Assalaam o alaikum
dosto :rose
bahut dinoN baad hum yahaaN haazir huay haiN hamaari aik adna kaavish lekar
gar qubool uftad zahay.........
arz kiya hai..........
hukoomat nafsay ammaara ki hai inkay dilo jaaN per
mazaalim dhaa rahay haiN isliye insaan insaaN per
nahiN houta hai ghaflat meiN yeh zaalim nafsay ammaara
musalsal karta rehta hai yeh hamlay naik insaaN per
yahi woh jaani dushman hai jau behkaata hai insaaN kau
keh is say ladtay rehna farz hai har ek musalmaaN per
karenge gar jehaaday akbari insaan nafsoN say
farishtay bhi karenge naaz insaanoN kay eemaaN per
khuloosay dil say jab insaaN khudaa ka naam letay haiN
ek haibat hauti hai taari yaqeenan faujay shaitaaN per
kahaa ummeed nay haamid kabhie maayoos mat hauna
"abhi baaqi hai kuch kuch dhoop deewaaray gulistaaN per"
NAFSAY AMMAARA=THE CARNAL SELF
JEHAADAY AKBARY=THE GREATEST STRUGGLE
nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah
"hukoomat nafsay ammaara kee" tarhi kalaam aapkay
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
"hukoomat nafsay ammaara kee" tarhi kalaam aapkay
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Re: "hukoomat nafsay ammaara kee" tarhi kalaam aap
mohtaram janab HAMID BAAQRI SaHebhaamidbaaqri wrote:Assalaam o alaikum
dosto :rose
bahut dinoN baad hum yahaaN haazir huay haiN hamaari aik adna kaavish lekar
gar qubool uftad zahay.........
arz kiya hai..........
nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah[/color][/size]
aik baar phir aap ke makhSooS rang meN ghazal maire saamne hai. naiki ke paighaam aor bhalaai ki da'wat meN bohat se deegar aham unaaSir ke saath aik juzv mustaqil mizaaji bhi hai. Jab jab aap ki ghazal se nazar se guzarti hai, dil o rooH khush ho jaate haiN ke shaairi kuch aisaa waqt ka ziyaa bhi naheeN .
Allah rab ul izzat se aap par reHm o karam ke leeaye dua goa hooN.
ab agar aap ijaazat deN to fardan fardan ashaar bhi daikh loooN.
waah bohat khoob. kyaa mazmoon baandhaa hai.hukoomat nafsay ammaara ki hai inkay dilo jaaN per
mazaalim dhaa rahay haiN isliye insaan insaaN per
waah waah! kyaa baat hai janab. ham khud jo ghaflat meN haiN to ye nafs zaalim kab ghaflat meN ho gaa.nahiN houta hai ghaflat meiN yeh zaalim nafsay ammaara
musalsal karta rehta hai yeh hamlay naik insaaN per
waah. bohat khoob janab. mafhooM ka andaaza ho rahaa oar buniaadi khyaal bhi bilkul clear hai. pehlay miSra meN jaani dushman ka lafz bohat numaaya hail laikin meN ye samajhne se qaSir hooN ke ye tarkeeb kis wajaa se istemaal ki gayee. doosre misRa meN aek yaqeenun typo hai. ik karnaa ho ga.yahi woh jaani dushman hai jau behkaata hai insaaN kau
keh is say ladtay rehna farz hai har ek musalmaaN per
bohat khoob!karenge gar jehaaday akbari insaan nafsoN say
farishtay bhi karenge naaz insaanoN kay eemaaN per
bohat khoob! aap shayed bay khaali meN miSra lafz ek se shroo kar geN haiN. yaqeenun toa ya aor koi chhoti aawaaz waalaa lafz lagaana ho gaa aap ne.khuloosay dil say jab insaaN khudaa ka naam letay haiN
ek haibat hauti hai taari yaqeenan faujay shaitaaN per
ahaa haa. bohat khoob. aisi khoobSorat tazmeen oar phir us ko maqtaa banaanaa. waah waah. bohat zabardat!kahaa ummeed nay haamid kabhie maayoos mat hauna
"abhi baaqi hai kuch kuch dhoop deewaaray gulistaaN per"
Jahaad akbari ki iStalaaH qaabil e ghor hai. mairay khyaal meN Hajj e Akbar se Akbari Hajj oar Jahad e Akbar se Akbari Jehaad banaana aghlaat ul 'aam meN se hai.NAFSAY AMMAARA=THE CARNAL SELF
JEHAADAY AKBARY=THE GREATEST STRUGGLE
bohat Zydaa Had e adab!
mu'addab,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: "hukoomat nafsay ammaara kee" tarhi kalaam aap
AAPKAY BESHQEEMTI TABCERAY KAYLIYE HUM AAPKAY BEHAD MAMNOONO MASHKOOR HAIn.muhammad_19k wrote:mohtaram janab HAMID BAAQRI SaHebhaamidbaaqri wrote:Assalaam o alaikum
dosto :rose
bahut dinoN baad hum yahaaN haazir huay haiN hamaari aik adna kaavish lekar
gar qubool uftad zahay.........
arz kiya hai..........
nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah[/color][/size]
Assalaam o alaikum
mohammed khawar saahib
aik baar phir aap ke makhSooS rang meN ghazal maire saamne hai. naiki ke paighaam aor bhalaai ki da'wat meN bohat se deegar aham unaaSir ke saath aik juzv mustaqil mizaaji bhi hai. Jab jab aap ki ghazal se nazar se guzarti hai, dil o rooH khush ho jaate haiN ke shaairi kuch aisaa waqt ka ziyaa bhi naheeN .
al hamdulillah.......jazakallah.
Allah rab ul izzat se aap par reHm o karam ke leeaye dua goa hooN.
ameen ya rabbul aalameen.allah(sbhnwt)aap per bhi apni rehmatoN ki baarish karay.aameen
ab agar aap ijaazat deN to fardan fardan ashaar bhi daikh loooN.
zahay naseeb.......zaroor..................
waah bohat khoob. kyaa mazmoon baandhaa hai.hukoomat nafsay ammaara ki hai inkay dilo jaaN per
mazaalim dhaa rahay haiN isliye insaan insaaN per
bahut bahut shukriya.........
waah waah! kyaa baat hai janab. ham khud jo ghaflat meN haiN to ye nafs zaalim kab ghaflat meN ho gaa.nahiN houta hai ghaflat meiN yeh zaalim nafsay ammaara
musalsal karta rehta hai yeh hamlay naik insaaN per
shukriya....
waah. bohat khoob janab. mafhooM ka andaaza ho rahaa oar buniaadi khyaal bhi bilkul clear hai. pehlay miSra meN jaani dushman ka lafz bohat numaaya hail laikin meN ye samajhne se qaSir hooN ke ye tarkeeb kis wajaa se istemaal ki gayee.yahi woh jaani dushman hai jau behkaata hai insaaN kau
keh is say ladtay rehna farz hai har ek musalmaaN per
qur'aano hadeec(sawaw) kay mutaabiq nafsay ammaara insaan ka khooni(jaani) dushman hai(bloodiest enemy).issay musalsal jehaad kartay rahna har musalmaan ka farz hai.yehi jehaaday akbar hai.
doosre misRa meN aek yaqeenun typo hai. ik karnaa ho ga.
jee....hum .....aik....aur .......ek...... likhtay haiN waisay aap sahi keh rahay haiN ik bhi likkha jaasakta hai.
bohat khoob!karenge gar jehaaday akbari insaan nafsoN say
farishtay bhi karenge naaz insaanoN kay eemaaN per
shukriya...
bohat khoob!khuloosay dil say jab insaaN khudaa ka naam letay haiN
ek haibat hauti hai taari yaqeenan faujay shaitaaN per
shukriya....
aap shayed bay khaali meN miSra lafz ek se shroo kar geN haiN. yaqeenun toa ya aor koi chhoti aawaaz waalaa lafz lagaana ho gaa aap ne.
jee...nahiN woh lafz "ek'" hi hai.
ahaa haa. bohat khoob. aisi khoobSorat tazmeen oar phir us ko maqtaa banaanaa. waah waah. bohat zabardat!kahaa ummeed nay haamid kabhie maayoos mat hauna
"abhi baaqi hai kuch kuch dhoop deewaaray gulistaaN per"
bahut bahut shukriya aapka.
Jahaad akbari ki iStalaaH qaabil e ghor hai. mairay khyaal meN Hajj e Akbar se Akbari Hajj oar Jahad e Akbar se Akbari Jehaad banaana aghlaat ul 'aam meN se hai.NAFSAY AMMAARA=THE CARNAL SELF
JEHAADAY AKBARY=THE GREATEST STRUGGLE
is baat per bazm kay ustad shuraa hi kuch roshni daalsaktay haiN.hum apni kahi huee baat phir dohraatay haiN keh hum tiflay maktab haiN.bohat Zydaa Had e adab!
mu'addab,
Muhammad K. Siddiqui.
jazakallah
mukhlis
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa