaafle meN banda e aajiz bhi aap sab ke saath shareek hai.
MaiN kahaN rukta huN arsh aur farsh ki awaaz se
Mujhko jana hai bahut ooncha had e parwaz se
Adab ke is karwaan meN shana ba shana chalne meN kabhi na thakne waala jazba e jaNgudaaz liye qadam aage badathe jaao. Kabhi peechhe palat kar na dekho. Sirf aage dekho. Taake manzil ki jaanib rawaaN dawaan hone ka ehsaas hamesha rahe.
Aapsabka Mukhlis
Najeeb Ahmed Najeeb

- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
to janab najeeb SaHeb,
apnay t'aaruf ke leeaye nayaa thread shroo kijiaye ;). aor janab kuch tafseeli t'aaruf karwaa-iaye.
khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui
apnay t'aaruf ke leeaye nayaa thread shroo kijiaye ;). aor janab kuch tafseeli t'aaruf karwaa-iaye.
khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
-
- nau-waarid
- Posts: 1
- Joined: Tue May 10, 2011 8:06 am
- Contact:
Re: Kashmala from Karachi.
نظم (سہیل احمد صدیقی)
ابھی ہلکی سی خنکی تھی
ابھی ہلکاسانشہ تھا
مگرپھرکیاہواجانم......
تمھارے شہرکاموسم....
گیاکیوں روٹھ کر
مجھ سے
ابھی ہلکی سی خنکی تھی
ابھی ہلکاسانشہ تھا
مگرپھرکیاہواجانم......
تمھارے شہرکاموسم....
گیاکیوں روٹھ کر
مجھ سے