Salam jaanaaN ji,
aap ki shaairy meN bohat jaan hai.

. aisi khoobSoorat ghazal paish karne par daad qubool kijiaye.
1.
matlaa bohat mutacir kun hai. paRha kar be ikhtiaar waah nikalti hai.
2. pehlay miSra meN lafz "gumaN" se ye naheeN pataa chalaa ke ye khushgamaani ki baat ho rahi hai ye badgumani ki. agar aap us ke baare meN kabhi badgumaaN naheeN huwaa to us ke haat meN kamaan daikhne meN to koi Harj nahi hona chahiaye. to kyaa aap ye kehna chahti haiN ke aap ne us ke baaray meN kabhi koi achhchhaa gumaan naheeN kiyaaa?
3.
bohat khoob . lafz saHibaaN qaabil e ghor hai.
4.
khyaal bohat khoob hai laikin pehla misRa be beHr ho gyaa hai.
jigar ke khooN se khilaa-aye haiN gulsitaaN meN ne bhi kiyaa ja saktaa hai.
5. ye sher bhi theek lagaa
6.
girah bohat khoob hai -
"tumharaa sajda" shayed kuch abhaam paidaa karay. meN hota to "kabhi bhi sajday ka" istemaal kartaa.
7.
waah. bohat shaandaar maqta' hai.
majomoo'ee Tor par aisi shaandaar ghazal tarteeb daine par daad o mubarakbaad qubool kijiaye.
khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui.
5.