Ghazal - Kuch to junuN kay tour tereeqay

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Ghazal - Kuch to junuN kay tour tereeqay

Post by Sohail Malik »

Azeezan e bazm aadab!

aap ki khidmet maiN aik taza ghazal pesh kerta huN

apni qeemeti raey aur belaag tabseray say nawaziay

wassalam

Sohail Malik
[align=Center]

کچھ تو جنوں کے طور طریقے سکھایئے
ترسا کے اور اب نہ ہمیں آزمایئے

اک لوٹنے کی آس پہ جینا ہے اب ہمیں
اتنا رہِ فراق میں نہ دور جایئے

آتش نگاہ ہو گیا دل کے طفیل میں
جل جائے نہ کہیں ذرا دامن بچایئے

رستہ طویل آپکا مہلت ملی ذرا
بیکار الجھنوں سے تو دامن چھڑایئے

میں جانتا ہوں ساری کہانی نہیں کہی
مجھ کو ہے اشتیاق سبھی کچھ بتایئے

ہر شے مرے معیار پہ پوری نہیں یہاں
جو دیکھنے کی شے ہے وہی تو دکھایئے

کھل جا درِ قفس کہ ترا وقت آ گیا
نکلیں تو سیر کو ذرا پہرہ ہٹایئے

ہم بھی رہے شکارِ صلیبِ نظر کبھی
ہم سے نہ آپ کوئی دریچہ چھپایئے

آئے خزاں کو شہر مرے مدتیں ہوئیں
کچھ فکر ہو کہ کسطرح گلشن سجائیے

اک خوبی جس پہ ناز رہا، میری سادگی
احباب کہہ گئے کہ اسے چھوڑ جائیے

فانی ہے بُت کدہءجہاں ایک ساز سے
لیکن اسے نہ وقت سے پہلے بجائیے

تقدیر روٹھ کر یہاں برباد کر گئی
اک مخمصہ ہے کس طرح اسکو منایئے
[/align]
Attachments
kuch to janooN kay tour teriqay.gif
kuch to janooN kay tour teriqay.gif (23.64 KiB) Viewed 508 times
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram S.Malik SaHib aadaab!

mashAllah bohot hee khubSurat Ghazal kahee hai. sabhee asha'aar achche haiN. meree dilee dad aor mubarak baad qubool keejiye.

khush raheeN!
Wassalam
Muzaffar
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram S.Malik SaHib aadaab!

mashAllah bohot hee khubSurat Ghazal kahee hai. sabhee asha'aar achche haiN. meree dilee dad aor mubarak baad qubool keejiye.

khush raheeN!
Wassalam
Muzaffar
Muzaffer Saahb aadab!

aap ka behed mamnoon hoN jo aap nay yuN dil khol ker aur nihaet purkhulus alfaz kay saath meri koshish ki izet afzai ki hay.

aap ki duaoN aur muhabbatoN ka talib

Sohail Malik
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Salam Doctor SaHeb,

yaqeen jaanaiN ab to Dar lagtaa hai kissi din aap se Daant paRh jaa-aye gi ke miaN apne ye mashwaray aor taSSuraat apne paas hi rakho. che piddi che piddi ka shorbaa. :-). laikin phir likhne baith jaataa hooN chalo koi baat naheeN aap ki Daant bhi SeHat afzaa hi ho gi .hehehee

leejiaye tamam takkulfaat ko baalaa-aye Taaq kartaa hooN.

1. bhala Husn aap ko kya junooN ke tareeqay sikhaa-aye ga?
2. waah - ik ko agar bas kiyaa jaa-aye to?
3. waah - pehla miSra bohat zabardast hai. doore miSra par ghor kijiaye. kya aap un ke daaman par nazar rakhay huway hain ;-).
4. is ke pehla miSra uljhaa huwaa lagaa.
5. bohat khoob
6. is meN bhi kuch waZeH na ho sakaa.
7. aap pehlay miSra meN qafas se aor doosre miSra meN "un" se aik hi baat keh rahay haiN.
8. no comments.
9. is meN koi zaroor gehri baat hia jo maire sir se guzar gayee hai :-)
10. waah janab waah
11. ahaa haa. bohat khoob
12. manasab lagaa - laikin lafz yahaaN ka istemal bar maHal na m'aaloom huwaa.

du'aa go,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Assalam o alaekum Khawer bhai

yaqeen jaanaiN ab to Dar lagtaa hai kissi din aap se Daant paRh jaa-aye gi ke miaN apne ye mashwaray aor taSSuraat apne paas hi rakho. che piddi che piddi ka shorbaa. :-). laikin phir likhne baith jaataa hooN chalo koi baat naheeN aap ki Daant bhi SeHat afzaa hi ho gi .hehehee


Khawer bhai aazmaish shart hay aap apna kaam jaari rekhiay aur aur yaqeen rekhiay keh maiN discussion ko irtiqa ka ki seeRhi samajhta huN.
aur naraz hona to dur ki baat hay maiN to teh e dil say aap ka mashkur huN keh aap meray likhay ko itni tawajah say peRh ker us per apni raey daitay haiN. aur aap ki tajaweez akCer dil ko lagti haiN. aik faida aur jo hota hay woh yeh hay keh kissi bhi adbi takhleeq ko dekhnay ka aik zawia likhnay waalay ka hota hay aur aik peRhnay waalay ka aur ager peRhnay waala us fan maiN dilchaspi bhi rakhta ho to woh zawia aur ehm ho jaata hay chunancheh maiN to aap kay tabsray ka bohat ishtiaq kay saath muntazir rehta huN.



1. bhala Husn aap ko kya junooN ke tareeqay sikhaa-aye ga?


mukhatib hamaisha husn hi nahiN hota koi aur bhi ho sakta hay aur meray ashaar maiN aap ko husn batour mukhatib zera kam hi mila keray ga.


2. waah - ik ko agar bas kiyaa jaa-aye to?

ik ko bas ker dia ... shukria


3. waah - pehla miSra bohat zabardast hai. doore miSra par ghor kijiaye. kya aap un ke daaman par nazar rakhay huway hain ;-).

yahaN damen bachana muhawera hay yeni dur rehna ya alehdegi ikhtiar kerna. mashwera dey reha huN keh aap kay liay yehi behter hay keh mujh say dur rehaiN.


4. is ke pehla miSra uljhaa huwaa lagaa.

yeni jo fasila tay kerna hay woh taweel hay aur is kaam kay liay jo waqt mila hay woh bohat kam hay.... kia abhi bhi uljhan baaqi hay.

baat zindegi kay safer ki ho rehi hay jis kay mehdud waqt maiN aap nay apnay buland maqasid hasil kernay haiN chunacheh behter yehi hay keh ghair zaruri cheezoN say dur raha jaey.



5. bohat khoob

shukria

6. is meN bhi kuch waZeH na ho sakaa.

jab app kissi dukan per kuch khareednay jaatay haiN to dukandar aap kobohat kuch farokht kernay ki gharz say dikhanay ki koshish kerta hay, laikin ager aap saaheb e zoq haiN to aap us ko pehlay hi aagah ker daitay haiN keh bhai mera aisa zoq hay so aap mujhay sirf wohi ashia dikhaiN jo meray zoq kay mutaabiq haiN. ager yahaN tek baat saaf ho gai ho to phir zehn ko aur bhi aagay jaanay ka raasta mil jaey ga....

7. aap pehlay miSra meN qafas se aor doosre miSra meN "un" se aik hi baat keh rahay haiN.
is had tek to baat theek hay keh donoN hi rihai say mutaliq haiN laikiN donoN maiN ferq hay aur yeh rihai kay do marahil ya do suretaiN haiN.

aik shakel maiN qafs ka derwaza kholnay ka kaha ja raha hay aur dusray maiN derwazay kay aagay say pehra haTanay ka. zera ghour keraiN waqiati tafseel ki nazer say to umeed hay aap is kaifiet ko mehsus ker sakaiN gay.




8. no comments.

??????

9. is meN koi zaroor gehri baat hia jo maire sir se guzar gayee hai :-)


millet kay masaeb aur per dukh ka izhar ker raha huN aur khwahish ka izhar ker raha huN keh ab is baat ki fiker kerni chahihay keh in say kis terah chuTkara pa ker phir behter haalat ki teraf ja sakaiN.



10. waah janab waah
11. ahaa haa. bohat khoob


bohat shukria


12. manasab lagaa - laikin lafz yahaaN ka istemal bar maHal na m'aaloom huwaa.

kia khayal hay ager is ki jagah 'hamaiN' ker dia jaey ya aap kay zehn maiN koi tajweez hay?

aik mertaba phir aap ka bohat shukria
aur derkhwast keh aendah bhi apnay aisay bilatakaluf tabsiray say nawaztay rehihay.

wassalam

Sohail Malik
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Sohail Malik wrote:Assalam o alaekum Khawer bhai

Khawer bhai aazmaish shart hay aap apna kaam jaari rekhiay aur aur yaqeen rekhiay keh maiN discussion ko irtiqa ka ki seeRhi samajhta huN.
aur naraz hona to dur ki baat hay maiN to teh e dil say aap ka mashkur huN keh aap meray likhay ko itni tawajah say peRh ker us per apni raey daitay haiN. aur aap ki tajaweez akCer dil ko lagti haiN. aik faida aur jo hota hay woh yeh hay keh kissi bhi adbi takhleeq ko dekhnay ka aik zawia likhnay waalay ka hota hay aur aik peRhnay waalay ka aur ager peRhnay waala us fan maiN dilchaspi bhi rakhta ho to woh zawia aur ehm ho jaata hay chunancheh maiN to aap kay tabsray ka bohat ishtiaq kay saath muntazir rehta huN.
aap ke yaqeen dahaani ka shukriyaa. :-)
1. bhala Husn aap ko kya junooN ke tareeqay sikhaa-aye ga?

mukhatib hamaisha husn hi nahiN hota koi aur bhi ho sakta hay aur meray ashaar maiN aap ko husn batour mukhatib zera kam hi mila keray ga.
Doctor SaHeb tarsanay se miraa dhyaan Husn ki tarf gyaa. ;-)

3. waah - pehla miSra bohat zabardast hai. doore miSra par ghor kijiaye. kya aap un ke daaman par nazar rakhay huway hain ;-).

yahaN damen bachana muhawera hay yeni dur rehna ya alehdegi ikhtiar kerna. mashwera dey reha huN keh aap kay liay yehi behter hay keh mujh say dur rehaiN.
ohhh! phir to baat theek hai. Doctor SaHeb meN ne kaheeN paRha thaa ke agar aik tarkeeb se do ma'ani nikaltay hoN to achhchha sher woh hotaa hai jis ke donoN ma'ni valid hoN. wagarna aik hi achchhaa.
4. is ke pehla miSra uljhaa huwaa lagaa.

yeni jo fasila tay kerna hay woh taweel hay aur is kaam kay liay jo waqt mila hay woh bohat kam hay.... kia abhi bhi uljhan baaqi hay.

baat zindegi kay safer ki ho rehi hay jis kay mehdud waqt maiN aap nay apnay buland maqasid hasil kernay haiN chunacheh behter yehi hay keh ghair zaruri cheezoN say dur raha jaey.
ji ye matlab zaroor nikal jaataa hai. uljhaa huwaa se mairi muraad thi ke kuch lafzoN ka hair phair ke ma'ni Saaf karnaa chahiaye.


6. is meN bhi kuch waZeH na ho sakaa.

jab app kissi dukan per kuch khareednay jaatay haiN to dukandar aap kobohat kuch farokht kernay ki gharz say dikhanay ki koshish kerta hay, laikin ager aap saaheb e zoq haiN to aap us ko pehlay hi aagah ker daitay haiN keh bhai mera aisa zoq hay so aap mujhay sirf wohi ashia dikhaiN jo meray zoq kay mutaabiq haiN. ager yahaN tek baat saaf ho gai ho to phir zehn ko aur bhi aagay jaanay ka raasta mil jaey ga....
ji theek hai.
7. aap pehlay miSra meN qafas se aor doosre miSra meN "un" se aik hi baat keh rahay haiN.
is had tek to baat theek hay keh donoN hi rihai say mutaliq haiN laikiN donoN maiN ferq hay aur yeh rihai kay do marahil ya do suretaiN haiN.

aik shakel maiN qafs ka derwaza kholnay ka kaha ja raha hay aur dusray maiN derwazay kay aagay say pehra haTanay ka. zera ghour keraiN waqiati tafseel ki nazer say to umeed hay aap is kaifiet ko mehsus ker sakaiN gay.
ji tarteeb bohat shaandaar hai. laikin mas,alaa ye hotaa hai ke qaari ko hamaray alfaaz qaari ko bhi us saTaH par lay jaanay meN kaamyaab hotay hain ke naheeN.


8. no comments.

??????

9. is meN koi zaroor gehri baat hia jo maire sir se guzar gayee hai :-)


millet kay masaeb aur per dukh ka izhar ker raha huN aur khwahish ka izhar ker raha huN keh ab is baat ki fiker kerni chahihay keh in say kis terah chuTkara pa ker phir behter haalat ki teraf ja sakaiN.
is ma'ni men lafz "huway" ki kami laga rahi hai. daikhiaye.

"un ke aa-aye muddat hoee" is se aisa lagta hai jaisaa woh muddat se naheeN aayaee

"woh muddat se aa-aye huway haiN. ye clear hai.

aap ke sh'er se bhi mujhe aisaa lagaa jaise aap keh rahaiN hain muddat ho gayee hai khizaaN naheeN aa-i :-)


12. manasab lagaa - laikin lafz yahaaN ka istemal bar maHal na m'aaloom huwaa.

kia khayal hay ager is ki jagah 'hamaiN' ker dia jaey ya aap kay zehn maiN koi tajweez hay?
hameN bohat manasab meHsoos hotaa hai.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Ghazal - Kuch to junuN kay tour tereeqay

Post by haamidbaaqri »

Sohail Malik wrote:Azeezan e bazm aadab!

aap ki khidmet maiN aik taza ghazal pesh kerta huN

apni qeemeti raey aur belaag tabseray say nawaziay

wassalam

Sohail Malik
[align=Center]

کچھ تو جنوں کے طور طریقے سکھایئے
ترسا کے اور اب نہ ہمیں آزمایئے

اک لوٹنے کی آس پہ جینا ہے اب ہمیں
اتنا رہِ فراق میں نہ دور جایئے

آتش نگاہ ہو گیا دل کے طفیل میں
جل جائے نہ کہیں ذرا دامن بچایئے

رستہ طویل آپکا مہلت ملی ذرا
بیکار الجھنوں سے تو دامن چھڑایئے

میں جانتا ہوں ساری کہانی نہیں کہی
مجھ کو ہے اشتیاق سبھی کچھ بتایئے

ہر شے مرے معیار پہ پوری نہیں یہاں
جو دیکھنے کی شے ہے وہی تو دکھایئے

کھل جا درِ قفس کہ ترا وقت آ گیا
نکلیں تو سیر کو ذرا پہرہ ہٹایئے

ہم بھی رہے شکارِ صلیبِ نظر کبھی
ہم سے نہ آپ کوئی دریچہ چھپایئے

آئے خزاں کو شہر مرے مدتیں ہوئیں
کچھ فکر ہو کہ کسطرح گلشن سجائیے

اک خوبی جس پہ ناز رہا، میری سادگی
احباب کہہ گئے کہ اسے چھوڑ جائیے

فانی ہے بُت کدہءجہاں ایک ساز سے
لیکن اسے نہ وقت سے پہلے بجائیے

تقدیر روٹھ کر یہاں برباد کر گئی
اک مخمصہ ہے کس طرح اسکو منایئے
[/align]
mohtaram suhail saahib
:salaam2:

aapki pesh kardah ghazal bhut khoob hai.

khaaskar hameN sher no 10 bahut pasand aaya.

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN :rose :clap01: .

allah(sbhnwt)Karay zoray qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply