JAB BHI TERI YAADON KA MAUSAM.......
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
JAB BHI TERI YAADON KA MAUSAM.......
GHAZAL PESH KHIDMAT HAI.....!!
Mujhe umeed hai ke Urdubadhan ke sukhannawaz doston ke 'phool aur kaante' meri ghazal ke husn ko aur nikhaar denge. Sirf wah wah... bahut khoob ki 'Bhook' nahiin hai mujh ko.... plz apne honest comments jaroor dein, nawazish hogi.
aap sab ka,
[b]Munir Armaan Nasimi[/b]

- Attachments
-
- Ghazal-Jabbhi-Teri-Yaadon-Ka-Mausam.gif (14.94 KiB) Viewed 821 times
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
moHtaram Armaan Naseemi saaHib aadaab!
Aap kee Ghazal dekhee mashAllah bohot khubSurat aor dil meN utarne wale asha'aar se aap ne nuskhah-e-Ghazal taleef kiyaa hai.
sabhee asha'aar aap kee makhSooS andaaZ-e-bayaan ke numaaindah asha'aar haiN. aap ke haaN dard aor ranj payaa jataa hai. aap baRee aasanee se apnaa mudda'aa kahe jate haiN. mujhe aap kaa andaaZ-e-iz^haar bohot pasand hai.
khudaa aap ke jaohor-e-qalam ko aor bhee taabnaak kar de Aameen!
ijaZut chahooN gaa
Wassalam
Muz^affr A Muz^affar

- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Mohtaram Janab Munir Armaan Nasimi SaHeb
aap ki ghazlait parh kar hamesha hi achchaa lagtaa hai. mukhtiSirun 'arz karne ki ijaazat chaahooN ga,
1. pehlay wala dard puranaa ? pehlay walaa bhi to puranaa hi ke ma'noN meN naheeN aa-aye ga, ?
2. bohat khoob!
3. ye sher bhi achhchaa laga.
4. bohat zabardast khyaal hai. laikin aap ne lafz maHal ko maHl ist'emaal kiyaa hai. kyaa ye theek hai?
5. ye sher bhai achchaa laga.
mukhils,
Muhammad K. Siddiqui.

+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Bahut Bahut Shukriya !!
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Armaan Naseemi saaHib aadaab!
Aap kee Ghazal dekhee mashAllah bohot khubSurat aor dil meN utarne wale asha'aar se aap ne nuskhah-e-Ghazal taleef kiyaa hai.
sabhee asha'aar aap kee makhSooS andaaZ-e-bayaan ke numaaindah asha'aar haiN. aap ke haaN dard aor ranj payaa jataa hai. aap baRee aasanee se apnaa mudda'aa kahe jate haiN. mujhe aap kaa andaaZ-e-iz^haar bohot pasand hai.
khudaa aap ke jaohor-e-qalam ko aor bhee taabnaak kar de Aameen!
ijaZut chahooN gaa
Wassalam
Muz^affr A Muz^affar
Mohtaram Muzaffar Bhai Saheb,
Zah-e-Naseeb ke mera Andaaz-e-bayaan aap ko pasand hai aur meri Ghazal main aap ne wohh Dard bhi mehsoos kii jo ghazal kehte waqt main ne mehsoos kiya tha.... Alla'h kare main aap ki umeedon pe khara utar sakoon. Aaindah aur bhi Achcha likhne ki koshish karoonga.
Duaon main yaad rakhein,
aap ka chota bhai,
Munir Armaan
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Hausla Afzayi ka Shukriya !!
muhammad_19k wrote: Mohtaram Janab Munir Armaan Nasimi SaHeb
aap ki ghazlait parh kar hamesha hi achchaa lagtaa hai. mukhtiSirun 'arz karne ki ijaazat chaahooN ga,
1. pehlay wala dard puranaa ? pehlay walaa bhi to puranaa hi ke ma'noN meN naheeN aa-aye ga, ?
2. bohat khoob!
3. ye sher bhi achhchaa laga.
4. bohat zabardast khyaal hai. laikin aap ne lafz maHal ko maHl ist'emaal kiyaa hai. kyaa ye theek hai?
5. ye sher bhai achchaa laga.
mukhils,
Muhammad K. Siddiqui.
Beradaram,
Ghazal pasand aayi... meri khush-naseebi hai. Kuchh ek sher pe aap ne 'explanations' dene ka ishaara kiya hai... main koshish karta hoon...
1. Pehlay wala dard puranaa ...... Khawar Bhai Saheb, farz kiziye ke aap ne guzishta kal mere ko ek 'Thappad' lagaya tha... aur aaj bhi ek 'Thappad' laga diya to.... AAK ka Thappad naya hoa aur guzishta kal wala thappad "iss aaj ke thappad se pehlay wala thappad hoa"....... main sahi keh raha hoon na????
4. "Mahal" hi sahi hai.... aur main Mahal (jaise TAJ MAHAL) hi likhaa hoon. Urdu main "Mahal" ko kaise likhte hain Bhaijaan??
Umeed hai ke aap mujhe samajh rahe hain.
Aaindah bhi housla afzayi ki silsila barqarar rakhein nawazish hogi.
aap ka bhai,
Munir Armaan Nasimi
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Re: Hausla Afzayi ka Shukriya !!
Mohtaram Janab Armaan SaHeb,Beradaram,

aap ki wazaHat ka shukrguzaar hooN. mujeh confusion huwaa. meN ne aap ko aik qaari ki haciat se bataa diyaa.
oar rahi baat MaHal ki toa mujhe aap ke jumlay "Urdu main "Mahal" ko kaise likhte hain Bhaijaan??" meN se tanz ki bu aa rahi hai :). meN to har tanqeed karne walay ka shukriyaa adaa kartaa hooN chahay woh ghalat hi keh rahaa ho. bhalaa kon aaj kal doosre ke leeaye waqt nikaaltaa hai. oar jo nikaalay to bhalaa us ko appreciate kyooN na kiyaa jaa-aye? chaliaye khair, meN aap ke baaray meN khushgumaan rehtaa hooN aor soch laitaa hooN ke mujhe ghalati ho rahi hai
mairaa matlab thaa ke agar maHal (meem par zabar Hay par zabar oar laam sakin) likhaa jaa-aye to woh 12 ke wazn par aataa hai jo ke SaHeeH hai aor aap ke sh'er meN maHl. paRhna paRH rahaa hai kyooN ke aap ke ash'aar 21 se shroo hotay haiN. Hay ko saakin paRhaiN to phir sh'er vazn meiN hotaa dikhai daitaa hai.
chooNke abhi seekhne ke maraHal meN hooN. is leeaye jo cheez samajh naheeN aati pooch laitaa hooN. buraa na mana-i-aye gaa
Regards,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Re: Hausla Afzayi ka Shukriya !!
muhammad_19k wrote:Mohtaram Janab Armaan SaHeb,Beradaram,

YA ALLAH YE KYA HO GAYA.... Mujhe ye gumaan bhi nahiin tha ke aap meri baat ko mera 'comments' samajh lenge...... Actually main urdu main mahal waise hi likhta hoon jaisa main ne likha hai.... jab aap ne usko saheeh kiya to mujhe laga ke shayad main galat likh raha hoon... isliye main ne pooch liya warna main aur AAP pe Tanz karoon..... Mujhse Ye Gunaah Kabhi Nahiin Hoga Bhai jaan.... Actually Urdu is not my mother-tonge... main ne usko shauq se seekha hai... ishliye hamesha darrta rehta hoon ke kahin koyi lafz galat to nahiin likh diya... isliye main ne poocha ke urdu main "mahal" kaise likhte hain.... jaisa main ne likha hai wohh galat hai kya????? BAS YAHI WAZAHAT CHAHTA THA WARNA.... MAIN WO SAWAAL HI NAHIN KARTA... aap ko Achcha nahiin laga main.... INTEHAYI MAZERAT CHAHTA HOON KHAWAR BHAI.... Umeed hai ke aap mujhe samajhne ki koshish karenge. Bye the way, aap ne neeche mujhe samjha bhi diya hai ke mahal kaise likhna tha.... Main intehayi shukr guzaar hoon.... !!
mairaa matlab thaa ke agar maHal (meem par zabar Hay par zabar oar laam sakin) likhaa jaa-aye to woh 12 ke wazn par aataa hai jo ke SaHeeH hai aor aap ke sh'er meN maHl. paRhna paRH rahaa hai kyooN ke aap ke ash'aar 21 se shroo hotay haiN. Hay ko saakin paRhaiN to phir sh'er vazn meiN hotaa dikhai daitaa hai.
chooNke abhi seekhne ke maraHal meN hooN. is leeaye jo cheez samajh naheeN aati pooch laitaa hooN. buraa na mana-i-aye gaa
Regards,
Muhammad K. Siddiqui.
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Re: JAB BHI TERI YAADON KA MAUSAM.......
sara_j wrote:baRi mushkil mein hoon ab kya karunmunir-armaan-nasimi wrote:GHAZAL PESH KHIDMAT HAI.....!!
Mujhe umeed hai ke Urdubadhan ke sukhannawaz doston ke 'phool aur kaante' meri ghazal ke husn ko aur nikhaar denge. Sirf wah wah... bahut khoob ki 'Bhook' nahiin hai mujh ko.... plz apne honest comments jaroor dein, nawazish hogi.
aap sab ka,
[b]Munir Armaan Nasimi[/b]
armaan sahib mujhe siwaaye wah wah aur bohat bohat khoob ke aur kcuh nahi aata
agar aap ijazat dein tou wah wah! likhdoon :P
Sara J.
Mujhe Achchi...... Bahut Achchi tarah pata hai ke aap ko kya kya aata hai..... kya nahiin.......... Main ne aap ki kalakaari dekhi hai... kaise aap ek ek Sher... ka POST-MORTEM karte hain..... kis kis tarah..... aap Daad se nawazti hain..... magar sirf Kuch EK azeez doston ko......!!
Main Khush-naseeb hoon ke kabhi kabhar aap ki Daad ki nemat mil jaati. Shukriya !!
Alla'h aap ke Daad ke STOCK ko hamesha FULL rakhkhe.... Aameen !!
Armaan
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Re: JAB BHI TERI YAADON KA MAUSAM.......
sara_j wrote:munir-armaan-nasimi wrote:sara_j wrote: baRi mushkil mein hoon ab kya karun
armaan sahib mujhe siwaaye wah wah aur bohat bohat khoob ke aur kcuh nahi aata
agar aap ijazat dein tou wah wah! likhdoon :P
Sara J.
Mujhe Achchi...... Bahut Achchi tarah pata hai ke aap ko kya kya aata hai..... kya nahiin.......... Main ne aap ki kalakaari dekhi hai... kaise aap ek ek Sher... ka POST-MORTEM karte hain..... kis kis tarah..... aap Daad se nawazti hain..... magar sirf Kuch EK azeez doston ko......!!
Main Khush-naseeb hoon ke kabhi kabhar aap ki Daad ki nemat mil jaati. Shukriya !!
Alla'h aap ke Daad ke STOCK ko hamesha FULL rakhkhe.... Aameen !!
Armaan
Arrey Sara ji... ye aap ne kis ke TWINS mere ko bhez diye..?? Kya hoa aap ko..... thoda sa sense-of-humour aud badhayiye na plz...!!
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Muneer SaHeb
meN ne aap ki waZaHat paRh li. us ke b'aad is ke siwaa kyaa reh jaataa hai ke woh sirf aik ghalat fehmi thi. aap ki mazeed ghazloN ka intezaar rahay ga.
Regards,
Muhammad K. Siddiqui
meN ne aap ki waZaHat paRh li. us ke b'aad is ke siwaa kyaa reh jaataa hai ke woh sirf aik ghalat fehmi thi. aap ki mazeed ghazloN ka intezaar rahay ga.
Regards,
Muhammad K. Siddiqui
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
WO KYA KEHTE HAIN BHAI JAAN KE...........
Hum Dua Likhte Rahe Aur Wohh Dagaa Padhte Rahe....
Ek Hi Nukte Ne Hamein Mohrim se Mujrim Kar Diay.
aisa hi kuchh ek sher tha... magar Alla'h ka laakh laakh shukr hai ke Galat-fahmi ka badal..... saaf ho gaya.
Aur sunayein...
aap ka apna,
MAN

Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain
MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain
MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.