GuZarish#30 ke liye meree ma'muli see koshish!

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

GuZarish#30 ke liye meree ma'muli see koshish!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Sadr-e-mushae'rah aor moa'azziz khawateen-o-HaZ^araat aadaab-o-a'rZ^ hai.

Sadr-e-mushae'rah kee ijaZut se mah-e-rawaaN ke liye aapnee Ghazal pesh karne kee sa'adat HaaSil kar rahaa hooN. mujhee yaqeen hai keh is naacheeZ see koshish ko pasand farmate huwe dost meraa HaoSilah baRhaeeN ge. aor aZaaN ba'd apnee GiraaN qadr takhleeqaat se raonaq-e-mushae'rah ko do gunah kar deeN ge. to leejiye mulaaHiZ^ah farmaiye.


Ghazal

tujhe furSat naheeN kaar-e-jahaaN se
chala jataa hooN tere aastaaN se!


numod-e-saoZ-e-pinhaanee a'jab hai
dhuwaaN uThne laga hai jism-o-jaaN se!


shab-e-furqat kee talkhee jaaN Gusal thee
kiyaa meHshar bapaa Aah-o-fuGhaaN se!


KhadanG-e-naaZ jo seh le tumhara
Jigar aesaa magar laooN kahaaN se!


nikal aaee badan se rooH lekin
nah Harf-e-AarZu niklaa ZubaaN se!


miraa raaZ-e-muHabbat khul geyaa hai
magar shikwah naheeN hai raaZdaaN se!


kuch aese saanaHe bhee dil peh GuZre
bayaaN hoN ge nah jo meree ZubaaN se!


maiN patthar hooN to phir namkeen panee
miree AaNkhooN meN utraa hai kahaaN se!


nah dekhee u'mr bhar phir ghar kee Surat
Giraa aesaa maiN apne aashiyaaN se!


yaqeeN aaya shikast-e-justuju kaa
palaT aaee dua'aa jab aasmaaN se!


maiN tere sanG-e-dar par jaan doN gaa
"uThe gaa sar nah tere aastaaN se"


Qat^'ah!
pas-e-ZindaaN jo Sadme dil peh GuZre
raheeN dar pardah kiyoN ehl-e-jahaaN se!


Muz^affar keh de roodad-e-Qafas bhee
ise khaarij nah rakh apne bayaaN se![/align]
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Tue Jul 10, 2007 5:31 pm, edited 1 time in total.
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Muzaffer saaheb aap ki yeh ghazal bilashubah aik nihaet dilkash ghazal hay aur is kay her her sher say aala derjay ki fankaranah salahiet aur zehanet Tapek rehi hay.

aur yaqeenan meri baat maiN qaten koi mubaligha nahiN hay.

khush rehihay


wassalam

sohail malik
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Janab Sohail Malik SaaHib aadaab!

aap ke alfaaz^ aap ke jazbah aor khulooS kee numaae'indagee kar rahe haiN. mujhe aap kaa maktoob dekh kar aesee musarrat hoee hai keh aap kaa khat^ baar baar paRhte naheeN thaktaa. aap kee diljoee se meree bohot himmat afzaee hoee hai. meree dua'aa hai keh khudaa aap ko salamat rakhe.

ijazut chahooN gaa.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: GuZarish#30 ke liye meree pehli koshish!

Post by jawaid badauni »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]moHtaram Sadr-e-mushae'rah aor moa'azziz khawateen-o-HaZ^araat aadaab-o-a'rZ^ hai.

Sadr-e-mushae'rah kee ijaZut se mah-e-rawaaN ke liye aapnee Ghazal pesh karne kee sa'adat HaaSil kar rahaa hooN. mujhee yaqeen hai keh is naacheeZ see koshish ko pasand farmate huwe dost meraa HaoSilah baRhaeeN ge. aor aZaaN ba'd apnee GiraaN qadr takhleeqaat se raonaq-e-mushae'rah ko do gunah kar deeN ge. to leejiye mulaaHiZ^ah farmaiye.


Ghazal

tujhe furSat naheeN kaar-e-jahaaN se
chala jataa hooN tere aastaaN se!


numod-e-saoZ-e-pinhaanee a'jab hai
dhuwaaN uThne laga hai jism-o-jaaN se!


shab-e-furqat kee talkhee jaaN Gusal thee
kiyaa meHshar bapaa Aah-o-fuGhaaN se!


