zamaanah ek z^aalim hai!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

zamaanah ek z^aalim hai!

Post by Sarwar A. Raz »

[align=center]yaaraan-e-Anjuman: aadaab-o-tasleemaat!

ek Ghazal le kar HaaZ^ir ho rahaa hooN. yaad naheeN keh maiN ne yeh Ghazal UrduAnjuman meN pesh kee hai keh naheeN. ek aadh jagah aur to de chukaa hooN. ummeed hai keh pasand aaYe gee. aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
==========================================================
GHAZAL

zamaanah ek z^aalim hai, kisee kaa ho naheeN saktaa!
kisaa kaa Zikr kyaa, yeh Khud hee apnaa ho naheeN saktaa!

yeh hai mo'jiz-numaayee us kee yaa hai Husn-e-z^an meraa?
:keh us kaa ho ke ph`ir koyee kisee kaa ho naheeN saktaa:

naz^ar to ph`ir naz^ar hai, Dh`ooNDh le gee laakh` pardoN meN
ch`upo tum laakh` lekin Khud se pardaa ho naheeN saktaa!

maqaam-e-naa-umeedee zeest kaa u'nwaan kyoN Thaire?
muHabbat meN jo tum chaaho to kyaa kyaa ho naheeN saktaa!

kahaaN yeh u'mr-e-do-rozah, kahaaN dunyaa kee aawezish
huwaa ab tak, magar ab yooN guZaaraa ho naheeN saktaa

udh`ar woh naaz keh :dekh`e haiN aise laakh` deewaane!:
idh`ar yeh za'm keh :koyee bh`ee ham saa ho naheeN saktaa!:

muHabbat aur shai hai, dil-sitaanee aur hee shai hai
takalluf bar-t^araf! ab yeh gawaaraa ho naheeN saktaa!

koyee achh`aa kahe "Sarwar" tujh`e yaa woh buraa jaane
naz^ar meN Khud kee jo hai, us se achh`aa ho naheeN saktaa!
-------------------------
Sarwar A. Raz "Sarwar" [/align]
Attachments
gg-zamaanahekzaalim.gif
gg-zamaanahekzaalim.gif (20.88 KiB) Viewed 75 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Janab Mohtaram SARWAR RAAZ SaHeb,

aap ki khoobSoorat ghazal nazar se guzri. ghazal bila shubaa bohat shaandaar hai. aor is ki jitni ta'reef ki ja-aye utni kam hai. Hasb e 'aadat meN ne koshish ki ke aik ashaar ka intekhaab kar ke likh sakooN ke mujh ye ashaar zydaa pasand aa-aye laikin kuch faislaa na kar payaa. har sher doosroN se zydaa khoobSoorat hai.

mairi taraf se aisi shaandaar ghazal paish karne pary daad o shukriyaa qubool kijiaye.

khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

muhammad_19k wrote: Janab Mohtaram SARWAR RAAZ SaHeb,

aap ki khoobSoorat ghazal nazar se guzri. ghazal bila shubaa bohat shaandaar hai. aor is ki jitni ta'reef ki ja-aye utni kam hai. Hasb e 'aadat meN ne koshish ki ke aik ashaar ka intekhaab kar ke likh sakooN ke mujh ye ashaar zydaa pasand aa-aye laikin kuch faislaa na kar payaa. har sher doosroN se zydaa khoobSoorat hai.

mairi taraf se aisi shaandaar ghazal paish karne pary daad o shukriyaa qubool kijiaye.

khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui.
muHtaramee Khaawar SaaHeb: aadaab!

maiN aap kee tawajjuh aur daad kaa mamnoon hooN. Ghazal aap ko pasand aayee to yeh mere liYe baa,ic-e-i'zzat huwaa. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply