Zameen-e "Faiz" meN meri naacheez Ghazal .........

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Zameen-e "Faiz" meN meri naacheez Ghazal .........

Post by jawaid badauni »

Kohna mashq naamwar shoAra' ki zameeN meN Ghazal kahte yuuN
lagta hai jaise unka monH chuRa rahe haiN. Yeh Ghazal maiN
ne kuch arSey qabl kisee ki farmaaiish per kahi thee. Aur haaN, deegar ghazaloN ke barAks yeh Ghazal maiN ne ujlat meN nahiN kahee hai.

Aapki aara ka mutamannee,

Jawaid Badauni

hoeeN udhar se sitam aazmaiyaaN kya kya
idhar se dete rahe hum duhaaiyaaN kya kya

qalam wohee hai qalam ka mizaaj bhi hai wohee
badal gaii haiN magar roshnaaiiyaaN kya kya

anaa fasaad ki maaN hai mira yaqeen karo
karaaiiN isne jahaN meN laRaaiiyaaN kya kya

ghazab kiya keh jo aayeenah saamne rakhkha
dikhaaii dene lagee haiN buraaiiyaan kya kya

hawas ki sard hawaaoN se phir bhi bach nah sake
ameer oRh ke leTe raZaaiyaN kya kya

“Bhale ka ant bhala hai” yeh sochker ab tak
jahaN meN karte rahe hum bhalaaiyaaNkya kya

wohee tou karte haiN monH per baRaaiyaaN :Jawaid:
Jo karte rahte haiN peeche buraaiyaaN kya kya

User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

bohat khoob Sir, bohat khoob!
Attachments
Jawaid.jpg
Jawaid.jpg (32.01 KiB) Viewed 523 times
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

muhammad_19k wrote:bohat khoob Sir, bohat khoob!

Shukiya, Sir, Shukriya....
Jawaid
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Zameen-e "Faiz" meN meri naacheez Ghazal .....

Post by haamidbaaqri »

jawaid badauni wrote:

Kohna mashq naamwar shoAra' ki zameeN meN Ghazal kahte yuuN
lagta hai jaise unka monH chuRa rahe haiN. Yeh Ghazal maiN
ne kuch arSey qabl kisee ki farmaaiish per kahi thee. Aur haaN, deegar ghazaloN ke barAks yeh Ghazal maiN ne ujlat meN nahiN kahee hai.

Aapki aara ka mutamannee,

Jawaid Badauni

hoeeN udhar se sitam aazmaiyaaN kya kya
idhar se dete rahe hum duhaaiyaaN kya kya

qalam wohee hai qalam ka mizaaj bhi hai wohee
badal gaii haiN magar roshnaaiiyaaN kya kya

anaa fasaad ki maaN hai mira yaqeen karo
karaaiiN isne jahaN meN laRaaiiyaaN kya kya

ghazab kiya keh jo aayeenah saamne rakhkha
dikhaaii dene lagee haiN buraaiiyaan kya kya

hawas ki sard hawaaoN se phir bhi bach nah sake
ameer oRh ke leTe raZaaiyaN kya kya

“Bhale ka ant bhala hai” yeh sochker ab tak
jahaN meN karte rahe hum bhalaaiyaaNkya kya

wohee tou karte haiN monH per baRaaiyaaN :Jawaid:
Jo karte rahte haiN peeche buraaiyaaN kya kya

Assalaam o alaikum
jawaid bhai saahib

masha allah.

bahut acchay sher niklay haiN aapkay qalam say.

bahut khoob....

hamaari dilee daad qubool farmaayeN :rose :clap01: .

aapka apna
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Zameen-e "Faiz" meN meri naacheez Ghazal .....

Post by jawaid badauni »

haamidbaaqri wrote:

Bohau bohat shukriya Hamid Saahab. Aap ne tawajjo farmaii warna iss Ghazal ki har chaupaal meN beqadaree ho rahee hai jab keh is Ghazal meN maiN ne bohat ziyadah meHnat ki thEE.

Ek baar phir aap ka shukriya.

MuKhliS
Jawaid
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Re: Zameen-e "Faiz" meN meri naacheez Ghazal .....

Post by Sohail Malik »

Mohterem jawaid badauni Saaheb Assalam-o-alaekum!

Aaap nay yaqeenan aik achhi zameen ko nihaet khubsurti say nibhaya hay aur us maiN apnay andaaz say mazameen samo diay haiN aur yeh kaam yaqeenan nihaet husn-o-khubi say kia hay, chunancheh mujh nacheez ki janib say daad hazir hay, qabul kijiay.

hoeeN udhar se sitam aazmaiyaaN kya kya
idhar se dete rahe hum duhaaiyaaN kya kya

bohat khuub janab daad qabul kijiay

qalam wohee hai qalam ka mizaaj bhi hai wohee
badal gaii haiN magar roshnaaiiyaaN kya kya

bohat aala janab wuset-e-khayal ko daad deyta huN.

anaa fasaad ki maaN hai mira yaqeen karo
karaaiiN isne jahaN meN laRaaiiyaaN kya kya

anaa ko bohat khubsureti aur bederdi say baynaqab ker dia hay janab daad qabul kijiay.

ghazab kiya keh jo aayeenah saamne rakhkha
dikhaaii dene lagee haiN buraaiiyaan kya kya

bohat aala janab daad hazir hay. tanqeed-e-zaati ki ehmiet ka bohat acchay paraye maiN izhar kia hay.

hawas ki sard hawaaoN se phir bhi bach nah sake
ameer oRh ke leTe raZaaiyaN kya kya

yeh sher kuch ghour telab lag raha hay. aik to hawas ki hawaoN ko aap nay serd kiuN kaha hay? dusra ameeroN ka un say bachnay ki koshish kerna kia maani rekhta hay? teesra aap bachao ka aalah kis shay ko qarar dia hay. in nukaat per ager aap ki janib say kuch roshni peR sakay to is sher ka mafhoom meri naqis aqel ko shaed kuch behter samajh aa sakay.

“Bhale ka ant bhala hai” yeh sochker ab tak
jahaN meN karte rahe hum bhalaaiyaaNkya kya

acha khayal hay janab daad qabul kijiay

wohee tou karte haiN monH per baRaaiyaaN :Jawaid:
Jo karte rahte haiN peeche buraaiyaaN kya kya

bohat acha khayal hay janab. aap nay baat ko aik dusray zawiay say dikhaya hay aur bilkul derust dikhaya hay.

bohet khushi hoti hay jab koi haqaeq aur aaj kay masael per likhta hay.

dobara daad pesh kerta huN

khair andesh

Sohail Malik
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

muhammad_19k wrote:bohat khoob Sir, bohat khoob!

Aapne sher ko bewazn kar diya hai Khawar Saahab. Buraai ki jagah BURAAIYAAN likhna tha. Thik kar dijiyega.

Shukriya

Jawaid
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

ji meN waqt milte hi kar daitaa hooN.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

nishandahi k leeaye shukriaya. ji meN waqt milte hi kar daitaa hooN.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Post Reply