KhadanG-e-naaZ jo seh le tumhara
Jigar aesaa magar laooN kahaaN se!


nikal aaee badan se rooH lekin
nah Harf-e-AarZu niklaa ZubaaN se!


miraa raaZ-e-muHabbat khul geyaa hai
magar shikwah naheeN hai raaZdaaN se!


kuch aese saanaHe bhee dil peh GuZre
bayaaN hoN ge nah jo meree ZubaaN se!


maiN patthar hooN to phir namkeen panee
miree AaNkhooN meN utraa hai kahaaN se!


nah dekhee u'mr bhar phir ghar kee Surat
Giraa aesaa maiN apne aashiyaaN se!


yaqeeN aaya shikast-e-justuju kaa
palaT aaee dua'aa jab aasmaaN se!


maiN tere sanG-e-dar par jaan doN gaa
"uThe gaa sar nah tere aastaaN se"


Qat^'ah!
pas-e-ZindaaN jo Sadme dil peh GuZre
raheeN dar pardah kiyoN ehl-e-jahaaN se!


Muz^affar keh de roodad-e-Qafas bhee
ise khaarij nah rakh apne bayaaN se![/align]


Azeezi Muzaffar SaaHab, aadaab

Aap ki Ghazal main ne dekhi jo bohat pasaNd aaii. Inshah Allah bAAd meN mazeed tafSeel se likhoNga. Aap bohat meHnat karte haiN har Ghazal meN yehee sabab hai keh aap ki har doosree ghazal pahli se behtar hoti hai. Daad qubool farmaaiye.

MiSra bohat achcha hai. Mujhe pahle hi yeh ummid thee keh achchee achchee GhazaleN mauSool hoNgee. Inshah Allah Mushairah bohat kaamyaab rahega.

MuKhliS
Ja
waid
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Muzaffar SaHeb,

hasbe ma'mool aap ki ghazal ghair ma'mooli hai. is baar darj zail sh'er na khadang e naaz ka kaam kiyaa,

maiN patthar hooN to phir namkeen panee
miree AaNkhooN meN utraa hai kahaaN se!


aor is ke allawaa ye waalay ashaar bohat zydaa pasanda aa-aye.


KhadanG-e-naaZ jo seh le tumhara
Jigar aesaa magar laooN kahaaN se!

kuch aese saanaHe bhee dil peh GuZre
bayaaN hoN ge nah jo meree ZubaaN se!



giraa bhi bohat shaandaar rahi

maiN tere sanG-e-dar par jaan doN gaa
"uThe gaa sar nah tere aastaaN se"


itni achhchhi ghazal kehne par mairi taraf se mubarakbaad qubool kijiaye.

Regards,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: GuZarish#30 ke liye meree ma'muli see koshish!

Post by haamidbaaqri »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]moHtaram Sadr-e-mushae'rah aor moa'azziz khawateen-o-HaZ^araat aadaab-o-a'rZ^ hai.

Sadr-e-mushae'rah kee ijaZut se mah-e-rawaaN ke liye aapnee Ghazal pesh karne kee sa'adat HaaSil kar rahaa hooN. mujhee yaqeen hai keh is naacheeZ see koshish ko pasand farmate huwe dost meraa HaoSilah baRhaeeN ge. aor aZaaN ba'd apnee GiraaN qadr takhleeqaat se raonaq-e-mushae'rah ko do gunah kar deeN ge. to leejiye mulaaHiZ^ah farmaiye.


Ghazal

tujhe furSat naheeN kaar-e-jahaaN se
chala jataa hooN tere aastaaN se!


numod-e-saoZ-e-pinhaanee a'jab hai
dhuwaaN uThne laga hai jism-o-jaaN se!


shab-e-furqat kee talkhee jaaN Gusal thee
kiyaa meHshar bapaa Aah-o-fuGhaaN se!


KhadanG-e-naaZ jo seh le tumhara
Jigar aesaa magar laooN kahaaN se!


nikal aaee badan se rooH lekin
nah Harf-e-AarZu niklaa ZubaaN se!


miraa raaZ-e-muHabbat khul geyaa hai
magar shikwah naheeN hai raaZdaaN se!


kuch aese saanaHe bhee dil peh GuZre
bayaaN hoN ge nah jo meree ZubaaN se!


maiN patthar hooN to phir namkeen panee
miree AaNkhooN meN utraa hai kahaaN se!


nah dekhee u'mr bhar phir ghar kee Surat
Giraa aesaa maiN apne aashiyaaN se!


yaqeeN aaya shikast-e-justuju kaa
palaT aaee dua'aa jab aasmaaN se!


maiN tere sanG-e-dar par jaan doN gaa
"uThe gaa sar nah tere aastaaN se"


Qat^'ah!
pas-e-ZindaaN jo Sadme dil peh GuZre
raheeN dar pardah kiyoN ehl-e-jahaaN se!


Muz^affar keh de roodad-e-Qafas bhee
ise khaarij nah rakh apne bayaaN se![/align]
:salaam2:
muzaffar bhai saahib

kaisay haiN AAP?

masha allah bahut acchay sher niklay haiN apkay qalam say.

aapki har ghazal lafzoN ka chunaao bahut khoob hauta hai.yeh apnay aap meiN aik munfarid fan hai.

aapki peshkarda ghazal bhi bahut acchee hai.

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN :clap01:

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah.

aapka apna
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply