AOA

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
naheedv
-
-
Posts: 163
Joined: Sat Dec 18, 2004 3:53 am
Contact:

AOA

Post by naheedv »

Aadaab,

yahaaN par tau sab hi chehre jaane pehchaane heiN, urdustan ke tamaam saathiyoN ko yahaaN deikh kar buhat khushee huee.
isee khushee maiN lijiye apni aik taazah ghazal aap sab kee nazar :D

buhat shukriya
Naheed
Attachments
g-uss ke hicaar.e.khavaab ko naaN karb.e.zaat kar.gif
g-uss ke hicaar.e.khavaab ko naaN karb.e.zaat kar.gif (9.34 KiB) Viewed 1045 times
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Assalam-o-a'laikum,

zahe naseeb , zahe naseeb :D

MoHtarama Naheed SaaHiba, sab se pehley to is meHfil ko jo sharaf aakar aap ne bakhsha hai, us keleye ham aap ka tah-e-dil se mamnoon haiN :D . Aur is meHfil maiN aap ka dil ki gihraaiyoN se khair-maqdam karte haiN :D . aap na Sirf khud tashreef laayeN , balke ik Haseen tuHfa bhi apne saath laayeN. bahut khoob :D .

Aap ki yeh khoobSoorat ghazal , hameN jee jaan se pasand aai. ik ik shea'r jese bila ijaazat dil maiN utrtata chalaa jaaye :roll: .

waah ! kyaa dil-kash andaaz-e-bayaaN hai aap ka. wallah mazaa aagaya paRh kar. mazaamen bhi is qadr dil-nasheeN hai k dil apne ikhtiyaar se nikla jaaye :roll: . is khoobSoorat takhleeq par dherooooooooN daad qabool kejeye :D . aayenda bhi intezaar raheyga :D . shukriya

MokhliS : Zia Baloch
Last edited by Star Mind on Sat Dec 18, 2004 4:44 am, edited 1 time in total.
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

moHtaramah janaabah Naaheed saahiba,

salaam,

aapkaa abhi Khair maqdam kar ke jab naya safHa khola to aapkii is Gahzal par nazar paRii...aise koii kisii kii farmaaish poori kia kare!

aapkii Ghazal paRhii aur paRh kar bahot lutf aayaa. yaqeen jaaniye ik aisii suroor kii kaifiiyat taari huii ki abhi tak maiN maHv e suroor huN.

ek ek she'r umdagii kii manzil ko chhootaa nazar aataa hai. bahot Khoob. ek kaamiyaab Ghazal kahne par mubaarak_baad qubool kijiiye.


Allah kare zor-e-qalam aur ziyaada!

Hashmat
Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

wah wah

Post by Mahtab Qadr »

Naheed sahiba
Bahut khoob bahut khoobsurat ghazal hai.
shukria
MQ
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob Waah Waah Naheed Saahibah

Post by Abdullah Nazir »


Muhtaramah
NAHEED – V. Saahibah,


Purkhuloos Tasleemaat, :)


Aapki ghazal paRhkar bahut luTf andouz houaa. Bahut ahcchi ghazal kehne per meri daad aur mubaarakbaad haazir hei. Ummeed ke qubool farmaayengi.


Aapka Mukhlis,

Nazir.
8)
naheedv
-
-
Posts: 163
Joined: Sat Dec 18, 2004 3:53 am
Contact:

Post by naheedv »

Star Mind wrote:Assalam-o-a'laikum,

zahe naseeb , zahe naseeb :D

MoHtarama Naheed SaaHiba, sab se pehley to is meHfil ko jo sharaf aakar aap ne bakhsha hai, us keleye ham aap ka tah-e-dil se mamnoon haiN :D . Aur is meHfil maiN aap ka dil ki gihraaiyoN se khair-maqdam karte haiN :D . aap na Sirf khud tashreef laayeN , balke ik Haseen tuHfa bhi apne saath laayeN. bahut khoob :D .

Aap ki yeh khoobSoorat ghazal , hameN jee jaan se pasand aai. ik ik shea'r jese bila ijaazat dil maiN utrtata chalaa jaaye :roll: .

waah ! kyaa dil-kash andaaz-e-bayaaN hai aap ka. wallah mazaa aagaya paRh kar. mazaamen bhi is qadr dil-nasheeN hai k dil apne ikhtiyaar se nikla jaaye :roll: . is khoobSoorat takhleeq par dherooooooooN daad qabool kejeye :D . aayenda bhi intezaar raheyga :D . shukriya

MokhliS : Zia Baloch
Zia ji,

iss qadar pur.takalluf isteqbaal kaa buhat shukriya :)

aap ne ghazal kee itnee dil khol kar ta'reef kee hai ke mujhe ghazal phir se paRhni paRii ke aayaa ye qaabil hai bhee yaa naheeN :roll:
bahar.kaif itni himmat afzaa'ee aur daad kaa buhat buhat shukriya!

mukhlis
Naheed
naheedv
-
-
Posts: 163
Joined: Sat Dec 18, 2004 3:53 am
Contact:

Post by naheedv »

Hashmat Usmani wrote:moHtaramah janaabah Naaheed saahiba,

salaam,

aapkaa abhi Khair maqdam kar ke jab naya safHa khola to aapkii is Gahzal par nazar paRii...aise koii kisii kii farmaaish poori kia kare!

aapkii Ghazal paRhii aur paRh kar bahot lutf aayaa. yaqeen jaaniye ik aisii suroor kii kaifiiyat taari huii ki abhi tak maiN maHv e suroor huN.

ek ek she'r umdagii kii manzil ko chhootaa nazar aataa hai. bahot Khoob. ek kaamiyaab Ghazal kahne par mubaarak_baad qubool kijiiye.


Allah kare zor-e-qalam aur ziyaada!

Hashmat
janaab Hashmat saahab,

iss pazeeraa'ee ke liye maiN dil se mamnoon hooN.
aap ne ghazal kee itni ta'rif kar ke mujhe laa.jawaab kar diyaa hai... main kahooN tau kyaa kahooN........ siwaa'e shukriya ke, so qubool kijiye!

mukhlis
Naheed
naheedv
-
-
Posts: 163
Joined: Sat Dec 18, 2004 3:53 am
Contact:

Re: wah wah

Post by naheedv »

Mahtab Qadr wrote:Naheed sahiba
Bahut khoob bahut khoobsurat ghazal hai.
shukria
MQ
janaab Mahtab Qadar saahab,

aap ne mukhtasar alfaaz mein jo daad dee hai uss ke liye buhat buhat shukriya!

mukhlis
Naheed
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

Naheed saHiba:

salaam arz hai:

aaj hi aap ki ye umda ghazal nazar navaaz hui :)

jaisa ke maiN hamesha kehta hooN ke aap ka apna aik makhsoos andaaz-e-bayaaN hai, jo ke qaari per gehra asar Daalta hai .

mujhe aap ki poori ghazal bahot pasand aayee hai, magar kuch baateN meHz izhaar-e-khayaal ke liye arz karna chaahooN ga.

sab se pehle matle meiN aap ne pehle misre meiN naaN likha hai aur isi vazn per baandha hai, kiya ye aaj kal bhi musta'mal hai?

she'r no do bahot khoobsurat aur umda hai, us per DheiroN daad qubool kijiye :)

she'r on 4 bhi khoob hai

she'r no. 3 aur 5 ke mazaameen bahot ache haiN, aur majmui taassur bhi bahot acha hai, magar aap ne she'r no. 3 meiN yaa ki alif giraayee hai, aur she'r no. 5 meiN lehje ki ye ko giraaya hai.

dekhiye isi lafz lehje ko isi beHr meiN Josh Maleehabadi ne kis taraH khapaaya hai:

lafzoN ko aiHtiyaat ke saaNche meiN Dhaal ker
lehje se tamkanat ko numaayaaN kiye huye


ye arabi aur farsi ke alfaaz haiN , aur in alfaaz ke Huroof-e-illat ko giraana ravaa nahin samjha gayaa. Hazrat-e-dagh dehlvi ne bhi apne hidaayat naame meiN aisa karne ko bura kahaa hai :)

bahar.Haal aaj kal ke daur meiN aisa kiya to jaata hai, magar in se parheiz hi behtar hai :)

aakhri do ash'aar bhi bahot umda haiN

maine jo aaraa deeN wo to meHz meri zaati aaraa haiN, in se qata'nazar bhi aap ki ghazal bahot umda aur qaabil-e-aafreen-o-sitaaish hai. is liye meri jaanib se dili daad bhi haazir hai :)

sadaa khush raheN

amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
Post Reply